Aaj 1 may 2016 hai. Yani aaj supportmeindia ka har ek visitor blog ki monthly april ki traffic and income report ka wait kar raha hoga. Maine apni pichli post me aapko kuch awishwashniye bate btayi thi. Aaj fir mai aapko chokne wala hu. Shayad aapko iska beshabri se intjar hoga. Wese bhi supportmeindia blog ki earning report ke bare me SMI ka har ek reader janna chahata hai.
Agar aap is blog ki pahli bar meri earning report dekh rahe ho to aap ye bat jarur sochoge ki mai apni traffic and income report kyu share karta hu. Actually, mai starting se hi supportmeindia ke monthly traffic and earning source ke bare me visitors ko btata aaya hu. Iske main 2 reason hai.
- SMI blog ki earning report ka is blog ke reader ko besabri se intjar rahta hai or isse un sabhi ko motivation idea milta hai. Mujhe is bahane apne blog ki last month ki activity ke bare me information mil jati hai or mujhe next mahine me kya karna hai ke ideas bhi mil jate hai. Kyuki is report se mujhe apne last month ke work or usme huyi galtiyo ki ke bare me bhi pata chalta hai.
- Sabse bada reason other blogger ke liye SMI blog ki income report most important hoti hai or unhe blogging karne ki new power milti hai. Sirf blogger hi nahi jo log online business ko apna career banana chahate hai un sab ke liye ye jankari inspiring ka kaam karti hai. Isse unke man me bhi good earning karne ki himmat paida hoti hai.
Main un sabhi logo ki blogging se achhi earning karne me help karna chahata hu jo blogging se earning karne me failed ho rahe hai. Mostly hindi blogger jinke hard work ke bavjud unki mehanat ka fal nahi mil pata hai. Aayiye ab jante hai ki maine april 2016 me blogging se kitni earning ki hai.
$1155: SMI Blog Monthly Traffic and Earning Report April 2016
Blogging sirf money earn karne ka way nahi hai. Blogging ek aesa way hai jo kuch aapse aata hai usme logo ki help karna logo ko wo sikhana jo wo sikhna chahate hai wo nahi jo wo pahle se jante hai.
Or jo blogger in lines ko follow karke blogging karega. I promise wo 101% success hoga. Agar aap blogging e pahle earning ke bare me soch rahe ho to samajho aap sabse badi galti kar rahe ho. So plz blogging me successs hona hai to paiso ko bhool kar apni site ko promote karne par dhyand de.
Supoortmeindia Traffic Report April 2016:
April 2016 me supportmeindia blog par 380k se jyada pageviews huye hai. Iske sath 10k sessions and total users 122,200+ hai. Yaha aap iska screenshot dekh sakte ho.
I love my blog readers kyuki mere bina work ke bhi supportmeindia ki traffic me jyada effect nahi pada or jo effect pada hai. I will try, Mai use fir se normal karne ki koshish karunga or next month aapko isse behtar rsult dekhne ko milega.
SMI Blog Monthly Earning Report April 2016:
Pichle month ko dekhe to april first me AdSense CPC low ho gayi thi jiski wajah se supportmeindia ki earning par bad effect pada hai. But fir bhi pichle mahine ki tarah achhi income huyi hai.
- Google Adsense Earning: $882.05
- Affiliate Markirting: $178.16
- Semrush: $42.84
- Other work: $52
Total Income: $1155 (76,000 INR)
EXPENSES:
Internet connection, web hosting, mobile internet pack and some other work charge: 15,000 INR.
Now Total Income: 66,000 Indian Rupees
Finally, Ab aapki bari hai. Aapne april 2016 me kitni earning ki hai or aapke blog ne april month me kitna traffic receive kiya hai. Aapki tarah mai bhi aapke b;pg le bare me janna chahata hu. Kyuki mai akela nahi aa pabhi ko apne sath le kar chalna chahata hu. So mere kisi bhi friends ko problem nahi honi chahiye. Agar aapko koi issue hai to aap mujhse comments me puch sakte hai.
- StudioPress Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye; Sell Theme
- Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites
Is month ki report same march 2016 ki jaisi rahi. But next month mai chahata hu ki aap logo ko kuch behtar kar ke dikhau. Jo sirf aapki help se hi possible ho sakta hai.
Agar aapko really me mer iearning report motivate karti hai to ise other blogger ke sath share karke aap meri help kar sakte ho.
vakil shaikh
hello jumedeen bhai kya hum blogspot.com per AdSense ke liye apply kar sakte hai ya fir aage chalkar koi problems ayegi mai domain nahi le sakta muje kisi ke help ki jarurat hai.please bata dijiye bhai.*
Jumedeen Khan
Kar sakte hai koi problem nahi hai. Suvaas aap domain kyu nahi le sakte. Aakhir problem kya hai. mujhe contact form me problem bta sakte ho.
sunil bhargav
sir, mere AdSense account me maine jo ad unit banayi thi wo shayad delete ho gayi hai, and maine us ad unit ka code pichhli sabhi post me laga diya tha. ab maine nayi add unit banayi hai uska code kya mujhe un sabhi pichhli post me lagana hoga un post ko edit karke and us pahle waale code ko kya remove karna hoga.
Jumedeen Khan
Pahle wale code ko remove kar do or sirf blog ke sidebar, header or ek do popular post me ad code add karo. jab AdSense active ho jaye or ads show hone lag jaye to baki me bhi laga lena.
Ankit Jha
Bhai aapko yaad ho toh maine aapko kaha tha ki AdSense page level ads blogspot pe work nahi karta but aapne bola tha ki main jaldbaji mein aisa bol raha hu anyway bro mere paas iska ek solution hai jisme code ko modify bhi nahi karna padta jisse AdSense account secure rehta hai aur page level ads kaam bhi karta hai aap chahe toh mera blog bhi check kar sakte ho. So bro main yeh trick aapke blog pe guest ke jariye batana chahta hu aapki agar permission ho toh main guest post ready karu ? Ha maine yeh trick apne blog pe bhi post nahi ki isliye mujhe lagta hai ki main guest post ke liye eligible hu !
Jumedeen Khan
Why, Is post ki to mujhe bahut jarurat hai. Aap jitni jaldi ho sake guest post kar sakte ho. Usse pahle mujhe kal call kar lena. mere number na ho to facebook par puch lena.
Ankit Jha
Ji bro main aapko facebook pe contact karta hu
Amit
Hello sir hme janna hai ki aap select your topic..comment,Recommned oost for u k liye kaun plugin use krte hai.plz sir help me
Jumedeen Khan
Ye option pahle se meri theme me hai. Mai iske liye koi plugin use nahi karta hu.
Sahil kumar
Fantastic Bhai, is se hum jaise bloggers ko prerna milti hai.
Ravi Kumar sahu
Bahiay mai aapko kuchh apne blog ka trafic report de raha hu, mujhe isme bahut confusion hai, aap usse dur kare, mai apni confusion trafic link ke niche likh raha hu, mujhe maf kijiyega yaha pe blog ka link bhi share ho rahi hai,
Entry Pageviews
1…www.google.co.in(5662)
2….lm.facebook.com(1303)
3….googleweblight.com(435)
4….anytechinfo.com(409)
5….https://www.supportmeindia.com(238)
6…m.facebook.com(222)
7….techworldinhindi.blogspot.in(226)
8…www.google.com(156)
9…google.com.pk(98)
Q1…Aap upar 3 number dekhe Googlewelight ye kya hai, ye jo trafic mil rahi hai hame kaha se mil rahi, maine isse Google me bahut dhundhi but kuchh bhi nahi mila, maine isse pahele kisi ke blog me isse nahi dekha hai,
Q2….ab aap 1 number dekhe, ‘ yani jo hame trafic Google se mil rahi hai, wo India se mil rahi jubki 1 number pe hai yani mujhe Google se jayda traffic mil rahi hai, aur aap 09 bhi dekhe yani Pakistan se, ye mere liye khusi ki bat hai ya dukh ki,
Q3…ab aap 2 aur 6 ko dekhe im.fb aur m.fb ye kya hai, fb se trafic but im&m ka matlab
Q4…ab aap 08 dekhe iska matlab kiya hai, yaha sirf Google hai koi country show nahi hai,
Mujhe pata hai ye bachho wali sawal hai but mere liye badi sawal.
Jumedeen Khan
1. googleweblight google ki ek aysi servise hai. jo slow internet connection me bhi fast work karti hai. Jab hum kisi phone me site ko googe search apps me search karke open karte hai to wo googleweblight me open ho jati hai.
2. Dukh ki kyu khushi ki bat hai.
3. aap facebook par do type se post share karte ho. ek blog post me lage share button se dusra direct link se. Jab ko facebook par post par click karke aapki site par aata hai to m.facebook.com or jab koi facebook par post link par click karke aata hai to im.facebook referral link banta hai.
4. simle hai ye google ka main domain hai. dikh raha hai ki aapko main domain se kitna traffic mila hai.
manish
Sir ek sawal hai agar me apne post me dusre post ka link dalta hu jaise ki mai bahut sare post ke link alag alag jagah apne post me dalta hu to muje jada traffic milegi jaise aap karte hai ya tab jada milegi jab mai sare post ke link apne post me ek hi jagah par dalu.
Jumedeen Khan
Post me sirf post se related topic wali post ka link hi add karo. Or jaha jarurat ho waha hi ad karo. jo post se related na ho us post ka link add mat karo. Secong 5-10 link se jyada add mat kiya karo. user ko boring hoti hai.
Ravi Kumar sahu
thanks jummedin bhaiya ji, Aapka income dekh ke mai bhi khus hua hu, but bhaiya aap hame galat na samjhe please blogger ki duniya aap hi mere ideal hai, Mai aapke nakse kadam pe chalta hu, aap jaise kehte ho mai waisa hi karta, so please mujhe aap ignore na kare, maine aapko fb pe aapke comments me reply me details me kuchh likha hu, uska anser ya aap yaha de ya wahi, but de jarur
Jumedeen Khan
Ravi mai an hi aapko ignore kar raha hu or nahi aapse naraz. aap meri brother ki tarah ho or mai chahata hu ki aap mujhse bhi aage jao. Bas aaj se aap hacking ke word ko bilkul bhool jao. Or iske bare me post mat likho. Or bahut sare topic hai. Sabse badiya tarika hai user ki pasand ko pahchan kar post likho. Jaise mai aapki pasand ki post likhta hu.
Kabir
Jume deen Sir, Ek baat aur aapse puchani hain aapne jo Semrush se Income show ki hain, Yeh Semrush kya hain, Aur isse earning kaise ki jati hain? Is question ka reply jaroor dijiyega. Ho sake toh iske baare mein koi nayi post jaroor likhiyega. Semrush se kaise earn kare, iski jankari chahiye. Thanks.
Jumedeen Khan
Kabir semrush keywords research karne ki tool hai. Jo paid service deti hai. Agar aap iska banner apni site par lagate ho or koi visitor aapki site par se semrush par ja kar sign up karta hai or semrush ka koi plan buy karta hai to aapki earning hoti hai.
Kabir
Aapki Income Report toh sabhi log janna chahte, bahut kam ya kahoon toh 10000 mein se koi 1 hi hota hain jo apni AdSense income ko duniya ke saamne show kare. Bhai humse se jitne bhi blogger hain, unme itna hosla aur will power nahi hain ki apni income report duniya ke saamne show kar sake. Yahi sacchai hain. Lekin aapki Income Report jab har mahine Update hoti hain toh yakin maniye India ke har blogger ke ander ek naya josh jaroor bhar deti hain. Kyonki sabhi log aapke nakshe kadam par chalna chahte hain. Yakeen maniye aapki safalta har blogger ke liye aim ban gyi hain. Aap Aaj India ke jyadatar blogger ke Role Model hain. You R Great Jume Deen Sir. Aap Sabhi logo mein Aise hi Josh aur Gyaan ko badhate rahe, thanks.
Jumedeen Khan
Thanks kabir ki aap mere bare me itne badiya soch rakhte hai.
Mahaveer Jain
Great work again sir,, mujhe khushi hai ki apki earning badh rhi hai umeed karunga ki ye earning ese hi badhti rahe aur app Hindi blogging ko success tak pahucheye
aur ha sir mene top 10 hindi blogger ke baare me likha hai to usme mene apka jikar kiya hai .. please ek najar jarur daliye
Jumedeen Khan
Why note. Mai jarur check karunga. Thanks for mentioned me.
Pradip Mandal
oh.. very nice.
na jane mera blog kab AdSense ke Kabul hoga
Rajesh Sharma(INDIA ME HELP)
Bhut hi achha
dua karta hu aapko aage isse,bhi kai guna
Trafice mile.
Bro mere AdSense acount main earning or Page RPM bhi bta rha h.
par Current balance 0$ kyo bta rha
or click bhi mile h.
kya koi visitor ads. par click krta h to
jo offer us ads. diya vo use karna honga
tbhi click mana jayega kya.
exa-jaise ads. main Vodafone App ka ads. aa rha h to visitor app download karega tbhi click mana jayega kya.
ya app download na kre to bhi.
Help me Bro.
Jumedeen Khan
Nahi apps download karne ki jarurat nahi hai. Adsense tabhi paise deta hai. Jab koi user ads par click kar usme interest le. Agar koi aapki site par ads par click karke us site ko open hone se pahle hi band kar de to aapki earning nahi hogi.
Manish
Thanks sir mera link add karne ke liye.Thank you.
Jumedeen Khan
Manish,
Aap mere liye itna kuch kar sakte ho to kya mai aapke liye itna bhi nahi kar sakta kya. Welcome and thanks for mention my blog.
Atul
Wow very motivation to see your earning ever. Greate , i wish from GOD in future your earning go high high and high. Fantastic
Sid
Bhai AdSense ad code se “async” remove karne par koi problem hoga kya, unhone to bola hai ki hum code ko edit nehi kar sakte
Jumedeen Khan
Sid problem to ho sakti hai. Aap ek kaam kar othoda wait karo. Mai jald hi iska solution pata kar iske bare me post karunga.
Jay
Mujhe aapk ye post ka intajaar humesha rahata hai. Mai every month isse padata hu oar motivate hota hu.
Aapse Ek request hai aap whatsapp share button blogger blog me kaise lagaye iss par please ek post kare? I’m waiting. Thanks!
Jumedeen Khan
Ok jay aapke liye bhi post likhunga.
Parvez khatri
Ham jab bhy aapki income or traffic report padhte he to ham sabhy blogger bahut khus hote he or ham puri tarikese motivate ho jate he thanks information share karne ke liye. Or ham dua kare ge ki aap aane wala mahine Me aap inse bhy 10 guna traffic reserved kar shako.
maharshi
apni post ko ek click se sabhi fb group me share kese kare ?????
how to share fb group one click aesa likhke hum jab google me search karte hai to bahot se article niklate hai par woh sab english me hote hai muze achche se samaj nahi aata plzzzz aap hindi me step by step bataoge
Jumedeen Khan
Ok mai iske bare me post likh dunga.
imran sury
very nice article aap ki iss post se bahot sare bloggers inspire honge.. bahot hi accha kaam kar rahe he aap.