Support Me India Blog Traffic and Income Reports June 2016

Welcome to hindi blog supportmeindia traffic and income report 2016. It’s income report day! Main pichle kei month se is blog ki traffic reports, traffic source and earning reports apne reader ke sath share karta aa raha hu. Last month may 2016 ki traffic & income reprot mai kuch personal work ki wajah se aapke sath share nahi kar paya tha. In this post, Mai aapke sath in dono month ki mere blog ki traffic report publish kar raha hu.

Traffic and income reports june 2016

Mai aapko btana chahunga ki pichle 2-3 month se mere blog ki traffic and income report me jyada difference nahi hua hai. Last some month se same report hai. Is wajah se mai traffic report share nahi kar raha tha.

Support Me India Blog Traffic and Income Reports June 2016

Actually, mujhe sabkuch akele karna hota hai or ab meri life pahle jaisi nahi rah gayi hai. Mere pas time bahut kam hai or kaam bahut jyada or upar se sabkuch akele manage karna hota hai. Isi karan mai pichle kuch time se blogging ko jyada time nahi de pa raha hu. But mai koshish kar raha hu ki sabkuch ache se manage karu or mujhe wishwas hai mai aysa kar sakunga.

Mai humesha chahata hu ke liye apne reader ko latest information share kar saku but pichle kuch time se mujhe lag raha hai ki mai aysa nahi kar pa raha hu shayad ye bat aap mujhse behtar jante hai. Isiliye iske bare me jyada kuch btane ki jarurat nahi hai. Ha itna jarur kahunga ki mujhe abhi kuch personal problem hai jinki wajah se mai aap sabhi ke liye badiya nahi kar pa raha hu. But i hope aane wale dino me mai fir se aapke liye better work karunga or aapko ache se guide kar sakunga or useful and helpful information provide kar sakunga.

Blog Traffic Report june 2016

Blog kitna bhi naya ya purana ho uska traffic uski managing par depend karta hai. Mujhe blogging me lagbhag 1 year ho gaya hai or maine is 1 sal me jana hai ki jo blogger apne blog par jitna active rahta hai reader use utna hi pasand karte hai. Pichle kuch time se google search engine ke hindi ko hinglish se jyada support karne se organic traffic down hua hai but uski jagah par direct visitors increase ho rahe hai. Isi wajah se mai hinglish me likhna nahi chod raha hu kyuki mere kuch readers ayse bhi hai jo hinglish to padh sakte hai but hindi nahi.

June 2016 me supportmeindia par total 4,45,004 pageviews huye hai or total 1,58,369 user active the. Bounce rate 67% or new session 67% hai. Yaha aap iska screenshot dekh sakte ho.

smi traffic report june 2016

Mujhe humesha se increasing pasad hai but yaha tak ka safar aasan tha ab yaha se aage badhna bahut mushkil hai. Iske liye mujhe dusro se kuch alag karna hoga jo aane wale time me sabhi internet user pasand kare. Yakinn mai aysa kar sakunga iske bare me abhi kuch nahi kah sakta.

Blog Traffic Source june 2016

Maine jab se blogging start ki thi kabhi social media ya kisi or platform par blog promotion ke liye online rahna pasand nahi kiya. Mera manna hai ki agar aap quality article likhoge to aapke reader hi aapke article ka promotion kar dete hai. So mai humesha other blogger se kahta hu ki jitna time aap other work like commenting, social sites par active rahte hai utne time me aap 2-5 badiya post content write kar sakte ho.

Traffic Source

Yaha aap mere blog ka traffic source ka screenshot dekh sakte ho. Mostly koi bhi blogger apne blog ka traffic source publicly share nahi karta but mere kuch reader ke request ke bad mai ye option traffic reports me share kar raha hu.

Blog Income Report & Source June 2016

Mai ek hindi blogger hu or mera main income source google AdSense hai. Meri is blog se 70% earning AdSense se hi hoti hai. Mai shuru se hi hindi blog par AdSense earning kam hone wali bat ko avoid karta hu. Iske bare me maine ek post bhi likhi hai Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye isme maine hindi blog par bhi google AdSense se achi earning karne ke bare me btaya hai. Mera manna hai ki agar aap blog par quality content likhne me expert ho to aap AdSense se achi earning kar sakte ho fir chahe wo blog hindi me ho ya english me isse koi fark nahi padta. Ha itna jarur kahunga ki india ki tulna me USA, UK jaise other country me AdSense ki CPC jyada hoti hai.

Mai june 2016 ki earning report share karna nahi chahata but aapko itna jarur bta sakta hu ki maine is month pichle month se 30% jyada earning ki hai. New reader ko btana chaunga ki mai is blog par google AdSense, affilaite marketing and some other work se money earn karta hu. Earning source is tarah hai.

  • Most earning source: Google Adsense
  • Adsense high CPC: $24 at 3 june when i earn $112 in one day.
  • Adsense low CPC: $0.09 june 17 when i earn only $13 one day.
  • Average AdSense CPC: $0.17

June 3, 2016 ko meri blogging ki ab tak ki ek din ki sabse jyada earning hai jo ki USA se huyi hai. Mai USA ke mere un reader ko dil se thanks kahna chahunga jo mere blog par visit karte hai.

Note: Koi bhi reader comment me total earning ke bare me sawal nahi puchega. Future me mai khud iske bare me article likh kar information share karunga.

Finally, mai aapko yahi suggest karuna chahunga ki khamoshi se aage badhte raho. Apne talent se kaam karne wale log ek din mahan bante hai. Mai aap sabhi ko success blogger ke roop me dekhna chahata hu. I hope aap mujhe nirash nahi karoge. Agar aap mere real reader ho to apne sath baki blogger ko bhi sath le kar chalna shuru kare.

Now, agar aap bhi apne blog se earning karte ho to aap comment me apni earning report share kar sakte ho or agar aapko blogging me koi problem ho rahi hai to bhi aap yaha uske bare me bta sakte ho. Agar mere pas koi solution hoga to aapki help jarur karunga.

I hope you may like this earning report, If yes then share this post on social media sites with your friends and other blogger.

Reader Interactions

Comments (111)

  1. congratulation bhai… blog mai aasani se customize aur footer link aasani se remove ho eaisa koi template ka naam bataye plz

    • Agar aapko coding ki jankari hai to aap kisi bhi template me aysa kar sakte ho.

  2. sir maine apke facebook me 404 error screen shot 2days pahle send kar diya hai so please aap use chk kare aur uska solution bataye,,, sir ur ek bat puchhna tha,, blog me search engine se traffic aye wo better hai ya comment ur email se aye wo,,,

    • Aap mujhe abhi message kar dena mai check karke reply kar dunga. Traffic kahi se bhi aaye better hai but AdSense ke liye search engine ka traffic jyada badiya hota hai.

  3. Thankq you sir aap ki baat sahi he, or muje ab samaj me aayi, kyu ki mery site par social media ke traffic 50% he or social midea pe bahut archa mera network he, or vo regular reader he isliye achanak ernig low ho gayi, stating me pata nahi tha, isliye vo click kar dete honge, abhi maine dekha to kus erning hui he,
    Sir dusri baat vahi ke aapki “Lo CPC site block karane ” vali post bahut hi helpfull hui he, fist meri cpc 0.03$ thi, but aapki tricks se vo me 8 hours me 0.12$ tak pahuch gaya tha realy very nice tricks thanks jumme din sir

  4. congratulation sir bahut hi badiya , ak baat or me kehana chahuga ki aap abhi bhi apane blog ko arcchi tarah se maneg kar rahe ho or guid bhi, sir apki har post me hame motivastion ke shath sath blog ki help bhi milati he,
    Sir me last 15 day se meri blog ki traffic or erning encrage ho rahi he but 2 day se traffic to archi he but erning 0.0$ ho gayi he pata nahi last 2 day me aisa kya huaa, or traffic pisale 15 day se bahetar he fir bhi, or maine new post bhi continew likhata raheta hu,

    • Aap check karo ki aapki site par ad show ho rahe hai ya nahi. or apne blog par search engine se traffic badha oregular reader ads par click nahi karte.

  5. congratulations brother

  6. bro sorry Maine aaapke comment policy ko Tod Raha hu mai ..mujhe aapki koi post or comments ka option nhi aaraha hai ..isliye yaha kiya.
    bhai mujhe ye bataye ki link ads ka kon sa size created kare jisse bhai link ads mob or pc dono me acche se show ho jaye.

    • 200×90

  7. Congratulations bro…aapke earnings ke liye
    Aur thanks isliye ki aapne ye post likha…

    Ek question hai kal humane jb apana blog open kiya tha to koi comment nahi dikh raha tha
    Aur aaj subah jab dekha to 5 comment pending me the
    Unake comment ka time 18.35,15.39,11.13,5.58,5.19 tha
    Jabki kai baar hamane dekha tha par koi comment nahi tha
    Aur ye sab comment foreignar name se hai kisi kaa name jimmy to kisi ka frank hai..
    Aur sabse badi baat inn sab me se kisi ne bhi apana real blog url nahi diya hai hai

    Kisi ne yahoo.net diya hai to kisi ne yahoo.me aur kisi ne bing.us
    To ab mujhe kya karana chahiye
    Pls suggest…
    Kya inn comment ko publish karu ya spam..
    Pls detail me bataye ki ye kya hai…
    Aur isake bachao kya hai….

    • Ye spam comments hai inhe remove kar do.

      • Lekin ye spam comment karata kaun hai..
        Aur unko fayada kya hota hai isase??

        • Spam comment robot computer system se automatically karayi jati hai. Isse wo apni sites ka promotion karte hai.

          • Aap iss topic par bhi koi post likhe ki kaise pahachane ki kaun sa comment fake hai…
            Isake nukasan aur fayade…sab kuch detail me bataye..
            Yah sirf meri problem nhi hai bahut sare new blogger ko yah pareshani hai to pls aap jald hee koi post iss topic par likhe

            Aapaka regular reader….

          • Ok bro jarur likhunga.

  8. sir,mere blog ka sitemap hai usme submitted me 9 aur indexed me 4 dikha raha hai iska matlab kya huaa.

    • iska matlab hai ki google ne aapke 9 url me se 4 url ko index kiya hai.

  9. congratulation bhaiya…
    aapka income report ka wait mai Pichhle month se hi kar raha hu,
    aap mujhe bahut support kiye ho, Humlogo ko koshis karna hak banta hai, jub Aap itne kiye to mai aapke liye Kuchh kyu nahi karunga, mai delay reader hu , rahunga Thanks. …
    Kyuki aapke wajah se hi mai avi AdSense approved karke earning kar raha hu.

    • धन्यवाद् रवि कुमार

  10. nice blog….
    mera ek sawal hai maine apne blog pe
    Adsense approval hone ke bad domain name lgaya hai
    par domain name lgane ke bad mere
    blog pe add show nahi ho rahi hai …aisa kyu
    pls help me…

    • Aap domain ko AdSense account me add karo.

  11. Sir mera gmail hack ho gayi aor ussi par AdSense tha usne 2nd verification me change kar diya to kya mera AdSense return ho sakta h plz jarur batae meri 50$ eraning thi usme kya koi aasi trick h jisase main mera AdSense vapas pa saku

    • Agar aapne gmail id par mobile number or 2 step verification enable kiya hua hai to aap mobile number se id recover kar sakte ho.

  12. sir,aap is post me bataye hai ki usa,uk jaise other country me AdSense ki cpc jyada hoti hai.ham ye nahi samajh paye ki cpc kya hota hai.ek aur bat bata dijiye ki mene apne blog par chitika ka ads lagaya hai me soch raha hun ki chitika ka ads hata kar AdSense ka ads lagana chahta hun.

    • Aapko kitne click se kitne paise milte hai ise CPC kahte hai. Ha laga skate ho but pahle aap chitika ke sare ad blog me se remove kar do.

  13. Brother aapne bahut hi kaha hai ke khamosi se kam karte raho. Aapki ye post lawjawab hai. Bhai aapki aysi report hosla bda deti hai har blogger ka. Thanks for sharing this information . Bhai.

    • Hi bro aap supportmeindia ke regular reader ho so plz comment policy ka khyal rakha karo next time name se comment kiya karo.

      • Sorry bhai mera nam change kardo. Mujhe aapki comment policy ka nahi pata tha.

  14. Aap apni total earning bhi share kiya karo ise jyadatar log pasand karte hai . Log hamesa yahi janna chahte hai ki ek top blogger monthly kitna kamate hai . Kyoki yah bahut kam log hi btate h

    • Aane wale time me jarur karunga. Abhi aapko jo source btaye hai unse idea laga sakte ho.

  15. Bhai mera name fardeen hai
    Mainey ek new website bnai h Tricksredar.com,mujhe ap ki jesi template chahiye
    Main request krta hu mujhe spni website jesi template de do main blogger se hosting ki h

    • Fardeen mera blog WordPress par hai or mai mythemeshop ki ribbon theme use karta hu. aap ise blogger par use nahi kar sakte.

  16. Bro aapke report mein show nahi ho raha ki aapko iss month orginc visitors kitne mile hai. Kya aap mujhe yeh bata sakte hai plz

    • organic source ke bare me jitna bta sakta hu wo post me bta chuka hu aap upar di images me dekh sakte ho sabse jyada organic traffic hi hai.

  17. Suna h support me india ka birthday aane wala h sir party kha h or bhai keep it up aap bahut acha work kr rhe h me mostly aapke blog se bahut acha learn kr paa rha hu me bhi aap se ek bar jrur milna chhunga thanks for sharing …..keep it up i am waiting next post #always #Support ###supportmeindia

    • Iske bare me maine facebook par ek event create kiya hai usme btaya hai. Why not aap alwar me mujhse mil sakte ho.

  18. jaisa ki apne likha hai ki apki rarning google adasence ,affiliated program or other work
    ye other work me kya hota hai bataiyega sir

    • Aap supportmeindia ki services check karo samajh joage.

  19. hi sir,

    Bounce rate se kya fark padata hai jaise woh jayda ho to kya hoga or kam hoga to kya hoga.

  20. Issi ka sab wait kar rahe the.Thanks sir.