Website ki better search ranking (PageRank) ke liye website ki page speed 80 to 95 ke aaspas honi chahiye. Google ne behtar search result ke liye Algorithm me site ki page speed ko bhi shamil kiya hai. Iske alawa visitors ko bhi fast loading website pasand aati hai. Koi bhi reader der se khulene wali site par dubara visit karna pasand nahi karta hai. Isliye aapko apni site ki speed fast karne ke liye site ko optimize karna shuru kar dena chahiye. Jisse aapko jyada visitors bhi milenge or search engine se bhi behtar traffic milega.
Website or blog par traffic nahi hone ka sabse bada karan hota hai, Website ka fast loading na hona. Visitor bhi us site ko sabse jyada pasand karte hai jo fast loading ho. Kyuki wo chahate hai ki sab kuch fatafat ho jaye. Der se khulne wali site par reader chaha kar bhi nahi aa pate hai. Kyuki 60% visitors ke pas 2G internet connection hota hai. Or 2G connection me fast loading site bhi der se open hoti hai fir slow site to bahut der me open hogi. Isse visitors ko majburan aapki site chod kar dusri site par jana padta hai. Or aap bhi to fast open hone wali sites ko jyada pasand karte ho.
Internet par ayse bahut se online tools hai. Jo site ki speed badhane me humari madad karte hai. Ye online tool website ki der se open hone ki wajah ke bare me hume btati hai ki kis wajah se aapki site slowly khul rahi hai. CSS, HTML, Javascript jaisi kamiyo ke bare me in tools par puri details mil jati hai. Hum in kamiyo ko theek kar humari website ki speed fast kar sakte hai.
In online tools ki help se hum apni site ko optimaize kar speed up kar sakte hai. Jisse humare visitors site par jyada se jyada post padh sake or bina probelm ke kam time me enjoy kar sake. Ye sabhi online website aapko site ki alag alag performance show karte hai. Aapko apne hisab se site ko optimize karna hai.
Website or Blog Ki Page Speed Badhane Ki 10 Best Online Tools
Har blogger or website owner chahate hai ki unki site par adhik se adhik visitor aaye or high traffic ho. Mai un sabhi ko recommend karunga ki aap sabse pahle apni site ko fast loading banaye. Iske liye aapko apni site opimize karni hai jisme ye online tools aapki help karegi.
1. GTmetrix
GTmetrix sabhi online tools me se meri sabse favorite tool hai. Maine apni site ko isi tools ki help se speed up kiya hai. Iski sabse achi bat ye hai ki ye tool page speed ki 2no service ek google Pagespeed or dusri PageSpeed insights and Yahoo! Yslow ke bare me btati hai. Iske satrh hi is par aapko apni site ki speed badhane ki jankari bhi milegi. Jo itni simple or aasan hoti hai ki koi bhi ise follow kar sakta hai. Server reason ki wajah se site ki speed speed kam jyada show show ho sakti hai. But gtmetrix ek dam sahi result show karti hai. Or aap is par apni site ki dusri site se tulna bhi kar sakte hai. Iske liye aapko right side me compare par click kar dusri site ka link add karna hai.
2. PageSpeed Insights – Google Developers
PageSpeed Insights – Google Developers tools no.1 online speed checker tool hai. Kyuki google duniya ka no.1 search engine hai isliye sabhi blogger or website owner sabse jyada isi tool ko use karte hai. Ye tool bhi aapki gtmetrix ki tarah website ki speed badhane me help karti hai. Iski sabse achi bat ye hai ki ye aapko site ki speed mobile or desktop dono ki alag alag btati hai. Google page speed test tool ko aap apne browser me bhi install kar sakte hai.
Pingdom Tools website ki speed check karne ki world popular tool hai. Is par aap ye pata kar sakte hai ki aapki site kitni speed se khulti hai. Pingdom aapko page size, load time, requests or pref. grade ki jankari deti hai. Sath hi is tool par aap ye bhi pata kar sakte hai ki aapki site ki speed dhimi kyu hai or kis image, photos, script and other page element ke karan aapki site slow load ho rahi hai.
4. Web Page Analyzer
Web Page Analyzer ek simple straightforward tools hai. Jo aapko website download time btati hai. Or sie ki gunvata sudharne ki advice deti hai.
5. WebPagetest
Website performance and optimization test tool par aap location or browser ke anusar website ki speed check kar sakte ho. Jaise aapko chrome browser me apni site ki speed test karni hai to chrome select kare. Is tool par aap android mobile, IOS or vodafone 2G & 3G ki speed check kar sakte ho. Or chrome ke alawa firefox and other bahut se browser par aapki site kitne time me open hoti hai, Check kar sakte ho.
6. Load Impact
7. Dare Boost
8. OctaGate Site Timer
9. Site Speed Tools
10. Which Loads Faster
Which Loads Faster tools par aap do alag website ki speed check kar sakte ho or pata kar sakte ho kons isite kis se kitne persent fast loading hai.
- Blog Ke Liye Top 10 SEO Optimized & Mobile Friendly Templates [Free]
- Website Me Bounce Rate Kya Hai or Iska Kya Matlab Hota Hai
Website ki page speed high traffic pane ke liye bahut mayne rakhti hai. Kyuki visitors or search engine dono fast loading blog ko jyada like karte hai. So agar aapki site ki speed 80 se kam hai to aapko ye ignore nahi karna chahaiye. Agar aapko site ko optimize karna nahi aata hai to aap kisi website developer se bat kar sakte ho. Ya humse admin@supportmeindia par contact kar sakte ho.
Agar aapko ye article pasand aaye to ise socail networking sites par share jarur kare sath hi post ke bare me commnet kare or agar aapko website speed ke bare me mujhse koi sawal puchna hai to niche commnet me apna sawal details me post kare. Aapki help jarur ki jayegi.
Kishor
In dono me se Post title me kaunsa better hai seo ke liye.
1. Blog ki speed kaise badhaye : Blog ki speed badhane ke tools
2. Blog ki speed kaise badhaye | Blog ki speed badhane ke tools
Kya aisa post title dalne se seo me kuch fark pad sakta hai.
Jumedeen Khan
Dono title same hi hai.
Kishor
1. Bhai Mai : | in dono symbol ki bat kar raha hu.
2. Aise symbol use karne se post search me kuch fark to nahi padega naa.
3. Bhai aap Sawal ka jawab jald diya karo.
Jumedeen Khan
No problem.
vivek choudhary
Very nice commenting system kiya hai aapne. kisi se design karwaye hai ya khud hi kiye hai.
Nitesh Nayak
Website ki speed badhane ke uppar aachi jaankari di hai jumedeen khan ji. Isse new bloggers ko bahut jayada madad milegi…
vishal Rathour
bhai Maine apni website ka jabse naam change kiya hai tab se pagewiev 0 hi rahte hai badhate nahi hai post bhi dalte hai tab bhi nahi badhate hai please help
Jumedeen Khan
Blog ka name change karne se google ko aapke blog ko index karne me thoda time lagta hai thode din me traffic same ho jayega.
rajeev
1.ek din me kitna post karna accha hoga maine kuch din aphle website banayi hai.
2..mere site pe 300 se 500 visitor par day hai kya AdSense apply karna thik hoga
3.sumome se koi fayda hota hai
Jumedeen Khan
1. Jitni aap kar sako kar sakte ho.
2. agar aapki site par google search sedaily 300 pageviews hote hai to kar sakte ho.
3. Bahut sare fayde hai, Share button, subcribe, text share option and other.
Abdul Razzaq
bhai ye site hai ap se pehle bhi pocha tha AdSense ke lye mjhy kub apply karna chahye
Jumedeen Khan
Jab aapki site par daily 500 pageviews hone lag jaye.
sanjay
sir ji blogging me post likhane ke baad save nahi ho raha or nahi publish ho raha hai.. me blogging me naya hu.plz meri help kare or pakka one time solution batao. error aisa show ho raha hai..”An error message occurred while trying to save or publish your post. Please try again”.
Jumedeen Khan
Ye problem aapke internet connection ki wajah se ho raha hai. Browser ki history delete karke or internet connectioin check karke karo ho jayegi.
Murari kumar
sir pluging se site ka speed increase karne me koi problem to nahi hai nai
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai but aap ek bar check kar le ki apaka blog proper work kar raha hai ya nahi, iske liye aap kproxy.com par apni site ko open karke dekh sakte ho.
Vivek Choudhary
Jumedeen ji first to aap apne blog ki theme change kare. pehle wali hi theek thi ye bekar lag rahi hai.
aur search console me avg. position kaise increase kare.
Vivek Choudhary
mujhe thoda sukoon mila ki aapke blog ki theme sahi ho gayi. mere man me bure bure khyal aane lage the ki kahi aapka blog hack to nahi ho gaya ya kuch problem to nahi aa gayi aur aaj aapne koi post bhi nahi kiye.
Jumedeen Khan
Are nahi vivek tohda personal work me busy hu. Isiliye post nahi kar pa raha hu.
Jumedeen Khan
Thanks bro real me wo bekar theme thi. Apni post ki search position increase karo SEO friendly post likho or apni posts ko top par lane ki koshish karo.
deepesh
hello jume deen sir WordPress blog me profile picture kaise sett kare gravatar me to photo upload kr di hai
Jumedeen Khan
Aap gravatar par apni profile photo set karo ye post padho Gravatar Kya Hai or Gravatar Par Account Kaise Banate Hai
Haidar Khan
Jume Deen Bhai. Main SEO by Yoast Plugin ke according article likhta hu. Lakin Phir bhi mujhe google se traffic nahi mil pata hai. Main jab post likhta hu tab Yoast plugin me sabhi Green button ho jate hain. lakin phir bhi mujhe google traffic nahi mil raha hai main kya karu. mera blog ko 45 days ho gaye hain lakin 1-2 search traffic hai . Mujhe Apki help chahiye.
1. Kya main kuch galti kar raha hu Yoast plugin me.
2. Kya focus keyword Title aur slug me add karna jaruri hai.
3.Yoast plugin ke analysis section me sabhi button green hone jaruri hai.
4. Maine Bahut si aisi post read ki hain jinka slug kuch aur hota hai aur Title alag matlab same word ya keyword nhi hota hai. To kya wo post acchi ranking karti hain.
Please help me Aap meri posts check kijiye kya unme koi problem hai?
Help me plase.
Thanks
Jumedeen Khan
1. Aap wohi post likh rahe ho jo pahle se bahut sare blog par hai or sab log unke bare me jante hai kuch naya bhi likha karo.
2. ha add karo to achi bat hai.
3. Nahi koi jaruri nahi hai.
4. aapki posts me koi kami nahi bas bas aap kuch post aysi bhi likhi jo dusre blog par nahi ho.
Nilesh verma
WordPress blog ki speed badhane ka koi tips de..??
Jumedeen Khan
Iske bare me aap mozedia.com par post padho.
Ravi kumar
bhaiya Jub Blog pe koi new post likhna chaahta hu,ya draft me save bhi karna ho to Capchta Code yani image select karke verification karne bolta hai.. isse hame bar-bar paresani hoti, bahut jagah settings me dekhi , nahi mila aap bataye isse band kaise kare
Jumedeen Khan
Aap blogger setting me ja kar Show word verification option ke samne no select karo.
Sahil
My question is tell me about ur template apki template me sidebar h to kitni h …i want to know simply apki template ki body structure kaisi hai plz tell me in details
Jumedeen Khan
Sahil mai ek blogger hu designer nahi, mai aapki blogging me help kar sakta hu designing me nahi.
rohaan
hy jummedin bro mere search console me site ka 311 url 404 not found bata raha , aise url jo mere blog me hai bhi nahi , ab mai kya karu ishe kaise fix kare bataiye plz
Jumedeen Khan
Dont’worry inhe fix kar do.
vakil
power supply me problem hai 1300 ru. kharch aa raha hai khair janedijiye . hum jaiso ke duvase ek din top bloggers. me se ek rahoge aj 40 hajar rank hai future me 90 se bhi jada rank ayega.
Jumedeen Khan
Vakil 1300 rupees jyada nahi hote use theek karwa lo himmat mat haro. Jab aap log aage badhte ho to hi mujhe lagta hai ki mai blogging me kamyab ho raha hu ya nahi.
Umesh Chavan
Hello, Bro
Mera question ab seo aur AdSense ke liye hai agar mai ek post likhata hu. Par mujhe kya karana us post ko daily title aur post me ke kuch content change karane hai.
e.g. mujhe ek post likhani hai, promo codes ke bare me mujhe daily post titile aur aur content sirf change karane hai.
Kya yesa karane se SEO, Aur AdSense par koi asar hoga kya
Jumedeen Khan
Adsense par koi fark nahi padega but aapka search engine se traffic kam ho jayega kyuki aapke bar bar title change karne se post indexing me problem hogi.
Gaurav
sir me all in one seo plugin use kar rha hu mere wp dashboard me post ke aage SEO Title, SEO Description, SEO Keywords ye 3 option show hote hain… SEO Keywords me kya daalna hai. pls bataye?
for example mere post ka naam “free main website kese banaye” hai to mujhe SEO Keywords me daalna hoga?
Jumedeen Khan
aapki post ko jo main keyword ho yani target keyword dalna hai.
Shibam Kar
Bhai yeh post bahut acchi lagi…me WP par hi hu aur blogger se transfer hua hu….problem yeh hai ki meri old posts me paragraf space nahi ho pa raha hai…edit me jakar space bhi diya lekin preview me show nahi ho raha hai…is vajah se me apne Adsense ka ads post ke beech me nahi laga pa raha hu…kyoki lagata hu to show nahihota hai….mujhe kya karna chaiye….help me
Jumedeen Khan
aap html section me ad link add karo jarur show hoga. Space jarur hoga aap ek bar browser me log out karke fir se log in karke try karo.
nikunj
Jumedin bro mujhe 2 sabal ka jwab de;:-
1) Aap apni blog ke posts me konxi font size use karte ho ??
2) WordPress me agar hum yaost plugin ke rules follow kare or sabhi dots green karle or seo score – good show hua to kya hmari WO post fit nd well seo optimized khlayegi ??
Jumedeen Khan
1. Georgia 15px
2. yes bilkul hogi yoast world number one SEO plugin hai. Jise aaj tak kisi ne galat nahi btaya hai.