Aapki Facebook Profile Ko Sabse Jyada Kisne Dekha Hai Kaise Pata Kare

Agar aap facebook istemal karte hai to aap ye jarur janna chahoge ki facebook par aap sabse jyada kiske sath connect rahte hai or aapka number 1 friend koun hai jo aapki facebook profile ko sabse jyada open karta hai. Koun aapki post par sabse adhik comment or like karta hai kon aapki profile ko bar bar check karta hai aur aapke page ko kitne logo ne dekha hai. Agar aap ye sab janna chahate ho to ye post aapke liye hi hai. Aaj main aapko btane wala ki facebook par aapke sath sabse jyada koun connect rahta hai or koun aapki profile ke sabse jyada bar open karta hai.

Janiye aap facebook par sabse jyada kisse jude huye hai

Facebook par aesi koi process nahi hai ki aap apne friends ki activity check kar sako or ye pata kar sako ki aapka sabse aziz friend koun hai ya fir koun aapke facebook profile ko sabse jyada ya bar bar check kar sakta hai but main yaha aapko kuch aesi tips bta raha hu jinse aap sachmuch iska pata laga sakte ho.

Generally. aapke best friend or karibi dost hi aapki profile ko sabse jyada open karte hai, aesa aap sochte hai to aap galat hai aesa bhi ho sakta hai ki koi anjan person aapki facebook profile ko aapke friends se bhi jyada open karta ho or wo aapki friend list me bhi na ho.

  • Facebook Par Mai Sabse Jyada Connect Kiske Sath Rahta Hu?
  • Kaise Pata Karu Ki Meri Facebook Profile Ko Kitne Logo Ne Dekha Hai?
  • Meri Profile Ko Sabse Jyada Koun Open Karta Hai?
  • Kaise Pata Kare Ki Hum Facebook Par Sabse Jyada Kiske Sath Jude Huye Hai?
  • Main Facebook Par Kiske Sath Jyada Bat-chit Karta Hu?

Aese hi bahut sare sawalo ke jawab aapko is post me mil jayenge. Yaha main aapko 2 option btaunga aapko jo better lage wo follow karke pata kar sakte ho. Agar aapko lagta hai ki aapki top list me shamil user se aap jyada chat nahi karte to ho sakta hai ki wo aapki posts. status sabse jyada view karta hai.

Kuch log aese hote hai jo humari post, stutas, photos ko sirf dekhte hai or like ya comments nahi karte unke bare me hume kuch bhi pata nahi chalta par yaha btayi tips se aap ye sab pata akr sakoge.

Kaise Pata Kare Ki Aapki Facebook Profile Ko Sabse Jyada Kisne Open Kiya Hai

Main yaha par jo bhi trick aapko bta raha hu wo facebook rules ke aadhar par hai. Yani ki facebook kise aapka sabse achha dost samajhta hai or koun aapse facebook par sabse jyada connect rahta hai ye facebook tay karta hai. Aap is method ko mobile me bhi istemal kar sakte ho.

Method 1: In Your Friends

Friend Me Se Sabse Jyada Koun Aapki Facebook Profile open Karta Hai?

  1. Sabse pahle aap facebook site open kare or top menu bar me apni profile ya profile photo par click kare.
  2. Ab friends par click karke apni friend list open kare.
  3. Yaha par aapki friend list me jo friend top par hai wo aapki profile ko sabse jyada open karte hai.

Janiye aapka facebook par best friend koun hai

Dekhe ki sabse upar koun hai wohi aapki profile ko sabse jyada bar open karta hai. Facebook ke accourding aapki friend list me unhi friends ko top par dikhaya jata hai jo aapki facebook activity yani post, picture, stutas ko sabse jyada bar dekhte hai.

Yaha par jo bhi friends top par hai wo sabhi aapki facebook profile ko sabse jyada check karte hai. I know aap ye dekh kar chuank jaoge ki maine to is friend se jyada bat bvhi nahi ki par aapko ye pata chalega ki ye aapki profile ko sabse jyada bar open karta hai.

Now, hum apne friends me se to ye aasani se pata laga sakte hai ki oun humara sabse achha friend hai or koun aapse facebook par sabse jayda connect rahta hai but jo log aapke friend nahi hai unke bare me kaise pata kare. Aese log jo aapki friend list me shamil nahi hai or jinko aap jante tak nahi ho fir bhi wo aapki profile ko sabse jyada bar view karte hai.

Don’t worry main aapko iski bhi process bta raha hu iske liye aap ye step follow kare.

Method 2: Other Person

Anjan Logo Me Se Koun Aapki Profile Ko Sabse Jyada View Karta Hai?

Is trick se aap ye pata laga sakte hai ki aapki profile ko kon kon dekhta hai or sabse jyada bar kon dekhta hai. Magar facebook iske bare me nahi btayega iske liye aapko source code ki help leni padegi so iske liye aapko computer ki help leni hogi. Meri nazar me chrome browser source code dekhne ke liye sabse best hai.

Aap is trick ka facebook profile ke alawa facebook page, facebook group, event sabke liye istemal kar sakte ho. Is trick se sabke bare me pata lagaya ja sakta hai.

Step 1:

  1. Sabse pahle aap apne desktop me chrome browser open kare. ( Aap koi other web browser bhi open kar sakte hai.)
  2. Ab facebook.com site open karke apni facebook profile open kare. Iske liye aap top menubar me apni profile photo ya name par click kar sakte hai.
  3. Ab mouse ke right button par click kar View Page Source par click kare. Aap chahe to Ctrl+U key button daba kar bhi view apge source open kar sakte ho.

see facebook profile view source

Step 2:

  1. Ap ek alag se view source ki window open hogi.
  2. Ab Ctrl+F command prase kar source code me InitialChatFriendsList text type kar ke search kare.
  3. Ab jaha bhi ye text mile uske thoid hi niche check kare. Aapki profile ko jis jisne bhi dekha hai un sabhi ki yaha facebook ID show hogi.

seen facebook profile view source

Step 3:

Yaha profile ID ki list string dikhayi degi. Yaha aapko har profile ID ke samne “-x”, “-0”,  “-2” ya fir “-3” likha hua nazar aayega.

  1. -x word ke bina ID code ko copy kare. Like 1000015078-2 me se aapko only 1000015078 copy karna hai or “-2” ko chord dena hai.
  2. Ab browser me new tab open karke facebook.com ke bad is id ko paste kar URL ope kare, Like – facebook.com/1000015078, aap yaha ye screenshot me link dekh sakte hai.

open facebook id

Is tarah aap pata kar sakte hai ki ye profile kiski hai. Yaha bhi jo person sabse top par hoga wo aapki profile ka sabse jyada bar open karta hai. Isme aapke friends or jo aapke friends nahi hai wo sabhi shamil hai.

Finally, Is tarah se aap facebook facebook par apne sabse aziz friends and unknown person ka pata laga sakte hai. Yaad rahe agar ko apps ya software aapko facebook ki kisi profile ya isi parkar ki koi jankari dene ka dawa kare to wo bilkul jhuth hota hai. Aese software bana kar hacker aapki log in details pata karne ki koshish karte hai.

Agar aapko ye jankari pasand aaye to ise apni facebook profile par apne dosto ke sath share jarur kare taki or logo ko bhi is trick ka pata chal sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (46)

  1. Avatar for arti mauryaarti maurya

    nice sirrr very intresting article

    • Avatar for VickyVicky

      Amazing sir

  2. Avatar for afzalafzal

    OK avail n hai . acha bro text adds ka colour kaise change pehle me in theme use krta tha us me blue tha an change ki hai us me alag hai main ab text add ka colour blue karna chahta kya aap is ki css coding ya creating without unit txt ads ka CLR blue krne ka method bta skte hn ???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      body{font-color:0000FF;}

  3. Avatar for AfzalAfzal

    Paytm Pakistan me support krta hai kya . mujhe Google se info n milii

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Afzal mujhe pakistan ki policy ki jankari nahi hai aap kisi pakistani expert se bat karo.

  4. Avatar for Dev KumarDev Kumar

    Mediapartners Google sir aisa usme kahi nahi likh raha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dev main already aapki robots.txt file check karke hi aapko bta raha hu. Try now yourblog.com/robots.txt and follow step.

          • Avatar for Dev KumarDev Kumar

            Shukriya sir kal mabile nahi dikh raha tha
            aaj pc par dekha to dikh gaya sir bataye ki
            isme se kya-kya delete karna karna hai

            User-agent: Mediapartners-Google
            Disallow:

            User-agent: *
            Disallow: /search
            Allow: /

            Sitemap: writer-dev.blogspot.com/sitemap.xml

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Sabse upar ki line User-agent: Mediapartners-Google ko remove karo.

          • Avatar for Dev KumarDev Kumar

            Shukriya sir ,
            sir aap AdSense use karte hain fir bhi aapke blog ki photo google search engine show hote hai,
            maine aapki robot.txt par likhi post padhi ,
            usme likha tha AdSense use karne wale robots.txt ko bhi use karte hain ,
            sir baat ko aur clear kijiye

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Dev aap robots.txt ke bare me or padho ye pata karo ki ye kya kaam aati hai or iski jarurat kyo hai.

          • Avatar for Farzana Gulame Ahmed KhanFarzana Gulame Ahmed Khan

            Meri ladki ke naam ka fake Facebook chalu Kiya Hai Kisne pata nahi main cyber please Chowki mein complaint kya hai main chahti Hoon Is Facebook ko band kar do yeh to block kar do aap meri madad kar sakte ho

          • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

            Aap us ID ki report karo, faceook use band kar dega.

  5. Avatar for Himanshu GrewalHimanshu Grewal

    Well done brother, Another best article you write. 🙂

  6. Avatar for AsweenAsween

    Very good tips to find who are looking the most us

  7. Avatar for ManishManish

    Thanks jume deen sir aapki wajah se mera blog ab open ho gaya hai lekin ads show nahi ho rahe hai-

    1) maine apne domain ko site authorize me add kar diya hai.

    2) In order to complete your request to show ads on your own website, you need to implement the ad code on allhindihelp.com. Your upgrade request can only be reviewed once your ad code has impressions on that domain ye message AdSense home par show ho raha hai isska matlab hai ki jo sabhi post me old ads hai unhe remove karna hai ya bina ads remove kiye bhi site authorize ho jayegi

    3) mera AdSense account abhi hosted hai non hosted me change hone me kitna time lagta hai

    4) about us contact us or privacy policy page me ab main changes kar sakta hu or post kar sakta hu..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap bas apne blog ke homaepage, sidebar, header or kisi popular post me ads code paste karo jab ads show hone lag jaye to baki post me bhi ad laga lena. Aapne kisi or AdSense ya kisi or advertiser site ke ads laga rakhe hai to unhe hata do Ha kar sakte ho.

  8. Avatar for ismailismail

    Bhai aap Screenshot kunse software se lete ho mein ne direct print screen button dabakar aur ice cream soft se try kiya lekim utani quality nahi hai ss ki and arrow wagera bhi kunse soft se editor karte ho plz reply

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ismail direct shortcut ki se sabse better screenshot aata hai. Aap computer ki britness sahi karke lo.

  9. Avatar for kalicharan kumarkalicharan kumar

    Sir button ads aapne kaise lagaya hai post me apne. Means kaise kya karna hoga uske liye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye links ads hai AdSense automatically show karta hai.

  10. Avatar for ajay guptaajay gupta

    Bahut achhi post hai
    Achhi jankari diya aapne
    Thanks jumedin bhai

  11. Avatar for dilipdilip

    mere 3. question hai

    1. me apne blog post k andar ji link use karta hu uska color black rahata hai jisase ye pata nhi chalata ki ye link h ya post to me iska color kaise change karu

    2. mujhe apne post ke font style change karne h to kaise karu

    3. or me jis gmail I’d ka password bhul gya hu bo reset nhi ho raha to usase koi problems to nhi h I mean jab me isko reset nhi kar pa raha hu to mere alawa kya koi isko reset kar sakta h jisase koi galat massage send kar de or mujhe fasna pade

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Aap css coding se link ka color chagne kar sakte ho like link a{color: #444}
      2. Iske bare me koi font style change karne wali post padh lo.
      3. Nahi koi nahi kar sakta. Dont worry.

  12. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    sir aap ne kaha ki sumome ke use se below the post share icon laga sakte but isse to sirf left side me sharing icon laga sakte.. plz aisa koi plugin bata dijiye jisse left aur post ke neeche share icon laga saku.

    kyu ki left side ke liye sumome aur post ke neeche sharing icon ke liye dusra plugin use karu to ye thik nahi hai na.. zyada plugin use karna bhi sahi nahi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sumome se aap post ke niche bhi share icon laga ksate ho. Iske alawa aap Easy Social Share Buttons or monarch plugin use karo.

  13. Avatar for ManishManish

    Hello jume deen sir please help me-

    1) Maine godaddy se domain buy kiya hai and use blog me add kar liye hai lekin jab main blog ka url ya domain browser me dal raha hu to blog open nahi ho raha hai. Domain ko 24 hours ho gaye hai fir bhi open nahi ho raha.

    2) maine comment box me website wale open me domain dala hai jisse aap open karke please batYe ki mera blog open ho raha hai ya nahi

    3) blog open nahi ho raha fir bhi AdSense me pageview or earning kaise kya bata sakte hai mere AdSense account me today 88 pagview and 2 click and 0.07 earning show ho rahi hai lekin blog open hi nahi ho raha.

    4) blog and domain open karne par redirect star ho jata hai or blog open nahi hota hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka blog load hi raha hai koi error show nahi ho raha hai. Iski wajah blog ki coding me mistake ho sakti hai aap ek bar blog ki template chagne karke try karo. Uske bad koi error show ho to mujhe btao.

  14. Avatar for radhe gourradhe gour

    sir hum yoast plugin me jo bhi setting change karte hai use google search me change hone me kitna samay lagta hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      2-5 day.

  15. Avatar for afzal aheerafzal aheer

    Very usefull article.

    Bro mujhe ye janna tha ap ye post font size aur konse family font use karte hn

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main Raleway font use karta hu.

      • Avatar for afzal aheerafzal aheer

        Thanks bro , plz kya mujhe is ki coding mil sakti hai, family font or font size ki

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Iske liye aapko blog ki puri coding change karni hogi. CSS coding me jitni bhi font family hai us sabko change karo.

  16. Avatar for vivekvivek

    Mere office ke computer me ad block kar rakhe hai, apki site open karto ho to google ads show nahi hote, but dusri site open karta hu to google ads show hote hai, ye kya chakkar hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine blog par ad blocker use kiya hua hai aap browser se ad blocker off karke site open kiya karo.

      • Avatar for Dev kumarDev kumar

        Sir mere blog ke post to google mai search hote hain par images nahi sir kyu ho raha hai ..

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Dev aapne robots.txt file se image ko hide kiya hua hai.

          • Avatar for Dev KumarDev Kumar

            par sir robots.txt file me to show aur hide ka option hi nahi hai fir kaise ho gayi hide ,
            aur ye bataeeye ki ab main unhe show kaise karoon

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Robots.txt file me se “User-agent: Mediapartners-Google” ko remove karo.

          • Avatar for Dev KumarDev Kumar

            sorrry sir par mujhe option to mil hi nahi rahe maine pure blog setting check karli
            sir ye blog me kis jagah milenge

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            its very simple go to blogger dashboard >> settings >> search preferences >> Crawlers and indexing yaha par aapko robots.txt file ka option mil jayega.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...