Internet ki duniya day by day badhti hi ja rahi hai. Pahle internet ko sabse jyada english me use kiya jata tha par ab aesa anhi hai ab hindi or india ki dusri language me bhi internet ka istemal kiya ja raha hai. 2011 ki tulna me 2024 me internet par hindi language use karne wale users ki sankhya me salana 41% teji se badhotari huyi hai. Internet par indian bhashao ke badhte dabdabe ko dekhte huye kah sakte hai india ki hindi and other Indian languages sab mil kar jald hi english language ko bhi piche chord sakti hai. Aayiye jante hai internet ke bare me kuch rochak bate jaise India Me Internet Ka Istemal Kitna Hota Hai or Future Me Kitna Hoga?
Consulting form KPMG and google search engine ki report ke anusar indian language ke internet users ki sankhya teji se badh rahi hai. India me log ab internet ka pahle se jyada istemal kar rahe hai. Aap internet par hindi ya other indian language me koi bhi keyword search karoge to aapko million results milenge wo bhi indian languages me.
Mostly, internet par hindi and hinglish yani internet users ke dwara hindi+english ko mila kar banayi gayi basha sabse jyada istemal hoti hai. Halanki ye koi official bhasha nahi hai magar social media, blogs, websites par bhi iska istemal hota hai.
- Hindi Ya Hinglish: Blogging Kis Bhasha Me Karna Behtar Hai
- Youtube Ke Bare Me 20 Interesting Facts Amazing Jankari Hindi Me
To chaliye aaj main aapko bta raha hu ki internet par hindi or dusri indian languages ka kitna istemal hota hai or aane wale time me internet par indian language kitni hogi. Future me internet par hindi ka kitna dabdaba hoga. Internet Par Indian Languages Kitna Use Hoti Hai?
Internet Par Hindi Indian Languages Kitni Istemal Hoti Hai
Main hindi ke bare me pahle bhi kuch important janakri share kar chuka hu jo aap Hindi Ke Bare Me 10 Amazing Facts – Ajeeb Bate post me padh sakte ho. Aaj hindi ki internet importance and hindi ke future ke bare me bat karenge.
1. Abhi Internet Par Hindi and Other Indian Language Kitni Use Hoti Hai?
Iske bare me to main aapko upar hi bta chuka hu ki 2011 ki tulna me 2024 me internet par indian lnaguage users ki sankhya me 41% badhotari huyi hai.
Google search engine and consulting forum KPMG ki report ke according 2011 me internet par 4.2 crore indian language istemal karne wale user the jo ki 2024 me teji se badhkar 23.4 croe ho gaye. Hindi 20.1 crore, Marathi 5.1 crore, Bengali 4.2 crore, Tamil 3.2 crore, Telugu 3.1 istemal hoti hai.
2. Future Me Internet Par Indian Language Users Kitne Honge?
2011 me internet par indian language use karne wale user 4.2 crore the jo 2024 me 23.4 crore ho gaye agar aesa hi chalta raha to 2024 tak ye sankhya 53 crore tak pahuch jayegi. Khas bat ye hai ki 2024 me english language users ki sankhya only 17.5 hi thi jo ki hindi basha se bahut kam hai.
3. Indian People Kis Device Me Chalate Hai Internet?
Ek report ke mutabik indian language me internet use karne wale logo me se 70% users mobile devices ka istemal karte hai. Agar total internet users ki bat kare to india me 78% internet users mobile smart phone ka istemal karte hai.
4. India Me Kis Location Me Jyada Internet Istemal Hota Hai?
Agar aapse koi puche ki india me internet kaha jyada use hota hai cities me ya villages me to aap shayad city btayenge. Magar aesa nahi hai bharat me shahar se jyada ganvo me internet istemal hota hai.
Village location me har internet user per week lagbhag 530 minutes internet par kharch karta hai. Jabki city me internet users har hafte 480 minutes internet use karte hai.
5. Aane Wale Time Me Internet Par Indian Language Kaha Par Hogi?
Agar hum bat kare ki future me internet par hindi ya other indian language ka kitna istemal hoga to mera jawab hoga aane wale time me indian language top par hogi. Kyuki aaj mobile, desktop, laptop, tablet etc. har type ke device me hindi language available hai.
Hindi aaj jis tarah se internet par growth kar rah ihai use dekh kar kaha ja sakta hai ki ek din ye top par hogi or internet par sabse jyada hindi users honge.
Internet par hindi or dusri indian language ko growth hone me digital news and digital india se kafi help mili hai. Only digital news ke 10.6 core users hai jo ki 2024 tak 28 crore tak ho sakti hai. Digital news aane wale time me social networking sites ko bhi piche chord sakti hai.
- 50 Official Google Blogs – Useful and Helpful Websites in Hindi
- Google Ke Bare Me 10 Interesting Facts, Amazing Information Hindi Me
Abhi social media par indian language use karne wale users 11.5 core hai or 2024 tak ye 30 crore tak ho sakte hai. Kuch bhi oh ye to kahna padega ki jis filed me india wale aa jate hai usme top par aa kar hi mante hai. 125 crore population wala country hai. Agar isme se 50 percent bhi internet ka istemal karte hai to badi bat nahi hogi.
Agar aapko ye jankari pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.
kamlesh
Internet se related information Hindi me!
Shailesh Chaudhary
Google Hindi ko Inta Promote kar rha hai. Kuch din me Internet par Hindi user sabse jayada honge. Well Done
Sabiha khan
Nice article bahut achhi jankari diye aap..maine bhi hindi blog banaya hai ‘women’s care’ abhi mai new blogger hu please aap mere blog ko dekhkar bataiye mujhe aur kya karna hai please meri help kariye
Jumedeen Khan
Bahut achha blog hai. Aap blog ke liy achha sa logo bhi bana lo to or bih achha hoga.
Sabiha khan
Thank you sir, but logo kaise banate hai mujhe nhi malum
Top.HowFN
बहुत ही रोचक और शानदार लेख लिखते हो भाई आपकी यही खासियत हमें बार बार आपकी नई पोस्ट का इंतज़ार रहता हे
Thanks
jume deen sab
hossain farid
bro maine online frnd par trust kar ke use adsense ne admin banaya aur usne mujhe hi adsense se remove kar diya ab mai login bhi nahi kar pa raha …mai ise recover kaise kr sakta hu bro plz give solution
Jumedeen Khan
Sirf ek rasta hai. aapka dost aapko fir se admin banaye to aap log in kar sakte ho.
md qureshi
bhai bahut achhi information share ki hai aapne
Rahul Tiwari
Bahut hi badhiya jankari.
Sach kahu to mai khud kuch bloggers ko hindi me likhte dekh kar mai bhi dar gaya or hindi me post likhne laga tha lekin aapke post ko padh kar lag rha hai ki aane wala samay Hindi ka hi hoga. Pahle mai confuse tha ki Hindi continue karu ya Hinglish me fir se likhu…lekin ab mai soch rha hu Hindi me hi continue karunga.. Aapka kya kahna hai?
Aapke site ko daily visit karta hu or kam se kam ek visit me 5 post jarur padhta hu…aaj pahli baar comment kar raha hu.. Isliye ummid hai ki aap Reply denge 🙂
Mai aapke website par ek Guest Post publish karwana chahta hu, kya aap Guest Post publish karte hain? or haan, to uske terms & conditions bta dijiyega sath hi kis id par post mail karna hai ye bhi…
Post kis language me honi chahiye Hindi ya Hinglish? ye bhi bataiyega..
Ek chhoti si Request or hai:- Mere blog ko Visit kar ke ek baar check kariyega or jo jaruri salah ho vo bhi bataiyega.
Jumedeen Khan
Good blog, bro hindi or hinglish me hindi humesha better hai, Kadwa sach hai ki hinglish ka koi future nahi hai.
Yes aap kar sakte ho google me search kare “supportmeindia guest post policy” iski jankari mil jayegi.
Aapka blog bahut achha hai. achha likhte hai design thoda or achha bana lo.
Rahul Tiwari
Reply ke liye Thanks.
Jaldi hi Guest Post Policy padh kar aapse fir contact karunga.
Abhi mai beginner hu, isliye design ya dusri chizo se related thodi dikkat aa rahi hai lekin aapko or dusre Top Bloggers ko padh kar mai roj kuch naya sikhta hu or umid hai jaldi hi Blog ki kamiya dur kar lunga.. 🙂
ajay gupta
sir aaj ki ye jankari hame behad pasand aaya kyonki aapne hindi language internet par kitna use hoti hai uske baare me bataya thanks nice information jumedin sir
Shailesh Chaudhary
Best Information Related to Hindi language and Good News for all Hindi Blogger.
Thanks Bhai
saqib
hreflang tags apne blog ke liye konsi language select ki hai
Jumedeen Khan
Hindi
vivek choudhary
Thanx jumedeen ji ye article likhne ke liye. Mai kai dino se yahi search kar raha tha ki aakhir internet par kitne hindi users hai. Aapne bata diya thanx.
saqib
bad backlinks ko remove kaise kare ?
Jumedeen Khan
Unrelated question, no answer.
Kuldeep Vishnoi
mere yoast SEO kaam nhi kar raha hai kya karu
Jumedeen Khan
Kya problem ho rahi hai.
Abhinav Ranjan Jha
Maine Mozila Firefox par ek report pdha tha ki internet pr jyada website english me hai but 23% logo ko hi english smjh aati hai. Yhi report pdh ke maine Hindi Blog shuru kiya tha. Nice Post as Always Sir
sumit kumar
sir apni site per hum ads kaise lageye meri site ko 4 month ho gye hai lekin abhi tak ads show nhi hue hai help kariye sir
Jumedeen Khan
Check our adsense related posts.
Anita Mishra
Bohot achhi jankari share kiya hai aapne, lekin pichhle 7 mahino se aapki income report kyu nahi padhne mil rahi hai, kya hua?
Deepak sahu
jab mai apne wordpress dashboard me enter hota hu to sabse upar delete cache ka option deta hai. maine wp- super cache plugin install kiya hua hai. so mera question ye hai ki kya cache ko bar bar delete karna hota hai.?
mai delete cache par click kar ke isko delete kar du?
Jumedeen Khan
Nahi bar bar nahi karna. Agar aap blog me kuch change karte ho to karna padta hai.
Ravi Kumar
Ha Aapne Yaha Sahi Kaha , Future Me Hindi Top Par Hogi, But Aisa Bhi To Ho Sakta India Me Internet Sasta Hai To Log Jayada Use Kar Rahe hai,
Jumedeen Khan
Ravi india me internet 2017 me sasta hua hai like Jio but ye reprot 2011 to 2016 ki hai.
Sahil Kumar
आपके लेख को पढ़ कर मन में हिंदी भाषा के प्रति एक आशा सी बढ़ी है। उम्मीद है आने वाले समय में हम भारतीय इंटरनेट भारतीय भाषाओं में केवल उपयोगी चीज़ें ही पढ़ेगें और इस्तेमाल में लाएंगे।
Tushar
Sir aap WordPress Posts ko copyrighters se protect Kaarne ke liye kon sa plugin use karte ho
Jumedeen Khan
Blog Post Content Ko Copy Pasting & Chori Hone Se Kaise Bachaye
Shahid Afridee
Jdk Bhai mujhe aisa lagta hai. ki abhi bhi India me bahut kam log Hindi search karte hai Kyu ki sabhi ko ye pata nahi hota ki net par Hindi article bhi milte hai…
Jumedeen Khan
Yes you are correct. Second ek problem or bhi hai jinko english aati hai wo hindi padhna nahi chahate.
saurav
Bahut hi badhiya jaankari di h aapne.