Janiye Aapke Google Account Ko Kuon Istemal Kar Raha Hai? Aapka gmail account kin websites and devices me use ho raha hai. kei bar humare external site par visit karne se wo site humare google account se connect ho jati hai or hume pata bhi nahi chalta. Google third party apps and sites ke sath aapki site ke personal information ya password share nahi karta but kei bar isse hacking jasi problem ho jati hai ya fir hume bahut jyada spam mail milte hai. Aaj main aapko aesi trick bta raha hu jisse aap ye pata kar sakte ho ki aapke google account ko koun istemal kar raha hai or aapka account kin sites and device par use ho raha hai ya fir kitni sites or devices aapke google account ko use kar rahi hai.
Ho sakta hai aapke google account ko koi or bhi use kar raha ho or aapko uska pata hi na ho ya fir koi aapki personal details chori karne ki koshish kar raha ho. In sabhi problems se bachne ke liye aapka ye janna bahut jaruri hai ki aapki Gmail ID ko koi or to istemal nahi kar raha hai.
- Gmail Account Me Phishing Emails Ko Avoid Karne Ki Best Tips
- Gmail Account Me Galat Email Send Hone Par Wapas Kaise Kare
Internet use karte time kei bar hum hackers ki site par visit karte hai or wo humare account se chedchad karne lag jate hai. Mostly aesi site ko use karne se pahle google account ya social media account se connect karne ya sign karne ki jarruat hoti hai.
Table of Contents
Janiye Aapke Google Account Ko Kuon Istemal Kar Raha Hai
Aapke account ko kitni sites and apps access karte ha iye pata karne ke liye aap Security Permission Link page open kare. Ab jo screen open hogi usme wo sabhi apps honge jinse aapka google account connect hai.
1. Find Which Apps and Sites Connected With Your Google Account:
Yaha par add account authorization wale apps me se kuch app service fake hoti hai or aapke liye danger ho sakti hai. Jab aap kisi app se google account se jodte ho to aapse full acess ke liye pucha jata hai. Full access ka matlab hai ki wo app aapke contact and mails ko read kar sakta hai.
So aap sirf full access unhi apps par enable kare jin par aapko full trust ho. Aapko jis apps se jude rahne ki jarurat nahi hai ya jis par aapko trust nahi hai us par click kar remove kar de.
2. Check The Devices Using Your Google Account:
Agar aap janna chahate ho ki konsi device (Computer and Smartphone, android mobile, tablets etc.) me aapka google account use ho raha hai to iske liye aap ye steps follow kare.
First aap Security Activity Page open kare. Ab jo page open hoga usme un sabhi devices ki details hogi jinme aapka google account istemal ho raha hai or jo aapke account ko use kar rahe hai. Inme wo device bhi show hogi jo aap use kar rahe hai or jinme aapne ID se log in kiya hua hai.
Agar aapko yaha par koi aesi device mile jo aap use nahi karte to aapko jaldi hi password badal lene chahiye or strong password banane ke sath google 2 step verification bhi enable kar lena chahiye. Inki jankari ke liye ye post check kare.
- Google Gmail Account Me 2 Step Verification Kaise Enable Kare
- Strong Password Kaise Banaye, Majbut Password Banane Ki 8 Best Tips
Isme kis device kam or kitne time par sign in kiya gaya hai ki details bhi show hoti hai like 1 Hours Ago, Yesterday at 5:30 PM sath hi us device ki location, state, country name bhi show karta hai.
Agar aapko koi unrelated device mili hai or aap turnat password change karna chahate ho to aap yaha Change Password link par click kar abhi apne account ke password change kar sakte ho.
Google account ki security ke bare me aapko ye post kaisi lagi agar achhi lage to humari security related or bhi post padhe.
bhut hi badiya jaankaari aap humesha aachi jaankaari share karte hai aapka dhaywaad
Sir Aap kon SA template use karte Hein Aur aapka blog WordPress me Hein ya blogger me Hein
Genesis wordpress par hai.
bhai ye blogger me maine buhut template use karke dekha hai kisi bhi template me page navigation thik se kaam nahi karta next karo to next hi nahi hota . koi acha sa templates bataye
Indrajeet aap soratemplate site ki template use karo.
great information Mr Jume Deen Khan,
Apki information kafi useful hoti hai,
thanks for that.
Sir blog ke andar outher kaise add kare jese apne header me apna about add kar rakha hai profile ke sath
Coding se ye post padho Blogger Ki Har Post Me Author Box Enable Kaise Kare?
Sir mene 1 blog create kiya hai me apne blog ko google per search karta hun to WO ajata hai lekin uske description ke andar tamplate Ki information show hoti hai me kaise apni information show karu description or title kaise change karu btae zara
Blog ki template ke edit option me jao or jis description ko hatana hai sue search kar apni details add karo.
Sir jab apne blog me labels ko menu me lagata hu to templete error aata hai, maine bahgt baar try kiya aur dusra template bhi badal kar dekha lekin usme bhi yhi problem …….please iska koi upay btaye
Jo error aata hai wo mujhe dikhao.
nice information, isse sab gmail user ka account secured rahega.
Bahut achhi post hai isme ham asani se jayege ki kahi kisi ne hamari ID hack kar kis device me open ki hai
JDK bro ye Expires headers kya hote hai aur inhe blogger blog se kaise remove kare?
.htaccess code use karo iske bare me maine mozedia.com par post ki hai.
jume deen sir plz aap mujhe apna copy paste disable code or AdSense block ads wala code email par send karde. kyoki ye dono maine intetnet par bhut search kiye lekin ye nahi mile nahi to fir aap mujhe us site ka link batade.
Iske bare me maine hi post ki hai. ye post padho Blog Post Content Ko Copy Pasting & Chori Hone Se Kaise Bachaye
very nyc article thx for sharing with us.
Is tips se humare google account kaa upyog koun koun kar rha he or kin kin device me humare account kaa use ho rha he uska pta hum aasani se lga shakte he or ydi humare account kaa koi unauthorised upyog kar rha hoga to uske liye hum right step bhi utha shakte he
sir mujhe smajh nahi aa raha hai website option me kis tarah ka URL likhu jisse website ke post uc news me publish ho sir aapne apni website ke liye website option me kaisa URL likha tha
Like https://www.supportmeindia.com same apni site ka URL bih isi type se likho.
Very useful information brother , Thanks.
sir uc news registration karte baqt website ke option me website ke url likhna hai ya fir RSS feed banakar like makehindi.com/feed likhna hai
Dono me se jo chaho likh sakte ho
bhai mujhe apne blog ka rss feed chahiye kaise banau ? maine apne blog ke end mein xyz.com/feed lekin kuch show nahi hua kya karu ?
Aap ye post follow karo Apne Blog Ke Liye Feedburner Par Account Kaise Banaye
ye post sabhi ke liye bahut badiya jankari hai very very nice post sir
Thankyou jumedeen bhai aapne bahut achhi post hamare sath share ki hai.
ucnews me jab post karte h to kai external link dekhta hu par jab me link deta hu to wo approve nhi hoti hai iska reason kya ho sakta h…
or koi upay h kya external link dene ka jisse ucnews approve kar de..
Kuldeep main aapko kei bar bta chuka hu ki uc robots content ke satre links ko remove kar deta hai.
nice post bro