Welcome to hindi blog supportmeindia traffic and income report 2016. It’s income report day! Main pichle kei month se is blog ki traffic reports, traffic source and earning reports apne reader ke sath share karta aa raha hu. Last month may 2016 ki traffic & income reprot mai kuch personal work ki wajah se aapke sath share nahi kar paya tha. In this post, Mai aapke sath in dono month ki mere blog ki traffic report publish kar raha hu.
Mai aapko btana chahunga ki pichle 2-3 month se mere blog ki traffic and income report me jyada difference nahi hua hai. Last some month se same report hai. Is wajah se mai traffic report share nahi kar raha tha.
Table of Contents
Support Me India Blog Traffic and Income Reports June 2016
Actually, mujhe sabkuch akele karna hota hai or ab meri life pahle jaisi nahi rah gayi hai. Mere pas time bahut kam hai or kaam bahut jyada or upar se sabkuch akele manage karna hota hai. Isi karan mai pichle kuch time se blogging ko jyada time nahi de pa raha hu. But mai koshish kar raha hu ki sabkuch ache se manage karu or mujhe wishwas hai mai aysa kar sakunga.
Mai humesha chahata hu ke liye apne reader ko latest information share kar saku but pichle kuch time se mujhe lag raha hai ki mai aysa nahi kar pa raha hu shayad ye bat aap mujhse behtar jante hai. Isiliye iske bare me jyada kuch btane ki jarurat nahi hai. Ha itna jarur kahunga ki mujhe abhi kuch personal problem hai jinki wajah se mai aap sabhi ke liye badiya nahi kar pa raha hu. But i hope aane wale dino me mai fir se aapke liye better work karunga or aapko ache se guide kar sakunga or useful and helpful information provide kar sakunga.
Blog Traffic Report june 2016
Blog kitna bhi naya ya purana ho uska traffic uski managing par depend karta hai. Mujhe blogging me lagbhag 1 year ho gaya hai or maine is 1 sal me jana hai ki jo blogger apne blog par jitna active rahta hai reader use utna hi pasand karte hai. Pichle kuch time se google search engine ke hindi ko hinglish se jyada support karne se organic traffic down hua hai but uski jagah par direct visitors increase ho rahe hai. Isi wajah se mai hinglish me likhna nahi chod raha hu kyuki mere kuch readers ayse bhi hai jo hinglish to padh sakte hai but hindi nahi.
June 2016 me supportmeindia par total 4,45,004 pageviews huye hai or total 1,58,369 user active the. Bounce rate 67% or new session 67% hai. Yaha aap iska screenshot dekh sakte ho.
Mujhe humesha se increasing pasad hai but yaha tak ka safar aasan tha ab yaha se aage badhna bahut mushkil hai. Iske liye mujhe dusro se kuch alag karna hoga jo aane wale time me sabhi internet user pasand kare. Yakinn mai aysa kar sakunga iske bare me abhi kuch nahi kah sakta.
Blog Traffic Source june 2016
Maine jab se blogging start ki thi kabhi social media ya kisi or platform par blog promotion ke liye online rahna pasand nahi kiya. Mera manna hai ki agar aap quality article likhoge to aapke reader hi aapke article ka promotion kar dete hai. So mai humesha other blogger se kahta hu ki jitna time aap other work like commenting, social sites par active rahte hai utne time me aap 2-5 badiya post content write kar sakte ho.
Yaha aap mere blog ka traffic source ka screenshot dekh sakte ho. Mostly koi bhi blogger apne blog ka traffic source publicly share nahi karta but mere kuch reader ke request ke bad mai ye option traffic reports me share kar raha hu.
Blog Income Report & Source June 2016
Mai ek hindi blogger hu or mera main income source google AdSense hai. Meri is blog se 70% earning AdSense se hi hoti hai. Mai shuru se hi hindi blog par AdSense earning kam hone wali bat ko avoid karta hu. Iske bare me maine ek post bhi likhi hai Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye isme maine hindi blog par bhi google AdSense se achi earning karne ke bare me btaya hai. Mera manna hai ki agar aap blog par quality content likhne me expert ho to aap AdSense se achi earning kar sakte ho fir chahe wo blog hindi me ho ya english me isse koi fark nahi padta. Ha itna jarur kahunga ki india ki tulna me USA, UK jaise other country me AdSense ki CPC jyada hoti hai.
Mai june 2016 ki earning report share karna nahi chahata but aapko itna jarur bta sakta hu ki maine is month pichle month se 30% jyada earning ki hai. New reader ko btana chaunga ki mai is blog par google AdSense, affilaite marketing and some other work se money earn karta hu. Earning source is tarah hai.
- Most earning source: Google Adsense
- Adsense high CPC: $24 at 3 june when i earn $112 in one day.
- Adsense low CPC: $0.09 june 17 when i earn only $13 one day.
- Average AdSense CPC: $0.17
June 3, 2016 ko meri blogging ki ab tak ki ek din ki sabse jyada earning hai jo ki USA se huyi hai. Mai USA ke mere un reader ko dil se thanks kahna chahunga jo mere blog par visit karte hai.
Note: Koi bhi reader comment me total earning ke bare me sawal nahi puchega. Future me mai khud iske bare me article likh kar information share karunga.
Finally, mai aapko yahi suggest karuna chahunga ki khamoshi se aage badhte raho. Apne talent se kaam karne wale log ek din mahan bante hai. Mai aap sabhi ko success blogger ke roop me dekhna chahata hu. I hope aap mujhe nirash nahi karoge. Agar aap mere real reader ho to apne sath baki blogger ko bhi sath le kar chalna shuru kare.
- $1123: SupportMeIndia Traffic and Income Report March 2016
- Support Me India Traffic Income Report – December 2016
Now, agar aap bhi apne blog se earning karte ho to aap comment me apni earning report share kar sakte ho or agar aapko blogging me koi problem ho rahi hai to bhi aap yaha uske bare me bta sakte ho. Agar mere pas koi solution hoga to aapki help jarur karunga.
I hope you may like this earning report, If yes then share this post on social media sites with your friends and other blogger.
Pratibodh
Nice sir aapki strategy muje bohat pasand aayi. Aur aapke blog se muje bohat inspiration milti hai.
Akash Kumar
Jumme din khan me 10 saal se blogging kar raha hu mujhe to kabhi bi 24 dollar ka click nahi mila aisa kyun? Please bataye.
Aapka to blog india me hai aur post bhi hindi language me likhte ho to ye kaise possible hai khan ji?
Jumedeen Khan
Akash aap apni site par USA, UK se traffic badhao isse bhi jyada milega.
Mere blog par 15% to 20% traffic USA se hai or main hindi me nahi hinglish me likhta hu
raghuveer charan
Apke jesi vapsite kese banaye
Jumedeen Khan
Meri site WordPress par hai aap WordPress par blgo install kar aesi site bana sakte ho.
Anil
Sir Maine ek blog bnaya h.PR usko Abhi design nhi Kiya Hai aur kuchh post bhi daali h.aur mere blog ke 500 pageview perday h.kya mai domain add KR du Apne blog me.
Jumedeen Khan
yes bilkul kar sakte ho aapko ye pahle hi kar lena chahiye tha.
Priya Sharma
Aapne jaisa bataya hai ki jis din aapki achhi earning hui hai wo USA se aane waale traffic se hui hai.. Mujhe ye confusion hai ki USA waale hindi blog q padhenge aur wo bhi itna ki usse apki better AdSense earning bhi hui.. Is sawaal ka jawaab jarur dijiyega
Jumedeen Khan
Priya ji USA me bhi bahut sare log hai jo hindi achi tarah jante hai.
Vivek aray
Hello brother main apne house par wifi lagwana chahta hun usko lagwane mein kitna kharcha aayega OR uska charj monthly fix hota hai ya jitna mb data ham use karte hai uske hisab se aata hai
Jumedeen Khan
Aap ap-ne aas-pass ke BSNL office me bat karo.
Virat gupta
Bro agar YouTube video ko copyright nahi deta hai toh kya AdSense phir bhi us ko copyright de Sakta hai (asnwar me?)
Jumedeen Khan
Nahi copyright video ke bare me AdSense nahi YouTube btata hai.
Bhupendra
Hello JUME DEEN KHAN ji,
kya aap apne daily scheduled or blogging routine ke bare batayenge. aap kab article likhte hain kab post karte hain. social media par kab share karte hain etc.
Thanks
Jumedeen Khan
Iske bare me mai 17 july ke bad post likhunga.
Ramesh
Sir aapko mithi ‘idd mubarak, aap din dugni aur raat chugni tarkki karo.
Jumedeen Khan
Thanks ramesh.
Ramesh
Sir maine video uplod karke montije kar diya usme se 2 video par $ ka nishan nahi tha kya sir un 2 videos ko mein delete kar du. Baad mein koi problem to nahi hogi.
Jumedeen Khan
Aap un videos ko monetize karke dekho agar wo copyright ho to delete kar do.
shivjeet bhullar
hlo bro, mene ik blog bnaya hai Bestquotesmind.blogspot.com aur jab b mai iseme layout krne ki kosis krta hu kaise follow me on email krta hu tb upper save change to aa jata hai PR jb mai view blog krta hu to vo bilkul simple hi rehti hai so plz tell me mai kya kro aur kaise 1 quote blog KO desine kro aur mai android phone p sab edit krta hu PC p nahi
Jumedeen Khan
Aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai aap google me apni pasand ki template search karke use use karo.
zishan ali gulzar
sir post ka title ko kaise edit kare,, i mean maine kuchh blog me dekha ki google pe search karne pe unka post title aise show karta hai — ,,blog kaise banaye / ब्लॉग कैसे बनाए,,, but jo click karke post ke me jate hai to wahaa sirf aise show karta hai –,,ब्लॉग कैसे बनाए,,, english wrd gayab ho jata hai kaise,,,aisa kaise kare,
Jumedeen Khan
Ye blog WordPress par hote hai or aap WordPress blog me yoast seo plugin se post ka title search me change kar sakte ho.
rohaan
hy dost mai apne blogger me comment love wala feture add karna chahta hu, ise add karne se mere blog ko nuksaan to nahi hoga na agar nahi hoga to kaise add kare bataiye?
Jumedeen Khan
Agar aapka blog WordPress par hai to aap iska plugin use kar sakte ho.
rohaan
बताने के लिए सुक्रिया दोस्त
arun kadam
Jumedeen Khan ji mera google AdSense ban ho gaya hai. ab mai mere bhai ke nam se apply karana chahta hu. lekin hamara dono ka adress shem hai chalega kya.
Jumedeen Khan
Aapka name to alag hai address same hai to bhi koi problem nahi hai.
Gaurav
sir alexa ne to claim retired kar diya hai may2016 se to kya ab ham free me alexa rank nhi lga payenge apne blog par… ? aap bhi kya ab paid alexa use kar rhe hai…
ya phir koi or tarika hai alexa rank ko blog me lagane ka… free me?
Jumedeen Khan
Nah iab alexa par koi service free nahi hai bas aap free me apni site ki rank check kar sakte ho bak isab piad hai. Site ke liye alexa buy karna jaruri nahi hai.
Md barkat
Hello.
Main Puch raha hn ke. jab main Hosting Liya tha us time 12 June Tha ab July start hogya hai…aur Muje Email aaya hai ke….Your Hosting are Expiry toh kya karun. main Toh ek Mahine ka hosting Liya hun.
Jumedeen Khan
Ab aap kuch nahi kar sakte aapki hosting expire ho gayi hai. Adhik jankari ke liye aapne jaha se hosting li hai unse customer care me call karo.
Harshad Bataviya
sir mene sitemaps.com pe aapne jese bataya vase sitemap wbmaster tools me submit kar diya hai aur ctrlq.org/ pe bhi sitemap generate karke use mene blogger me costom robote.txt me past kara hai to koi problem hoga ya nahi. mere kuch 1200 ke aaspas post hai… pls help me.
Jumedeen Khan
Harshit aap comment policy follow nahi kar rahe ho to first aap comment policy padh le. second aap galat sitemap create kar rahe ho sitemap is tarah hota ha example.com.sitemap.xml aap ye post padho Apni Website (Blog) Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye
Madarsa Faizululoom
Bhai Salam
meri site fast page par open ho rhi hai lakin home ke bajay contact page open ho jarah hai.
Jumedeen Khan
Aapki site proper sahi open ho rahi hai koi problem nahi hai.
vivek choudhary
1. Jumedeen ji, search console me post ko desktop mode me fatch kare ya fir mobile mode ya fir dono.
2. ham apni har post fetch kare to koi problem to nahi hai. ya phir monthly kitni kar sakte hai.
3. search console me “limit of crawl rate” ko high karne se karne se koi nuksaan to nahi hai.
Jumedeen Khan
1 and 2. fetch as google feature post ko jaldi search me lane ka idea hai. but mai ise support nahi karta kyuki isse bad quality post bhi jald isearch me show hone lag jati hai. Mai manta hu ki aap post ko fetch mat karo or dekho ki google aapki post ko kitne time me index karta hai. isse aapko badiya post likhne me help milegi or high quality and low quality post ke bare me pata chalega.
3.crawl limit aap 30 se jyada use mat karo. isse jyada use karne me google apaki site ko jaldi index nahi kar payega.
Saqlain
Great bhai par kya aap bata sakte hai USA ke clicks par itni earning kyo hoti hai or Adsense hindi bloggero ke liye kab CPC increase karenga bhai.
Jumedeen Khan
iski wajah hai dollar ke mukable rupees ki keemat 1 dollar me 65 rupees bante hai or humari site par india ki company ke ads show hote hai mostly hindi blog par to indian ads hi show hote hai. Ruppes ki kam keemat ki wajah se indian advertiser AdSense ko jyada payment nahi de pate hai isiliye google hume kam commission deta hai or USA me jyada.
vivek
sir mai ye janna chahta hu aapki post me 3 display ads show go rage hai par mai jab 3 display ads post me lagata hu to usme se niche se 2 ads show hote hai upar wala ads ki jagah blank show karta.
mera matlv hai 3 ads show ho karta h mob me but uoar me kbhi Bhi ads lagau.to 3 ads me se 2 ads niche se fast show hota h Mob me ..upar wala ads nhi yesa kue
Jumedeen Khan
ye problem aapko internet connection ki wajah se hoti hai. slow connection me AdSense black ads show karta hai.
Ramesh
Sir aapki dua se maine YouTube par 8 videos tarah tarah ki uplod kar di par problem yeh hai ki un sabhi videos ke total views 30 hi huye hai is se jyada views nahi ban rahe hai jabki uplod ki hui 1 month ho gaye hai.sir mujhe video share kaise karte ye bhi pata nahi aur share ka option kaha se milega ye bhi pata nahi pls help sir
Jumedeen Khan
Aap apni vidoes ko social sites par share karo share ka option YouTube par hi milega. aap apne video ko open karo uske niche share ka option hota hai.
Umesh Chavan
Bahi mujhe AdSense ka first step ka mail aaya hai but jab mai new ads create kar raha hu . tab ye message aa raha hai. “We apologise for the inconvenience, but we are unable to process your request at this time. Our engineers have been notified of this problem and will work to resolve it.”
Jumedeen Khan
ye temprory problem hai kuch time bad apne aap solve ho jayegi.
sandeep kaushik
bro mujhe aapse blog banwana h plz
maine aapko prenoly msg b kiya tha fb pr b aur aapke yha contact us me b par aapne koi b jawab nhi diya
Jumedeen Khan
Mai aapka message check karke reply kar dunga.
Amit tripathi
Thanks for publishing your income report
Aryan
Bro hum agar apni site ka link facebook, whatsapp, twitter etc. Par share kare to usse koi dikkat to ni hogi
Jumedeen Khan
Aryan aap ye kaisa sawal kar rahe ho. Aapko blogging me kafi time ho gaya hai r aap mere blog par bhi kafi purane reader ho mere bhai social site par post share karne se problem nahi fayda hota hai.
Gaurav
sir us post to aapne ye bataya hai ki siteline ko remove kese kare…
but sir siteline ko add kese kare? or siteline jyada trafic aane par aati hai kya?
Jumedeen Khan
Gaurav aap ek bar us post ko padh lo maine usme sabkuch btaya hai. Short shabdo mai aap sitelinks ko google me manualy show nahi kar sakte. Aapki site par ek tay traffic hone par google aapke liye ye service available karta hai. Iske liye aap blog par kuch pages banao jab reader un pages ko open karenge to kuch time bad aapki site ke search results me sitelinks show hone lag jayenge.
Aziz
Bhaut Badiya Jumedeen ji Mai Dua karta hoo Ki Aage Bhi Aap Acchi se Acchi Post Share kare
Aur Zyada se zyada se Earning kare.
Lekin Bro mai ye kahna chanhungaki Aap Mere iss Bataye Topic Par post kare
1. Aap Kitne Time Online Rehte hai
Online Time Me Kya karte hai
2. Aap Kitne time Offline rehte hai
Offline Time me Kya karte hai
3. Aap Topic Search kaise karte hai
Topic Ka Idea kaha se Aata hai
4. Aap Kis Time Post Share Karte hai
Aur Ek Din me Aap Zyada se zyada kitne Article likhte hai etc ki
Poori jankari aur Aap Reader ko bataye To Mai Aur Aapke Reader Kuch seekh sake aur mehnat kar sake
Mai Aapke Answer Aur Iss Post ka Wait karunga.
Jumedeen Khan
Sabse pahle mai aapko thanks kahna chaunga ki aapne meri life ke bare me pucha. Aane wale time me mai apne bare me details se post karunga.
Gautam Chaurasia
sir mujhe stock of images ki site banani hai koi tips dijiye sir…
Jumedeen Khan
Aap WordPress ya blog par bana sakte ho. But ye soch lo aap images kaha se laoge.
amir
sir Google account me to nmbr se v secure nhi hota nmbr option hi nhi aata to kaise kre…. bht br try gmail account save secure nhi hua
Jumedeen Khan
Aap gmail par log in karke account setting par ja kar sari setting kar sakte ho.
Sonu Rajput
Bhai jab bhi mere Adsense earning credit hoti hai to *Invalid Traffic* se Mere 1 ya 2 dollar ka Debit Hota hai , issey Mere AdSense Account ko koi problems to Nahi Hogi na
Jumedeen Khan
Koi problem nahi nahi sabhi ke sath aysa hota hai kuch invalid click ho hi jate hai.
Aamir ali
Salam jumedeen bhai posts ka title english me rakhna jyada better rahta hai ya hinglish me.
Jabki posts hinglish me ho.
Jumedeen Khan
Jis language me aap post content likho title bhi usi language ka use karo.
Aamir ali
Shayad sabse bdi galti yahi ho rhi hai. Mene aaj tak har posts ka title ye sochkar English me rakha ki log English me hi jyada search karte hain. Ab kya kru, kya sbhi posts ke title ko hinglish me kar lu? Agr kru to isse koi nagative effects to nhi pdega? Kya kru guide kren.
Blogs aapne dekhi hui hai ek hindi me or dusri hinglish hai.
Jumedeen Khan
Ha maine dekhi hai aap sirf post ke title change karna post ka url change mat karna.
Aamir ali
Bhai ye samajh nhi aa rha hai ki sbhi titles ko English se Hinglish me karta hu to fir search results ka kya hoga? Abhi to English titles hi search me show hote hain. Change karne se fir kaise nazar aayenge? Or aayenge bhi ya nhi.
Jumedeen Khan
aapke title change karne ke 2-3 day bad wo google me show hone lag jayenge.
Gaurav
Q#1 Sir mene bidvestiser se adds liye hain or jab me unke code ko apne blog par lagata hu to pc me to blog sahi khulta hai lekin opera me jab blog ko kholta hu automatic playstore khul jata hai us adds ke karan… appka ya koi or blog opera me kholne par adds show hote hain lekin playstore nhi khulta… phir mere sath esa kyu ho ra hai… pls bataye sir..
Q#2 add injection plugin me rand alll ka option kha milega?
Q#3 sir jab me aapke blog ka naam google par search karta hu to usme 6 option aate catagry ki tarha jaise
September 2015, Income Report,Privacy Policy… lekin jab me apna blog search karta hu to to usme koi catagry nhi aati only single line me aate hai… pls bataye sir ki ye hoga?
Q#4 sir jab me apne blog ki post ko google par search karta hu to blog ka naam hai post ka naam nhi aata…
post ka naam upar laane ke liye kya karna hoga jisse post ka naam uper or blog name neche aaye jaise aapka aata hai..?
Q#5 my last qsn sir.. WordPress me post ko likhne ke liye bhut kam option hai… jaise ki usme colour change karne ka option nhi hai.. jo ki blogger me hai… to uske saare option laane ke liye kon se plugin ka use karna padega.. plugin name?
Pls sir mere saare qsns ka answr de!
Jumedeen Khan
1. Bidvertiser me resrection ki problem hoti hai is wajah se aysa hota hai. isse acha aap AdSense use karo.
2. jaha aap ad code paste karte ho usme sbse upar Alignment me.
3. iske bare me mai aapko already bta chuka hu aap ywe post padho Google Sitelinks Kya Hai Extra Sitelink Ko Kaise Remove Kare
4. quality post likha karo post top position par aa jayegi.
5. aap yoast SEO or jetpack plugin use karo.
nirmal ghimire
congratulation bhai… blog mai aasani se customize aur footer link aasani se remove ho eaisa koi template ka naam bataye plz
Jumedeen Khan
Agar aapko coding ki jankari hai to aap kisi bhi template me aysa kar sakte ho.
zishan ali gulzar
sir maine apke facebook me 404 error screen shot 2days pahle send kar diya hai so please aap use chk kare aur uska solution bataye,,, sir ur ek bat puchhna tha,, blog me search engine se traffic aye wo better hai ya comment ur email se aye wo,,,
Jumedeen Khan
Aap mujhe abhi message kar dena mai check karke reply kar dunga. Traffic kahi se bhi aaye better hai but AdSense ke liye search engine ka traffic jyada badiya hota hai.
Sanju Dangar
Thankq you sir aap ki baat sahi he, or muje ab samaj me aayi, kyu ki mery site par social media ke traffic 50% he or social midea pe bahut archa mera network he, or vo regular reader he isliye achanak ernig low ho gayi, stating me pata nahi tha, isliye vo click kar dete honge, abhi maine dekha to kus erning hui he,
Sir dusri baat vahi ke aapki “Lo CPC site block karane ” vali post bahut hi helpfull hui he, fist meri cpc 0.03$ thi, but aapki tricks se vo me 8 hours me 0.12$ tak pahuch gaya tha realy very nice tricks thanks jumme din sir
Sanju Dangar
congratulation sir bahut hi badiya , ak baat or me kehana chahuga ki aap abhi bhi apane blog ko arcchi tarah se maneg kar rahe ho or guid bhi, sir apki har post me hame motivastion ke shath sath blog ki help bhi milati he,
Sir me last 15 day se meri blog ki traffic or erning encrage ho rahi he but 2 day se traffic to archi he but erning 0.0$ ho gayi he pata nahi last 2 day me aisa kya huaa, or traffic pisale 15 day se bahetar he fir bhi, or maine new post bhi continew likhata raheta hu,
Jumedeen Khan
Aap check karo ki aapki site par ad show ho rahe hai ya nahi. or apne blog par search engine se traffic badha oregular reader ads par click nahi karte.
Harpreet Kumar
congratulations brother
vivek raj
bro sorry Maine aaapke comment policy ko Tod Raha hu mai ..mujhe aapki koi post or comments ka option nhi aaraha hai ..isliye yaha kiya.
bhai mujhe ye bataye ki link ads ka kon sa size created kare jisse bhai link ads mob or pc dono me acche se show ho jaye.
Jumedeen Khan
200×90
Vishnu Kant
Congratulations bro…aapke earnings ke liye
Aur thanks isliye ki aapne ye post likha…
Ek question hai kal humane jb apana blog open kiya tha to koi comment nahi dikh raha tha
Aur aaj subah jab dekha to 5 comment pending me the
Unake comment ka time 18.35,15.39,11.13,5.58,5.19 tha
Jabki kai baar hamane dekha tha par koi comment nahi tha
Aur ye sab comment foreignar name se hai kisi kaa name jimmy to kisi ka frank hai..
Aur sabse badi baat inn sab me se kisi ne bhi apana real blog url nahi diya hai hai
Kisi ne yahoo.net diya hai to kisi ne yahoo.me aur kisi ne bing.us
To ab mujhe kya karana chahiye
Pls suggest…
Kya inn comment ko publish karu ya spam..
Pls detail me bataye ki ye kya hai…
Aur isake bachao kya hai….
Jumedeen Khan
Ye spam comments hai inhe remove kar do.
Vishnu Kant
Lekin ye spam comment karata kaun hai..
Aur unko fayada kya hota hai isase??
Jumedeen Khan
Spam comment robot computer system se automatically karayi jati hai. Isse wo apni sites ka promotion karte hai.
Vishnu Kant
Aap iss topic par bhi koi post likhe ki kaise pahachane ki kaun sa comment fake hai…
Isake nukasan aur fayade…sab kuch detail me bataye..
Yah sirf meri problem nhi hai bahut sare new blogger ko yah pareshani hai to pls aap jald hee koi post iss topic par likhe
Aapaka regular reader….
Jumedeen Khan
Ok bro jarur likhunga.
shital kumar
sir,mere blog ka sitemap hai usme submitted me 9 aur indexed me 4 dikha raha hai iska matlab kya huaa.
Jumedeen Khan
iska matlab hai ki google ne aapke 9 url me se 4 url ko index kiya hai.
Ravi Kumar
congratulation bhaiya…
aapka income report ka wait mai Pichhle month se hi kar raha hu,
aap mujhe bahut support kiye ho, Humlogo ko koshis karna hak banta hai, jub Aap itne kiye to mai aapke liye Kuchh kyu nahi karunga, mai delay reader hu , rahunga Thanks. …
Kyuki aapke wajah se hi mai avi AdSense approved karke earning kar raha hu.
Jumedeen Khan
धन्यवाद् रवि कुमार
chenaksh dhomane
nice blog….
mera ek sawal hai maine apne blog pe
Adsense approval hone ke bad domain name lgaya hai
par domain name lgane ke bad mere
blog pe add show nahi ho rahi hai …aisa kyu
pls help me…
Jumedeen Khan
Aap domain ko AdSense account me add karo.
rahmat
Sir mera gmail hack ho gayi aor ussi par AdSense tha usne 2nd verification me change kar diya to kya mera AdSense return ho sakta h plz jarur batae meri 50$ eraning thi usme kya koi aasi trick h jisase main mera AdSense vapas pa saku
Jumedeen Khan
Agar aapne gmail id par mobile number or 2 step verification enable kiya hua hai to aap mobile number se id recover kar sakte ho.
shital kumar
sir,aap is post me bataye hai ki usa,uk jaise other country me AdSense ki cpc jyada hoti hai.ham ye nahi samajh paye ki cpc kya hota hai.ek aur bat bata dijiye ki mene apne blog par chitika ka ads lagaya hai me soch raha hun ki chitika ka ads hata kar AdSense ka ads lagana chahta hun.
Jumedeen Khan
Aapko kitne click se kitne paise milte hai ise CPC kahte hai. Ha laga skate ho but pahle aap chitika ke sare ad blog me se remove kar do.
Anil
Brother aapne bahut hi kaha hai ke khamosi se kam karte raho. Aapki ye post lawjawab hai. Bhai aapki aysi report hosla bda deti hai har blogger ka. Thanks for sharing this information . Bhai.
Jumedeen Khan
Hi bro aap supportmeindia ke regular reader ho so plz comment policy ka khyal rakha karo next time name se comment kiya karo.
Mukesh Sharma
Sorry bhai mera nam change kardo. Mujhe aapki comment policy ka nahi pata tha.
Indrajeet
Aap apni total earning bhi share kiya karo ise jyadatar log pasand karte hai . Log hamesa yahi janna chahte hai ki ek top blogger monthly kitna kamate hai . Kyoki yah bahut kam log hi btate h
Jumedeen Khan
Aane wale time me jarur karunga. Abhi aapko jo source btaye hai unse idea laga sakte ho.
Fardeen Siddiqui
Bhai mera name fardeen hai
Mainey ek new website bnai h Tricksredar.com,mujhe ap ki jesi template chahiye
Main request krta hu mujhe spni website jesi template de do main blogger se hosting ki h
Jumedeen Khan
Fardeen mera blog WordPress par hai or mai mythemeshop ki ribbon theme use karta hu. aap ise blogger par use nahi kar sakte.
Rony
Bro aapke report mein show nahi ho raha ki aapko iss month orginc visitors kitne mile hai. Kya aap mujhe yeh bata sakte hai plz
Jumedeen Khan
organic source ke bare me jitna bta sakta hu wo post me bta chuka hu aap upar di images me dekh sakte ho sabse jyada organic traffic hi hai.
Yuvraj
Suna h support me india ka birthday aane wala h sir party kha h or bhai keep it up aap bahut acha work kr rhe h me mostly aapke blog se bahut acha learn kr paa rha hu me bhi aap se ek bar jrur milna chhunga thanks for sharing …..keep it up i am waiting next post #always #Support ###supportmeindia
Jumedeen Khan
Iske bare me maine facebook par ek event create kiya hai usme btaya hai. Why not aap alwar me mujhse mil sakte ho.
farid khan
jaisa ki apne likha hai ki apki rarning google adasence ,affiliated program or other work
ye other work me kya hota hai bataiyega sir
Jumedeen Khan
Aap supportmeindia ki services check karo samajh joage.
Ashish Pandey
hi sir,
Bounce rate se kya fark padata hai jaise woh jayda ho to kya hoga or kam hoga to kya hoga.
Jumedeen Khan
Ye post padho Bounce Rate Kya Hai Iska Kya Matlab Hota Hai
Manish
Issi ka sab wait kar rahe the.Thanks sir.