Website Ki Page Speed Improve Kaise Kare – 10 Free Online Tools

Website ki better search ranking (PageRank) ke liye website ki page speed 80 to 95 ke aaspas honi chahiye. Google ne behtar search result ke liye Algorithm me site ki page speed ko bhi shamil kiya hai. Iske alawa visitors ko bhi fast loading website pasand aati hai. Koi bhi reader der se khulene wali site par dubara visit karna pasand nahi karta hai. Isliye aapko apni site ki speed fast karne ke liye site ko optimize karna shuru kar dena chahiye. Jisse aapko jyada visitors bhi milenge or search engine se bhi behtar traffic milega.

How To Boost Your Website Page Speed 10 Online Tools

Website or blog par traffic nahi hone ka sabse bada karan hota hai, Website ka fast loading na hona. Visitor bhi us site ko sabse jyada pasand karte hai jo fast loading ho. Kyuki wo chahate hai ki sab kuch fatafat ho jaye. Der se khulne wali site par reader chaha kar bhi nahi aa pate hai. Kyuki 60% visitors ke pas 2G internet connection hota hai. Or 2G connection me fast loading site bhi der se open hoti hai fir slow site to bahut der me open hogi. Isse visitors ko majburan aapki site chod kar dusri site par jana padta hai. Or aap bhi to fast open hone wali sites ko jyada pasand karte ho.

Internet par ayse bahut se online tools hai. Jo site ki speed badhane me humari madad karte hai. Ye online tool website ki der se open hone ki wajah ke bare me hume btati hai ki kis wajah se aapki site slowly khul rahi hai. CSS, HTML, Javascript jaisi kamiyo ke bare me in tools par puri details mil jati hai. Hum in kamiyo ko theek kar humari website ki speed fast kar sakte hai.

In online tools ki help se hum apni site ko optimaize kar speed up kar sakte hai. Jisse humare visitors site par jyada se jyada post padh sake or bina probelm ke kam time me enjoy kar sake. Ye sabhi online website aapko site ki alag alag performance show karte hai. Aapko apne hisab se site ko optimize karna hai.

Website or Blog Ki Page Speed Badhane Ki 10 Best Online Tools

Har blogger or website owner chahate hai ki unki site par adhik se adhik visitor aaye or high traffic ho. Mai un sabhi ko recommend karunga ki aap sabse pahle apni site ko fast loading banaye. Iske liye aapko apni site opimize karni hai jisme ye online tools aapki help karegi.

1. GTmetrix

GTmetrix

GTmetrix sabhi online tools me se meri sabse favorite tool hai. Maine apni site ko isi tools ki help se speed up kiya hai. Iski sabse achi bat ye hai ki ye tool page speed ki 2no service ek google Pagespeed or dusri PageSpeed insights and Yahoo! Yslow  ke bare me btati hai. Iske satrh hi is par aapko apni site ki speed badhane ki jankari bhi milegi. Jo itni simple or aasan hoti hai ki koi bhi ise follow kar sakta hai. Server reason ki wajah se site ki speed speed kam jyada show show ho sakti hai. But gtmetrix ek dam sahi result show karti hai. Or aap is par apni site ki dusri site se tulna bhi kar sakte hai. Iske liye aapko right side me compare par click kar dusri site ka link add karna hai.

2. PageSpeed Insights – Google Developers

PageSpeed Insights - Google Developers

PageSpeed Insights – Google Developers tools no.1 online speed checker tool hai. Kyuki google duniya ka no.1 search engine hai isliye sabhi blogger or website owner sabse jyada isi tool ko use karte hai. Ye tool bhi aapki gtmetrix ki tarah website ki speed badhane me help karti hai. Iski sabse achi bat ye hai ki ye aapko site ki speed mobile or desktop dono ki alag alag btati hai. Google page speed test tool ko aap apne browser me bhi install kar sakte hai.

3. Pingdom Tools

Pingdom Tools

Pingdom Tools website ki speed check karne ki world popular tool hai. Is par aap ye pata kar sakte hai ki aapki site kitni speed se khulti hai. Pingdom aapko page size, load time, requests or pref. grade ki jankari deti hai. Sath hi is tool par aap ye bhi pata kar sakte hai ki aapki site ki speed dhimi kyu hai or kis image, photos, script and other page element ke karan aapki site slow load ho rahi hai.

4. Web Page Analyzer

Web Page Analyzer

Web Page Analyzer ek simple straightforward tools hai. Jo aapko website download time btati hai. Or sie ki gunvata sudharne ki advice deti hai.

5. WebPagetest

WebPagetest

Website performance and optimization test tool par aap location or browser ke anusar website ki speed check kar sakte ho. Jaise aapko chrome browser me apni site ki speed test karni hai to chrome select kare. Is tool par aap android mobile, IOS or vodafone 2G & 3G ki speed check kar sakte ho. Or chrome ke alawa firefox and other bahut se browser par aapki site kitne time me open hoti hai, Check kar sakte ho.

6. Load Impact

Load Impact

7. Dare Boost

Dare Boost

8. OctaGate Site Timer

OctaGate Site Timer

9. Site Speed Tools

Site Speed Tools

10. Which Loads  Faster

Which Loads Faster

Which Loads  Faster tools par aap do alag website ki speed check kar sakte ho or pata kar sakte ho kons isite kis se kitne persent fast loading hai.

Website ki page speed high traffic pane ke liye bahut mayne rakhti hai. Kyuki visitors or search engine dono fast loading blog ko jyada like karte hai. So agar aapki site ki speed 80 se kam hai to aapko ye ignore nahi karna chahaiye. Agar aapko site ko optimize karna nahi aata hai to aap kisi website developer se bat kar sakte ho. Ya humse admin@supportmeindia par contact kar sakte ho.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise socail networking sites par share jarur kare sath hi post ke bare me commnet kare or agar aapko website speed ke bare me mujhse koi sawal puchna hai to niche commnet me apna sawal details me post kare. Aapki help jarur ki jayegi.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (126)

  1. Avatar for NitinNitin

    Thanks bhai mere website ki speed sach Mai bad gayi hai thanks

  2. Avatar for Vijendra singhVijendra singh

    Hii sir
    Me apni site ko woorank tool me check kar raha hu kuch error aarahe hai jaise
    1. website is using inline styles. > sir meri samajh me nahi aaraha hai ki me inline ka use kaha kar raha hu.
    2. your website has too many JavaScript files (more than 7) > sir in files ko kaise kam kare.
    3. Following sitemaps do not have a valid structure. > sir mene sitemap yoast se create kar s.c me add kiya hai sath hi robot.txt file me bhi add kiya hai.
    4. Following sitemaps are not accessible > ek error ye bhi aaraha hai
    Plz sir inhe solve karne ka solution bataye.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      1. Iska matlab ye hai ki aap site html code me hi css add karo, ye jarur nahi hai.
      2. aapki site par bahut jyada javasript hai.
      3. yea yoast sitemap url par seo error aata hai ignore it.
      4. Iska matlab aapki site ka sitemap work nahi kar raha hai.

  3. Avatar for amanaman

    sir pindom me test karne par Serve static content from a cookieless domain. ka issue aata hai usko kaise solve kare? aapki site p ni aata.
    pls thoda detail se batayiye ga.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      CDN use karo ye problem fix ho jayegi.

  4. Avatar for sagarsagar

    sir Apka Post Bahut Achha HAI lEKIN aap KOI Speed Up POst Kaise Kare Sir Iske Baare ME bHee EK artical Likhiye.

  5. Avatar for NITINNITIN

    Nice information sir thanks for sharing Such a good information with us

  6. Avatar for Antesh SinghAntesh Singh

    WordPress blog ke liye best cache plugin kaun si hai ?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      W3 total cache aur WP Super cache

  7. Avatar for LALIT VERMALALIT VERMA

    Sir mere website ka page load time 7 sec se zayada hai kya krna chhaiye

  8. Avatar for NitinNitin

    wow fir apka ye article bahut hi acha hai apke sare tips hamne apne website me lagaya mera website pahale se fast open hota hai.

    thanks for sharing.

  9. Avatar for dharmesh rajputdharmesh rajput

    page speed up karne ke liye aapne badhiya post likhi hai

  10. Avatar for UmeshUmesh

    Jumedeen brother ye to website speed check karne ke liye tools bataye hai aapne,

    Aap please muze website speed increase kaise kare iske bare me bataye bcoz aapki supportmeindia website boht fast load ho rhi hai,

    Please muze bataye ki aapne kya kya kiya hai website ki speed badhane ke liye.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Maine in tools ki guideline follow karke optimizing ki hai.

  11. Avatar for ANTESH SINGHANTESH SINGH

    wordpress blog ke liye best fastest loading free theme kaun si hai ?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Accesspress

  12. Avatar for AMAN KUMAR SINGHAMAN KUMAR SINGH

    Blog me amp use krne se koi labh hota hai?

  13. Avatar for Akshay DhimanAkshay Dhiman

    Sir Suggest me Best font-family for website and which type of font-family you are using on your blog?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Roboto family is best but I like fauna one because this is fast loading.

  14. Avatar for JayJay

    Bhai maine apne blog ki speed check kiya . Niche diya problem fix karne ko bol raha hai-:

    “Avoid landing page redirects
    Your page has 2 redirects. Redirects introduce additional delays before the page can be loaded.”

    Isko kaise fix karu. Please help…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      redirection sahi se karo.

  15. Avatar for neeleshneelesh

    Sir pichale 2din se mera blog bhut hi slow ho gya hai ise open hone me bhut time lgta hai aur kabhi kabhi to open bhi nhi hota sir kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Good hosting, less plugin, optimize theme use karo.

  16. Avatar for RudraRudra

    bahut hi bdiya jankari di hai

  17. Avatar for KishorKishor

    Seo ke Hisab se Post title kitne word ka hona chahiye. minimum to maximum.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      40 to 65

  18. Avatar for KishorKishor

    In dono me se Post title me kaunsa better hai seo ke liye.

    1. Blog ki speed kaise badhaye : Blog ki speed badhane ke tools
    2. Blog ki speed kaise badhaye | Blog ki speed badhane ke tools

    Kya aisa post title dalne se seo me kuch fark pad sakta hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dono title same hi hai.

      • Avatar for KishorKishor

        1. Bhai Mai : | in dono symbol ki bat kar raha hu.

        2. Aise symbol use karne se post search me kuch fark to nahi padega naa.

        3. Bhai aap Sawal ka jawab jald diya karo.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          No problem.

  19. Avatar for vivek choudharyvivek choudhary

    Very nice commenting system kiya hai aapne. kisi se design karwaye hai ya khud hi kiye hai.

  20. Avatar for Nitesh NayakNitesh Nayak

    Website ki speed badhane ke uppar aachi jaankari di hai jumedeen khan ji. Isse new bloggers ko bahut jayada madad milegi…

  21. Avatar for vishal Rathourvishal Rathour

    bhai Maine apni website ka jabse naam change kiya hai tab se pagewiev 0 hi rahte hai badhate nahi hai post bhi dalte hai tab bhi nahi badhate hai please help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog ka name change karne se google ko aapke blog ko index karne me thoda time lagta hai thode din me traffic same ho jayega.

  22. Avatar for rajeevrajeev

    1.ek din me kitna post karna accha hoga maine kuch din aphle website banayi hai.
    2..mere site pe 300 se 500 visitor par day hai kya AdSense apply karna thik hoga
    3.sumome se koi fayda hota hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Jitni aap kar sako kar sakte ho.
      2. agar aapki site par google search sedaily 300 pageviews hote hai to kar sakte ho.
      3. Bahut sare fayde hai, Share button, subcribe, text share option and other.

  23. Avatar for Abdul RazzaqAbdul Razzaq

    bhai ye site hai ap se pehle bhi pocha tha AdSense ke lye mjhy kub apply karna chahye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jab aapki site par daily 500 pageviews hone lag jaye.

  24. Avatar for sanjaysanjay

    sir ji blogging me post likhane ke baad save nahi ho raha or nahi publish ho raha hai.. me blogging me naya hu.plz meri help kare or pakka one time solution batao. error aisa show ho raha hai..”An error message occurred while trying to save or publish your post. Please try again”.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye problem aapke internet connection ki wajah se ho raha hai. Browser ki history delete karke or internet connectioin check karke karo ho jayegi.

  25. Avatar for Murari kumarMurari kumar

    sir pluging se site ka speed increase karne me koi problem to nahi hai nai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi koi problem nahi hai but aap ek bar check kar le ki apaka blog proper work kar raha hai ya nahi, iske liye aap kproxy.com par apni site ko open karke dekh sakte ho.

  26. Avatar for Vivek ChoudharyVivek Choudhary

    Jumedeen ji first to aap apne blog ki theme change kare. pehle wali hi theek thi ye bekar lag rahi hai.
    aur search console me avg. position kaise increase kare.

    • Avatar for Vivek ChoudharyVivek Choudhary

      mujhe thoda sukoon mila ki aapke blog ki theme sahi ho gayi. mere man me bure bure khyal aane lage the ki kahi aapka blog hack to nahi ho gaya ya kuch problem to nahi aa gayi aur aaj aapne koi post bhi nahi kiye.

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Are nahi vivek tohda personal work me busy hu. Isiliye post nahi kar pa raha hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thanks bro real me wo bekar theme thi. Apni post ki search position increase karo SEO friendly post likho or apni posts ko top par lane ki koshish karo.

  27. Avatar for deepeshdeepesh

    hello jume deen sir WordPress blog me profile picture kaise sett kare gravatar me to photo upload kr di hai

  28. Avatar for Haidar KhanHaidar Khan

    Jume Deen Bhai. Main SEO by Yoast Plugin ke according article likhta hu. Lakin Phir bhi mujhe google se traffic nahi mil pata hai. Main jab post likhta hu tab Yoast plugin me sabhi Green button ho jate hain. lakin phir bhi mujhe google traffic nahi mil raha hai main kya karu. mera blog ko 45 days ho gaye hain lakin 1-2 search traffic hai . Mujhe Apki help chahiye.
    1. Kya main kuch galti kar raha hu Yoast plugin me.
    2. Kya focus keyword Title aur slug me add karna jaruri hai.
    3.Yoast plugin ke analysis section me sabhi button green hone jaruri hai.
    4. Maine Bahut si aisi post read ki hain jinka slug kuch aur hota hai aur Title alag matlab same word ya keyword nhi hota hai. To kya wo post acchi ranking karti hain.
    Please help me Aap meri posts check kijiye kya unme koi problem hai?
    Help me plase.
    Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Aap wohi post likh rahe ho jo pahle se bahut sare blog par hai or sab log unke bare me jante hai kuch naya bhi likha karo.
      2. ha add karo to achi bat hai.
      3. Nahi koi jaruri nahi hai.
      4. aapki posts me koi kami nahi bas bas aap kuch post aysi bhi likhi jo dusre blog par nahi ho.

  29. Avatar for Nilesh vermaNilesh verma

    WordPress blog ki speed badhane ka koi tips de..??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske bare me aap mozedia.com par post padho.

  30. Avatar for Ravi kumarRavi kumar

    bhaiya Jub Blog pe koi new post likhna chaahta hu,ya draft me save bhi karna ho to Capchta Code yani image select karke verification karne bolta hai.. isse hame bar-bar paresani hoti, bahut jagah settings me dekhi , nahi mila aap bataye isse band kaise kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blogger setting me ja kar Show word verification option ke samne no select karo.

  31. Avatar for SahilSahil

    My question is tell me about ur template apki template me sidebar h to kitni h …i want to know simply apki template ki body structure kaisi hai plz tell me in details

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sahil mai ek blogger hu designer nahi, mai aapki blogging me help kar sakta hu designing me nahi.

  32. Avatar for rohaanrohaan

    hy jummedin bro mere search console me site ka 311 url 404 not found bata raha , aise url jo mere blog me hai bhi nahi , ab mai kya karu ishe kaise fix kare bataiye plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dont’worry inhe fix kar do.

  33. Avatar for vakilvakil

    power supply me problem hai 1300 ru. kharch aa raha hai khair janedijiye . hum jaiso ke duvase ek din top bloggers. me se ek rahoge aj 40 hajar rank hai future me 90 se bhi jada rank ayega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Vakil 1300 rupees jyada nahi hote use theek karwa lo himmat mat haro. Jab aap log aage badhte ho to hi mujhe lagta hai ki mai blogging me kamyab ho raha hu ya nahi.

  34. Avatar for Umesh ChavanUmesh Chavan

    Hello, Bro
    Mera question ab seo aur AdSense ke liye hai agar mai ek post likhata hu. Par mujhe kya karana us post ko daily title aur post me ke kuch content change karane hai.
    e.g. mujhe ek post likhani hai, promo codes ke bare me mujhe daily post titile aur aur content sirf change karane hai.
    Kya yesa karane se SEO, Aur AdSense par koi asar hoga kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense par koi fark nahi padega but aapka search engine se traffic kam ho jayega kyuki aapke bar bar title change karne se post indexing me problem hogi.

  35. Avatar for GauravGaurav

    sir me all in one seo plugin use kar rha hu mere wp dashboard me post ke aage SEO Title, SEO Description, SEO Keywords ye 3 option show hote hain… SEO Keywords me kya daalna hai. pls bataye?
    for example mere post ka naam “free main website kese banaye” hai to mujhe SEO Keywords me daalna hoga?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapki post ko jo main keyword ho yani target keyword dalna hai.

  36. Avatar for Shibam KarShibam Kar

    Bhai yeh post bahut acchi lagi…me WP par hi hu aur blogger se transfer hua hu….problem yeh hai ki meri old posts me paragraf space nahi ho pa raha hai…edit me jakar space bhi diya lekin preview me show nahi ho raha hai…is vajah se me apne Adsense ka ads post ke beech me nahi laga pa raha hu…kyoki lagata hu to show nahihota hai….mujhe kya karna chaiye….help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap html section me ad link add karo jarur show hoga. Space jarur hoga aap ek bar browser me log out karke fir se log in karke try karo.

  37. Avatar for nikunjnikunj

    Jumedin bro mujhe 2 sabal ka jwab de;:-

    1) Aap apni blog ke posts me konxi font size use karte ho ??

    2) WordPress me agar hum yaost plugin ke rules follow kare or sabhi dots green karle or seo score – good show hua to kya hmari WO post fit nd well seo optimized khlayegi ??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Georgia 15px
      2. yes bilkul hogi yoast world number one SEO plugin hai. Jise aaj tak kisi ne galat nahi btaya hai.

  38. Avatar for Mahaveer JainMahaveer Jain

    Sir Page ki Speed Maintain karne k liye home page pr kitne post hone chahiye ,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      agar aap feature image use karte ho to 5-7 warna 10 posts show kar sakte ho.

  39. Avatar for vakilvakil

    jumedeen bhaiya mera laptop dead ho gaya hai. mai ab blogging shayad nahi. ……. agar aapke pass koi nokari mil sakti hai to mai aapke sath dil. lagakar blogging karuga . mai kya bol raha hu muje pata nahi magar mai majbur hu jumedeen bhaiya ………..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      What? aapke laptop ko kya ho gaya jo dead ho gaya hai. Vakil mai sirf ek blogger hu or itna bada nahi hu ki k
      isi ko job de saku.

  40. Avatar for Umesh ChavanUmesh Chavan

    jumedeen bro mujhe ye bataye ki ye jo ribbon template hai uska post body ki size kitni pixel hai e.g. 650px kyon ki mai bhi yahi template use kar raha hu. But maine kahi kahi par custom ads use ki hai jaise 650*300 isse kya ho taha hai jo chote screen wale computer hai use mere post me sidebar chala ja raha hai. iske liye mujhe kya karana chaiye aap meri ek post check karo firefox browser me jo maine commen me link ki hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      umesh ribbon WordPress theme hai agar aap uska crack version blogger me use karoge to problem hogi hi aap koi or template use karo.

  41. Avatar for GauravGaurav

    Site:example.com se search kaene par to saari post show kar rha.. lekin normaly google par search karne par koi bhi post show nhi ho rhi hai? esa kyu pls bataye?
    Or WordPress ke deshbord me website status ke neeche 13 links blocks esa show ho ra hai? esa kyu show ho ra hai? or kese theek hoga?

  42. Avatar for deepeshdeepesh

    hello zume deen sir blog ki speed kaise badaye jab ribbon theme upload ki thi tab speed 92 thi lekin ab 67 hai sir mere blog ko check kr ke bataye kya kya kami hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog me koi kami nahi hai bas aap SEO ke bare me tohda or information pata karo or quality content likha karo. speed badhane ke liye ye post padho WordPress blog ki speed kaise badhaye

  43. Avatar for deepeshdeepesh

    hello jume deen sir mujhe aapse puchna tha ki website ki speed kaise badai kya eske liye koi plugin hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha hai aap super chache ya w3 chaching plugin use karo.

  44. Avatar for ShailendraShailendra

    Sir blog kispe acha rahega..world press….pe ya blogger..pe ..jisse ache se logo Ki help bhi kar sake or pese bhi kama sake..please reply

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Best WordPress hai but WordPress bahut hard or paid hai. aap pahle blogger par free blog banao or blogging ko ache se jano uske bad apna blog WordPress par move kar lena.

  45. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    1. YouTube se banaya tha .
    2. Koi mail nahi mila.
    3. hindionlinehelp.com ko add kiya hai.
    4. Text/image, Responsive
    5. Alexa rank ke niche.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense approved hone ka mail jarur aata hai. ho sakta hai aapse delete ho gaya ho.
      1. But aap adsense.com par log in kar pa rahe ho to iska matlab aapka AdSense account ban gaya hai.
      2. AdSense ke ads lagane par black ads show hote hai. agar ho rahe hai to aap sirf AdSense ke active hone ka wait kar sakte ho.
      Mai aapki help jarur karunga but jab aap ek hi sawal ko bar bar puchoge to wo spam ho jata hai.

  46. Avatar for Amit KumarAmit Kumar

    Bhai apne jo post ke upar ads lagaye ho uska size kya hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      700×300

  47. Avatar for Amit KumarAmit Kumar

    Bhai kya Blogger me ye suvidha milta hai. home page par sidebar me 2 ads how kare, or job koi post read kare to home page wale add hide ho jayegi or post me show kare,
    Aur Post ke under sabse upar kon size ads lagaye ho,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi blogger me ye service nahi hai. WordPress par hide widget ka plugin hota hai. post me sabse upar aap apni post ka widget size pata kar ke uske hisab se ads laga sakte ho.

  48. Avatar for Sandeep kumarSandeep kumar

    Add show nahi ho rahe hai. maine add 14 February ko lagaya tha. Bhai batao kitna din lagta add show hone me .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      SAndeep aapse kahi na kahi koi galati jarur huoyi hai. aap mujhe in sawalo ke jawab do.
      1. Aapne AdSense account kiske throw banaya hai, YouTube ya blog.
      2. aapko AdSense approved ka mail mila ya nahi.
      3. Aapne AdSense par apni site ka custom link add kiya hai ya nahi.
      4. aapne ne kis tarah ke ads create kiye hai display ya links ads.
      5. Aapne apne blog par kis kis jagah par ads lagaye hai.

  49. Avatar for Ammi singhAmmi singh

    hello sir sayad aapko meri comment nahi maine is post pe ek comment ki thi jo ki is prakar thi maine aapki site se low paying ads ke urls nikal ke block kiye the but use CPC or kam ho gayi pehle $0.09 thi ab $0.02 ho gayi aisa kyo sir ab kya karu plz koi solution do plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne jo low cpc url block kiye hai. Unko unblock kar do.

  50. Avatar for HassanHassan

    Bro maine AdSense par adds bhi bnaya…oror copy kar kr Html/java me paste bhi kiya par abhi tak ads show nhi kar rha…aaaaj 6 day ho gaya h ad lagane se

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko google ma mail aaya hoga. usme check karo. report me kya likha hai.

      • Avatar for HassanHassan

        Koy mail nhi aaya abtak 1 week hone wala hai…ads bhi show nhi karta

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap in sawalo ke jawab do.
          1. Aapne AdSense account kiske throw banaya tha. YouTube ya blog.
          2. aapko AdSense approved ka mail mila ya nahi.
          3. Aapne AdSense par apni site ka custom link jaise xyz.com add kiya ya nahi. xyz.blogspot.ocm se blog par ads nahi laga sakte.
          4. Aapne apne blog par kis kis jagah par ads lagaye hai.
          Sabka jawab dena jisse mai aapki sahi help kar saku.

          • Avatar for HassanHassan

            1. Blog se banaya hu AdSense AC
            2.approved ka mail to nhi aaya lekin AdSense Login hota hai..
            3.custom link ye kiya hota hai.
            Xyz.com iske baare me nhi pata..
            4. Hmne bas ad bnaya or copy kar ke HTML/ java me paste kar diya bas..or 200/90 ka size diya. Or 3 ads show ko select kiya..

          • Avatar for HassanHassan

            Mere sawal ka javab nhi diya aapne sir plzzz. Bataye apne jo pucha maine isse pahle wale comment me bata diya ab uske baad kiya kru

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Hassan bro aapka comment spam comment ki wajah se mujhse shayad delete ho gaya ho. aaap fir se apni problem btao.

          • Avatar for HassanHassan

            Aap mera problem dekh kar ye sawal pucha tha
            Aap in sawalo ke jawab do.
            1. Aapne AdSense account kiske throw banaya tha. YouTube ya blog.
            2. aapko AdSense approved ka mail mila ya nahi.
            3. Aapne AdSense par apni site ka custom link jaise xyz.com add kiya ya nahi. xyz.blogspot.ocm se blog par ads nahi laga sakte.
            4. Aapne apne blog par kis kis jagah par ads lagaye hai.
            Sabka jawab dena jisse mai aapki sahi help kar saku.
            Or jawab ye tha..
            Reply
            HASSAN Says
            February 21, 2016
            1. Blog se banaya hu AdSense AC
            2.approved ka mail to nhi aaya lekin AdSense Login hota hai..
            3.custom link ye kiya hota hai.
            Xyz.com iske baare me nhi pata..
            4. Hmne bas ad bnaya or copy kar ke HTML/ java me paste kar diya bas..or 200/90 ka size diya. Or 3 ads show ko select kiya.. ab bataye…

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Hasaan bas ab aapko kucy nahi karna hai, AdSense ke review hhone par ads show hone lag jayenge, agar na honge to AdSense apko mail kar dega.

          • Avatar for HassanHassan

            Ye hmare AdSense ke home page me likha hai….
            Unfortunately your AdSense account was disapproved

            Thank you for your interest in Google adsense. While reviewing your application, we noticed that your site doesn’t comply with our AdSense Program Policies. Please check the email that we’ve sent you for more details.

            Unfortunately, we’re unable to accept your application at this time. However, if you’re able to fix the issues on your site, or you want to use a different site, you can reapply below.

            I’ve fixed the issues on http://publichelps.blogspot.com

            I want to reapply with a different site 

            Reapply

            Cannot connect to the server. Please try again later.

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Message me clearly likha hai ki AdSense ne aapko mail bheja hai or aapka AdSense account disapproved ho gaya hai. Kyuki aapne AdSense ki policy follow nahi ki hai.

          • Avatar for HassanHassan

            Mera cimment baar baar yaha se hide kaise ho ja raha hai sir…..maine pucha tha ab kiya kre ham AdSense problem….

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Adsense ne aapki site me jo kamiya btayi hai. Un sabhi ko solve kar ke fir se AdSense ke liye apply karo. Hassan mai AdSense ke bare me jitni bhi post kar chuka hu. Agar aap wo sabhi post pad le to i promise aapko AdSense ki full information pata chal jayegi.

          • Avatar for HassanHassan

            Adsense ko solv kaise kre kon sa option ne jayenge…or fir se apply kaise hoga ek email id par to ek hi AdSense ka account bnta h n…bhai kuch bhi ho aap ek baar hmari madad acheh e kar dijye mai presan hu

  51. Avatar for surendrasurendra

    bhai mere blog par AdSense ke ads sahi nahi aa rahe hai . sabhi ads ek jaise hai matlab dabhi ads application download karne ke liye aate hai inko block karne ka koi solution hai kya . mai aapko facebook par photo bhi bhej raha hu check karke bata dena

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Don’t worry, AdSense user ki activity ke hisab se ads show karta hai. jo ads aapko dikh rahe hai jaruri nahi hai ki dusro ko bhi wohi ads dikhneg. aap kisi or ke mobile ya computer me check karo. differance ads show honge.

  52. Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

    Jumedeen Khan ji mere google AdSense account me review ka notification kyu nahi show raha kya problem ho sakata hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ho sakta hai. Aapne galat processing ki ho.

      • Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

        Jumedeen Khan ji ham phir se kaise apply kar sakate hai. kya aap bata sakate hai kya mai confuse ho gaya ho please healp mi

  53. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiya jaise mere site ka name xyz.blogspot.com hai,kya hum isse ab abc.blogspot.com karna hai, hoga ya phir ye abc.com hoga, ( domain leke)

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Domain le kar abc.com karna hai.

  54. Avatar for VishalVishal

    Jumedeen bro Maine WordPress mai deal ki site maanayi hai Aur koi acha template btaye ki PC Aur mobile mai sahi se khule Aur ads vi dhiki.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap mythemeshop.com ka template try kar sakte ho. Sabhi fast loading hai.

  55. Avatar for Jai singhJai singh

    Adsense mei meri website ke ad pe Click ho gaya galti se mene usi time tab close kar diya account block to ni hoga na

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi nahi hoga. Glati se click ho gaya to koi bat nahi but aage se mat karna.

  56. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiya isme kuchh tool hai, ye error message deti hai,””Unable to connect to test serverSorry about that. Obviously something went wrong.””””
    iska kya matlab ye to nahi ki mai blogger ki free domain use kar raha hu,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye aapki server problem hai. Means internet connection problem hai.

  57. Avatar for SurendraSurendra

    bhai Adsense hinglish language support karta he na?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha karta hai. mera blog bhi hinglish me hi hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...