Search Engine Me Indexed Pages Kam Kyu Hote Hai? Google me index web page URL number ke kam hone ke reasons. Google search engine me indexed webpages ka achanak se kam hona ek badi problem hai. Aapke sath bhi aesa hua hoga. Aaj hum isi ke bare me bat karenge ki search engine me index ho chuke pages number kam kyu hote hai iski wajah kya hai. Search engine me index URL ka decrase hona search rank ke liye sahi hai ya fir galat. Is guide ko follow karne ke bad aapki index pages ke kam hone ki confusing door ho jayegi.
Website ke pages ka google and other search engine me index hona bhar hi search result me top par aana nahi hai. Jo page index hai wo rank karega jaruri nahi hai. Aap search console me Fetch and Render feature ke dwara kisi bhi post ko index karwa kar top me la sakte ho but kuch time bad wo google se drop ho jata hai or apni real position par rank karta hai.
- Google Search Engine Me Top Rank Pane Ki 3 SEO Tips
- Search Engine Me Site Ki Top Ranking Banaye Rakhne Ki 100 Tips
But problem tab hoti hai jab humari site ke indexed URL kam ho jate hai. Last Sunday ko mujhe Sunil Sharma ka ek mail mila “Hi bro 3-4 day pahle meri site ke google me 1000+ links indexd hai but ab 800+ hi hai. Iski kya wajah se or ye SEO ke liye better hai ya bad.” Sunil ji aapne bahut hi achha sawal pucha hai. Main chahata tha ki iska jawab aapke sath baki sabhi website owner and blogger ke sath share karu taki wo bhi iski wajah jan sake.
So chaliye main aap sabhi ko search engine me index site URL number ke kam hone ki wajah bta deta hu.
Search Engine Me Indexed Pages Ke Drop Hone Ke 5 Reasons
Actually, Iski kai wajah ho sakti hai like googlebots aapki site ke pages ko index nahi kar pa rahe hai ya fir aapko google se penalty mili hai. Yaha main aapko search engine me web pages ke dcrease hone ke kuch important karan bta raha hu. Agar aapki site me ye kami hai to use jald solve kar le.
1. Website Page Properly Load Nahi Ho Rahe Hai
Achhe se check kar le ki aapki site ke sabhi pages proper open ho rahe hain. Ho sakta hai aapki site ka server down ho or site pages load nahi ho rahe ho ya fir aapne domain DNS record sahi se add kiya hai ya nahi.
Check kare ki aap 200 HTTPS Header Status use kar rahe ho. Iske liye aap Xenu, DeepCrawl etc. tools ka istemal kar sate ho. Sath hi site ki loading speed bih check kare or jaha tak ho sake 100% uptime hosting use kare.
Content ka status 200 hona chahiye agar aap SSL certificate use karte ho to check kar le ki aapki site par 301 redirection hai or proper work kar raha hai.
2. Aapne Recently URLs Change Kiye Hai
Kai bar post pages ka URL change karna hota hai ya fir aapke sath galti se aesa ho gaya hai. Search engien wsese to old URL ko kafi time tak results me show karta hai but agar wo proper load nahi ho raha hai to google use de-index kar deta hai.
Mostly, ye issue site migration ke time jyada hota hai. Agar aapne site ko dusre platform par move kiya hai to same URL use kare ya fir redirection sahi se kare.
3. Duplicate Content Issue Ko Fix Na Karna
Aapki site par sabih pages sahi se laod ho rahe hai, Error 404, same content ke ek se jyada page hona, etc. problems ko solve na karna bhi iski wajah ho sakti hai. Google duplicate content pages ko search engine se remove kar deta hai.
4. Website Pages Time Out Ki Problem Hai
Mostly websites par page time out 30 second ka hota hai. Agar aapka content 30 second me load nahi hota hai to time out issue show hota hai. Ya fir aapne time out time badha rakha hai to iski wajah serve bandwidth ho sake hai.
Apni site ke liye top level hosting use kare or prapt storage par site host kare. Sath hi web hosting monitor use kare or time to time check kare ki aapka server proper work kar raha hai.
5. Search Engine Bots Aapki Site Ko Alag Tarike Se Dekhte Hai
Bahut bar search engine robots humari site ko us nazar se dekhte hai jo hum nahi chahate hai. Example, aapka content SEO friendly nahi hai or aap without google term follow kiye content likh rahe ho.
Agar aap chahate ho ki google and other all search engines aapki site ko like kare to aapko SEO ke bare me sikhna hoga. Agar aap janna chahate hai ki search engine me aapki site ke kitne URL index hai to ye ye post read kare Search Engines Me Aapki Website Ke Kitne URL Index Hai.
Ye the 5 big reason jinki wajah se search engine me indexed pages number kam hote hai. But main aapka btana chahunga ki har bar index pages ka kam hona bura nahi hota hai. Agar aapke low quality content ko remove kar deta hai to aapke high quality content ki search ranking badh jati hai. Jisse aapko jyada traffic milta hai.
- Google Me Achi Ranking Pane Ke Top 15 SEO Factors 2025
- Website Ko Sabhi Search Engines Me Ek Sath Submit Kaise Kare
In points ka khyal rakhe or time to time check karte rahe ki aapki site ke sabhi pages properly open ho rahe hai ya nahi.
md shehzad
Sir mene 5 days pelhe ek post publish kiya tha par wo index hi nahi ho raha hai kiu?
Jumedeen khan
jo post index na ho use google search console tool me fetchh kiya karo.
Akshay
Hi Sir,
1) Mera wordpress me ek blog hai.
Maine Yoast SEO Plugin ko use karke Sitemap Google webmaster tool me submit kiya tha.
Tab sare posts,pages,tags,images Google me index ho gaye the.
Lekin ab maine pichale 2 dino se maine 3 post kiye lekin vo Google me index nahi rahe.
Iska kya reason hai?aur fast index karne ke liye kya karu.
2) mera blog kaisa hai check karke batao please,and koi changes ho to batao.
3) kya mai apki site par comment karke backlinks le sakta hu?
Matlab apne blog ke posts ka Link comment box me paste kar kar backlinks le sakta hu kya?
4)Abhi maine 5 posts kiye hai lekin mujhe traffic zero mil rahi hai,maine keyword planner ko use karke keywords nikale aur vo apne posts me dale fir bhi mujhe traffic nahi mil raha.
Jumedeen Khan
1. Wait ho jayenge fast index karne ke liye fetch karo.
2. must hai no changes.
3. why not. link ke liy specially website box hai.
4. Content likhne ke bad sue promote bhi karo.
vishal
nice post thanks for sharing
Deepanshu Saxena
Sir agr URL change kiya ho or 5-6 din ho gye ho….
to kaise resolve kre.
Kya google new URL ko index krega yaa nhi….??
Agr karega to kitne time baad..??
Jumedeen Khan
No worry google apne aap new URL ko index kar lega.
mann
top level ki backlinks hum kese bana sakte hai???
Jumedeen Khan
Top level ke blog par guest post karke.
gautam
ek baat btao sir ki mere google console me kabhi url submit dhikhta hai and kabhi pending dhikhata hai esa kyo.
and vese 2 url index bhi hai
Jumedeen Khan
Jab aap site par koi new articles ya kisi bhi tarah ki update karte ho to search console me pending show hoga uske index hone tak.
Umesh Ninawe
nice post jummedin bhai keep sharing us
gautam
ek question hai post ke andar ko code ya java script add karte hai use kis type se add kare
matlb maine aapki post m bhi dekha hai jis trh aap code add karte hai vese btaye
Jumedeen Khan
Uski jankari yaha hai Blog Me Code Box Kaise Use Kare
gautam
sir main ab ek hi image ko fearturd and post ki image ki trah use karta hu but related post ki image bhi index ho rhi hai
Jumedeen Khan
Aga aap images ko index nahi karna chahate to robots.txt file me ja kar disallow kar sakte ho.
Karan
Nice post…Thanks for sharing
Neha
hello sir,
meri site ki pages index ho rhi hai kya karoo. please help me sir.
Jumedeen Khan
Un pages me rel=”noindex” tag add karo.
Asween
Bahut hi badhiya jaankari, indexed pages kam hone ki vajah aaj pta chali ki aisa kyu hota he.