Welcome to hindi blog supportmeindia traffic and income report 2016. It’s income report day! Main pichle kei month se is blog ki traffic reports, traffic source and earning reports apne reader ke sath share karta aa raha hu. Last month may 2016 ki traffic & income reprot mai kuch personal work ki wajah se aapke sath share nahi kar paya tha. In this post, Mai aapke sath in dono month ki mere blog ki traffic report publish kar raha hu.
Mai aapko btana chahunga ki pichle 2-3 month se mere blog ki traffic and income report me jyada difference nahi hua hai. Last some month se same report hai. Is wajah se mai traffic report share nahi kar raha tha.
Support Me India Blog Traffic and Income Reports June 2016
Actually, mujhe sabkuch akele karna hota hai or ab meri life pahle jaisi nahi rah gayi hai. Mere pas time bahut kam hai or kaam bahut jyada or upar se sabkuch akele manage karna hota hai. Isi karan mai pichle kuch time se blogging ko jyada time nahi de pa raha hu. But mai koshish kar raha hu ki sabkuch ache se manage karu or mujhe wishwas hai mai aysa kar sakunga.
Mai humesha chahata hu ke liye apne reader ko latest information share kar saku but pichle kuch time se mujhe lag raha hai ki mai aysa nahi kar pa raha hu shayad ye bat aap mujhse behtar jante hai. Isiliye iske bare me jyada kuch btane ki jarurat nahi hai. Ha itna jarur kahunga ki mujhe abhi kuch personal problem hai jinki wajah se mai aap sabhi ke liye badiya nahi kar pa raha hu. But i hope aane wale dino me mai fir se aapke liye better work karunga or aapko ache se guide kar sakunga or useful and helpful information provide kar sakunga.
Blog Traffic Report june 2016
Blog kitna bhi naya ya purana ho uska traffic uski managing par depend karta hai. Mujhe blogging me lagbhag 1 year ho gaya hai or maine is 1 sal me jana hai ki jo blogger apne blog par jitna active rahta hai reader use utna hi pasand karte hai. Pichle kuch time se google search engine ke hindi ko hinglish se jyada support karne se organic traffic down hua hai but uski jagah par direct visitors increase ho rahe hai. Isi wajah se mai hinglish me likhna nahi chod raha hu kyuki mere kuch readers ayse bhi hai jo hinglish to padh sakte hai but hindi nahi.
June 2016 me supportmeindia par total 4,45,004 pageviews huye hai or total 1,58,369 user active the. Bounce rate 67% or new session 67% hai. Yaha aap iska screenshot dekh sakte ho.
Mujhe humesha se increasing pasad hai but yaha tak ka safar aasan tha ab yaha se aage badhna bahut mushkil hai. Iske liye mujhe dusro se kuch alag karna hoga jo aane wale time me sabhi internet user pasand kare. Yakinn mai aysa kar sakunga iske bare me abhi kuch nahi kah sakta.
Blog Traffic Source june 2016
Maine jab se blogging start ki thi kabhi social media ya kisi or platform par blog promotion ke liye online rahna pasand nahi kiya. Mera manna hai ki agar aap quality article likhoge to aapke reader hi aapke article ka promotion kar dete hai. So mai humesha other blogger se kahta hu ki jitna time aap other work like commenting, social sites par active rahte hai utne time me aap 2-5 badiya post content write kar sakte ho.
Yaha aap mere blog ka traffic source ka screenshot dekh sakte ho. Mostly koi bhi blogger apne blog ka traffic source publicly share nahi karta but mere kuch reader ke request ke bad mai ye option traffic reports me share kar raha hu.
Blog Income Report & Source June 2016
Mai ek hindi blogger hu or mera main income source google AdSense hai. Meri is blog se 70% earning AdSense se hi hoti hai. Mai shuru se hi hindi blog par AdSense earning kam hone wali bat ko avoid karta hu. Iske bare me maine ek post bhi likhi hai Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye isme maine hindi blog par bhi google AdSense se achi earning karne ke bare me btaya hai. Mera manna hai ki agar aap blog par quality content likhne me expert ho to aap AdSense se achi earning kar sakte ho fir chahe wo blog hindi me ho ya english me isse koi fark nahi padta. Ha itna jarur kahunga ki india ki tulna me USA, UK jaise other country me AdSense ki CPC jyada hoti hai.
Mai june 2016 ki earning report share karna nahi chahata but aapko itna jarur bta sakta hu ki maine is month pichle month se 30% jyada earning ki hai. New reader ko btana chaunga ki mai is blog par google AdSense, affilaite marketing and some other work se money earn karta hu. Earning source is tarah hai.
- Most earning source: Google Adsense
- Adsense high CPC: $24 at 3 june when i earn $112 in one day.
- Adsense low CPC: $0.09 june 17 when i earn only $13 one day.
- Average AdSense CPC: $0.17
June 3, 2016 ko meri blogging ki ab tak ki ek din ki sabse jyada earning hai jo ki USA se huyi hai. Mai USA ke mere un reader ko dil se thanks kahna chahunga jo mere blog par visit karte hai.
Note: Koi bhi reader comment me total earning ke bare me sawal nahi puchega. Future me mai khud iske bare me article likh kar information share karunga.
Finally, mai aapko yahi suggest karuna chahunga ki khamoshi se aage badhte raho. Apne talent se kaam karne wale log ek din mahan bante hai. Mai aap sabhi ko success blogger ke roop me dekhna chahata hu. I hope aap mujhe nirash nahi karoge. Agar aap mere real reader ho to apne sath baki blogger ko bhi sath le kar chalna shuru kare.
- $1123: SupportMeIndia Traffic and Income Report March 2016
- Support Me India Traffic Income Report – December 2016
Now, agar aap bhi apne blog se earning karte ho to aap comment me apni earning report share kar sakte ho or agar aapko blogging me koi problem ho rahi hai to bhi aap yaha uske bare me bta sakte ho. Agar mere pas koi solution hoga to aapki help jarur karunga.
I hope you may like this earning report, If yes then share this post on social media sites with your friends and other blogger.
arun kadam
Jumedeen Khan ji mera google AdSense ban ho gaya hai. ab mai mere bhai ke nam se apply karana chahta hu. lekin hamara dono ka adress shem hai chalega kya.
Jumedeen Khan
Aapka name to alag hai address same hai to bhi koi problem nahi hai.
Gaurav
sir alexa ne to claim retired kar diya hai may2016 se to kya ab ham free me alexa rank nhi lga payenge apne blog par… ? aap bhi kya ab paid alexa use kar rhe hai…
ya phir koi or tarika hai alexa rank ko blog me lagane ka… free me?
Jumedeen Khan
Nah iab alexa par koi service free nahi hai bas aap free me apni site ki rank check kar sakte ho bak isab piad hai. Site ke liye alexa buy karna jaruri nahi hai.
Md barkat
Hello.
Main Puch raha hn ke. jab main Hosting Liya tha us time 12 June Tha ab July start hogya hai…aur Muje Email aaya hai ke….Your Hosting are Expiry toh kya karun. main Toh ek Mahine ka hosting Liya hun.
Jumedeen Khan
Ab aap kuch nahi kar sakte aapki hosting expire ho gayi hai. Adhik jankari ke liye aapne jaha se hosting li hai unse customer care me call karo.
Harshad Bataviya
sir mene sitemaps.com pe aapne jese bataya vase sitemap wbmaster tools me submit kar diya hai aur ctrlq.org/ pe bhi sitemap generate karke use mene blogger me costom robote.txt me past kara hai to koi problem hoga ya nahi. mere kuch 1200 ke aaspas post hai… pls help me.
Jumedeen Khan
Harshit aap comment policy follow nahi kar rahe ho to first aap comment policy padh le. second aap galat sitemap create kar rahe ho sitemap is tarah hota ha example.com.sitemap.xml aap ye post padho Apni Website (Blog) Ke Liye Google Sitemap Kaise Banaye
Madarsa Faizululoom
Bhai Salam
meri site fast page par open ho rhi hai lakin home ke bajay contact page open ho jarah hai.
Jumedeen Khan
Aapki site proper sahi open ho rahi hai koi problem nahi hai.
vivek choudhary
1. Jumedeen ji, search console me post ko desktop mode me fatch kare ya fir mobile mode ya fir dono.
2. ham apni har post fetch kare to koi problem to nahi hai. ya phir monthly kitni kar sakte hai.
3. search console me “limit of crawl rate” ko high karne se karne se koi nuksaan to nahi hai.
Jumedeen Khan
1 and 2. fetch as google feature post ko jaldi search me lane ka idea hai. but mai ise support nahi karta kyuki isse bad quality post bhi jald isearch me show hone lag jati hai. Mai manta hu ki aap post ko fetch mat karo or dekho ki google aapki post ko kitne time me index karta hai. isse aapko badiya post likhne me help milegi or high quality and low quality post ke bare me pata chalega.
3.crawl limit aap 30 se jyada use mat karo. isse jyada use karne me google apaki site ko jaldi index nahi kar payega.
Saqlain
Great bhai par kya aap bata sakte hai USA ke clicks par itni earning kyo hoti hai or Adsense hindi bloggero ke liye kab CPC increase karenga bhai.
Jumedeen Khan
iski wajah hai dollar ke mukable rupees ki keemat 1 dollar me 65 rupees bante hai or humari site par india ki company ke ads show hote hai mostly hindi blog par to indian ads hi show hote hai. Ruppes ki kam keemat ki wajah se indian advertiser AdSense ko jyada payment nahi de pate hai isiliye google hume kam commission deta hai or USA me jyada.
vivek
sir mai ye janna chahta hu aapki post me 3 display ads show go rage hai par mai jab 3 display ads post me lagata hu to usme se niche se 2 ads show hote hai upar wala ads ki jagah blank show karta.
mera matlv hai 3 ads show ho karta h mob me but uoar me kbhi Bhi ads lagau.to 3 ads me se 2 ads niche se fast show hota h Mob me ..upar wala ads nhi yesa kue
Jumedeen Khan
ye problem aapko internet connection ki wajah se hoti hai. slow connection me AdSense black ads show karta hai.
Ramesh
Sir aapki dua se maine YouTube par 8 videos tarah tarah ki uplod kar di par problem yeh hai ki un sabhi videos ke total views 30 hi huye hai is se jyada views nahi ban rahe hai jabki uplod ki hui 1 month ho gaye hai.sir mujhe video share kaise karte ye bhi pata nahi aur share ka option kaha se milega ye bhi pata nahi pls help sir
Jumedeen Khan
Aap apni vidoes ko social sites par share karo share ka option YouTube par hi milega. aap apne video ko open karo uske niche share ka option hota hai.
Umesh Chavan
Bahi mujhe AdSense ka first step ka mail aaya hai but jab mai new ads create kar raha hu . tab ye message aa raha hai. “We apologise for the inconvenience, but we are unable to process your request at this time. Our engineers have been notified of this problem and will work to resolve it.”
Jumedeen Khan
ye temprory problem hai kuch time bad apne aap solve ho jayegi.
sandeep kaushik
bro mujhe aapse blog banwana h plz
maine aapko prenoly msg b kiya tha fb pr b aur aapke yha contact us me b par aapne koi b jawab nhi diya
Jumedeen Khan
Mai aapka message check karke reply kar dunga.
Amit tripathi
Thanks for publishing your income report
Aryan
Bro hum agar apni site ka link facebook, whatsapp, twitter etc. Par share kare to usse koi dikkat to ni hogi
Jumedeen Khan
Aryan aap ye kaisa sawal kar rahe ho. Aapko blogging me kafi time ho gaya hai r aap mere blog par bhi kafi purane reader ho mere bhai social site par post share karne se problem nahi fayda hota hai.
Gaurav
sir us post to aapne ye bataya hai ki siteline ko remove kese kare…
but sir siteline ko add kese kare? or siteline jyada trafic aane par aati hai kya?
Jumedeen Khan
Gaurav aap ek bar us post ko padh lo maine usme sabkuch btaya hai. Short shabdo mai aap sitelinks ko google me manualy show nahi kar sakte. Aapki site par ek tay traffic hone par google aapke liye ye service available karta hai. Iske liye aap blog par kuch pages banao jab reader un pages ko open karenge to kuch time bad aapki site ke search results me sitelinks show hone lag jayenge.
Aziz
Bhaut Badiya Jumedeen ji Mai Dua karta hoo Ki Aage Bhi Aap Acchi se Acchi Post Share kare
Aur Zyada se zyada se Earning kare.
Lekin Bro mai ye kahna chanhungaki Aap Mere iss Bataye Topic Par post kare
1. Aap Kitne Time Online Rehte hai
Online Time Me Kya karte hai
2. Aap Kitne time Offline rehte hai
Offline Time me Kya karte hai
3. Aap Topic Search kaise karte hai
Topic Ka Idea kaha se Aata hai
4. Aap Kis Time Post Share Karte hai
Aur Ek Din me Aap Zyada se zyada kitne Article likhte hai etc ki
Poori jankari aur Aap Reader ko bataye To Mai Aur Aapke Reader Kuch seekh sake aur mehnat kar sake
Mai Aapke Answer Aur Iss Post ka Wait karunga.
Jumedeen Khan
Sabse pahle mai aapko thanks kahna chaunga ki aapne meri life ke bare me pucha. Aane wale time me mai apne bare me details se post karunga.
Gautam Chaurasia
sir mujhe stock of images ki site banani hai koi tips dijiye sir…
Jumedeen Khan
Aap WordPress ya blog par bana sakte ho. But ye soch lo aap images kaha se laoge.
amir
sir Google account me to nmbr se v secure nhi hota nmbr option hi nhi aata to kaise kre…. bht br try gmail account save secure nhi hua
Jumedeen Khan
Aap gmail par log in karke account setting par ja kar sari setting kar sakte ho.
Sonu Rajput
Bhai jab bhi mere Adsense earning credit hoti hai to *Invalid Traffic* se Mere 1 ya 2 dollar ka Debit Hota hai , issey Mere AdSense Account ko koi problems to Nahi Hogi na
Jumedeen Khan
Koi problem nahi nahi sabhi ke sath aysa hota hai kuch invalid click ho hi jate hai.
Aamir ali
Salam jumedeen bhai posts ka title english me rakhna jyada better rahta hai ya hinglish me.
Jabki posts hinglish me ho.
Jumedeen Khan
Jis language me aap post content likho title bhi usi language ka use karo.
Aamir ali
Shayad sabse bdi galti yahi ho rhi hai. Mene aaj tak har posts ka title ye sochkar English me rakha ki log English me hi jyada search karte hain. Ab kya kru, kya sbhi posts ke title ko hinglish me kar lu? Agr kru to isse koi nagative effects to nhi pdega? Kya kru guide kren.
Blogs aapne dekhi hui hai ek hindi me or dusri hinglish hai.
Jumedeen Khan
Ha maine dekhi hai aap sirf post ke title change karna post ka url change mat karna.
Aamir ali
Bhai ye samajh nhi aa rha hai ki sbhi titles ko English se Hinglish me karta hu to fir search results ka kya hoga? Abhi to English titles hi search me show hote hain. Change karne se fir kaise nazar aayenge? Or aayenge bhi ya nhi.
Jumedeen Khan
aapke title change karne ke 2-3 day bad wo google me show hone lag jayenge.
Gaurav
Q#1 Sir mene bidvestiser se adds liye hain or jab me unke code ko apne blog par lagata hu to pc me to blog sahi khulta hai lekin opera me jab blog ko kholta hu automatic playstore khul jata hai us adds ke karan… appka ya koi or blog opera me kholne par adds show hote hain lekin playstore nhi khulta… phir mere sath esa kyu ho ra hai… pls bataye sir..
Q#2 add injection plugin me rand alll ka option kha milega?
Q#3 sir jab me aapke blog ka naam google par search karta hu to usme 6 option aate catagry ki tarha jaise
September 2015, Income Report,Privacy Policy… lekin jab me apna blog search karta hu to to usme koi catagry nhi aati only single line me aate hai… pls bataye sir ki ye hoga?
Q#4 sir jab me apne blog ki post ko google par search karta hu to blog ka naam hai post ka naam nhi aata…
post ka naam upar laane ke liye kya karna hoga jisse post ka naam uper or blog name neche aaye jaise aapka aata hai..?
Q#5 my last qsn sir.. WordPress me post ko likhne ke liye bhut kam option hai… jaise ki usme colour change karne ka option nhi hai.. jo ki blogger me hai… to uske saare option laane ke liye kon se plugin ka use karna padega.. plugin name?
Pls sir mere saare qsns ka answr de!
Jumedeen Khan
1. Bidvertiser me resrection ki problem hoti hai is wajah se aysa hota hai. isse acha aap AdSense use karo.
2. jaha aap ad code paste karte ho usme sbse upar Alignment me.
3. iske bare me mai aapko already bta chuka hu aap ywe post padho Google Sitelinks Kya Hai Extra Sitelink Ko Kaise Remove Kare
4. quality post likha karo post top position par aa jayegi.
5. aap yoast SEO or jetpack plugin use karo.