Blog par search engine se adhik traffic lane ke liye SEO optimization ki jarurat hoti hai or SEO me keywords most important factor hai. But site content me bahut sare keywords add karne se keyword stuffing hoti hai jisse google search engine aapki site ko search se banned kar deta hai. Aayiye iske bare me vistar se bat karte hai.
Blogging me lakho logo ko ye problem hoti hai ki unke blog par original content hone par bhi unhe search engine se traffic nahi mil pata hai. Jabki un logo ka kahna hota hai ki unhone SEO ko ache se follow kiya hai.
- Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai
- Anchor Text Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai [SEO Guide]
Mostly, Mai bhi apne readers ko search engine se traffic pane ke liye SEO friendly post likhne or post content me keywords use karna suggest karta hu. Is bat ko kuch blogger jarurat se jyada follow karte hai or apni post me bahut sare unrelated keywords add karte hai. Jisse unki site ko search me achi position milne ki jagah unki site ki search rank down ho jati hai.
- No Follow Vs Do Follow Link Dono Me Kya Difference Hai [Basic SEO]
- Website Ki SEO Ranking Banaye Rakhne Ke Top 5 New Tarike
Lagbhag 50% website or blog google use karte hai or google se sabse jyada traffic receive karte hai. But isi process me bahut si sites google se remove ho jati hai. Iski main wajah hoti hai keyword stuffing. Actually, Iske bare me hum yaha details me janenge.
Keyword Stuffing Kya Hai?
Keyword stuffing search engine optimization (SEO) ki hi ek technique hai. Jisme ek web page ke meta tags or content me me bahut sare keywords bhare hote hai. Keyword stuffing aapki website ko search engine se banned kara sakte hai ya fir site ko kuch time ke liye penalty (temporarily or permanently) dila sakte hai. Yahi reason hai ki post meta tag or content me keywords ko bar bar repeat karne se search engines aapke blog ko ignore kar dete hai. Yaha aap is exaple se ise ache se samajh sakte hai.
“Blogging kya hai. Blogging ke bare me 10 SEO tips, Blogging kaise karte hai. Blogging sikhne ka aasan tarika. Blogging me success kaise paye. Blogging career kaise banaye ki hindi jankari. Blogging start kaise kare.”
Is paragraph me total 30-40 words hai or 7 bar ek hi keyword korepeat kiya gaya hai jo ki 90% bhi jyada hai. Jabki hum ek article me 2% se 5% kewords use kar sakte hai. Bas yahi keyword stuffing kahi jati hai. Yani ki post content me bahut hi jyada keywords add karna.
Ab jab bhi koi is keywords ko search karke aapki site par aayega or is page ko read karega to use boring mehsoos hogi or wo future me aapki site par visit karna pasand nahi karega. Second jab googlebot aapki is post ko index karne ke liye read karega to use har jagah par ek hi keyword milega. Jisse wo aapke content ko na sirf ignore karega balki humesha ke liye ya kuch time ke liye ban bhi kar sakta hai.
Blog Content Me Keyword Stuffing Kaha Kaha Ho Sakti Hai?
Google search engine guidelines ke anusar mostly keyword stuffing article meta tags or contetn 2 jagah par ho sakti hai. But mai yaha aapko kahna chahunga ki aap post title or post URL me bhi isse bach sakte hai. Chaliye iske bare me details se btata hu.
Kisi tarah ki website fir chahe us par kisi bhi category se related information share ki jati ho sabhi web pages (Articles) ke most 4 part hote hai.
- Post Title
- Post URL
- Post Content
- Post Meta Tags (Description)
Keyword stuffing ka sabse jyada khatra inme se 2 place par jyada hota hai post content or post description. Main mistakes post contnet me hoti hai.
- Post Title: Post title me ek hi keyword ko 2 ya 2 se jyada bar repeat karna. Jaise Keywords kya hai or keywords ki puri jankari.
- Post URL: Same title ki tarah URL me keyword ko 2 ya 2 se jyada bar repeat karna ya extra words use karna.
- Post Content: Post content me bahut jyada bar keywords ko repeat karna. Jise padhne me bar bar e khi keyword ko read karne me problem ho. (Isme post heading, internal and external links, all paragraph and other sabhi content aata hai.)
- Post Meta Tag: Post description me post content se unrelated keywords use karna ya jyada keywords use karna.
Ab aapko ye to samajh aa gaya hoga ki keyword stuffing kya hai or ye kaha kaha kaise use hoti hai. ab bat karte hai ki ye SEO ke liye kaise danger ho sakti hai.
Keyword Stuffing SEO Ke Liye Danger Kyu Hoti Hai?
Sabhi jante hai ki google or sabhi search engines me aapki site ki postion aapki site ke contnet par depend karti hai. Search engine aapki site contet quality ke aadhar par hi aapki search position tay karte hai.
In this case, Ayse mai kuch log apni sit ki search rank badhane ke liye or apne content ko or jyada better banane ke liye post content me bahut jyada or bar bar keywords repeat karne ki koshish karte hai. Wo chahate hai ki har keywords search me unke content show ho or search karne wala visitor unki site par visit kare. Isi wajah se google or baki all search engines unki site ko penalized kar dete hai. Jisse unki website kuch samay ya humesha ke liye search se delete ho jati hai.
Google search engine chahata hai ki hum apne readers ko sahi or har step ko ache se samajha kar information de. Taki google ke users ka google par wishwas bana rahe. Ayse mai agar search engine humari eki hi post (Jisme sabih tarah ke keywords load huye ho.) ko show karega to jald hi uske reader use use karna band kar denge. Kyuki unhe sahi or jarurat ki janakri nahi milegi.
Ek time tha jab keyword stuffing se bhi search engines me achi position mil jati thi magar ab sabko iska pata chal chuka hai. So ab search engine ko bevkoof nahi bana sakte. Ab aysa karne se hume search engine alltime ke liye banned kar sakta hai.
Apne Blog Ko Keyword Stuffing Se Kaise Bachaye?
Upar di jankari se aapko keyword stuffing ke bare me sabkuch pata chal gaya hoga. Chaliye mai aapko ye bhi bta deta hu ki is se apn isite ko kaise bachaya ja sakta hai. Iske liye aapko kya kya karna hai or post likhte time kya kya dhyan rakhna hai.
- New post likhnt time sirf us post se related hi keywords use kare or puri post me usi ke bare me content likhe. Post se unrelated or unnatural keywords ko bilkul bhi use na kare.
- Post URL jitna ho sake short use kare or usme ek keywords ko 2 ya 2 se jyada bar add na kare. Post link me se extra keywords ko remove kare.
- Ek post me 2% to 5% se jyada kisi bhi keywords ko repeat na kare. Ho sake to main tareget keywords ko 1.5% to 2% hi use kare. Suppose
- Agar aap WordPress user hai to yoast SEO plugin use kare jo aapki quality content likhne me help karta hai. Yoast SEO plugin me target keyword ki persent show hoti hai k iaapne ye keywords kitni bar use kiya hai or contnet ka kitna persent hai.
- Agar aapka blog blogspot free platform par hai to aap iska khud hi khyal rakhna hoga ki content me keywords jyada use na ho.
- Post me boring words use na kare.
- Aap jis keywords par post likh rahe ho. Usme us keywords ki full information honi chahiye. Post me insufficient content nahi hona chahiye.
- Post me jyada internal and external links add na kare or ek hi link ko bahut bar add na kare.
- Post heading me tarket keywords ko bina jarurat ke repeat na kare.
- post meta tags me sirf post se related keywords hi use kare, or sirf keywords hi use na kare. Post description me aap sirf 160 character hi use kar sakte hai. So isme aapko puri post ki summary likhni hoti hai. So yaha sirf post ke bare me likhe.
Sabse acha tarika hai post likhne ke bad use ek bar khud padh le or koi mistakes ho to use solve kar le. Mera manna hai ki post ko read karne se usme huyi galati ka jarur pata chal jata hai.
- Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai
- On Page SEO: Website Ko Search Engine Me First Page Par Lane Ki Top 10 Techniques
Finally, Mai aapse kahna chahunga ki ek sahi language me likhi gayi post jisme shando ka sahi istemal kiya gaya ho me kabhi keyword stuffing nahi ho sakti. Ye problem tabhi hoti hai jab aap bad language ka istemal karte ho. Isiliye aap english, hindi ya kisi bhi bhasha me likho shudh bhasha me likho.
I hope aapko is post me achi jankari milegi. So plz is post ko social media par other bloggers ke sath share jarur kare.
Vishal
Support me india world best hindi blog hai. Yaha visitors ko full guidance milta hai .
Thanks Jume Deen ji.
…
Aapka ye articles bahul hi important hai keywords stuffing ke bare me .
Agar meta description ek se jyada bar keywords use kiye gaye ho to kya unhe edit karna chahiye…..
ABDUL RAZIQUE
Thank you sir main jada smart banne ki kosis kya or post likha kuchh der to vo post top pe raha fir kaha gya pata v nahi chala tb main google kiya or jankari mili ki keyword stuffing kya hota hain
Nilesh
Bahut bahut dhanyawad sir….yaha post hamare new bloggr ke liye fayda ayega
rajneesh
Hello sir aapne bhut bhdiya or thrike se isme bhtaya isme hume bhut kuch shekhne ko mila hai.
pradeep rajput
नमस्ते सर; मेरा ब्लॉग एक सामान्य ज्ञान संबंधी portal है। जिसमे मैंने अलग-अलग सब्जेक्ट पर आर्टिकल एवम प्रश्नोत्तरी लिखता हूँ, जो अब कुल २५० से ८०० वर्ड का होता है। परंतु कुछ हिंदी प्रश्नोतरी साइट में मैंने देखा है, की उनकी कुल आर्टिकल संख्या २०० से ३०० (इनसे कम भी) के होते है।
(नोट : आपके पिछले पोस्ट से : Adsense Approval लिए कुल पोस्ट आर्टिकल संख्या २५० से ३०० तक होना चाहिए)
“मुझे जानना है की Approval होने के बाद भी क्या आर्टिकल संख्या २५० से ३०० तक लिख सकते है (कितनी होनी चाहिए), इससे Google Adsense A/c पर कोई Effect तो नहीं होगा। क्योकि मेरे पिछले ४ महीने पहले मेरे २५० संख्या वाले पोस्ट में Link Units Ads लगाने (कुल ३ display ads units + 1 link ads units = 4 Adsense Ads Units) से Warring Message मिला था जिसे (link units) हटा कर मेरे द्वारा Resolve किया गया।”
Jumedeen Khan
Most important post me hum kam words use kar sakte hai but minimum ek post me 300 words jaruri hai.
Sonu Gupta
bahut hi badiya jankari diye he
deepesh
Hello jumedeen sir mera AdSense pin nahi aya 1 mahine ho gye kya AdSense pin ek hi baar bhejta hai
Jumedeen khan
Nahi 3 bar send kar sakte ho but aap achhe se pata kar lo pin jarur aaya hoga. ho sakta hai aapko mil nahi raha ho.
Samar bhardwaj
Apne likha h
3.Ek post me 2% to 5% se jyada kisi bhi keywords ko repeat na kare. Ho sake to main tareget keywords ko 1.5% to 2% hi use kare.
matlab agar hamare title me Jo keyword nahi hai use bhi 3% se km rkhna hai..
eg:
sameer aur sanju ki untold story
upar ki title me love keyword nahi hai to kya is keyword ko bhi dhyan me rkhna chahiye
Jumedeen khan
Yes aap jitna SEO ko follow karoge apaki post utni hi better hogi.
shital kumar
sir, search console me search analytics ke niche clickers likh hota. mai janna chahta hun ki wahan par jitne bhi toatl clickers hote hai, wo kis cheej ke clicker hote hai.
Jumedeen khan
Aap jo option bta rahe ho search console me aesa ko option nahi hota. Question karne se pahle check kar liya karo.
Nikhil Jain
बहुत ही बढ़िया जानकारी दी आपने, लेकिन कुछ words तो बार-बार repeat हो ही जाते है कई इसके बारे में भी परेशान रहते है कि अपने ब्लॉग को keyword stuffing से कैसे बचाये, जैसे की आपकी पोस्ट का title key stuffing है और इसमें keyword stuffing word 15 बार आया, तो title का कुछ word तो repeat हो ही सकता है।
बहुत बढ़िया जानकारी दी।
Jumedeen khan
Hum ek wordfs ko 2.5% repeat kar sakte hai.
shyam sundar mondal
jumedeen ji ye bahut hi badiya information hai, bahut blogger ko kaam aayegi.
Jumedeen khan
Thank you shyam
Deepak
bro aapne jo kuch day phele social share widget use ki thi apne blog post par uski coding de digeye.. plssss
Jumedeen khan
Sorry main uski coding nahi de sakta.
vijaykumar bhogayta
mene ek demo blog banaya he ab muje is demo blog se bahut kuchh sikhne ko mila ab me ek hindi blog bana na chahta hu lekin muje aapse help chahiye keyword ke baare me
me hindi me keyword kese ad karu kya me keyword English me use karu ya hindi me ?
example:
1) blogki jankari hindi me
2) ब्लॉग ki jankari हिंदी me
is me se me kya sahi he ?
Jumedeen khan
Keyword aap english me hi use kiya karo.
dhananjay
sir meri ek problem hai mai 1000 word ki post likhata hu seo ke dhayan me rakh kar lekin mera post google me search me nahi ata hai sir mai bahut dino se pareshan hu aap hi help kar sakate hai hindi4earn.com chek karake bataye
Jumedeen Khan
Mujhe aapki post me mushkil se 500 words bhi nazar nahi aa rahe fir aap 1000 words kaha add karte ho.
Mukesh Sharma
Brother aap mere blog me ek bar dekh kr bata do ki mere latest article me kya keyword stuffing ho sakti hai. Kyoki ek dost Bol raha tha ki aapki post keyword stuffing me aa sakti hai
Jumedeen Khan
Aap keyword density tool par apni post check kar sakte ho.
Kavya
Sir. Mera ek blog hey jis pr mey all university, celebrity, product key toll free number provide kr wati Ho kya aap Mere blog ko check krky bta skty hey ki vo kesya hey ya fir kya kamiya hey sir mere Blog ki post ka tittle be batana kesa hey my blog is customertollfreehelplinenumber.in please sir check krky jaror batay
Jumedeen Khan
Blog me koi kami nahi hai. Bas aap sidebar me category widget ko dekhe to wo bahut jyada scroll karna padta hai. Use hata do ya fir drop down category feature use karo.
kavya
Sir drop down category feature kya hota hey ussy kesy use kro please bta dijiye.
Jumedeen Khan
Aap widget option me dekho waha iska option mil jayega.
kavya
Thnx a lot sir aapki wajah seh bhut help mile mujhe aagyy be assy hee help krty rhy.
Md barkat
..bhai…
jaise Main Hostgator se Hosting Kharid Liya. aur WordPress blog Ko Install kar Liya.. aur Uske Baad Muje Domain ko Add karna hai..kaise Karna hai.
jab hum Hosting Kharidte hai toh us time pahle domain Ke Bare Puchta hai..toh mere Pass Domain hai Lekin Godady par hai. mera Domain – JankariHindi Me. com…
Ab Kya kare ke Hostgator WordPress Blog par Domain Aaa jaye..
Jumedeen Khan
Domain select karne ke option me apna domain add karo. iski janakri ke liye ye post padho Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide Hindi Me Jankari
Md barkat
thank you.. Jume bhai..
Jaisa Hmh.pe par Themes hai Waisa Free milega kya?? jab main Hostgator par WordPress Blog Banaunga toh.!!
Jumedeen Khan
Nahi wo paid theme hai.
Md barkat
Hello
, Jume Bhai.Ap kaise Hai.
mera Sawal Hai??? Ap se Kuch Confusion hai Wo Dur karna Chahta hun!
Mera Sawal Ye Hai Ke Mai.hostgator par Hosting Le Liya Hn Aur Ab Kya WordPress ko install karun ya Phir Alag se Ek WordPress par Blog Banaau.
please Muje Abhi tak nhi Samaj Aa Raha Hai.ke kya karna hai.
mera Confusion? 1) kya Pahle Hosting Lena Chahiye.?
2) ya phir Alag se WordPress Par Blog Banana Padega.?
Magar Domain Godady Se Liya hun! koi problem to Nhi hai Na.
Jumedeen Khan
1. Sabse pahle hosting lo fir aap hosting cpanel me ja kar WordPress blog install karo follow this guide Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
2. alag se WordPress blog banane ki koi jarurat nahi hai. Sirf WordPress blog install karna hai.
Koi problem nahi hai. domain kahi se bhi liya ho chalega.
Ismail
Really help full airctel bhai is post mein aap ne bahut hi ache se samajya hai best post bhai maano lo mein ek post likha hun blog ko Search engine mein kaise submit kare to a full pure post mein a keyword k kitne baar report kar sakte hun aur maam lijye agar meri post seo se related post hai to mein seo word ko kitne bar report kar sakta hun pure post mein please reply
Jumedeen Khan
Iske bare me post me details se btaya hai ek bar post ko carefully padh lo.