SupportMeIndia Blog Traffic & Earnings Report September 2016

I hope aap sabhi ko SMI hindi blog ki traffic and income report ka intjar hoga or aap eagerly supportmeindia blog ki earning report ka wait kar rahe hoge. Agar haa to aaj ka din aapke liye baki se behtar ho sakta hai. Because main is post me aapko apni september 2016 ki blogging earnings report ke bare me btane ja raha hu.

Hindi blog traffic and income report

Maine july 2016 ke bad koi earning report share nahi ki bahut se logo ne mujhse iske bare me sawal puche but maine unhe sirf itna kaha ki kuch wajah se abhi income report share nahi kar pa raha hu but aane wale time me apni earning report share jarur karunga.

Aaj is article me aapko mere earnings report share na karne ke reason ka bhi pata chal jayega or shayad aap iske bare me janna bhi chahate honge ki main kyu earning report share nahi karta tha.

Why I Don’t Share Earning Report:

Actually, kuch bloggers ka manna tha ki hindi blog se jyada earning nahi kar sakte the but main is bat ko nahi manta kyuki maine blogging ki starting hindi blog se hi ki thi or maine shuru se hi blogging se badhiya kamayi ki hai. Main already old income report posts me iske bare me bta chuka hu.

Maine social media and kuch other hindi blog par iske bare me suna tha ki hindi blogging se lakho nahi kama sakte. So maine iske bare me pata kiya or finally main jan gaya ki only kuch hi hindi blogger hai jo blogging se lakho kama rahe hai.

Jaha tak mujhe pata hai aaj hindi blogging me lakho blogger hai or daily bahut sare log blogging ki duniya me entry kar rahe hai. Inme se kuch fail ho jate hai or kuch sucessful blogger ban jate hai. Maine isme ek bat note ki hai ki isme time value nahi rakhta. Kyuki kuch logo ne jo salo me kia wo kuch blogger ne ek sal se bhi kam time me kar dikhaya.

Jaha tak mujhe pata hai aaj bhi kuch aese blogger hai jinhe blogigng me 5 year se jyada time ho gaya hai but no success. Jab mujhe unke bare me pata chalta hai to mujhe bahut dukh hota hai. Main aaj tak samajh nahi paya ki aakhir ye log itne time tak karte kya hai.

Is bare me bat karenge to shayad post khatm hi nahi hogi so main apne topic par aata hu. Maine bahut sare hindi blog ka review kiya or mujhe pata chala ki sirf kuch hi log positive feeling rakhte hai baki sabhi ki soch hai ki blogging se lakho nahi kama sakte or ye imposible hai..

Actually, main easily apne reader ko bta deta tha ki meri earning kitni hai but kuch logo ne meri soch badal di unka kahna tha ki aapki earning itni nahi ho sakti or hindi blog se itni kamayi nahi ki ja sakti.

Us time maine soch liya tha ki logo ko jaban se nahi waqt se jawab dena behtar hoga aur me usi din earning report share karunga jis din meri earning dauble ho jayegi.

Aaj wo din aa gaya hai un sabhi logo ke liye ek edification le kar jo kahte hai ki hindi blogging se lakho nahi kama sakte. Yes, hum kama sakte hai or shayad ek nahi kei lakh kama sakte hai.

Support Me India Traffic and Earnings Report September 2016

Hum hindi blog se bhi achhi earning kar skate hai. Main is bare me aapko kisi or ka example nahi dunga balki main aapse kahunga ki aap mujhe hi dekh sakte ho main ek graduate student hu jisne apni study chord kar blogging me apna career banaya.

Agar main blogging se itne paise kama sakta hu to aap kyu nahi, aap bhi kama sakte ho or shayad mujhse bhi jyada kama sakte ho. Bas aapko hard work karne ki jarurat hai.

SupportMeindia Traffic Report September, 2016

Main pichle kei month se soch raha tha ki aakhir kab main blogging se dauble earning kar paunga or wo kounsa month hoga or shayad september ka mahina mere liye lucky raha hoga tabhi main aaj aapke sath apne traffic report share kar raha hu.

Yaha par aap SMI hindi blog ki traffic report ka screenshot dekh sakte hai.

supportmeindia traffic september 2016

I know aapke blog par isse bhi jyada traffic ho sakta hai. Mujhe blogigng me 1 year se jyada time ho gaya hai or jaha tak mujhe pata hai ek sal me ye traffic bahut kam hai but main isse satisfied hu or mere liye ye kafi hai, halaki main chahata hu ki main abhi or progress karu.

Traffic Source:

Supportmeindia par mostly search engine and direct traffic adhik aata hai. Wese bhi mera main source yahi hai kyuki sabhi jante hai ki main apni posts ka social media ya other way se jyada promotion nahi karta user apni choice se meri site par visit karte hai.. Baki idea aap is image se laga sakte ho.

SMI referrala traffic source

Screenshot me aap clear dekh sakte hai ki smi blog par 80% organic search traffic hai or blog par sabse jyada traffic search engines se hi aata hai. Jyadatar traffic google search engine se aata hai.

April, 2016 ki tulna me blog par referral or social traffic kam hai. Shayad iska reason mera social sites par active nahi rahna hai. Agar main social sites par apne visitors se connect rahta to shayad mujhe isse adhik traffic mil sakta tha.

Support Me India Income Report September 2016

Income:


Total Earnings: $2350 (1,56,800) + Rs 17, 800 = 1,74,600 Indian Rupees

Ye earning with expenses hai yani sabkuch less karne ke bad bhimeri september 2016 ki earning 1 lakh se jyada hai yani logo ki ye bat yahi par khatm ho jati hai ki hindi blogging se 1 mahine me ek lakh nahi kama sakte. Maine blogging ki starting passion ke liye ki thi par mujhe isse bahut kuch mila hai or main kah sakta hu ki wakai blogging se hum lakho kama sakte hai.

Main aaj bhi blogging paise ke liye nahi logo ki help karne ke liye karta hu. Bachpan me maine apne teacher se sikha tha ki paise ke piche mat bhago uske kabil bano or jab tum iske layak ban jaoge to wo khud be khud tumhare pas aayega.

Main bhi aap sabhi se yahi kahunga ki kisi ke piche mat bhago or mehanat karo yakinan ek din aapko aapki mehanat ka fal jarur milega.

Agar aap ek blogger ho or blogging me career banana ho to main aapko suggest karunga ki imandari se wok karo or hard work ke sath smart work ko apnao aapko saflta jarur milegi.

Maine aapke sath yaha apne blogging ke experiences ke sath earning report share ki hai, ummid karta hu isse na sirf aapko success ki sikh milegi balki ek din aap isse bhi better kar ke dikhaoge or mujhe us din ka intjar rahega.

Good luck guys!!!!!!!!!

Reader Interactions

Comments (231)

  1. 1- sir blog me agar hum image lagate hai to uski size 1 MB se 2 MB ke beech rehti hai agar aise hi image hum use karenge to website ki loading speed slow ho jayegi.. so plz mujhe bata dijiye ki image ki size kaise kam karu? aur aap kya karte hai ui image ki size kam karne ke liye jisse image MB me na hokar KB me ho jaye.

    2- AdSense ka ads homepage pe kitne lagane hai aur blog post pe kitne ads show karne hai. ye setting kaise karte hai?

    3- aur sir ads placemt kaise karu? kyu ki maine apka comment padha tha ki homepage pe 300*600 size ki image na lagao. mujhe ye samajh nahi aya ki ads placement ek bar kar dete hai tab wo sabhi jagah same show hota hai na?

    4- mai isse pahle blogger pe website banayi thi so uske bare me pata hai ki ads code kaise lagane hai.. but abhi mai WordPress pe new hu.. to kya aap bata sakte hai ki WordPress me AdSense ke ads kaise lagaye jate hai.

    • 1. Oh ek image ka size 20 kb to 200 kb hota hai. Aap itni badi image use mat karo. Aap photoshop use karo.
      2. iske liye aap humari AdSense se related post padho.
      3. Ye post check karo Google Adsense Ads Ko Optimize Karne Ki Top 15 Effective Tips
      4. Aap WordPress par ad injection plugin ue karo.

  2. a.s.o
    sir ager hum post tittle ko english (how to make money online) aur per post ko urdo ya hindi me likhe like انٹر نیٹ سے پیسے کیسے کمایں to chaly ga ya nahe problem hogi……….!

    • Chalega.

  3. Sir me janana chahta hu ki
    1. AdSense par aapko kitne clicks mile.
    2. other services me aapne kis kis cheej ke liye charges diye hai.
    3. Kya aap semrush use karte hai. Agar use karte hai toh kya ek blog ko successful full banane ke liye yeh kitna useful hota hai. Agar nahi karte toh konsa keyword research tool use karte hai aur kyu.
    4. Long tail keyboard research ke liye kya aap free aur paid tool use kr rahe?

    • Harpreet main jitna bta sakta hu post me bta chuka hu. Semrush maine use kiya hai abhi nahi karta. Yes ye bahut hi badhiya hai. Main ek hindi blogger hu or english blogging ke liye ini jyada jarurat hoti hai.
      Aapko btana chahunga ki me SEO se se jyada user ke liye likhta hu.

  4. Hello Sir, aap infolinks or Adsense ek saath use kar rahe ho kya mai bhi kar sakta hu apne blog par

    • Haa kar sakte ho.

  5. Bahut khush huaa sir aapki income repport dekh kar,kyu ki ak india international fields se india me money Earn karta hai, country ke grouth me aapka name bhi shamil hoga, sir me aapse ak baat pusana chahta hu, maine jab bhi google pe serch kiya tab aapki 2-3 post fist renk par hi show hogi hi, kisi bhi topic par, Or Maine vahi topic par 5-6 post share ki hoti hai, feer bhi 20-25 renk par show hoti hai, sir aapki SEO ke baare me sabhi post read ki hai use follow bhi ki hai, to sir me ye janna chhhata hu ki iske pise ki vajah kya hai?

    • thank you sanju,
      Is bare me main aapse kuch nahi kah sakta aap mer worka ka review kar sakte ho.

  6. sir aap kamal ke ho
    mai aapse itna kush hu ki kuch baya nahi kar sakta hu. vaise apne jo kia hai bahut khub hai
    aap aage aise hi badhte rahiye aur apne knowledge se ham sab ki help karte rahiye mai bhagvaan se dua karta hu aap aur aage badhe.
    thanx

    • Thank you shashikantji. Aapki dua ke liye shukriya.

  7. Bounce Rate 32.90% … Gajab , i think bounce rate ka bahut bda yogdan hai aapki earning me. Congo. and thanks.

  8. Hi Jumedeen,

    Congrats it is really inspiring.

    Well, Can you tell me how you have implemented dashicons on categories?

  9. Hello Bro.,WordPress.org ke home page par sabhi post me ‘Read More…’ ka link kaise lagate hai.

    Read more ka option theme me pehale se built hota hai yaa koi setting karni padhati hai. Mai chahata hu ki home page sabhi post me automatic read more ka option add ho jaye…iske liye kya karu ??

    • Ye option pahle se theme me bhi hota hai or alag se bhi laga sakte hai. pahle se add wali theme use karna best hai.

  10. Hello bhai mene 13 din pahle AdSense ke leye apply keya tha abhi tak koi reply nahi aya. Mujhe ye puchna he apnse ki AdSense aproved hone me kitna time lag jata hai.

    • Mera AdSense account ek hi day me approve ho gaya tha aapki site par koi kami hogi or AdSense aapko iska mail send karega aapke pas wait karne ke siwa koi rasta anhi hai.

  11. #1 sir agar ham ek post me AdSense ke ek size ke 2 ads lgana cahe to lga sakte hai? uske liye hame use code ko 2 bar lagana hoga ya ek or new ads create karna hoga..?
    #2 or agar ham ek he size ke 2 ads lgana chate hai,, ek display ads or ek text ads to phir kya ek he size alag alag ads create karke lga sakte hai?

    • Haa laga sakte ho. ek hi ads code ko kitni jagah par bhi laga sakte ho ha laga sakte ho.

  12. aapne WordPress ko 1-click se install kiya hai yaa manully install kiya hai…

    1-click & manual installation me sabse achha kaun sa hai.

    • 1 click installation better hai. Aapko hosting cpanel par WordPress ka option milta hai us par click karke kar sakte ho. Manually karne me bahut problem hoti hai.

  13. Jume deen bhai apka page view toh 566.313 dekha raha hai..iska matlb thoda betayenge..??

    • Iska matlab hai ki pageviews 566,313 hai.

  14. omg bro… you are rocking in india. bahut hi zabardast sir. may allah bless you for next month. hope you will earn in seven digits soon.
    and bro i have a question. mera AdSense adress pin mang raha hai. wo kaha se milega?

  15. sir mera AdSense approv ho gya hai. mene ads bhi lega diye hai per wo show nhi ho rahi plzz help me.

    • Abhi aap thoda wait karo AdSense fully approved hone ke bad ads show honge.

  16. bro aapki ek post me “Kyu Log Aapke Blog Ko Read Nahi Karte, Iski Wajah Kya Hai” 6 content ads show ho rhe hai.. 1 header, 1 sidebar, 4 in post jabki aapne to esa kha tha ki only 3 content ads lga skte hai?????

  17. Hii sir nice apka blog per blogging aur AdSense saw relatid har post hai apka blog par comment ka bohat jaldi reply mil jata h aur ye income report September ki h ya 3no month ki

    • Oh, please read carefully post content.

  18. Congratulation sir. you are unique.

  19. Good bro! Yeh sab aapki mehnat hain. (^_^)

  20. hlw bro, mujhe bhut khushi hue aapki ye earning dekh kar. umeed krta hu aapki next income report ki earning esse bhi jyada hogi..
    aap mere kuch qsn ke answer de digye pls..
    1. agar hmare blog ka clour blue hai or post ka bhi to kya ham blue clour ka AdSense text ads use kar sakte hai?
    2. AdSense ke text ads or display ads me se kon sa better hai? or kisse jyada earning hoti hai?
    3. agar ham adesnse ke code ko encode me convert karke lagaye to AdSense ko to koi prvlm nhi hogi?
    4. check my blog & posts. or bataye ki blog me or ads placement me kha kami hai? (abhi mene saare ads use nhi kiye hai)

    • Thank you gaurav,
      1. ha kar sakte ho.
      2. aap dono use karo dono better hai. wese display ads jyada better hai.
      3. yes bilkul hogi AdSense aesa allow nahi karta.
      4. Mujhe aapke blog par sirf 2 hi ads dikh rahe hai ek sidebar me or ek post middle me jo ki sahi hai aap post ke first me bhi ads use kar sakte ho.

      • bro mere blog past par jo ads lga hai use mene encode me convert karke lagaya hai. kyuki bina convert kiye ads lag he nhi rha,, i mean template save nhi ho rha hai. so ab main kya karu…? ads ka code kaise lagau post k middle me..?
        mene google par search koya tha usme jitni bhi ads ke code lgane ki post thi sab me ads code ko encode me convert karna tha,, or jisme nhi tha uske trick work nhi kar rhi thi. so esliye mene code ko encode me cnvrt krke lgaya hai. but aap khe rhe hai ki esa nhi kr sakte. why?
        to ab me kya karu.. pls tell bro.

        • Mail aapko already kah chuka hu ki AdSense code ko edit mat karo. Aesa karne par aapka AdSense account bann bhi ho sakta hai.
          Main nahi bta raha ye AdSense ki terms hai baki aapko jo achha lage kar sakte ho.