Aaj 1 may 2016 hai. Yani aaj supportmeindia ka har ek visitor blog ki monthly april ki traffic and income report ka wait kar raha hoga. Maine apni pichli post me aapko kuch awishwashniye bate btayi thi. Aaj fir mai aapko chokne wala hu. Shayad aapko iska beshabri se intjar hoga. Wese bhi supportmeindia blog ki earning report ke bare me SMI ka har ek reader janna chahata hai.
Agar aap is blog ki pahli bar meri earning report dekh rahe ho to aap ye bat jarur sochoge ki mai apni traffic and income report kyu share karta hu. Actually, mai starting se hi supportmeindia ke monthly traffic and earning source ke bare me visitors ko btata aaya hu. Iske main 2 reason hai.
- SMI blog ki earning report ka is blog ke reader ko besabri se intjar rahta hai or isse un sabhi ko motivation idea milta hai. Mujhe is bahane apne blog ki last month ki activity ke bare me information mil jati hai or mujhe next mahine me kya karna hai ke ideas bhi mil jate hai. Kyuki is report se mujhe apne last month ke work or usme huyi galtiyo ki ke bare me bhi pata chalta hai.
- Sabse bada reason other blogger ke liye SMI blog ki income report most important hoti hai or unhe blogging karne ki new power milti hai. Sirf blogger hi nahi jo log online business ko apna career banana chahate hai un sab ke liye ye jankari inspiring ka kaam karti hai. Isse unke man me bhi good earning karne ki himmat paida hoti hai.
Main un sabhi logo ki blogging se achhi earning karne me help karna chahata hu jo blogging se earning karne me failed ho rahe hai. Mostly hindi blogger jinke hard work ke bavjud unki mehanat ka fal nahi mil pata hai. Aayiye ab jante hai ki maine april 2016 me blogging se kitni earning ki hai.
$1155: SMI Blog Monthly Traffic and Earning Report April 2016
Blogging sirf money earn karne ka way nahi hai. Blogging ek aesa way hai jo kuch aapse aata hai usme logo ki help karna logo ko wo sikhana jo wo sikhna chahate hai wo nahi jo wo pahle se jante hai.
Or jo blogger in lines ko follow karke blogging karega. I promise wo 101% success hoga. Agar aap blogging e pahle earning ke bare me soch rahe ho to samajho aap sabse badi galti kar rahe ho. So plz blogging me successs hona hai to paiso ko bhool kar apni site ko promote karne par dhyand de.
Supoortmeindia Traffic Report April 2016:
April 2016 me supportmeindia blog par 380k se jyada pageviews huye hai. Iske sath 10k sessions and total users 122,200+ hai. Yaha aap iska screenshot dekh sakte ho.
I love my blog readers kyuki mere bina work ke bhi supportmeindia ki traffic me jyada effect nahi pada or jo effect pada hai. I will try, Mai use fir se normal karne ki koshish karunga or next month aapko isse behtar rsult dekhne ko milega.
SMI Blog Monthly Earning Report April 2016:
Pichle month ko dekhe to april first me AdSense CPC low ho gayi thi jiski wajah se supportmeindia ki earning par bad effect pada hai. But fir bhi pichle mahine ki tarah achhi income huyi hai.
- Google Adsense Earning: $882.05
- Affiliate Markirting: $178.16
- Semrush: $42.84
- Other work: $52
Total Income: $1155 (76,000 INR)
EXPENSES:
Internet connection, web hosting, mobile internet pack and some other work charge: 15,000 INR.
Now Total Income: 66,000 Indian Rupees
Finally, Ab aapki bari hai. Aapne april 2016 me kitni earning ki hai or aapke blog ne april month me kitna traffic receive kiya hai. Aapki tarah mai bhi aapke b;pg le bare me janna chahata hu. Kyuki mai akela nahi aa pabhi ko apne sath le kar chalna chahata hu. So mere kisi bhi friends ko problem nahi honi chahiye. Agar aapko koi issue hai to aap mujhse comments me puch sakte hai.
- StudioPress Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye; Sell Theme
- Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites
Is month ki report same march 2016 ki jaisi rahi. But next month mai chahata hu ki aap logo ko kuch behtar kar ke dikhau. Jo sirf aapki help se hi possible ho sakta hai.
Agar aapko really me mer iearning report motivate karti hai to ise other blogger ke sath share karke aap meri help kar sakte ho.
Sandeep Kumar
Bahut accha bro . Maine bhi kuch AdSense se earning kiya hai.
Page views – 1476
Current balance – 0.83$
Thanks bro
yash
Sir, mene YouTube me AdSense ko add kar diya hai or earning ho rhi hai par AdSense website par estimate earning $0 kyo show ho rhi hai
……
Or me payment mathod kab set kar skta hu
Jumedeen Khan
Adsense me YouTube ki earning mahine me ek bar 1 tarik ya 21 tarikh ke bad show hogi. payment aapko $100 hone ke bad milega.
Ravinder Godara
Acchha laga ki aapki earning hr mahine badh rahi hai. I hope ki agle is mahine aapki earning 100000 ke paar ho jayegi
Raghav Tripathi
Hello Jume Deen Khan ji. Aapne Mere Baare Me Jo Likha Uske Liye Thank you. Aap jaise Ache Vicharo waale log hi taraki karte hain. Thank you Sir.
Jumedeen Khan
Welcome bro. Aap bhi kam nahi ho. I like your thoughts.
Kuldeep Singh
Hello Khan Saheb Mai aap se ek swaal puchhna chahta hu ki ye semrush kya hai jara iske bare me thoda batayenge
Jumedeen Khan
bro maine iske bare me niche kabir ko reply kiya hai wo comment padho.
Narayan Soni
Sir Apne Ye Logo Kaha Se Banaya.
Jumedeen Khan
photoshop photo editer se.
Vikash
Apne mobile view me jo navigation banaya hai wo kis plugin se banaya hai
Jumedeen Khan
wo pahle se meri theme me hai. aap janna cahate ho na ki mai kon konse plugin use karta hu to wpthemedetecter.com par check kar lo.
Vikash
One more help, alexa mere page load 22 seconds bata raha hai, Isye fast karna hai. mene wp super cache use kiya hai. Phir bhi fast nahi ho raha. Apka bahut fast page load hai. Plez help karo.
Jumedeen Khan
Vikash 1-5 day me mozedia.com par iske bare me post karunga. wo follow kar lena .101% loading time increase hoga.
Vikash
SIR MAI BHI RIBBON THEME USE KAR RAHA HU LEKIN mere site ka mobile view jab open hota hai toh Go to wala navigation menu nahi ata hai.
Jumedeen Khan
Aapne apni hosting par cpanel me ya theme codnig me koi chedkani ki hogi.
kassim
Sir mai AdSense ka add laga raha, pahele mai 2 popular post me add laga raha hu, show ho jayenge uake bad aage lagaunga, but kuchh sawal hai jisse aap bataye
1….ek post me avi mai kitne add lagau (naye AdSense user)
2…..kon sa add lagau name,
3…..add ki size kya honi chahiye
~~~~~~~
4….add kaise lagau , maine jub apni post ko html section me ki to wo html code ban gai, ab mai confused hu wo code ke bich me enter/space ya direct kahi pe cursor rakhu aur paste kar du, aap is question ko achhe se bataye mere liye ye important hai,
Jumedeen Khan
1. ek hi ads bahut hai.
2.or 3. 300×250, responsive nad other aapko jo pasand hai wo laga lo.
4. aap compose section me hi jaha aapko add lagane hai waha “x*xx*x” likho or fir htmpl section me ja kar “x*xx*x” ki jagah ads code paste karo.
sunil bhargav
Main jab post me dusri posts ka link add karta hu to wo post open nahi hoti hai jiska maine link add kiya hai, lekin meri website open ho jaati hai par jiska link add kiya hai wo post open nahi hoti. Maine setting me bhi options ko yes kar diya hai.
Jumedeen Khan
Actually, Aap post me dusri post ke link ki jagah apne blog ke homepage ka hi link add kar rahe ho. So post ka sahi link add karo.
sunil bhargav
Lekin main to vese hi link add kar raha hu jaise aapne apni post me bataya tha. Main apna blog URL likhne ke baad post title likhta hu. Link check karne par not exits bata raha hai. And Kya main apne blog ki post title me apne blog ka header use kar sakta hu. Kyoki search engine me mere jo blog ka header hai wahi jyada search hota hai. Kya ye adesene ke niymo ke khilaf to nahi hai na.
Jumedeen Khan
Sunil mai aapke blog ki post check karke hi bta raha hu. aap post ka link add karo na ki blog ka. Search engine me apni post ka title hi show hota hai. Agar aapki post ke title ki jagah blog ka title show hota hai to mai iske bare me post karunga. wo follow kar lena.
Ankit Jha
bhai guest post bhej diya hai aapke mail id pe ek baar check karlo
Jumedeen Khan
Ok mai check karke aapko reply kar dunga.
rashid ali
VERY NICE BRO
Prabhjit
AdSense mai current balance $0 kyo hai
Jumedeen Khan
current balance me aapki mahine ki earning ek bar add hoti hai.
shahnawaz
Mere blog se april month ki income he
$1.29 total page vew he 2600
vikram
sir abhi tak maine AdSense ke liye apply nhi kiya hai kyoki mere blog par 100 pageview perday hai main 500 pageview perday hone par hi adsens ke liye apply karunga….kya tab tak main Affiliate Markirting ka use kar sakta hu ..or ha Affiliate Markirting ka use karne par adsens approve ho jayega na
Jumedeen Khan
Ha ho jayega .But aap risk mat lo pahle AdSense ko approved kara lo.
jitender singh
Great sir
Apne sir bataya bhi ho sayed maine pada naa ho per ek sawal yeh hai ki ager koi humse chidta ho ya apni dusmani nikalna chata ho aur AdSense k ads per baar baar click kare taki humara AdSense account band ho jaiye q ki AdSense ki policy hai ki jaanbuhkar add per click karoge toh wo band ho jaiga
Iska koi solution hai sir toh bataye
Jumedeen Khan
Iska koi solutin nahi hai. Blogging se sirf AdSense se hi paise nahi kama sakte. Aap affiliate marketing join kar ksate ho.
surendra rsdp
Bhai really me Aapki income report un logo Par jayada effect dalti hai Jo blogging ke baare me kuch bhi nahi jante Aor Ab india me Daily Bloggers ki Sankhaya badhti hi ja rahi hai . Maine bhi Aapke hi blog ki income se impress hoker hi blogging start ki thi .
Lekin brother ek Baat Hai jo mujhe aksar kuch sochne par majboor kar deti hai ki india me 500 Se jayada Hindi Tech Niche blogger hai lekin sabko success nahi mil rahi hai .
Agar google me tech niche se sambdhit kuch bhi search karo toh 300 result show ho jate hai .
Ab Toh Google ,yahoo bhi Confuse ho gaye honge ki India me yeh kya ho raha hai . Lekin search engine bhi ab kiski help kare .
Ab mai bhi confuse ho gaya hu aapke blog par coment karke kyu ki mujhe sabse jayada backlink aapki hi site se kyu mil raha hai . lagta hai kuch dino ke liye Without site address ke aapke blog par comment karna parega kyu ki kahi ek jagha se jayada traffic milne se mera blog spam na ho jaye .
Jumedeen Khan
Nahi aysi koi problem nahi hai. Lagbhag mere har visitor ko mere blog se backlinks milte hai. Examply rohit ne mere blog par kabhi comment nahi ki fir bhi use mere blog se traffic milta hai. Becoz humara blog related hai. Isme koi problem nahi hai.
vikram
nice sir ..keep it up…all the best
koshish karunga ki jun month ki income report aapke sath share kar saku
vakil shaikh
jumedeen bbhai mai aapko paise kamane ka or ek tarika bata ta hu jo affiliate marketing ke tarah hi hai aapke site per bahut hi jada visiters aate hai isliye aapki income bhi bahut hi jada hogi bilkul affialite marketing ki tarah or ye karna bahut hi asan aapko unke product ko bechker paise kama sakte hai ek product bechne ke 5$ se 10$ doller milate hai vo site hai clickbank.com jada jankari ke liye is site ko open karke dekhiye ya fir maine mere blog me isake bareme ek post ki hai.
Jumedeen Khan
Mai iske bare me already ache se janta hu. But abhi ise use karna nahi chahata.
vakil shaikh
ok ,thank you very much sir ! mai aapka ye upkar apni zindagi bhar yaad rakhu ga bhai mai aapko meri puir details duga aj ki date hai 30 aap jab bhi ghar aaoyege to muje batana ya fir mai hi aapse 25 date ko contact karuga.
vakil shaikh
bhai maine problems likhi hai contact form me please help mai bahut pareshan hu.ghar ka tention vo god so bad my life.
Jumedeen Khan
Vakil mai is waqt ghar par nahi hu. Next month mai aapko domain buy karke de dunga. It’s confirm ok.