Agar aapke pas 4G support smartphone hai to aapke bas Jio sim jarur hogi or aap free internet, free call enjoy kar rahe honge. Magar kya aap jante hai ki Reliance Jio ke 4G sim se aap computer or laptop par high speed fast internet ka lutf utha sakte hai. Main yaha aapko 4G jio sim se desktop me net chalane ki 3 tricks bta raha hu aapko jo pasand aaye wo try kar sakte ho.
Reliance ne jio sim 4G support mobile user ke liye launch kiya hai but aapke pas kuch aese tarike bhi hai jinse aap apne computer me bhi jio sim se free internet ka maja le sakte ho. Aap online apne desktop par movies, videos dekh sakte ho ro download kar sakte ho.
- Airtel Sim Me Free Internet Kaise Chalaye 3G 4G Speed Se
- Idea Sim Me Free Internet Kaise Use Kare 2G / 3G Speed Se
Jin logo ko online movies, serial and other videos dekhne ka shouk hai or unka har mahine kei GB Data kharch ho jata hai to wo ab jio sim se computer me internet use kar sakte hai. Actually, sabhi log PC me sim se internet chalana nahi jante hai or wo mostly modem or router ka istemal karte hai.
Computer Me Jio Sim Se Free Internet Kaise Use Kare 4G Speed Se
Main aapko yaha par three tips bta raha hu jinse aap PC me reliance ji ki 4G sim se internet chala sakte ho. Wese 3no best tarike hai aapko jo pasand aaye aap us tarike se net chala sakte ho. Jio 4G Sim Se Computer Laptop Me Free Internet Chalane Ki Best Tips.
1. Wi Fi Portable Hotspot
Sabhi Android phone me wi-fi portable hotspot ka ek feature hota hai jiski help se aap laptop ya computer ko apne mobile se connect kar sakte ho. Aap chaho to smartphone me jio sim laga kar apne laptop ko mobile se jod sakte ho or free internet use kar sakte ho.
Iske liye aap mobile setting me jaye or data usage ke bad more par click kare. Yaha aapko tethering & portable hotspot ka option mil jayega. Aapko portable wifi hotspot chalu karke apne usme name or password set karne hai uske bad apne laptop me network search karna hai.
But aap is trick ko desktop computer me use nahi kar skate kyuki usme wi fi ka feature nahi hota hai. Computer me hotspot se net chalane ke liye aapko extra wifi system le kar computer se connect karna hoga.
2. USB Data Cable
Aapke pas smartphone hai to aapne dekha hoga ki phone ke charger ki line charger se alag ho jati hai or same data cable ke jaisi hoti hai. Actually, aap isse na sirf apna mobile charge kar sakte ho balki aap isse apne mobile ka data computer me transfer kar sakte ho or phone ko PC se connect kar internet bhi chala sakte ho.
Iska option bhi hotspot ke sath hi hota hai. Aapko sirf hotspot par ja kar USB tethering ko enable karna hai. Uske bad aap computer me mobile se net chala sakte ho.
Ya fir aap extra USB data cable le kar mobile ko PC se connect kar internet chala sakte ho. Is tips se aap laptop or desktop dono me internet use kar sakte ho. Reliance ji sim 4G speed se computer me net use karne ka ye achha tarika hai.
3. Use Dongle or Modem
Computer or laptop me jio sim se internet chalane ki sabse best or last trick hai modem or dongle ki madad se desktop me internet chalana. Aap 4G support dongle me reliance jio sim laga kar usse computer me net chala sakte ho or me browsing and other online work kar sakte ho. Dongle PC or laptop dono ke sath kaam karta hai.
Wese agar aap desktop user ho or already PC me internet chalate ho to aapke pas dongle or modem to jarur hoga but shayad 3G support hoga. So jio sim se computer me net chalane ke liye aapko 4G support dongle lena hoga.
- Airtel All USSD Codes Balance, Offer, Plan Check Karne Ke Liye
- Internet Se FREE Me Call Kaise Kare Puri Duniya Me Kahi Bhi Kisi Bhi Jagah Par
Agar aapke pas 4G support mobile nahi hai to aap kisi aese friend ke mobile ke throw reliance jio sim buy kar sakte hai jo internet use nahi karta ho.
I hope ye trick aapko pasand aayegi or aapke kaam bhi aayegi so please is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Rakesh tharol
Jio फोन से लेपटाप मे नेट Usb से केसै चलाये
pallavi
sir data cable se maine jio 4g sim se net chalu kiya lekin wireless network nh dikha rha h kya krna chahiye ap kuch setting bata do laptop me
Jumedeen khan
wifi driver update ya reinstall karo problem solve ho jayegi.
Vijay bhogayta
Mera pc old he wifi nahi he…
Mere pc me airtel ka broasband conaction he high speed net he pc me ab me pc ka net mobile me use karna chahta hu kya karna padega?
Me ek wifi dongle lelu to kya me use kar paunga pc ka net mobile me use?
Jumedeen Khan
yes wifi dongle le lo to kar sakte ho.
om
nahi aap usb dongle le lo jiska price lagbag 300 hoga or wah bahut acche se kaam karta hai
MC SQUARE
yeh sab chodo pc main mobile hotspot chalu kardo
vikas dhakad
main laptop Lena chahata hoon to laptop lete bakt kin kin baato ka dhyan rakhna chaiye
Jumedeen Khan
Iski jankari yaha hai Laptop Ki Jankari
Sumit gupta
dongle kaise connect karen computer me aur met kaise chalayen
Jumedeen Khan
Dongle hotspot open karo uske bad pane PC ka wifi on kar connect karo.
Sumit gupta
sir pahle mere mobile se computer me internet chalta tha lekin Windows dubara dalne ke karan ab usme net nhi chalta
Jumedeen Khan
Sahi se connect karo ho jayega.
Rahul
But Jio k wifi router ko computer par connect Kaise kare?
Jumedeen Khan
Latest desktop me wifi aata hai old computer ke liye aapk extra wifi lena hoga.
SHADAB
bhai mobile se laptop me 4g connect karne ke bad net to chalta hai par
speed nahi hai speed badane ka koyi solution hai….????
Jumedeen Khan
Iski 2 wajah ho sakti hai loose network or mobile issue ek bar mobile ko reset kar lo fir check karo.
Himanshu sharma
Bhai mera dell ka comp hain usme net kaise chlau without. Modem ke. Plz btaiye
Jumedeen Khan
Mobile hotspot se chala sakte ho.
pawan
sir 3g phone me 4g sim dal kr computer me net chala skte hai kya
Jumedeen Khan
Nahi.
Vikrant
Dear computer me USB se internet nahi chal raha he kya karu kya computer me WiFi hota he
Jumedeen Khan
Old desktop me wifi nahi hota aap dusri data cable se try karo.
Sabir khan
airtel 4g main jio 4g to kyon support nahi
maine dongle main sim chalayi aur sim open hi nahi hui
Jumedeen Khan
Aapke dongle me koi kamhi hai. Jio 4g dongle me easily work karti hai.
arshdeep
bhai cruppt pen drive ya memory card ko format kaise karte hai
Jumedeen Khan
Mobile setting me jao external memory par click karke format kar do. pen drive ko computer par laga kar open karo or right click karke format par click karo.
Aman yadav
Sir,
Me ye janna chahata hu.
Ki kya 3G modem se jio sim computer me 4G/3G speed se chala sakte hai.
Jaldi bataye
Jumedeen Khan
Nahi chala sakte uske liye 4g modem hona jaruri hai.
Rishikesh Mishra
Hello sir maine blogger par merihindijankari.in ek site banayi hai sir mai ab WordPress ko join karna chahta hu mujhe kitne paise kharch karna hoga aur sabse better hosting company koun si hai plz bataye
Jumedeen Khan
Aap shared hosting le lo jo ki 500+ per month me mil jayegi. mere hisab se bluehost or hostgator.
dilip
bro aapne upper first heading me WiFi portable hotspot ko blue color me likh hai bo kaise likha uska code mujhe bhi bataye
Jumedeen Khan
Dilip ye bahut hi simple hai. Aap CSS coding se aesa kar sakte ho.
RUSHEEK
Kya ap Facebook Messenger ka us nahi kart Kyu me apko Messenger par questions push Shakta hu
Jumedeen Khan
Nahi, aap facebook par kar sakte ho ya sawal jawab forum me.
Deepak Sahu
1-sir WordPress me apni website me kaun kaun sa plugin install karu? aur WordPress website ke liye kaun se plugins install karne jaruri hote hai? plz iske bare me bata do aap.plz A to Z plugins bataiye jo WordPress install karne ke baad install karne chahiye.
2- kya zyada plugins install karne se koi bad effect padta hai website pe ya fir website ki loading speed kam hoti hai?
3-agar meri ek website english me hai aur uske content ko mai hinglish me likh kar apni dusri website me hinglish me likh sakta hu? kya fir bhi usme copywrite issues ayega?
Jumedeen Khan
1. Jetpack, wp super cache, yoast seo, social share etc.
2. yes sirf jaruri plugin hi use karo.
3. yes copyrighting hogi aapko aesa nahi karna chahiye.
Deepak Sahu
sir maine all in one seo plugin install kiya hai.. agar isko install kiya hai to fir jetpack aur yoast seo dono install kar sakta hu.?
Jumedeen Khan
All in one ki jagah oyst SEO plugin use karo.
Jithendra
Nice and Informative post.
we can experience fast browsingwith JIO
shashank
Bhai maine blog me contact form ke liye WPforms Plugin lagaya, Lekin Message submit karne par mujhe email nahi milta. Maine or bhi 2 – 3 contact form use kiye lekin sahi email id set karne par bhi message mujhe nahi mil raha.
Jumedeen Khan
Aap contact forum 7 use karo.