Blogspot par jo hum free blog banate hai. india me us blog ko 6 month se pahle connect nahi kar sakte hai. blog dashboard me iska option disable rahta hai. jab maine blogging starting ki thi to maine bhi blogger par free blog bana kar starting ki thi. or jab mujhe iske bare me pata chala to maine iska soluvation pata kiya or mujhe pata chala ki hume blog bana kar 6 mahine ka intjar karne ki jarurat nahi hai. hum 6 month pahle bhi blog me AdSense ke ads laga sakte hai or paise kama sakte hai.
“Sir kya hum 6 mahine se pahle blog me AdSense ke ads nahi laga sakte. or laga sakte hai to kaise plz details me btaye” ye sawal mujhse kuch day pahle Surjit ne pucha tha. iske alawa kei or bhi new blogger mujhse ayse sawal kar chuke hai. aaj un sabhi ki problem ko mai is post se solve karne ki koshish karunga.
Table of Contents
Blog me Adsense Disable Hone Ki wajah Kya Hai?
India me hum blog ko 6 month se pahle google AdSense se connect nahi kar sakte hai. iski wajah hai india me bahut jyada fake id se banaye gaye AdSense account. isi tarah pakistan, bangladesh, china and kuch or country me bhi AdSense kuch time disable rahta hai. hum real id use karte hai. iske liye AdSense ne blog ko AdSense se jodne ke liye 6 mahine ka time diya hua hai.
Magar kahte hai ki jab ek rasta band ho jaye to god 100 raste khol deta hai. bas aap me un 100 rasto me se kisi ek raste ko khojne ki himmat honi chahiye. to chaliye mai aaj aapko iska solution bhi bta raha hu. yani ki ab aapko 6 mahine ka intjar karne ki koi jarurat nahi hai.
“Aap blog banane ke bad jab chaho AdSense ke ads laga sakte ho or paise kama sakte ho.”
aAdsense account banane se pahle ye post pad le kyuki AdSense ke rules bahut shakht hote hai. so aapko AdSense ke bare me kuch bate pahle hi pata chal jaye to aap aage galti nahi karoge.
- 20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
Blog Me 6 Mahine Se Pahle Adsense Ke Ads Kaise Lagaye?
Iske humare pas 2 important tarike hai. mai yaha aapko dono ke bare me bta raha hu. aapko jo pasand aaye choose kar lena. jisme ek me AdSense disable hone ka risk jyada hai or dusre me kam.
1) Create blog>>register domain>>create AdSense account:
iska matlab hai ki aapko sabse pahle blog banana padega. uske bad domain register karke blog me add karna hoga fir blog me 10-15 achi post share karni padegi. or jab aapke blog par 300+ pageviews per day hone lage to AdSense account banana hai. or jab AdSense account approved ho jaye to ads code blog ki post me add kar ads laga sakte hai.
- Sabse pahle blog banaye. blog banane ke liye yaha click kare.
- ab ek domain register karke blog me add kare. Domain Name Kya Hai or Domain Kaha Se Kharide, Godaddy Se Rs99 Me Domain Register Kaise Kare, Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasanand Ka Domain kaise Use Karte Hai.
- blog banane ke bad blog me 10-15 posts, page banaye or blog ko ache se design kare. iski jankari ke liye ye post padiye Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide.
- post share karne ke bad blog ki traffic badhaye Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike.
- jab aapke blog par 300 se jyada pageviews per day hone lage to direct AdSense account banaye. AdSense account banane ke liye ye post pade Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Jankari
Mai aapko upar bhi bta chuka hu ki isme AdSense account disable hone ka dar jyada rahta hai. kyuki new blogger hone ki wajah se AdSense aapke talent, content ko dekh kar account diasable bhi kar sakta hai.
So aysa kya kare ki AdSense aasani se approved ho jaye. ghabraye nahi mai aapko iska aysa tarika bta raha hu ki aap bina blog banaye bahut hi aasani se 4-5 din me AdSense account ko approved kara sakte ho.
2) Youtube Se 4-5 Day Me Google Adsense Ko Approved Kare:
iske liye aapko apne YouTube channel par 4-5 video upload karne honge. yad rahe video aapke banaye hi hone chahiye. jab aapke videos par total 2000 -3000 views aa jaye to youtbue channel ko monetize kare. or uske bad AdSense se connect kare. iski adhik jankari ke liye ye post pado Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode. agar aapki video copyright nahi huyi hai AdSense account 1-3 day me approved ho jayega. aaproved hone ke bad aap AdSense setting me ja kar apne blog ka url AdSense account me jodna padega. or 1-2 din me aapka AdSense account completly approved ho jayega.
- sabse pahle YouTube.com par ja kar apni gmail id se log in kare.
- uske bad 4-5 vide o upload kare. video upload karne ki jankari ke liye ye post pade. YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye
- video par views badhane ke liye apne videos ko social media par share kare.
- jab aapki video par 2000 se jyada views ho jaye to YouTube channel ko AdSense se jodna hai.
- AdSense se jodne ke bad jab aapka AdSense account approved ho jaye to aapko hosted AdSense account ko complete approved karna hai. iski jankari ke liye yaha click kare.
In dono tario me se aapko jo bhi tarika acha lage wo follow kare. or jab aapka AdSense account complete approved ho jaye to aapko AdSense ke ads blog me lagane hai. uski jankari ke liye ye post pade. Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagate Hai.
I hope aapko is post se pata chal gaya hoga ki ab aap 6 mahine se pahle blog me ads bhi laga sakte ho or ruppes bhi kama sakte ho. to chaliye ab is post ko apne facebook account par share kijiye jisse or bhi new blogger ko iske bare me pata chale or unke 6 month west na ho.
Aahil
Sir mere blog ko 20 din huye he. Or 8 post upload ki he. Me jab apne blog ko Google search krta hu to dikhai nahi deta aesa Kyu ? Plz help
जुमेदीन खान
अपने ब्लॉग को सर्च काउंसिल में सबमिट करो उसके बाद आपके ब्लॉग की पोस्ट गूगल में दिखने लग जाएंगी
Kamal Akhtar
Hi Sir
Kisi ek topic pe blog compelet karne me agar hame 3-5 days ya ek hafte lagne wale hain to kya hame blog Pura ho Jane pr hi post karna hai Ya fir day by day ek din me jitna bhi Hua post kr sakte hain….Please sir
Jumedeen khan
Regular post karne se hi aapko traffic milega.
Vikash Marabi
Regular POST karo…..
Girraj Raghuwanshi
please koi meri help karo , mere blog ko abhi 15-20 din hue hain or mere blog ki earning me google adsence open ho gya jiske baad mene us par ragistration kar diya or mujhe id bhi male dwara mil gaii. or usme ab likha aa raha hai ki your adsence ac is awaiting for approval…matlab kab tak approve ho jayega to kya 6 mahine baad approve hoga
Jumedeen khan
wait 1-2 week me ho jayega.
Mohammad Anwaar
Sir Bina domain ke adsense se approval letter sakte kya
Jumedeen khan
Yes le sakte hai.
Arman yadav
mughko ek batt nahi samajh aati aap sirf post ka title likhte ho vo clickable ho jata hai aur jab hum likhte hai to nahi hota.
Example. Blogger per ad kaise lagaye.
Ye clickable nahi hai.
Lekin jab aap likhte ho to clikable ho jata hai
Jumedeen Khan
Main usm link add karta gu.
Luqman
sir! me bhe new blogger hun and apke is post se bahut help mili mujhy. SMI Blog mera favorite hai aur daily read karta rehta hun. Thanks
WASEEM
Bhai aap ke blog ka jabse mai visitor bana hoo tab se lekar ab tak jitni bhi post read ki hai sab ek se badkar ek hai.
Mashaallah bahut bahtareen alphaj likhte ho. mai har din apke blog par kai kai ghante post read karta hoo.
Apka to jawab nahi.
Jumedeen Khan
Thank you and welcome waseem.
sachin kaushik
bhai blogger par custom domain ke sath google adsense ke apply kar sakte hai kya.
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
Deepak Kumar
sir me jb bhi XML sitemaps par jaakar form fill karta hu to sir
An error occured
ye massage aa rha hai sir please help me
Jumedeen khan
Error par click aro or pata karo ki kya error hai. Fir us error ke link par click karo or use fix karo.
yagnesh
Hello..
mene ek blog creat kiya he but usme earn ka option nhi aa rha he..
Jumedeen Khan
check again carefully.
homlal Dhimar
Blog me AdSense ads lagate hai ya bidvertiser ads
Jumedeen Khan
Aap jo chaho laga sakte ho.
Farhan
sir mene AdSense ki add mere blog me daali he per vo blnck dhikhti he usme kuch dhikhta hi nahi he aap batao me kya keru or meri roz ki 400-500 page views ki traffic he to aap meri help ker do me kya keru plzz reply fast
Jumedeen Khan
Ab aap kuch day wait kaor AdSense aapki site ka reveiw karega uske bad ad show hone lag jayenge. Iska aapko message mil jayega.
Abhinav Mishra
Bro, Mera adsense Approved Ho Gya Hai, Lekin Meri Site Abhi Sirf 3 Month Ki Hai, Kya Mujhe Apne Site Par Ads Ka.Use Karna Chahiye, Kahi Esse Mera adsense Band To Nahi Ho Jayega.
Jumedeen Khan
Aaapke blog par good traffic hai to bilkul laga sakte ho.
Aryan
Bhai agar mai WordPress pe website bnau to koi dikkat to ni hogi agar dikkat hoti hai to bta dijiye kya hogi
Jumedeen Khan
Nahi nahi koi problem nahi hai.
Aryan
Bhai to hm WordPress par free website bna sakty kya
Jumedeen Khan
ha bana sakte ho WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
Aryan
Bhai maine apna blog blogger pe banaya hai lakin mai chata hu ki jo comments option jo apke blog ka aata hai Bo hi mere blog me aaye kaise kare bhai isko kuch bta skty ho
Jumedeen Khan
Aap WordPress comment box ko blogger par nahi laga sakte. Iska koi solution nahi hai.
amit
as you wish BHAI JAAN mujhe umeed hai aap meri problem solve kar doge aise mane code replace kar ke kiya par error aa ja raha hai
Ak
Bhai Jaan please batao kaise lagaye ki har post me ads show ho..mai apke new post ka wait kar raha hu…
Jumedeen Khan
Amit bro 2-3 day ka time do. coding ka kam hai. kei ghanto me banti hai. sabr karo. aap mere regular visitor ho so jab post share karunga to jarur pata chalega.
Ak
Aur blog me kitna jagah ads laga sakte hai bhai. Bhai jaan mai chahta hu mere sare post me ads show ho kaise kare
Jumedeen Khan
hum blog ke ek page me 3 text/display ads or 3 links ads laga sakte hai.
Ak
Thank bhai jaan mai wait kar raha hu apke post ka..Bs tora ye bhi bata dijiye ki kitne ads create kare or ek ads code ko kitna jagah use kar sakte hai
Jumedeen Khan
aap kitne bhi ads create kar sakte ho. agar kisi ads ki jarurat nahi hai to use aap hide kar sakte ho. ek ads code ko aap kitni bhi post me add kar sakte ho.
Ak
Thank bhai , jaisa ki aapne kaha hai 5,6 ads hi lagane hai blog me agar hum create kar lete hai. har post ko edit kar ke apne blog me code ads kare ya phir aisa kuch hai jo ek jagah post kare to har post me show kare ads.
Q.1 Agar kisi size ka ek ads create karte hai, Or 90 post hai to use code 90 jagah ads kar sakte hai
Jumedeen Khan
thoda wait karo mai bahut jald aysi trick banane wala hu ki blogger me ek jagah ads lagane se sabhi post me add show ho.
Amit Kumar
Hello bhai ek help me.. mujhe samjh nahi aa raha hai kitna das unit create karte hai. Aar ek ek 300*600 ka ads unit creat kiye hai to usko apne blog post likhte time code ko ads kar sakte.
har post ko dite kare ke ads kar le..
Jumedeen Khan
aap ek bar ads bana kar uske code ko sabhi post me use kar sakte ho. ye post pado Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagate Hai is post me sabhi ads create karne ki jankari hai.
aafreen
HTML kya hota hai aur ye kis kaam aata hai.ham is HTML code ko kaise pa sakte hai.
Jumedeen Khan
Html page, post, image, site ka coding roop hota hai. ise wo person bana sakta hai. jise blogger ki coding achi tarah aati ho. blogger me html widget add karne, template design karne ke kaam aata hai.
sanju dangar
Sir pleas answer dena
Meri AdSense id pe ye nottificastion aati he
(We’ve recently integrated the Site Authorization feature with Site Management. Please review your settings to ensure they are correct. )
Uska matalab kya he please help me
Jumedeen Khan
iska matlab hai ki aap sahi url add nahi kar rahe ho. site management me ache se blog ka url add karo.
sanju dangar
Thankq you sir aapko bahut pareshan karata hu sorry
Sir maine 2 din pahele YouTube AdSense accoundse meri site ko aply kiya he
(Access and authorization-site management- add site ):
aise aply kiya he to sir ye sahi tarike se aply kiya he? Aise hi aply hota he na ki maine galat jagah pe to url add nahi kiya na
2-sir ab AdSense account me ye nottificaston aati he
(We’ve recently integrated the Site Authorization feature with Site Management. Please review your settings to ensure they are correct. ) vo kya kehana chahte he
Pleas sir answer
Jumedeen Khan
aap blog ka url AdSense me add karke 1-2 day AdSense open mat karo. 1-2 day aapke pas AdSense ka message aayega. tab open karna.
madan
ok thanx*x sir aap guest post kab shuru karoge main apko post karana chanta hu backlink ke liye
2dushri baat ye ki sir pata nhi achanak se mere blog par jab main koi new post publish karta hu to usme na to tittle, read more se pahle jo likha hota hai bo kebal image dikhata hai ye kaise thik hoga abhi maine change kar diya hai. phle wali post thik hai asa kyn ye kaise thik hoga
Jumedeen Khan
aap mujhe admin@supportmeindia.com par guest post send kar sakte ho. usse pahle ye pad lo Guest Post On Support Me India. mujhe aapke blog par title, image, read more sab sahi dikh raha hai.
Bijendra
Sir mene adsene par chek kiya koi notification nhi he
And ab mujhe kya kya karna chahiye kya mera channel delete hone se bach jayega agar ham ush video ko delete kar de to aage problem to nhi hogi
1-youtube channel ko kisi dusri gmail id par transfer kiya ja sakta he kya
Sir ap koi to upaaye nikalye jisse mera channel nast hone bach sir aap,nhi jante mene kitni mehnat ki he kese bhi kar ke ye musibat ka uapaye nikalo please .
Jumedeen Khan
AdSense me koi notificatiob nahi hai to koi problem nahi hai. bas copyright video ko delete kar do.
1. nahi dusri id par move nahi kar sakte.
kuch nahi hoga aap bas jo copyright video hai unhe delete kar do. ads show hone lag jayenge.
Bijendra
1-Sir mene video khud banaya tha
Fir aisa kyon hua
2-And mujhe ye bataye uska monetize disable ho gya to AdSense bhi block hoga ya fir video delete ho jayegi sir me bahut paresani me hu ish bat ko leke kya mujhe bhabhisy me koi problem to nhi aayegi na
3- sir aap mijhe ye jarur bataye
Mene ribbon nam ki tamplate download ki he or blog par upload bhi kar chuka
Lekin problem ye he mera arrow jab tak tamplate par rehta jab tak bo sahi dikhti he or jese hi mera arrow scroll button par gya to template rotate ho jati he me ush tamplate ki auto rotation kese band karunga
Jumedeen Khan
1.video me koi copyright music hoga.
2. ho bhi sakta hai. aap adsense.com par log in karke dekho. home page par notification mil jayegi.
3. aap blogger me ribbon theme use nahi kar sakte. ye sirf WordPress blog ke liye hai. dusri template use karo.
sanju dangar
Hlo sir AdSense meSite management
Hamari site add karane se kya hota he pleas
Jumedeen Khan
yaha par aap wo site ka url add kar sakte ho. jis par aapko ads dikhane ho.
Bijendra
Brother mera ek video apne aap monetize hat gya or jo monetize ka mark hota he bo disabled nazar aata he me video ki setting me gya to bhaha par monetize ka option hi nhi he aisa kyon hua or isme mujhse kya galti hui he
Jumedeen Khan
aapka video copyright hai.
ajay
sirji blogger pe blog banakar AdSense approv karwana chahta hu bina domain liye blogger pe bina domain registerd kiye AdSense approve kar sakte hai.
is que ka bhi jawaab de jab hamare blog pe kisi bhi company ka ads lag jaaye aur ytub ki vdo pe ads to uske baad hamare ads show horahe hai yaa nhi iska pata hame kese chalega.
Jumedeen Khan
Nahi domain ke bina 6 mahine se pahle nahi kar sakte.
apne blog ko open karke dekho ads nazar aayenge. vese hi video par bhi ads show honge.
satish
bhi computer screen recording and screenshots ke liye badiya softwere batao na ..
Jumedeen Khan
aap google me search kar lo. maine mobile screen recorder kabhi use nahi kiya hai.
Anil
Maine ek blog banaya haiab mai hosting aur domain kharidna chahta hu. To aap ye btaye ki pahle hosting kharide ya domain. Ya dono ek sath kharide.aur mai indiansupports.com apni web ka naam rkhna chahta hu. Please meri help karo. Kya mai ek hi hosting se ,aur domain se ek se jada web chala skta hu.
Jumedeen Khan
1. domain register karo Godaddy Se Rs99 Me Domain Register Kaise Kare
2. fir hosting kharido Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide
3. fir hosting par blog banao Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
aap hosting ka unlimited domain wala bay ya bussiness plan select karna. usme aap jitne chaho blog bana sakte ho.
Madan
Sir aap mera answer kyn nhi dete ho sir kya main apne friends ki post ko apne blog par post kar sakta hu as a member aur unka naam bhi banha dal sakta hu unka photo kahne ka matlb main apni team bana sakta hu
Jumedeen Khan
Ha bana sakte ho. but kisi ko author mat banana warna jab wo aapke ads par click karenge to AdSense block ho jayega.
Amit Kumar
Good information .. Mujhe ek jagah detail me bataye ki YouTube se AdSense late hai to koi problem hoga.
Dono me kya antar hai ek direct AdSense form fill kare or ek YouTube se
Jumedeen Khan
direct AdSense ke liye apply karne se apsdense disapproved bhi ho sakta hai. kyuki blog post me copyrighting ho sakti hai. but 4-5 video to aap khud banaoge or sabse badi bat YouTube se apply karne se AdSense bahut jaldi approved ho jta hai.
Deepak Shrivastav
Jume deen g,
Aapne bahot hi achhe tareeke se is post me AdSense me me samjhaya hai ke kaise 6 month se pehle AdSense k ads apne blog pe laga saakte hai….
Lekin agar ham 1st method Jo aapne btaya hai…..usse bhi AdSense approve ho sakta hai wo bhi bina kisi risk ke
Jumedeen Khan
Deepak bro aap bilkul sahi ho. mai or aap old blogger hai so humare liye AdSense ko approved karna bahut aasan hai. in my case mai AdSense ko 1 day se bhi kam time me approved kar sakta hu. wo bhi option 1 se. but new blogger ke liye AdSense alian jaisa hota hai jiske bare me wo kuch bhi nahi janta or wo starting me kahi na kahi se sikh kar hi post karega. or ussse thodi bahut copyrighting ho jayegi. natijan AdSense approved nahi hoga.
ankit
Mai online Radio station me radio jocky hu aur mai apne ghar se hi show bnakar radio walo ko deta hu us show mai bollywood song play karta hu kya mai Show ko YouTube me upload ka sakta hu
Jumedeen Khan
Nahi kar sakte. iske liye aapko Tseries se permission leni padegi.