SupportMeIndia Blog Traffic & Earnings Report September 2016

I hope aap sabhi ko SMI hindi blog ki traffic and income report ka intjar hoga or aap eagerly supportmeindia blog ki earning report ka wait kar rahe hoge. Agar haa to aaj ka din aapke liye baki se behtar ho sakta hai. Because main is post me aapko apni september 2016 ki blogging earnings report ke bare me btane ja raha hu.

Hindi blog traffic and income report

Maine july 2016 ke bad koi earning report share nahi ki bahut se logo ne mujhse iske bare me sawal puche but maine unhe sirf itna kaha ki kuch wajah se abhi income report share nahi kar pa raha hu but aane wale time me apni earning report share jarur karunga.

Aaj is article me aapko mere earnings report share na karne ke reason ka bhi pata chal jayega or shayad aap iske bare me janna bhi chahate honge ki main kyu earning report share nahi karta tha.

Why I Don’t Share Earning Report:

Actually, kuch bloggers ka manna tha ki hindi blog se jyada earning nahi kar sakte the but main is bat ko nahi manta kyuki maine blogging ki starting hindi blog se hi ki thi or maine shuru se hi blogging se badhiya kamayi ki hai. Main already old income report posts me iske bare me bta chuka hu.

Maine social media and kuch other hindi blog par iske bare me suna tha ki hindi blogging se lakho nahi kama sakte. So maine iske bare me pata kiya or finally main jan gaya ki only kuch hi hindi blogger hai jo blogging se lakho kama rahe hai.

Jaha tak mujhe pata hai aaj hindi blogging me lakho blogger hai or daily bahut sare log blogging ki duniya me entry kar rahe hai. Inme se kuch fail ho jate hai or kuch sucessful blogger ban jate hai. Maine isme ek bat note ki hai ki isme time value nahi rakhta. Kyuki kuch logo ne jo salo me kia wo kuch blogger ne ek sal se bhi kam time me kar dikhaya.

Jaha tak mujhe pata hai aaj bhi kuch aese blogger hai jinhe blogigng me 5 year se jyada time ho gaya hai but no success. Jab mujhe unke bare me pata chalta hai to mujhe bahut dukh hota hai. Main aaj tak samajh nahi paya ki aakhir ye log itne time tak karte kya hai.

Is bare me bat karenge to shayad post khatm hi nahi hogi so main apne topic par aata hu. Maine bahut sare hindi blog ka review kiya or mujhe pata chala ki sirf kuch hi log positive feeling rakhte hai baki sabhi ki soch hai ki blogging se lakho nahi kama sakte or ye imposible hai..

Actually, main easily apne reader ko bta deta tha ki meri earning kitni hai but kuch logo ne meri soch badal di unka kahna tha ki aapki earning itni nahi ho sakti or hindi blog se itni kamayi nahi ki ja sakti.

Us time maine soch liya tha ki logo ko jaban se nahi waqt se jawab dena behtar hoga aur me usi din earning report share karunga jis din meri earning dauble ho jayegi.

Aaj wo din aa gaya hai un sabhi logo ke liye ek edification le kar jo kahte hai ki hindi blogging se lakho nahi kama sakte. Yes, hum kama sakte hai or shayad ek nahi kei lakh kama sakte hai.

Support Me India Traffic and Earnings Report September 2016

Hum hindi blog se bhi achhi earning kar skate hai. Main is bare me aapko kisi or ka example nahi dunga balki main aapse kahunga ki aap mujhe hi dekh sakte ho main ek graduate student hu jisne apni study chord kar blogging me apna career banaya.

Agar main blogging se itne paise kama sakta hu to aap kyu nahi, aap bhi kama sakte ho or shayad mujhse bhi jyada kama sakte ho. Bas aapko hard work karne ki jarurat hai.

SupportMeindia Traffic Report September, 2016

Main pichle kei month se soch raha tha ki aakhir kab main blogging se dauble earning kar paunga or wo kounsa month hoga or shayad september ka mahina mere liye lucky raha hoga tabhi main aaj aapke sath apne traffic report share kar raha hu.

Yaha par aap SMI hindi blog ki traffic report ka screenshot dekh sakte hai.

supportmeindia traffic september 2016

I know aapke blog par isse bhi jyada traffic ho sakta hai. Mujhe blogigng me 1 year se jyada time ho gaya hai or jaha tak mujhe pata hai ek sal me ye traffic bahut kam hai but main isse satisfied hu or mere liye ye kafi hai, halaki main chahata hu ki main abhi or progress karu.

Traffic Source:

Supportmeindia par mostly search engine and direct traffic adhik aata hai. Wese bhi mera main source yahi hai kyuki sabhi jante hai ki main apni posts ka social media ya other way se jyada promotion nahi karta user apni choice se meri site par visit karte hai.. Baki idea aap is image se laga sakte ho.

SMI referrala traffic source

Screenshot me aap clear dekh sakte hai ki smi blog par 80% organic search traffic hai or blog par sabse jyada traffic search engines se hi aata hai. Jyadatar traffic google search engine se aata hai.

April, 2016 ki tulna me blog par referral or social traffic kam hai. Shayad iska reason mera social sites par active nahi rahna hai. Agar main social sites par apne visitors se connect rahta to shayad mujhe isse adhik traffic mil sakta tha.

Support Me India Income Report September 2016

Income:


Total Earnings: $2350 (1,56,800) + Rs 17, 800 = 1,74,600 Indian Rupees

Ye earning with expenses hai yani sabkuch less karne ke bad bhimeri september 2016 ki earning 1 lakh se jyada hai yani logo ki ye bat yahi par khatm ho jati hai ki hindi blogging se 1 mahine me ek lakh nahi kama sakte. Maine blogging ki starting passion ke liye ki thi par mujhe isse bahut kuch mila hai or main kah sakta hu ki wakai blogging se hum lakho kama sakte hai.

Main aaj bhi blogging paise ke liye nahi logo ki help karne ke liye karta hu. Bachpan me maine apne teacher se sikha tha ki paise ke piche mat bhago uske kabil bano or jab tum iske layak ban jaoge to wo khud be khud tumhare pas aayega.

Main bhi aap sabhi se yahi kahunga ki kisi ke piche mat bhago or mehanat karo yakinan ek din aapko aapki mehanat ka fal jarur milega.

Agar aap ek blogger ho or blogging me career banana ho to main aapko suggest karunga ki imandari se wok karo or hard work ke sath smart work ko apnao aapko saflta jarur milegi.

Maine aapke sath yaha apne blogging ke experiences ke sath earning report share ki hai, ummid karta hu isse na sirf aapko success ki sikh milegi balki ek din aap isse bhi better kar ke dikhaoge or mujhe us din ka intjar rahega.

Good luck guys!!!!!!!!!

Reader Interactions

Comments (231)

  1. Bhai aap kaun sa Plugin use karte ho Social Share ke liye. Please suggest good Plugin

    • social warfare.

  2. Are Wah!
    Ese to hamne bhi khoob blogging ki h pr kabhi itni success ni paayi h
    Anyway
    Congretulations 🙂

  3. “”Main aaj bhi blogging paise ke liye nahi logo ki help karne ke liye karta hu. Bachpan me maine kisi se suna tha ki paise ke piche mat bhago uske kabil bano or jab tum iske layak ban jaoge to wo khud be khud tumhare pas aayega.””

    Mujhe upar ki line bohot acchi lagi. Really marvelous

    • thank you and welcome bro

  4. sir mera contact us main jab koi aapni detail bhar kr aage ka process karna hai click karne ke bad phir back vahi aa jata hai process aage nahi badta kya karu iska solution bataye.

    • Contact forum me message karne ke bad wohi page open hoga. bas send message ka option show hoga.

  5. Atcha laga dekh k aapki earning. me bhi hard work kar raha hun, kya pata me bhi successful ho jau.. 😉

    • god bless you

  6. Bro apne WordPress website ko kisi bhi tarha ke hacking ya kisi bhi chiz se kaise protect karke rakhein. Please advice.

    • Iske bare me humari security se related post padhe.

  7. Wo kehte hai na.. JO HOTA HAI ACCHHEE KE LIYE HOTA HAI.. SAHI KEHTE HAI..

    aap sabhii yuvaao ke liye prernasrot hai.. aap wo sitaara hai jise dekhne ke baad inssan chaand ki ahmiyat bhool jaaye…

    Hum sabki duuwaaye sadaa aapke saath hai..

    • Thank you and welcome kushal

  8. bhai kya aapko bhi pichle months se low cpc mil rahi hai ? Aapke cpc mein kitne % girawat aayi hai

    • Yes is month ki CPC last month ki tulna me down hai.

  9. Will sincerely support this blog after reading the income report. I thought this is my 2nd visit to your blog and impressed with the google analytics report, 73.66 % new session and major traffic coming from the search engine is excellent. This blog is a great school for blogging and how to monetize different ways with blogging. Thanks mate sharing your income and analytic report.

  10. bhai me AdSense open karta hu to open nahi hota aisa likhake aata hai [ We apologise for the inconvenience, but we are unable to process your request at this time. Our engineers have been notified of this problem and will work to resolve it.] a kya hai

    • ye temporary error hai kuch time apne apa solve ho jayega.

  11. Hello sir
    Mera saval ye hai ki Adsance etc ko Aprove krne k liye domain buy krna jaroori hai?

    Mene contect us page banaya hai to Agar mujhe koi msg krta hai to me wo msg kaha pe dekh sakta hun..
    Mene page me blog ki id Add ki hai

    Mere blog me 4 page hai
    Privacy policy
    Disclaimer
    About us
    Contect us
    To kya T&C page ki jaroorat padegi
    Or padti hai to mujhe ye page banane ki
    2 website ki jankari dijiye

    • 1. Nahi aap example.blogspot.com par bhi AdSense approved kara sakte ho.
      2. Aapke gmail address par
      3. Nahi iski jarurat nahi hai.

  12. Good job bro. Keep it up. Apse ek bat puchna chahunga ki ap ki Jo earning hai wo info link ads se hai ya fir info link affiliate se???

    • Ads se.

  13. Simply Great Sir. I Am Very Impressed With This Earning. Thanks for Sharing Sir

  14. Congratulations on achieving your goal.

    • Thank you babita.

  15. Congregation sir and very inspiring

    • Thank you bro

  16. Hi Sir
    Maine AdSense approved ke liye site submit kari aur google AdSense dwara mujhe ek code aaya hain verification ke liye kya aap mujhe bata skate hain ki main us code ko kaha place karu ?

      • sir mere kehne ka matlab Verified PIN se nahi hai. mere kehne ka matlab yeh hain ki maine aaj hi AdSense form submit kiya hain aur AdSense ne mujhe first ad unit apne blog par ad karne ke liye kaha hain site verified ke liye to aap bata skate hain ki me us Ad code ko WordPress blog me kaha paste karu sidebar me ya tag ke nicche ??

        • Oh!
          Aap ads code ko blog ki sidebar widget ya header widget me add karo.

  17. awesome work bro! keep it up. i am also trying to make money like yours from google AdSense, one day i’ll post mine.

  18. Congratulation sir…you did really nice job .

    1) Sir, Mai dekhi hu jiska blog blogger me hai uska bhi pic aata hai jab Wo comnt karta hai apke post par.
    mera nahi aata hai ,..
    iske liye kya krna hoga

    aur 1 chiz
    2) apne blog me hi ek post ko dusri post se jodte h permalink se to hame us post ko new tab me open karana sahi hoga ya same page me

    • Thank you ardhana,
      1. Aapka bhi aa sakta hai bas aapko gravatar par apna photo lagana hoga. iske bare me maine already is post me btaya hua hai WordPress comment me apna photo kaise dikhaye
      2. Same tab me new tab meother site ka link open karna chahiye.

  19. Hayy jume deen Khan ji that’s great Earn… congrats..

  20. Amazing Bhaut hi Inspiring Post hai Keep it up.