Hi, Friends 2016 ka 4th month start ho chuka hai. Now, Time hai Mera income, traffic and blogging experience share karne ka. Mai jab bhi apne blog ki traffic and income report share karta hu to mai chahata hu ki mere reader ko isse online paise kamane me help mile or wo or jyada mehanat kar sake. Or wo bhi mujhse bhi jyada success ban sake.
Supportmeindia ki income report se sirf aapko hi fayda nahi hota hai. Balki is par post likhte time mujhe bhi next month or jyada better karne ki prenna milti hai. Or mai try karta hu ki next month mujhe kya changes karne hai or kis tarah apne business ko or better banaya jaye.
“Mai ek hindi blogger hu or hindi blogging se jyada earning karna to mushkil hai”. Mai is bat ko nahi manta or ye sach bhi nahi hai. Agar hum mehanat kare to hindi blog par bhi achi income ki jaa sakti hai. Mai is bat ko isliye bhi nahi manta ki mere sath aesa nahi hua hai. Balki is liye nahi manta ki agar hum dil se mehanat kare to hume har kaa me saflta milti hai.
- Success Blogger Banne Ke Liye Ye 5 Tips Follow Kare
- Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites
78,000: Support Me India March 2016 Traffic & Income Report
March 2016 ki starting me mai rajasthan journey par tha or 10 march tak comments ke alawa meri blog par koi activity nahi thi. 11 march 2016 se maine supportmeindia par work start kiya or is month ke last tak mai only 43 articles hi publish kar paya hu. Jinme se 5+ Guest Post hai.
Support Me India Traffic Report March 2016
Maine march 2016 me 21 day hi work kiya hai. But jaisa mai already bta chuka hu ki blogging ek aysa way hai jisse aap 24 hours paise kamate rahte ho. Mere readers ko daily new update pasand hoti hai or mai kah sakta hu ki jyadatar audience supportmeindia ki new post ka hi wait karte hai. Jiski wajah se mujhe 1 to 10 march tak traffic and earning, blog rank and other se kafi nukshan hua hai. March 2016 me supportmeindia par total 350k+ pageviews huye hai. Yaha aap last 30 day ka screenshot dekh sakte ho.
Support Me India Income Report March 2016
Mujhe blogging ki starting se hi traffic or income dono me better result mila hai. Same last month february 2016 ki tarah is mahine me bhi mujhe acha result mila hai. Or mujhe afsos hai ki mai march ke first 10 dino me work kyu nahi kar paya. Is mahine me maine supportmeindia se total $1123 earn kiye hai. Jiske source is parkar hai.
- Google Adsense: $876.32
- Affiliate Marketing: $130.17
- Blogging Service: 4,500 INR
- Youtube Videos: $10.82
- Other Work: $106
Total Earning: $1123 (74,000 INR)+4,500 = 78,500 Indian Rupee
Payout Source:
Internet Connection, Wordpress Hosting, Mobile Internet, Office Charge andOther Work Total Payout: 12,300 rupees
Now, Total Income: 78,500 – 12,300 = 66,200 INR
Ab Aapki bari hai aap apne blog se kitne paise kama rahe ho or kis kis tarike se kama rahe ho. Aap apni income report niche comment me share kar sakte hai. Or agar aapko earning karne se related koi problem ho rahi hai to aap uske bare me bhi yaha bat kar sakte ho. Mai chahata hu ki har ek blogger success bane or apne blog ko uchaiyo par le jaye.
- 10 Blogging Tricks Jo Aapko Successful Blogger Bana Sakti Hai
- Kya Aap Ek Successful Blogger Banna Chahate Hai – Success Baniye
Agar aap chaho to is post ko social media par apne friends and other hindi blogger ke sath bhi share kar sakte ho.
Amar Banshiwal
Hi jume deen,
Congratulations, your are inspirational for hindi blogger. Carry on
Ankit Jha
Pehle har post 2-3 ghante ya fir instantly index ho jate the lekin 4 days se mere post index nahi ho pa rahe pata nahi kyu jabki aap mere post check karlo main koi bhi copyrighted material use nahi karta aur mere post ekdum unique hote hai aur internet pe bohot kam hi aise post hai lekin jab main apne post se related kuch search karta hu toh mera post google plus pe show hota hai jo ki maine publish karte time google plus pe share kiya tha. Plz koi solution batao
Jumedeen Khan
Ankit aap post title ke all chracters capital word me likh rahe ho. Jabki aapko aysa nahi karna chahiye. Its big mistake.
Ankit Jha
Bhai yeh template ke design ke karan show ho raha hai main toh har word ka pehla letter capital mein aur baki ke letters small mein likhta hu aap chahe toh google pe mere kisi post ko search karke dekh lo
Jumedeen Khan
Is problem ko solve karo. Or aapko SEO ke bare me kafi kuch maloom hai so seo friendly post likho. Aapko ache se pata hai ki first paragraph me kua likhna hai. Fir hi, hello jaise word sabhi post me use karne ki jarurat nahi hai. First paragraph me aysi lines likho jinhe padh kar user aapki post padhna chahe.
Ankit Jha
Thanks bhai suggestion ke liye main aapke advice zaroor follow karunga, Thode der pehle jab maine google pe apna blog search kiya toh mere sare new post show ho rahe the lekin jab main post title se related keywords search karta hu toh google plus pe share kiya hua post show hota hai blog ka nahi toh kya mujhe google plus pe post nahi share karna chahiye ?
Jumedeen Khan
Karni chahiye. Google plus google ki hi service hai. Uski post fast index hoti hai.
bhagi
wordprrsh par aap post kese likh te hai vo bata sak te ho us ke fiuchars jesi ki aap bich me taitl likha te ho vo bhulu calr ki pati aati hai or font ka calar vo sab ditel me bata sakte ho
Jumedeen Khan
Bhagi. pahle aap blogger blog par ache se post likhna sikh lo. WordPress ke bare me bad me sochna.
vivek darji
muje apne blog me kya kya eding karna jarur he aur kya add karu jarur bataiyega
Jumedeen Khan
Aapka blog already better hai bas aap post me ads use karo or links ads bhi use karo. isse jyada income hogi.
vikram
tusi great ho sir ji ….yuhi aage badhte raho
Chakradhari kumar thakur
Congratulation bhaiya…. itne kam samya me itna aage nikalna to koi aapse sikhe phir o dekhe aage kaise nhi badhta hai……. agar koi bhi ho sache dil se aur man laga kar mehnat karega to o 100% aage badega. aur iska jita jagta uddahran hai Aap
Vicky Pawar
Wow bhai bhohat achya…. yese hi karte raho
surendra rsdp
Brother aapki baat sahi hai lekin maine Payee profile , Swift bic code , Bank details sab kuch check kar liya hai Aor Sabhi Sahi hai .
Lekin mere ek baat samaj me nahi aa rahi hai ki agar koi problem hoti toh AdSense hamko suchna bhej deta lekin Adsense ki traf se bhi abhi tak koi email , sms nahi aaya hai .
Jumedeen Khan
Nahi AdSense payment send karne ke bad aapko ek message bhejta hai ki aapka is tarikh ko payment send kar diya hai jo aapko 3-5 day me mil jayega. warna apni bank branch se contact akre. uske bad AdSense koi message nahi bhejta hai. kya aapko ye message mila hai. Finaly mujhe confirm hai aap sirf swift code wali bank se hi contact kar sakte ho.
rohit
Sir mujhe plz meri email PR bta dijea pz sir kuch samaj nhi Aa RHA h plSIR HELP ME
Jumedeen Khan
Aap mujhe facebook par contact karo. Mai aapko details me bta dunga.
rohit
Sir mere pass computer to h nhi to kya Mae phone se nhi paise kma skta hu plz help me
Jumedeen Khan
Rohit maine aaj tak har mobile user ko mana kiya hai ki hum mobile par blogging ko manage nahi kar sakte. Example: aapko mobile se work karne me jaha 24 hours lagenge aap wo kaam desktop par 2-5 hours me kar saktwe ho. Ab aap anuman laga lo ki mobile par sirf time west karna hai. Agar aap blogging karna chahate ho to mai aapse kahna chahunga ki aap new nahi to second hand desktop le lo. Aaj kal 8000 to 10000 me mil jate hai.
surendra rsdp
brother , aap jis trha se blogging ki raftaar me hai wo ek Super fast raftaar kyu Support me india phela ek esa blog hai jo bhut km samay me apni Uchiyo tak puhuch chuka hai .
itni popularity ka sirf ek hi raaj hai ki Aap supportmeindia ko daily update karte ho kyu ki mai toh aapka daily reader hu isliye mujhe aaki site ki popularity ka pata hai .
but ab aap meri problem bhi solve karo aor mujhe batao ki mai payment ko kaise recive karu . kya mujhe Jaipur jana hoga kya ? ab mujhe last solution batao .
Jumedeen Khan
You are right surendra. Mai apni success me daily update ko sabse ahem manta hu. Or ab to mere readers ko bhi iski aadat ho gayi hai. mere blog par daly visit karne ke liye thanks.
Surendra aap us bak ke customer care me bat karo. AdSense ka payment nahi milne ki top 2 wajah hoti hai.
1. Aapke AdSense payee porfile address or bank address me difference ho.
2. Ya fir aapne galat swift code use kiya ho.
Jaha tak mujhe pata hai galat swift code use karne se aapka payment wapis AdSense account me aa jata hai. But iski koi gaurantee nahi hai.
Aap ache se check karo. Aapse kahi na kahi koi galati jarur huyi hai.
Ankit Jha
Main bhi puri mehnat karne ki koshish karta hu but i don’t know mera luck kab bright hoga aapki tarah
Jumedeen Khan
Ankit aapne bilkul sahi kaha. Kabhi kabhi kismat se koi cheez milne me time lag jata hai. But i sure aap bhi ek din mujhse bhi aage pahuch jaoge.
Dilip
apne Jo office charge bataya hai bo samjh me nhi aaya kya support me India ki office khole li h
Jumedeen Khan
Ha mai 2016 se office me hi work karta hu.
abdul khan
Mubarak ho bhai….bahut jald aap 1lakh cross kroge insha allah…bas aese hi great article likhte raho aap
Jumedeen Khan
Thanks abdul sirf mai hi nahi aap bhi mere sath chaloge to bahut acha lagega.
abdul khan
yes bhai jarur aap ke sath sath jarur sikhenge aur badhenge insha allah…mahenat bahut karna hai aur bahut kuch sikhna hai dheere dheere, bhai aapki site par kuch error show hoarah hai sayada aapka traffic bahut increase hogaya hai.. search me mai kuch bhi post search kar raha hun aapki site par to ye error show hoaraha hai aap check karlen “this site or app is sending too much traffic to rawgit.com. Please contact its owner and ask them to use cdn.rawgit.com instead, which has no traffic limit.”
Jumedeen Khan
Ok mai is porvlwm ko jald solve karunga.
Ayush
Hellow,me jb apne blog ko operamini me open karta hun toh jo sidebar ke widget hai wo cut ho jaate hai…
PLease reply fast…. i dont want to change my theme… jaldi se koi solution btaye
Jumedeen Khan
Theme ke style.css form me jao or mobile version ka width present me set karo. jaise 100%, 90%.
Ayush
style.css ke kiye koi external code daalna pdega?
Jumedeen Khan
Nahi iska option pahle se hota hai. Aap WordPress user ho to style.css me set karo or blogger user ho to blogger template me ja kar widget change karo.
Ayush
me blogger user hun.. or yeh problem sirf opera me aati h .. kya karun me aap acche se btayeh ?please
Jumedeen Khan
Isse jyada ache se nahi bta sakta. Kyuki har template me iska option alag alag hota hai. Jaise kisi me only screen, kisi me mobile screen. Aap ye tabhi kar sakte ho jab aapko blogger ki coding aati ho.
Ankit Jha
Opera mini javascript support nahi karta sath hi opera mini har web page ko compress karke dikhata hai isliye aisa hota hai better to use chrome
atul
congrats jumedeen , tumhe aage badta dekh kar kaafi acha lagta hai, i wish you be a lot of sucess in life.
Jumedeen Khan
Thank you atul. Mera aage badhna aap jaise dosto par hi depend karta hai.
Dilip
nice keep blogging
rohit
Sir hme meri email is d PR msj krke bta skte h plz sir meri help or do home bhi paisa kaman a h plzzz
Jumedeen Khan
Rohit aap supportmeindia ki wo post padho jo aapke kaam ki hai. Uske bad aapko sabkuch samajh aa jayega. or agar nahi aaye to puch lena.
vikash
Mood khrab ho gya bhai , meri income kab hogi itni.
Jumedeen Khan
Vikash aap bas mehanat karo. Income khud be khud increase ho jayegi.
vivek darji
Congratulation Bhai….Aur Aage Badhiye aur logo ki help karte rahiye… esi hamari bhagwan se prarthna he…
Jumedeen Khan
Thanks vivek, Bahut bahut dhanyawad