Google AdSense blog se paise kamane ka sabse bada source hai. Isme koi doubt nahi hai ki blogger and other user advertisement sevices me se AdSense ko sabse jyada pasand karte hai. Google AdSense ek page par 3 text and display ads, 3 link ads or 2 search boxes allow karta hai. But in sabhi ads ko use karne se blog ki template / theme slower wor karti hai or blog loading time down ho jata hai. In this post, mai aapko aysi trick bta raha hu jisse aap blog me all ad unit use kar sakoge or blog fast oepn bhi hoga.
Actually, AdSense se earning karne ke liye hum jo apne blog par text and image banner ad add karte hai wo javascript me hote hai. Is wajah se blog slow open hota hai. Isse hume kei nukshan hote hai. Jaise:-
- Site slow loading hone par reader site par visit karna kam kar dete hai.
- 90% People first loading site like karte hai. Ayse me agar aapki site slowly open hogi to new visitor aapki site par aane se pahle hi ignore kar denge.
- Sabse badi problem sabhi ad unit ( 3 text and display ads, 3 links ad unit or 2 search box) use karne se ad fast show nahi hote hai or aapko kam ad click milte hai. Results, aapki kam earning hoti hai.
I mean all ad unit use karne se aapki site par ad unit karne se sabhi ads show hone me time lete hai. Is reason se aapko bahut kam ad click milenge or 2g internet connection se to bahut hi kam. Suppose, agar aapki site par sabhi ads fast load honge to aapko jyada clickc milenge or aapki AdSense earning increase hogi.
- Google Adsense Se 1 Click Par $10 To $50 Kaise Kamaye
- Top 20 High Paying Keywords in Google Adsense Adwords Advertising
Adsense Ads Ka Loading Time Increase Kaise Kare 100% Working Tips
Sabse pahle mai aapse kahna chahunga ki agar aap google AdSense se income karna chahate ho to apne blog me se extra sidebar widget ko remove kar de or only jaruri widgets hi use kare. Jitna ho sake apne blog ka design simple rakhe or images ka pryog kam se kam kare.
Now, jab aap single page par 3 banner ads lagate ho to us page ko open karne par jaise hi wo ads load hote hai to unke sath 3 javascript bhi load hoti hai. That means, agar aap 1 page par all ad unit use karoge to total 8 javascript load hongi. Jitni jyada script hogi site par utni hi jyada requestes hogi or natijan aapka blog multiple ad unit ke sath slowly open hoga.
Ads unit ko fast loading banane ke liye google ne Asynchronous script di huyi hai jo ads ko fast loading banane me help karti hai. Isse sabhi ad ek sath show hote hai. Iske bare me maine Asynchronous Vs Synchronous Adsense Ads Me Kya Difference Hai post me btaya hai.
In this tutorial, Aaj mai aapko aysi tips bta raha hu jisse aapke AdSense ads 80% faster speed se laod honge or pahle se aapki site par ads 90% teji se show honge.
Generally, AdSense ads par ads unit create karne par hume is tarah ka code milta hai. Examples:- yaha aap 300px by 250px ad unit code ka sample dekh sakte ho.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
<!-- ads unit -->
<ins class="adsbygoogle"
style="display:inline-block;width:300px;height:250px"
data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxx"
data-ad-slot="xxxxxxxxxx"></ins>
<script>
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
</script>
Ye asynchronouns JS file type ka ad hota hai. Jo sabhi ads ko ek sath oepn karta hai. Upar aap code me blue color me jo javascript ko dekh rahe ho wo aapko har ad unit me milegi. Jo ki sabhi ads me same work karti hai.
Interesting fact, Suppose aap apne blog par all ad unit use kar rahe ho or agar aap sabhi ads me add asynchronous JS file script ko sabhi ads ki jaagh ek jagah ad karo to aapki site par only one script laod hogi to aapki site fast open hogi.
Ab aapko ek asynchronous JS file aapke blog ke <head> ke niche (after) add karni hai. Iske liye aap step follow kare.
Step 1:
First copy this javascript code.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
Step 2:
- Blogger: Go to blogger dashboard >> Template >> Edit HTML and search <head> or paste above code after head section.
- WordPres: Go to WordPress dashboard >> appearance >> editer >> click header.php file and paste this code after <head>.
Now, Ab aapke blog ko open kar ke dekhiye. I sure adsens ads pahle se fast show honge or aapki site bhi jaldi oen ho rahi hogi.
Warning: Google AdSense don’t allow editing with ad unit. So use this trick own risk only.
Ye ek acha tarika hai AdSense se jyada earning karne ka or apni site par ads use karte huyi site ko fast loading banane ka, Isiliye miane ye aapke sath share ki i hope aapko isse help milegi.
- Google Adsense Ads Ko Optimize Karne Ki Top 15 Effective Tips
- Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tips
Agar aapko ye trick pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Neyaz Ansari
He!Lo bhai sahab mere site pe page complete open hone ke baad 3-4 second deri se add load ho rha hai, mera site https hai . Please bro help me
Jumedeen Khan
Dear without content ad kaise display hoga. Minimum 300 words to likho.
Aryan
Sir Mere Adsense account me problems ho gai. bar bar ek hi msg show kar raha hai.
jabki kisi bhi unverified site par ad nahi lagaya maine. plz help me kya karu mai.
Yeh msg show ho raha hai.
In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites you don’t own. To avoid lost revenue, make sure to add these sites to your verified sites list in Site Management.
Muze kya karna hai plz help me.
Jumedeen Khan
Iska solution yaha hai Kisi Site Me Aapke Adsense Ad Show Hone Par Kya Kare
Purushottam Thakur
Bahut badhiya bhai, lekin kya isse account ban ka bhi koi khatra hai?
Jumedeen Khan
Yes its danger, AdSense ad code edit karna allow nahi karta.
Man Vereen
Bhaut se theme me advertising option ka features diya hota hai.isse ye fayada hota hai ki apko ads lagan eke liye plugin ki jarurat nahi hoti.aur theme ke advertising option se aap AdSense ads ko acche se laga sakte hain. Bhaut se website slow load hoti hain.jisse visitors pasand nahi karte kyu ki slow loading s eextra time spent hota hai.Aur present time me log adhik time lagne se bor ho jate hain.Aur ye depend karta hai apke hosting server pe.iss liye acche hosting ka use Karen.kyu ki agar fast server hoga to page loading aur ads loading dono fast hogi.
Rusheek
क्या हम यह ट्रीक्स BidVertiser मैं यूज कर सकते हैं ओर कैसे
shashank
Bhai me ye janna chahta hu ki google AdSense ke ad jab ham apni site me lagate h or jab koi
site par visit karta hai to CPM ke acording paisa milta hai, Lekin kya vahi user kisi dusre din dobara hamari website me visit karta hai to bhi kya paise milte hai ya nahi.
Jumedeen Khan
Jab AdSense ads par koi click karega to hi aapki earning hogi. Agar wo dubara blog par aa kar ads par click karega to income hogi. Sirf site par visit karne se koi earning nahi hoti hai.
shashank
To fir CPM (cost per impreson) kya hota hai ? jaha tak mai janta hu CPM me 1000 visitor par 1 $ milta h.
Jumedeen Khan
Aap ye AdSense CPM policy padh lo http://support.google.com/AdSense/answer/18196?hl=en
sudhanshu srivastava
There is no earning from CPM, Adsense pay only for clicks. so don’t be confused.
prashant rathore
WordPress blog ki first post k niche AdSense kaise lagaye plz reply me sir
Jumedeen Khan
Mai iske bare me post karunga aap wo follow kar lena.
vakil
hello jumedeen bhai thodi tabyat tik nahi hai khair kya mere site me ads show ho rahe hai mere pass cm nahi hai please bataiye jumedeen bhai
Jumedeen Khan
Nahi aapke blog par ads show nahi ho rahe.
Debasish panda
sir,me e theme use karna chata hu kahana se upload karunga botaie plz
Jumedeen Khan
Aap mythemeshop se download kar sakte ho. Aap WordPress dashboard >> apearance >> theme >> upload new theme par click karke upload kar sakte ho.
arif ali
Assalam alaikum sir
Please mujhe koi acha video editing siftware btaie pc k liye
Jumedeen Khan
Camtasia studio
Aryan
Bro ek bat btaiye Agar koi kisi ki side ke AdSense ads par 20 ya isse jyada click karta hai to uska AdSense ban ho ho sakta hai lakin isko rokne ka koi tarika ni hai jisse ye fake click ko rok sake
Aur ye blogger par rok sakte hai ya ni
Aur bhai page CTR kya hota hai ye kam hona acha rehta ya jyada
Jumedeen Khan
Abhi tak invalid click ka koi fix solution nahi hai. Ha kuch tarike hai jinke bare me maine stop invalid click on your blog post me btaya hai.
CTR ka matlab hota hai “click through rate” CTR means page views number se divided ad click ke number hai yani aapko kitne page views par kitne click mile hai. Ise aap is tarah samajh sakte ho.
Page CTR = Clicks / Page views
Debasish panda
sir,ap konsa theme use karte ho free ya paid
Jumedeen Khan
Mai free theme use karta hu.
sudhanshu srivastava
Bro, as per my knowledge you are using child theme of “Genesis” and Genesis is a premium theme, using child theme of genesis is free?
Jumedeen Khan
Yes, you are right
chenaksh dhomane
bahuti achhi informaion share kiya apne..
mera ek sawal hai maine apne blog pe
Adsense approval hone ke bad domain name lgaya hai
par domain name lgane ke bad mere
blog pe add show nahi ho rahi hai …aisa kyu
pls help me…aur maine AdSense par bhi domai submit kiya tha
2 se 3 din ke bad bhi add show nahi horhi hai
Jumedeen Khan
aapke blog me domain add karne ke bad AdSense us domain ka review karta hai. Iske kuch time bad ad show hone lag jate hai. Aap bas domain ko AdSense site management me add kar dena.
Harpreet Kumar
Usefull tips bro. Lakin google AdSense ke ads codes se editing karne se koi problem bhi a sakti hai bhai. Yaha tak me kahuga AdSense codes ko editing na kare toh hi acha hai.
yash
Bhai apne blog me about us, privacy policy sitemap,disclaimer, about kese add kre footer m?
2. Or footer ko black kese kre?
Jumedeen Khan
Mai jo ribbon theme use kar raha hu usme color or footer dono ka option hai. aap ribbon option par click karo footer ka option mil jayega.
sahil
Hi…maina apna Blog bana Liya hai aur Blogging karna Start Kardiya Hun…kya ap DEKH kar Bata Sakte hai… Aur Kya Karna Hai…is Blog main…
Aur Ek Sawal hai? Main Affiliate programs use Karna Chahta hun… Apne Blog main kya kar Sakta Hun….jab Tak Adsense apply nhi karta…
Jumedeen Khan
Post likhna sikho or blog ki template ko theek karo ya fir koi or achi template use karo. ha kar sakte ho but pahle blog par traffic to badha lo.
sahil
Jume bhai…Footer main sitemap Kaise Add karte hai..main WordPress main Footer Ka Colour change karna Chahta hun kaise Karun!??
Jumedeen Khan
Aap blog ke style.css folder me footer ka background color change kar sakte ho. kaise karoge iske bare me btana mushkil hai kyuki har ek theme ke coding words alag alag hote hai.
Harpreet Kumar
Aap apne blog ke menu me sitemap, privacy policy, about us, disclaimer jaise importimportant pages ko add kare.
Sanju Dangar
Bahut archi jankari hai, kyu ki ye sabko problem hoti hai, site ki speed archi hoti hai par ads ki vajah se bahut slow open hoti hai or meri bhi problem vahi he, sir ak baat pusna chahta hu ki iski vajah se AdSense account desable to nahi hoga na?
Or sir me ads scenter me rakhne ke liye code use kara sakata hu?
Or sir ye code body me add karne ke baad jam jab post me AdSense ke code add kare tab body me add kiya vo post me ad karne ki jarurat to nahi hogi na ?
Jumedeen Khan
Adsense ads ko editing karna allow nahi karta isiliye aap ye trick apne risk par use kare.
nilesh verma
Jume deen bhai,google ajkal desktop or mobile dono me search results par hindi blog ko aage la raha hai and hinglish blog ko niche show karta hai….mujhe long term blogging karna hai…so language kaun sa better rahega…hindi or hinglish….???
Hinglish me high TRffic lane ke liye kou tips de…??
Jumedeen Khan
hinglish koi bhasha nahi hai or hindi official language hai. Aap faisla kar lo kounsi aapke liye behtar hai.
md qureshi
very nice article bhai,
bhai me apse ek help chahta hun kya aap mera blog dekhkar batayenge ki mere ads ki placing sahi hai ya nahi.
Jumedeen Khan
Aapne ads sahi se lagaye hai koi problem nahi hai.
md ali
thanks bhai for ur help
but mere ads mobile me pure display nahin hote hain opera mini me display se bahar ho jaate hain
Jumedeen Khan
Aap responsive size ya 300×250 size ke ads use kiya karo.
karan jethwa
Jumedeen bhai meri site par daily 7500+ ke pageview se hote hai lekin me fir bhi ache paise nahi kama pa raha hu.Me daily 2-3 $ hi kama raha hu.Or meri cpc bhi low ho gai hai.Aap ke baar site par visit kar ke bataye ki kya problem hai mai earning kyu nahi kar pa raha.Pls help bhai
Jumedeen Khan
Iskam main reason hai aap ek page par 3 se jyada text/display ads use kar rahe ho. Aap sabse pahle se is problem ko solve karo sirf 3 banner ads hi use karo.
Optimizing:- Aap 336×280 ads ki jagah 300×250 size ka ads use karo or responsive links ads ki jagah 200×90 size ka link add use karo. I hope aapki earning increase hogi.
maharshi
bhai mene apne ek blog me go daddy se domain liya tha aur use add kiya tha……ab mene dusra blog banaya hai aur me wo domain pehle blog se delete kar ke apne dusre blog me add karna chahata hu to kya aesa ho sakta hai ??
aur haa to kese ??
Jumedeen Khan
Aap new blog ka cname recod godaddy account me domain setrting me add karo.
Anil Ganvit
Very nice article
But sir Ye Search boxes ads kis type ka hai jo aapne bataya hai.
Jumedeen Khan
Ye post padho Google Custom Search Engine Blog Me Kaise Add Kare
Sandeep Jinagal
bhai mein bhut baar Envato [themeforest] se theme or plugin kharidta hu, client ke liye. or meine aksar dekha hai, or mein karib 60+ theme or plugin ko janta hu jo themeforest par editable demo provide karte hai. matlab agar aap kisi theme ya plugin ko test karna chahte ho toh aap uss blog ko puri trah edit karke check kare dekh sakte ho. [ Including post + layout] or vo apna blog sirf 4 se 5 mahino mein resest karte hai.
or unn demos ko hjaro log visit karte hai
toh mera question ye hai
ki agar mein uss site par apni site ke direct link dalu, or post se anchor link bna du. har ek demo site par. toh kya muje kuch fayda milega.
kya muje karna chaiye. mein aapse suggestion chahte hu.
please apna view muje de.
Jumedeen Khan
Jaisa aap kah rahe ho agar aysa ho sakta hai to bilkul aapko fayda hoga. Aapko unse traffic milega.
Umesh Chavan
Page level ads error : Attribute name “async” associated with an element type “script” must be followed by the ‘ = ‘ character.
blogger me to kya kare.
Jumedeen Khan
Aap page level ad code ko head ke niche add nahi kar paoge. Iska ek solution hai aap apne blog ki koi bhi widget me me ye code add karo work karegi.
Umesh Chavan
par yesa karana tik hoga kya kyon ki AdSense forum me me bataya gaya hai.
Jumedeen Khan
Umesh ji post me already iske bare me warning message add kar chuka hu uske bad aapka ye sawal puchna ajeeb lag raha hai.
Umesh Chavan
maine upar ke post ke bare me ye comment nahi ki thi meri 1 comment ko hi reply diya tha. Maine question pucha tha ki page level ads lagate samay error aa raha hai aapne jawab diya widget me code add karo to maine uska reply diya tha ki google forum me to yesa bataya hai ko code ko head me lagana hai to kya html widget me add karana tik hoga kya?
Jumedeen Khan
Blogger me bahut si template me head ke niche page level code add karne par error aata hai. Isiliye aap blog ki kisi bhi widget me ye code add kar do to bhi page level ad work karega.
shital kumar
sir, kal rat me maine apne blog keliye bigrock se doain kharid kar blog me laga liya, lekin ab mai ye janna chahta hun ki blog me domain lagnae ke bad blog me koi aur setting bhi karna padta hai.
Jumedeen Khan
Nahi ab kuch nahi karna hai.
Swapnil
Jo hamne within post me internal link paste ki hoti he like Read more me. to usme change karne ki jarurat nahi hoti kya?? from blogspot.com to new domain me
Jumedeen Khan
Aap domain change karoge to internal links bhi change karne honge.