New Website Blog Ko 2 Day Me Search Engine Me Kaise Laye

Website ya blog banane ke bad sabse bada sawal hota hai website ko sabhi search engine me index karana. Iske liye hume bahut sari SEO tips follow karni padti hai. But aaj mai aapko aysi master trick btane ja raha hu. Jisse aap 1-2 day ke andar apni new site or blog ko Google, Bing, Yahoo, Ask or other sabhi search engine me show kar sakte ho.

New Site Ko Jaldi Search Me Kaise Laye

Bahut se blogger or website owner search engine me apni pahchan banane ke liye apni site ko bahut jaldi search result me dekhna chahate hai. Ye post unke liye 101% kaam aayegi. Kyuki is post me btayi tricks se koi bhi site ko aap sirf 1-2 din me hi search engine me index kara sakte hai.

Jab hum new site banate hai to hum chahate hai ki google search engine humari site ko sabse pahle search kare. Lagbhag har blogger ki yahi soch hoti hai. Aapki bhi ho, So kuch aysi trick hai jinki help se aapki site bahut jald search result me show hone lag jati hai. Agar aap site ko google me manualy index nahi karoge to google aapki site ko index karne me 1,2,3 or 5 nahi 1-2 weeks bhi laga sakta hai. But hume sirf 2 day ke andar apni site ko search me lana hai.

Site ko 2 day se pahle search engine me index karne ke liye aapko Micro-Niche Site Kaise Banaye post padh leni chahiye. Uske bad hi aapki site itne kam time me search result me show ho sakegi. Maine Micro Niche Site bana kar unhe 1 day se bhi kam time me search result me index karaya hai.

Website Ko Sirf 2 Day Me Google Me Index Kaise Karaye

Internet par aapko aysi bahut sari website mil jayegi jo website blog ke bare me information share karti hai. Jaise website domain details checker, website SEO chcker, website value checker and other or bhi 100ro site hai. Bas aapko inhi ki jarurat padne wali hai.

Option 1:

Sabse pahle aap website ki information dene wali jitni site ka aap pata kar sako kare or un sabhi sites ke link copy kar ke notepad me add kare. Mai kuch site ke links aapko yaha bta raha hu. Jis me se aapko”yoursiteurl.com” ki jagah apni site ka link add karna hai.

tatlia.com/yoursiteurl.com
cash81.com/yoursiteurl.com
whoisx.co.uk/yoursiteurl.com
statout.com/yoursiteurl.com
worth.im/www.yourdomain.com
nakedweb.org/yoursiteurl.com
georanks.com/yoursiteurl.com
worthlook.com/yoursiteurl.com
peekstats.com/yoursiteurl.com
www.whoisya.com/yoursiteurl.com
webworth.info/yoursiteurl.com
webrapport.net/yoursiteurl.com
www.aboutus.org/yoursiteurl.com
www.cubestat.com/yoursiteurl.com
www.statbrain.com/yoursiteurl.com
statswebsites.com/yoursiteurl.com
www.quarkbase.com/yoursiteurl.com
www.esitestats.com/yoursiteurl.com
www.builtwith.com/?yoursiteurl.com
websiteshadow.com/yoursiteurl.com
websitevaluebot.com/yoursiteurl.com
whois.domaintools.com/yoursiteurl.com
www.who.is/whois-com/yoursiteurl.com
www.robtex.com/dns/yoursiteurl.com
www.quantcast.com/yoursiteurl.com
www.thegetpr.net/site/yoursiteurl.com
www.pageheat.com/heat/yoursiteurl.com
www.aboutthedomain.com/yoursiteurl.com
page2rss.com/page?url=yoursiteurl.com
www.surcentro.com/en/info/yoursiteurl.com
websitevaluebot.com/www.yoursiteurl.com
www.siteadvisor.cn/sites/yoursiteurl.com
whois.tools4noobs.com/info/yoursiteurl.com
whois.ws/whois-info/ip-address/yoursiteurl.com
www.aboutdomain.org/backlinks/yoursiteurl.com
domainsearch101.com/domainsearch/yoursiteurl.com
uptime.netcraft.com/up/graph?site=yoursiteurl.com

Aysi aapko jitni bhi site checker tools mile aap sabhi par apni site ki ranking check kare.

Option 2:

Hum sabhi site par apni site ki ranking check karenge to usme bahut time lag jayega. But iska solution hai URLOpener site ke pas. Ye site aapko aysi tool offer karti hai. Jisme aap ek sath bahut sare links open kar sakte hai.

URLOpener

  1.  URLOpener.com site par jaye or sabhi site ke url is site ke box me paste kare.
  2. submit button par click kare.
  3. Ab aap jaise chaho sabhi links ko open kar sakte hai. My means ek ek kar ke ya sabhi links ko ek sath open kar sakte ho.

Agar aap is tools ko use nahi kar sakte ho to aapse jitna ho sake utni site par apni site ki ranking check kare. I sure aapki site 1-2 day me search result me show hone lag jayegi.

Is post me maine jo trick btayi hai wo 100% work karti hai. Bas aapki new site ya blog par sabhi tarah ki setting ki huyi honi chahiye. Mera matlab aapke site micro niche site honi chahiye.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (156)

  1. Avatar for serwatserwat

    sir please help me, mj to blog ka kuch b samajh nh ara, link kahan se check karun blog ka?

  2. Avatar for rohit kumarrohit kumar

    sir! jab main post likh kar publish krta hoo. to search consol me jo sitemap add kiya hoo usme meri post dikhai nahi deti. jab main sitemap delete kr ke dobara se sitemap submit karta hoon to sari post show hone lagti hai. aur phir se naya post likhta hoo to wahi samashya hoti hai.

  3. Avatar for Niraj KumarNiraj Kumar

    बोहोत ही अच्छा पोस्ट है इंडेक्सिंग के उपर, आप हमारे साथ ऐसे ही जानकारी बाटते रहे

    • Avatar for Mohammad BaseemMohammad Baseem

      Sir liked

  4. Avatar for प्रकाश रायप्रकाश राय

    बहुत ही बढ़िया ट्रिक बताया है सर् मैंने खुद आजमाया है आपके द्वारा बताए गए ट्रिक को इससे मेरी साइट सचमुझ गूगल सर्च में दूसरे पेज पर रैंक कर रही है।
    Thankyou

    • Avatar for Sandeep ShavSandeep Shav

      Website kaise use karna hai

  5. Avatar for ArtikArtik

    Sir,meri ak YouTube channel he.or ak website banana Chahta hu.to YouTube pe or website me same content dalu to copyright Lagta he kya?

  6. Avatar for Bipul singhBipul singh

    Sir maine ye trick apnayi aur mera site 12 ghante ke bad search me aane lga thanks sir

    • Avatar for Sandeep ShavSandeep Shav

      Website pe account create kiye ya fir kaise kiya yaaah baata sakte hai kyaa

  7. Avatar for Abhishek tiwariAbhishek tiwari

    Great article sir very nice helpful for me

  8. Avatar for Sunil kumarSunil kumar

    यह article मेरे लिए बहुत ही important है।thank you so much sir

  9. Avatar for Puneet BarhaiyaPuneet Barhaiya

    Sir, मेने एक website creat की है , पर समझ नहीं पा रहा कि पोस्ट कैसे करूँ means किस तरह से अपने काम करु।
    Can you please help me?

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      आपने किस प्लेटफार्म पर वेबसाइट बनाई है

    • Avatar for SamarSamar

      Sir meri website ko lag bhag 2 week ho Gaya he leking abhi Tak search engine me nhi dekhai de rhi he

      Mene sitemap ko bhi create Kar liya he Kya kru

  10. Avatar for Khustar NooraniKhustar Noorani

    bahut hi achha aur helpfull article hai

  11. Avatar for Vijay KumarVijay Kumar

    Ap ka artical bhute helpfull tha and thanks for this post mujko ek baat batao sir ji kase apni website ka traffic incress kare aur website ko jaldi se jaldi user badai ..

    thanks

  12. Avatar for TARIKUL MOLLATARIKUL MOLLA

    Blog Ko Google First Page Me Rank Kaise Kare apki a post bohot ascha hai aur bohot helpful post hai. thanks for sharing.

  13. Avatar for NazrulNazrul

    Bahut helpful article. Thank you for sharing with us.

  14. Avatar for thakur aman singhthakur aman singh

    sir mene abhi ek nya blog start kiya hai wo abhi tak google engine me index nahi ho pa rha hai. koi tricks btao sir

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Wait ho jayega aap bas search console me blog submit kar sitemap submit kar do.

  15. Avatar for khemrajkhemraj

    Bhai maine ek new blog bnaya hai blogger.com se lekin Google search pe kab dikhegi ?aur mai adsence kaise lagau

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap blog ko google search console me submit karo uske 1-2 day me index ho jayega.

  16. Avatar for kanhaiya gurjarkanhaiya gurjar

    sir mujhe bhi apki tarah website bana ni hai mai kya karu

  17. Avatar for SahibSahib

    Kaise ho aap? Blog to vana liya hai but Ye nahi malum ki aaage kya Karna hai Ye bataye plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hamary blogging se related post check karo sabki jankari mil jayegi.

  18. Avatar for pankaj kumarpankaj kumar

    mere blog ko search engine se traffic bilkul bhi nahi milata lagbhag 4-5 month ho gaya blog banaye , kya blog new hone ki wajah se google me rank nahi mil rahi aur traffic nahi mil raha ya phir seo problem hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aese topic par likho jo log google me search karte ho.

  19. Avatar for RaajRaaj

    hello sir aapne jo upr sites di h usme “website” ka url daalna hai yaa fir blog ki post ke links add krne hai??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      website or blog ke homepage ka.

  20. Avatar for SachinSachin

    Bro mene ek blog bnaya hai politics related article dalta hun lakin google se traffic bilkul nhi ata hai 0 and kisi ka copy bhi nhi karta me apne se likhta hun jo b site par visitor aate hahi wo sirf fb g plus se me jo apni post shear karta hun ap pls meri site dekho kya problem hai design and other and google console bina me b submit kar di hai kab ka blog fetch b use karta hun ab mujhe kya karna chaiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Humari SEO category wali post read karo.

  21. Avatar for upadhyayupadhyay

    sir hmko photography ka blog start karna hai uske liye kon sa topic dalne acha rhega…

  22. Avatar for sunil kumarsunil kumar

    hello sir
    Sir blog ke page Google me website link ke niche kaise show karwate hai. please jarur bataye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kuch karne ki jarurat nahi hai aapki site par traffic badhega to google apne aap aapki site ke lyie sitelinks show karne lag jayega.

  23. Avatar for mayankmayank

    sir blog ke liye backlink kaise banaye / aapne kaise banayi thi

  24. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    Inmein se 2-3 website hi open ho rahe hain. Please is post ko workable website ka link dekar update kar dijiye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hi Anand,
      Thanks for alert, Main jaldi hi post ko update karunga.

      • Avatar for Anand KumarAnand Kumar

        Thanks bro for understand us…

  25. Avatar for kirankiran

    Sir mera blog name dalne se search engine me aa gya bt uske neeche ye bhi likha aaya ki report abuse iska kya matlab hua

  26. Avatar for Syed Mohd ismailSyed Mohd ismail

    Sir plz contact me. I want to help about my blog

  27. Avatar for Krishna mohan malakarKrishna mohan malakar

    maine WordPress par website banaya hai to isko Google search me kaise launga bataiye sir

  28. Avatar for Manish SoniManish Soni

    1.Sir Maine 5 post likha h. new blog h Mera esliye 5 post hua h.Sir 5 me se 1 post hi Google pe show KR RHA h vo bhi jesa titel h vese hi likhne pr. Sir Mai aesa Kya kru ki ?
    Mera hr post search me aaye pura titel satik na likhne pr bhi

    2. Sir Kya hr post ko Google me lane KR liye Google console setting krna padta h Ky ak sath bhi KR skte bcz Maine to theme me jakr HMLT me setting kiya vo chhote chhote word ko copi past krke pr failed btaya fr bhi Mera ak post search me aa gya . Kaise aata sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Aa apne blog ka design saih karo or blog ko fast loading banao. Uske bad achha content likho jise aapke users pasand kare. Search me aa jayega.
      2. Nahi aap sirf ek bar site ko GWT me submit kar do uske bad aapki new post apne aap index ho jayegi.

      • Avatar for Manish SoniManish Soni

        1.design method
        2.blog ko fast loading banana ka method or
        2.GWT se kaise krte h . Method ka link do na

        En तीनो ka link do na Sir

  29. Avatar for MD UJAIR ALAMMD UJAIR ALAM

    Dear Jumideen Sir,
    aap mera Help Karenge To please Mere Blog pe Ek Baar Visit kare Aur dekhe Kya Kami hai mre website me plz Guide me AS soon AS Possible!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sab theek hai bas thoda iamge size or site design par dhyan do.

  30. Avatar for piyushpiyush

    Sir Maine website coding ke saath bana li hai sir iske aaga ka process sir Hume bataiye Hume saga kya karna chayiye ki humari banayi hui new website google search mein as jaya sir plz tell me process I am waiting your response plz tell me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First aap is post me btaye tarike follow karo. Inse hi search me aa jayegi.

  31. Avatar for sunil jangidsunil jangid

    Maine godaddy SE Domen liya hai but Maine blog banaya to Google me aa hi nahi raha 3 day ho gya kya bina Google me aaye hi Domen laga sakta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog ko search console me add karo.

  32. Avatar for Akshay soneshwarAkshay soneshwar

    maine apni site ko google search console me submit kar diya hai. aur fir meri sari post google me sow bhi hone lagi lekin bad me. sirf kuchh hee post google me aati hai. aur abhi bhi. 3 se 4 post hee sow hoti hai. jabki maine puri post ke url ko index kiya hai. puri post sow karne ke liye kya kare plzz. help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap SEO ke bare me thodi jankari kar lo please.

  33. Avatar for jagdish makvanajagdish makvana

    Sir mene Bahot social media par mine link share kiya firbhi meri post show nahi ho rahi hai sir kaya kare sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jitna unique content hoa utnia hi jaldi google index karega.

  34. Avatar for SuRaJ KUMARSuRaJ KUMAR

    Bhai meri website Google mai 1st page pe nhi aa raha hai kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Try SEO and optimize your content.

  35. Avatar for poojapooja

    meri post google search me nhi dikh rhi hai Kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog ki SEO setting complete karo.

  36. Avatar for N.H.BarbhuiyaN.H.Barbhuiya

    Hello bro mari blog me ek problem ho gaya hai 4-5 day hoya post kiya hua lakin google me bing me search karne me nahi mil raha hai. Please aap ek bar dhak lo or bi kuch problem ho to batana q ki mai abi naye hu.. Ager aap help karogi to Bohit madat hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      SEO friendly content likho next 2 hours se pahle google me show hone lag jayega.

  37. Avatar for Ansari AfzalAnsari Afzal

    Sir mai search consol ko me apna website add kiya par ham Kahi BHI koi code past NAHI kiya tha email confirmation msg aaya bus ab muhje ye pata nhi mera website serch engine google me submit houa ya na aap cheak KAR ke bataye aur kiya Mai apna blog search consol SE remove KAR re add KAR sakta hhu

    • Avatar for AFZALAFZAL

      Jaisa aap ne bataya waise hi Maine website ko search console me add kiya tha
      Aur Jab Mai site: musicfun9.blogspot.com enter kar ke Google me serch karta hu to Waha PE Sirf mere hi website show hota to kiya sir mera site Google search console SE add hogaya

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Abhi ek do day wait karo uske bad aapki site search me aane lagegi.

  38. Avatar for sarwar darssarwar dars

    hello my name is gulam sarwar ..maine blog banaya he sehatorshareer.blogspot.com aap check karke bata dijiye koi kami hoto plz…..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bahut achha blog hai aap blog ka design or achha banao.

  39. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    thank you sir ab meri website searching me aa gayi hai
    sir mai ab ek baat or janna chah raha tha ki maine simple template use ki hai jisko mai change karna chahta hu to usko change karne se google srarch engine per to koi effect nahi hoga ,
    or mujhe kis type ki template use karni chahiye
    please tell me now sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi padega aap meta tag code ko new template me add kar dena.

  40. Avatar for suresh kumar gautamsuresh kumar gautam

    sir maine apni ek website banayi thi jisko maine google search consol me 3 din add kiye hue ho gaye par bo abhi searching aa nahi rahi hai to ab mere ko kya karna chahiye

  41. Avatar for yk sahuyk sahu

    very very 10000 baar thanks jume deen gee aapki post ne kamal kar diya sirf 5 min me search engine me aa gya…thanks

    bas ek aur help kar do ki aapke website me jo comment box hai usko kaise add kia yahi post aur bata do plzzzz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Welcome sahu. ye WordPress ka comment box hai iska blogger par use nahi kar sakte iske liye aapka apna blog WordPress par transfer karna hoga.

  42. Avatar for RAVI KUSVAHA KA PATELRAVI KUSVAHA KA PATEL

    maine amazon par Affiliate programme join kiya hai to mai ye janna chahta hu ki isse income kaise hogi……

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Check my affiliate category post.

  43. Avatar for Dipak vasavaDipak vasava

    Sabhi Links pe site ki Ranking check karne se 2 days me Blog search me kaise aa sakta hai??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jab aap apni site ko directory me submit karoge to wo aapke blog ki jankari sabhi search engines ko deti hai. isse aapka blog do din to kya 2 minute me search me aa sakta hai.

    • Avatar for MohammadMohammad

      Sir google search console se new post ki saari link google se jodna hai yaa blog ki main link ko google mai add karma hai please hel kare

      • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

        सिर्फ main link को जोड़ना है

  44. Avatar for Shashi yadavShashi yadav

    Hallo Brother ! maine apne blog me domain add karne ke bad jo bhi new post type karke, publish kiya hai. Vo search engine me Index nhi ho rha hai. and usse pahle ke sabhi articals index hai. aapke bataye sabhi seo tips ko maine fallow kiya fir bhi ye problem solave nhi ho rha hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blog posts ko search console me submit karo.

      • Avatar for Shashi yadavShashi yadav

        mai samjha nhi ! blog ke post ko aap search console me submit karne ke liye kah rhe ho. ye kaise hoga. maine to new domain par add blog and sitemap submit kiya tha. ab ye post kaise submit hoge ?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          search console me crawl option me ja kar post ko fetch as google karo.

  45. Avatar for Lekha TopilLekha Topil

    Maine HTML Sitemap, Robot Txt, webmaster me submit kiya hai. My site shows on google search engine but keywords se search engine me nahi ata hai jaise post ka title dalne pe search engine pe nahi ata hai. I am using seo by yoast. Even I have html sitemap on the front page of my site. I have 22 post on my site. Apka trick jo apne iss post me bataya hai wo bhi maine kiya like checking my site ranking on each site. Jo bhi site open hue usme sabhi me check kiya. Mujhe kya karna chahiye ke mere blog title dalne par search engine me aye na ki mere site ke url se. Please Please help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Lekha ji aap SEO friendly post likhna sikho or bekar ke keywords ko post me highlight mat karo.

  46. Avatar for Shakeel AhmedShakeel Ahmed

    Nice sharing.
    Jume deen bhai ap mery blog ko check kar k bta dain k muje s main kia Kuch karna chaye?
    Main apne blog main HTML k bary main jankari dy raha hun. Agay Ja kar s main blogging aur baki tricks k bary main likhon ga.
    Ap muje Kuch mashwara dy dain. K muje kia kia karna chaye.
    Main me abi new domain buy kia hai. Ye name theak rahy ga?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Achha work kar rahe ho. Main aapko yahi suggest karunga ki coding ka kaam bahut hard hota hai. Mistake mat karna.

  47. Avatar for AltafAltaf

    Shukriya bahut achchi janakaari di hai aapne very very thanks

  48. Avatar for rajraj

    sir mere blog h.ek PR Google par search ni ho paa ra h but ye bta ra h ki apki post itne logo no padi..to sir kaise laye search me

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Is post me kya btaya gaya hai.

  49. Avatar for Aman MorwalAman Morwal

    Mere AdSense account dusri id se approved hua hai..aur mera blog aur domain name dusri emai id par hai…to bhai jis email id se AdSense account approved hua hai….kya mai us email id ka AdSense account mere blog mai laga sakta hu..agar laga sakta hu to kaise lagau bhai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha bilkul laga sakta ho. Simple hai apni site ka lin k AdSense me add karo or ads bana kar blog me add karo.

  50. Avatar for Aman MorwalAman Morwal

    Bhai mujhe ek information chahiye thi aapse..jaise mai direct url mai meri website type karta hu to wo show karti hai….lekin mai google search mai meri website type karta hu to wo show nhi karti….maine sitemap,add property sab kar liye hai..aur kiye hue bhi 1 mahine se upar hogaya hai.to bhai mujhe ye puchna hai ki ye search engine mai submit hui hai ya nhi..plz mujhe ek bar aap bata doge to meri help ho jaayegi.thank u

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site google me index nahi hai. Aap site ko search console me achhe se submit karo or verify code blog me add karo.

      • Avatar for Aman MorwalAman Morwal

        Verify code bhai meta tag ko hi bolte hai kya bhai…wo lagau kya template ke head section mai bhai.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Yes.

          • Avatar for Aman MorwalAman Morwal

            Bhai maine pahele submit kiya tha aur wo verify bhi hogaya tha lekin maine bhai meta tag blog mai nhi lagaya tha…to mai ab phir se karu to mujhe pahele unverify karke karna hoga kya bhai aur meta tag code pahele blog mai lagakar verify karna hoga ya bad mai bhi laga sakte hai bhai……ek aur bat phir se sitemap banana hoga ya pahele wala hi chalega bhai…..last mai ye bolna chahta hu bhai aap great ho kyuki aap reply karte ho isliye…thank u bhai.

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aman aapko fir se sitemap banaye ki jarurat nahi hai or na hi property ko unverify karne ki aap bas webmaster tool se direct verify code copy kar blog template me add kar do.

          • Avatar for Aman MorwalAman Morwal

            Bhai maine meta tag code kal hi blog mai add kar diya tha lrkin bhai abhi tak meri website search mai nhi aarhi bhai…abhi kya karu samjh nhi aaraha bhai

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aman site ko index hone me time lagta hai kuch day wait karo or blgo par acha content likh kar traffic badhao.

          • Avatar for Aman MorwalAman Morwal

            Bhai bahot din hogaye hai…verify code blog mai lagaye lekin bhai abhi tak search mai nhi aaraha blog…..bhai plz help me…….aap meri website check karke bata sakte ho kya…ki knsi zetting sahi nhi hui…plz bhai

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Tumhare blog ki koi bhi post google me index nahi hai. Blog ki template change karo or blog ko fir se gwt me submit karo.

          • Avatar for Aman MorwalAman Morwal

            Bhai delete property karna padega kya aur sitemap bhi delete karke resubmit karna padega kya bhai…..ya aur koi option hai bhai……matlab jo blog maine pahele search console mai saved kiya tha uski property delete karni padegi kya bhai…

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Haa delete karke fir se submit karo.

          • Avatar for Aman MorwalAman Morwal

            Bhai maine phir se blog submit kardiya hai aur maine sitemap bhi submit kar diya hai bhai.bhai ek bar aap phir se check karke mujhe bata do na bhai ki sahi hai kuch galat hai abhi bhi…..bhai kab tak ye search mai show hone lag jaayegi…..aur bhai maine template bhi change kardi hai…bhai is template mai readmore kaise hatana padega…..

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Just wait abhi aap ye step follow karo.
            1. blog homepage par 5-7 post show karo.
            2. blogger setting me ja kar basic par click karke privacy ke samne Add your blog to our listings and Let search engines find your blog dono ke samne yes select karo.

            iske bad thorda weait karo blog google me index ho jayega.

          • Avatar for Aman MorwalAman Morwal

            Plz bhai help me yaar….agar search mai hi nhi show hoga to phir blogging karneka koi matlab hi nhi hai bhai….bhai mai plz real bahot pareshan hu….plz bhai help me

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aman aapko jo step btaye hai wo follow karo apne blog ko publish karo.

  51. Avatar for naresh detrujanaresh detruja

    Sr aapne awesome information diya hsi isse new blogger ko Google me blog aur post lane me enough help mileagi nice aarticles likha aapne

  52. Avatar for divyanshu vatsaldivyanshu vatsal

    domain kaise add karu please bataye .48 hr ho gaye add kiye hue par site nahi khul rahi
    my domain-jankariinhindi.com
    my blog- Jankarihindimein.blogspot.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne dns record sahi add nahi kiya hoga.

  53. Avatar for Rinku nagarRinku nagar

    sir main ak web site banayi hai lakin main apni site kaise dekhe sakta hu ? mujhe kaise pata chalega ke mare site ban gyi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapne jaha par site banayi hai waha par ja kar uska link copy karke open karke dekho.

  54. Avatar for RajeshRajesh

    Hello sir thanks for info. Mene event blog bnaya hai much din phle …6post ho gye hai total …ab me backlink kese bnau ..kha se bnau ….mera blog hai alleventsadda.blogspot.com isse dekh ke plzzz kuch suggestion do …me or kya kru ki ye search engine me show hone lag jaye..please thanks in advance.

      • Avatar for RajeshRajesh

        OK …one more question
        Apne hinglish blog ko konse language se approve kraya ?
        Prefferd language me konsa option choose kiya , hindi ya English???

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Maine AdSense me english hichoose kiya hai. Aap ke pas do option hote hai hindi or english kyuki in dono se hi bani hai hinglish isliye aap koi bhi choose kar sakte ho.

  55. Avatar for ashutosh singhashutosh singh

    Hello jummedin sir mai aapse Yaha par bahut sare question puchne wala hu kyoki mai blogging ko lekar thoda sad rehta hu mai aapse ek request karta hu ki aap mere question ka anser atche se samjha kar digiyega

    1: mera first question ye hai ki maine aapke site ke sare rules follow kiye hai phir bhi mera alexa rank kam nahi hua croro me aaraha hai aapse request hai is problem ko aap solve kare

    ye question maine aapse ek bar pucha tha aapne bola tha ki copy ki gaye chijo ko delet kardo maine copied images ko bhi delet kar diya hai aur aapke rules ko follow bhi kiye to uska ulta matlab nikal gaya rank kam hone ki gajah badh gaya

    2: dusra question ye hai ki aapne mere se ek bar bola tha ki tum apne post ko update karo to aapki traffic badhega maine apna sare post ko update kar diye aur date bhi change kiye to iska bhi ulta hi hua jo jo post mara google me aaraha tha ab wo koi koi aata hi nahi is question ko bhi atche se hamko samjhaye

    3: kya koi alexa ka widget hota hai jo hum apne chrome browser me add karke apne site ke alexa rank increase kar sakte hai

    4: maine dekha hai ki bahut sare bloggers atche site ke post ko apne design se likh kar wo apne site par publish karte hai to kya we copyright hota hai kya kyoki aisa hi mai bhi karta hu

    5: maine aapka ek post padha tha website blog ki heading create kaise kare kya koi hindi ka heading create karne wala site nahi hai to kya mai usme hindi heading create kar sakta hu heading me kitna % ka sahi rehta hai

    6: jummedin sir to kya mai apne site ka rank kam karne ke liye dusra site bnaker isme ke sare post usme dalker try karu

    7: aur mera last question thoda important hai jummedin sir jab hum log domain lete hai to hamare site ka traffic 0 ho jata hai kya kya domain lene ke bad google phir suru se sab kuch karna padta hai kya to mai chahta hu ki kyo n mai dusra site bnaker apne post usme paste karke usme suru karu to koi problem to nahi hai n

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ashutosh singh aap kah rahe ho ki aapne blog par se sari copied post delete kar di hai. But ye bat puri tarah sach nahi hai. Aapke blog par abhi bhi mere blog ki copyright post hai. Baki dusre blog par bhi hongi. example: FACEBOOK PHOTO PAR 1 MINUTE ME 100000 LIKES KAISE PAYE or Adsense par account kaise banaye step by step. Maine sirf aapke blog ka homepage check kiya hai. Baki or bhi ho sakti hai.
      1. Galat aapne mere blog me btaye 40% rules bhi follow nahi kiya hai. Ye bat aapki site ka review karne ke bad sabit ho jati hai. jaisa kaam karoge fal bhi wesa hi milega.
      2. Post update karne ka matlab ye nahi hota ki irf post ki date change karo. Poust me jaruri kamiya ko solve karna post update hota hai.
      3. Ha hota hai aap alexa extenssion install kar sakte ho. ye post padho Google Chrome Me Alexa Toolbar Kaise Intall Kare
      4. Ha copyrighting ho sakti hai. Agar aapko success hona hai to apni ye aadat badal lo. Maine iske liye aapse pahle bhi kaha tha .But aapne nahi mani.
      5. wo sabhi tools english me keywords search karne ke liye ha. Aap hindi blog me bhi english keywords use kar sakte ho.
      6. Koi fayda nahi hai. Jo kamiya aapke is blog me hai wo new blog me bhi move ho jayegi. Aapko jarurat hai apne blog par copyright post dalna band karne ki.
      7. Yes site me domain most important hota hai. Agar aap new domain loge to uski ranking fir se increade hogi.
      ashutosh singh “maine aaki site ke sabhi rules follow kiye hai” ye kahna bahut aasan hai but ise follow karna or is bat par chalna bahut mushkil hai. Ummud karta hu aap is bare me kuch naya sochoge

  56. Avatar for Amisha SinghAmisha Singh

    Nice Information
    Thank You 🙂

  57. Avatar for murarimurari

    apne blog me contact service disclaimer sitemap about privacy policy kese lagay

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      In sabke pare me post kar chuka hu. aap search box me search kar sakte ho.

  58. Avatar for Rashid khanRashid khan

    Sir maine apne blog par AdSense jod diya hai phir bhi adds show nahin ho rahe shuru mein hue the ab nahin hain ab maine bidvertiser ke ads daalein hain toh ye show ho rahe hai AdSense ke kaise show honge plz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Rashid aapke blog par traffic 0% hai or sabse badi galti aapne mera hi logo copy kar liya hai. Is tarah se aap kabhi AdSense use nahi kar paoge. Kuch din bad bidvertiser ke ads bhi show hone band ho jayenge or aapki site google me bhi show honi band ho jayegi.

    • Avatar for sandeep kumarsandeep kumar

      Bhai aap pagal ho kya apko kisi dusri site ka lago use nahi karna chahiye apko itna hi kisi dusri site ka prmot karne ka shoukh hai to aap ussi ke liye post write karo.
      Meri bato ko bura lage to sorry. Lekin sach ko chupaya nahi ja sakta . Jume deen brother is comment ko jarur aproove karna thanks

  59. Avatar for Ashok SainiAshok Saini

    Sir apne meri comments ke reply me muse ye kaha ki aap Bad SEO use kar rahe ho tab se muje tension ho gaya hai. Plz muje iske bare me bata dijiye isko kaise remove karu. Sath me apne kaha ki post likhne ka tarika sikho means Plz aap muje Email karke samaj dijiye plz ya comments me samja dijiye plz ….. Taki meri tension door ho jaye. Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ashok maine aapse ye bhi kaha tha ki aap supportmeindia ki seo se related post padho.
      1. aap ek post me ek se jyada h1, h2, h3 tag use nahi kar sakte. yani post me sirf ek hi title use kar sakte ho.
      2. ayse topic par post likho jo internet par pahle se na ho.
      3. plz read this post Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai

  60. Avatar for DilipDilip

    sir Template XML me kr diya hai to plz send kr do

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dilip me kab ka aapko template send kar chuka hu. Aap apna inbox check karo.

  61. Avatar for Ashok SainiAshok Saini

    Ok Thanks Sir. mai koshis karunga thanks

  62. Avatar for Ashok SainiAshok Saini

    Good Morning Sir ji, aap sabki help karte ho todi help muje bhi chahiye. Meri website hai useofinternet.com maine isko sabhi search engine me submitt kar diya hai but ye abhi bhi Google searc me nahi a rahi hai aap check karke batao na kya problem hai. plz.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine aapke blog ko check kiya hai jisse pota chala hai ki aap bad SEO use kar rahe ho. Aap supportmeindia ki seo se related post padho or post likhne ka tarika sikho. Or aapki site par aysi koi post nahi hai jo pahle se internet par na ho. So aysi post likho jo kisi bhi blog par na ho. ye post padho Search Engines Se Adhik Traffic Nahi Milne Ke 11 Karan

  63. Avatar for Rashid khanRashid khan

    Hello sir mujhe abous us page blog ke bilkul neeche daalna hai jaise aapke blog par hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar aapka blog blospot par hai to blog template me ja kar back to top search karo or uske samne abou us ka link coding me add karo. link ki coding ke liye aap mujhe facebook par contact kare.

  64. Avatar for PrincePrince

    Bhai me blog ko WordPress me shift karna chahta hu usse pehle mera kuch sawal hai plsssssssssssss help kijiye…
    1. Kya WordPress use karna bohot hi mushkil hai…???

    2. Mene jo bhi apne blogger blog me settiing kia hai matlab templete, menu bar, seo, widget wo sab fir se karna padega…

    3. Kya WordPress use karne ke liye hosting lena padega…???

    4. Kya WordPress use karne ke liye pay karna padta hai…???
    Plssssssss bhai mujhe bataiye, me in sawalo ko jane bina start nehi kar sakta

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Yes, new blogger ke liye bahut mushkil hai. Mai aapko suggest karunga ki aap pahle Free Hosting le kar kuch din WordPress try kare.
      2. Ha sabkuch fir se karna padega.
      3. Ha jaruri hai.
      4. WordPress platform full paid hai yani har cheez ke liye pay karna padta hai. read this post Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare

  65. Avatar for Sahil kumarSahil kumar

    जब भी कोई नया ब्लॉगर ब्लॉग बनाता है वह गलती यह करता है कि उसे तुरंत गुगल में सर्च करके देखता है।

    पर भाई क्या इससे बैक लिंक बनने की संभावना भी है।

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi sahil ye koi galti nahi hai. Lagbhag 99% blogger aysa hi karte hai. Or inhi 99% me se success blogger bante hai.
      Yes, website checker tools se 101% backlinks milte hai.

  66. Avatar for DilipDilip

    nice jankari

    sir maine apne blog par jo do post likhi thi usame se ek Google search me aati hai Lekin mene webmaster par blog add nhi kiya h or n hi koi sitemap submit ki h fir ESA kyo hua

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Humari site ko google search engine apne aap index kar leta hai. webmaster tools sirf better result pane me help karta hai.

  67. Avatar for kiranbhaikiranbhai

    Bro … Maine Ye Tips Use Ki Thi . Problem Ye Aata Hai Ki Kaibar Ye Site Spam Traffic Bhi Bhejati Hai, Isake Aap Apne Traffic Data Ka Sahi Tarike Se Analysis Nahi Kar Pate Hai. Adsense Kabhi Kabhi Is Traffic Ko Pay Traffic Man Leta Hai, Aur Diggt Badh Jati Hai. Is Tips Me Aapka Kya experience Hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aysa kuch bhi nahi hai. Ye websit checker tools hai. Jinse AdSense ko koi problem nahi hai. Google duniya ki no.1 site hai. Use humse jyada pata hai ki paid traffic hai ya free or inse spam traffic nahi aata hai kyuki ye aapki site ko search engine me show karti hai or search engine me aapki site par wohi click karega. Jo aapki site par visit karna chahata ho.

    • Avatar for ManishManish

      Sir meri website me aap jab bhi next par click karenge to wo aapko wo hi page par lekar aayega to sir mai kya karu.

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Aap apni template ko fir se upload karo.

  68. Avatar for Nitesh NayakNitesh Nayak

    Sir aapse sawal puchna tha ki aapne jo hosting li hai vo kisse li hai or kitne ki hai sir thoda detail de dijiye please…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine hostgator.com se bussiness plan liya hai 800/month.

  69. Avatar for hari narayanhari narayan

    Bhai mujhe WordPress theme kharidna hai kon sa kharidu..jo mobile aur seo friendly ho.aur WordPress theme ke liye mere ko bar bar payment karna hoga ki ye one time payment hota hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Hari theme aapko apni pasand se kharidni hai ki aapke blog ke liye kounsi theme achi rahegi. nahi sirf ek bar payment karna hai.

  70. Avatar for parvez khatriparvez khatri

    hello sir
    aap ki post hame bahut pasand aayi .lekin muje mery site me traffic badhani he to me kya karu support me please.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap supportmeindia ki SEO se related post padhiye or unme btaye tips follow kijiye.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...