Hello my all dear visitors today mai apne blog ki income or traffic report share kar raha hu. Maine iske liye aapko bahut wait karaya hai uske liye mafi chahata hu. February 2016 me maine blogging SEO ke bare me kafi kuch sikha or aapko bhi sikhaya or aage bhi jitna mujhse ho sakega aapki help karunga.
Blogging meri Hobby hai or mai blogging sirf apne shouk ke liye karta hu. Maine jab blogging shuru ki thi to maine ye soch ke shuruat nahi ki ki ek din mujhe bahut sare paise kamane hai. Maine ye soch ke shuruat ki thi ki mujhe salo ka kaam mahino me me karna hai or duniya ko btana hai ki agar inshan chahe to kya nahi kar sakta.
Aapki help se mai apne mission me kamyabi ki taraf badh raha hu. Mujhe or mere blog ko support ko support karne ke liye aap sabhi ka dil se shukriya. Blogging me success hone ka sabse best ek hi tarika hai hai Hard Work.
Bas jisme bhi kadi mehanat karne ki power hai wo kisi bhi work me success ho sakta hai. In my case, mera blogging ka experience to yahi kahta hai ki bina mehanat ke blogging me aap 10% bhi success anhi ho sakte.
Blogging me traffic banana aasan nahi hai. Logo ko apni taraf lubhane ke liye aapko kuch aysa karna hoga jo dusra koi blogger or website owner nahi kar sakta ho. Kyuki aaj ke time me user new update ko hi pasand karte hai. Aap old topic par 100 to kya 500 articles likh kar bhi traffic nahi kama sakte.
But aap 10 aysi post likho jisme di gayi jankari viral ho or uske bare me internet par kam se kam article likhe gaye ho. I promise aapko in high quality 10 posts se 100 articles se bhi jyada traffic milega. Iske sath hi aapko google guideline ko follow karne ki jarurat hogi.
Agar aapki post me di gayi jankari search engine guidelines ko follow nahi karti hai to aapko search engine se traffic milne ke kam chance honge. Search engine se high traffic pane ke liye aapko google webmaster tools guidelines follow kar ke article likhne honge. Iske liye aapko google terms ko ache se samajhna hoga.
Support Me India Income and Traffic Report February 2016
So ab baki bate bad me karte hai pahle humare blog ki traffic and income report ke bare me jan lete hai. Ab main bat karta hu apni february 2016 ki traffic and income report ki maine blogging se kitni earning ki hai.
Support Me India Traffic Report February 2016:
My dear readers, aapki help se hi aaj mere blog par achha traffic hai or main achhi earning bhi kar raha hu. Mere blog par visit karne wale sabhi readers ko meri taraf se dil se thanks. Mujhe or mere blog ko support karne ke liye shukriya.
Supportmeindia par february month me total traffic 3,00,000+ raha jo ki pichle mahine se jyada hai. Iska matlab mere blog ki traffic badh rahi hai.
Mujhe blogging 6 month ho gaye hai or itne time me 3 lakh traffic hona mere liye khushi ki bat hai. but abhi mujhe or aage jana hai. Ummid karta hu aane wale dino me bhi aap logo ka sath bana rahega.
Support Me India Income Report February 2016
Har koi chahata hai ki uski site se jyada se jyada income ho. But mai aysa nahi sochta. Mai sirf or sirf ye sochta hu ki apni site ki ranking kaise increase ki jaye. Or maine iske bare me bahut kuch sikha hai ki kaise site ki ranking increase kar sakte hai.
Income ki bat kare to jab aap micro-niche site bana lete hai to kuch hi dino me paisa aapke piche bhagne lagta hai. ye din kuch din ya kuch month ho sakte hai. Ab ye aap par depend karta hai ki aap kitna acha kar pate ho.
Yaha mai aapko bta dena chahunga ki aap google terms ko ignore karoge to aapko blogging me success hone me bahut time lag sakta hai. But agar aap google terms ko follow karte ho to search engine se achha traffic receive kar ek month me apne blog se earning kar sakte ho.
Maine july me blogging start ki thi or pahle hi din se meri income shuru ho gayi thi. Jise mai allah ka chamatkar hi manta hu. Kyuki bahut se log mahino tak online work se earning shuru nahi kar pate hai mujhe bhi is bat par yakin nahi tha ki mai blog se itni jaldi paise kama sakta hu.
February 2016 me meri supportmeindia se 60,000+ income huyi hai jiske source niche bta raha hu.
- Adsense Earning: $763.19
- Affiliate Marketing: $102.87
- Other Service: Rs8,500
Total income: $866 (58,000 INR)+8,500 = 66,500 Indian Rupees
Ye meri total income hai isme se mera february ka kharcha bhi shamil hai. So meri total income 66,500 na ho kar payout kar 40,000+ hi hai. Meri pichli income reports me maine payout ke bare me nahi btaya tha.
Main chahata hu ki baki sabhi blogger bhi apne blog se achhi earning kare main isme unki full help karunga. Ye mera blogging mission hai ki har blogger ko success banana hai. Ummid karta hu aap log mera sath jarur donge.
Or mere mission ko kamyab banana bhi aap hi par depend karta hai. So mai aapse request karta hu ki aap humari site par regularly visit kare or aapko blogging ya kisi bhi other help chahiye to comment me puche sath hi humare readers ke sawalo ka jawab de kar humari bhi help kare.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par share jarur kare.
Az vickey
Traffic increase k liye koi tips bataye
plzz ye bhi bataye ki aapka Header aur search Scroll kaise karta hai.
Jumedeen Khan
Vickey supportmeindia par traffic increase karne ke bare me kei post hai. aap wo padh sakte ho.
jitu
Bhut bhut Badiye ho apko sir
My wishes you are always success in our mission ..
And God Bles you
Dear my friend.
rahul yadav
sir, mera aapse ek question hai ki jaise aapki sit ka nam supportmeindia hai , agar me apni site ka nam supportmeyou use karu to aapko kai problem to nahi hai please sir iska jawab jarur dene jisse meri confusion dur ho jaye
Jumedeen Khan
Nahi mujhe koi problem nahi hai.
dev
bhayi apki help se mera AdSense approve ho gay ab aap plz mughe bata dijiye ki me kon se add kaha lagau jiss e meri earnig hone lage. or mere me accron- sycro ye 2 type ke add code generate karte time
2. bhayi mene apse post wali prblm puchi thi solve nhi hui plz bhayi kuch kijiye.
Jumedeen Khan
First aap Asynchronous Vs Synchronous Adsense Ads wali post padho.
Aapki problem facebook team par depend karti hai. wo jab chahegi tabhi aapki problem solve hogi.
piya
Sir aap apne income report ka screen shots bhi dale…
Jumedeen Khan
Late time ki wajah se screenshot add nahi kar paya. Agli bar jarur karunga.
hari narayan
Bhai mai WordPress me ribbon theme use karta hu isme font wagerh ka size bahut chhota hai ise kaise change karu ?
Jumedeen Khan
Aap style.css par ja kar font-size change kar sakte ho.
Az vickey
Hi Sir Thoda Detail me btayenge ki kaise css me jakar font change kare.
Jumedeen Khan
Comment me coding show nahi hoti hai. isliye nahi bta sakta.
ismail
Aur aap kis software se photo editing karte ho bhai
Jumedeen Khan
Paint or photoshop
ismail
Meri dua hai k aap aur blogging mein aage ho aur bhai aap ki har post help full hoti hai meri 2 sawal haim meim aap ki jase hi blogger template use karta hun meim apne site par colors lable aur aur about athar use karna chata hun aap ne jo code due hue the oh Edit html par clik kar k b.skin k upar pest kiya lekin kuch fark nahi kuch changing nahi ho rahi aur dusre blogging se unke code bhi chek karne k lye try kiya lekin fir bhi nahi please help
Jumedeen Khan
1.Bro aap se kahi na kahi koi galti ho rahi hai. b.skin code template me 2-3 jagah hota hai aapko sabse upar wale code ke upar colorful label ka code add karna hai.
2. is post me jo colorful label ki cidong hai. ho sakta hai wo aapki template ki label coding se match nahi ho.
raju
vai mera site hostgator par hosted h babay plan h firbhi barbar din me ek dobar 15 minute k liye down ho jata j why?
Jumedeen Khan
Iske bare me aap hostgator team se bat kar sakte ho.
Sahil
Congrats Brother Awseome Post. Bhut achi janakaari bataye hai aapane ,,, last me bhut acha bat bataye ki aap dan karate ho jarurat wale logo good thing. Ye aapki achi bat sabi anukaran kare yw wish hai….
good work done…..
Maharshi Bhatt
mene go daddy se domain kharida aur use blog me set bhi kar diya………..but abhi tak woh name search engine me show nahi h0 raha ……….go daddy me mere domain ke samne active aur uske samne locked likha hua hai ….kya uski wajah se show nahi ho raha …..kya use unlock karna padta hai…….aur haa mene domain kal raat ko liya to kya domain set hone me time lagta hai isliye show nahi ho raha……..isme se kya wagah hogi
Jumedeen Khan
Ha unlocked karna hai or domain ko active hone me time lag sakta hai. google me show hone lag jayenga. thoda wait karo.
surendra
aapko optimization ke bare me pata chal gaya agar ha to jaldi se post karo..
Jumedeen Khan
Pata chal gaya but time ki soltage hai. jaise hi mai free hounga. iske bare me post karunga.
rovin singh chauhan
badhai ho sir ji hum to roz visit karte hai apki site pr kyoki ap ik success blogger hai
Jumedeen Khan
Thanks rovin, aapka bahut bahut dhanyawad
SurendraSurendra Rsdp
Jumedeen bro aapne post ko public karne me der kar di kyu ki mai aapke blog par daily aata hu sayad mujhe koi new post mil jaye but nayi post 6 din ke baad aaj mile hai . koi problem thi kya bro ??
Keep blogging . thanks
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai. kuch personal work ki wajah se updating nahi de pa raha hu.
ajay soni
If you dont mind dear,kya aap mujhe bata sakte hai ki aapne apna google AdSense account kis language se approve karwaya tha,i mean jaise is post me language use hui hai ya fir hindi words me post likhkar ya fir english blog se.
Kya is language se hum AdSense aprove karwa sakte hai ya nhi?.
Please remove my doubts,i will thankfull to you.
Jumedeen Khan
Maine AdSense account isi language se approved karaya hai. aap bhi karwa sakte ho. its confirmed.
satish kushwaha
पोस्ट पढ़कर ख़ुशी हुयी,,, आप नए ब्लॉगर के लिए प्रेरणास्रोत हो,,,
zishan ali gulzar
sir mera e questn he,, 1, agr hm apna blog wordpres me tranfr krna chahte he to jo domain maine liya huwa usko kaise transfr krenge, ya fir se nya domain lena pdega, ,,,,,,, 2, kya 2 domain sath me rkh skte he ek hi blog ke liye .com ur .in
Jumedeen Khan
Aap domain ko blogger ki jagah WordPress par add kar sakte ho. iske liye aapne jis site se domain liya hai us par domain DNS cvode change karna padega.
ha kar sakte ho.
Manish
Sir aapki yeh income wali Jo bhi post hai eo muje bahut motivate karti hai aur muje hi nahi aur bhi bahut blogger people ko bhi karti hogi.
Sir aap Jo Dan karte hai wo sunkar bahut accha laga.
Sir Maine aaj naya template apne blog me dala hai lekin ek problem hai ki meri Jo next button MATLAB 1,2,3 jaise pages hote hai wo sahi SE kaam nahi karta hai please ek baar dekh ke bataye.
Jumedeen Khan
Apni site ka url btao.
ankit manjariya
congrats….
Mo Aziz
jumedeen bhai
meri site par mobile user zyada hai to mujhe ye bataye ki moble ke liye mai kaounsa ads lagau jiski CPC acchi ho
Jumedeen Khan
Responsive or 250×300