Mobile Phone Khone Ya Chori Hone Par Use Lock Kaise Kare

Mobile phone khone ya chori hone par usme lock kaise lagaye ya block kaise kare taki pane wala uska istemal na kar sake or aapki personal data na dekh sake. Android mobile me day dy day new feature aate rahte hai. Ab aap apne smartphone ke khone ke bad bhi use lock kar sakte ho or usme apne mobile number bhi add kar sakte ho taki jise bhi wo mile wo aapko call kar sake. Kyuki agar wo aapko phone nahi karega to wo mobile uske kisi kaam ka nahi. So aayiye jante hai lost phone device me screen lock kaise lagate hai or apne contact number kaise add karte hai.

Lock your lost device android mobile

Mobile phone khone ya chori hone ke bad aap usme apne mobile number add karke screen lock laga kar password set kar sakte hai. Uske bad jisko bhi wo milega use lock kholne ke liye password ki jarurat hogi or password sirf aap jante hai. Wo bina password khole sirf aapke pas call kar sakta hai.

Main already Mobile Phone Chori Hone Ya Khone Ke Bad Kya Kare 5 Jaruri Bate post me android phone ke khone ke bad kya karna hai ke bare me bta chuka hu. Aaj main aapko aesa tarika btaunga jisse aapka phone khone par wapis milne ke 100% chance honge or agar koi wapis nahi karta hai to wo phone ko istemal bhi nahi kar sakega.

Android Mobile Me khone Ke Bad Lock Lagane Se Kya Fayda Hai?

Android phone me khone ya chori hone ke bad usme lock lagane ya phone number add karne se kya fayde hai. Agar aap aesa soch rahe hai t don’t worry main aapko iske fayde bta deta hu.

  1. Lock lagane ke bad wo aapke smartphone ka istemal nahi kar sakta.
  2. Phone ke useless ho jane ke bad uske pas sirf aapko call karne ka option bachta hai to ho sakta hai wo aapko call karke bta de.
  3. Phone lock hone se phone ka sara data secure ho jata hai. I mean aapke photos, videos, documents and other personal information koi nahi dekh sakta.
  4. Aap lost phone me alert message kar user se phone wapis karne ke liye request kar sakte ho.

I sure agar aapka phone khone ke bad kisi ko mitla hai to wo 100% aapko call karega kyuki block hone ke bad wo phone usk kisi kaam ka nahi rah jata to aayiye jante hai lost phone device ko lock kaise kare.

Mobile Khone Ya Chori Hone Ke Bad Usme Screen Lock Kaise Lagaye

How to lock your device , lost android mobile and add your mobile number in hindi: In step ko follow karke aap aasani se pane phone me lock laga kar use block kar sakte ho or phone me mobile number add karke screen lock laga sakte ho taki jisko bhi wo mile to wo aapko call kar sake.

Step 1:

  1. Sabse pahle aap apne Android Device Manager par jaye or apni us gmail ID se log in kare jisse aapne lost phone me sign in kiya hua hai.
  2. Ab aapse password confirm karne ke liye kaha jayega. Ek bar password confirm kare.

Step 2:

  1. Ab aap Android Device Manager google map par pahuch jaoge.
  2. Thodi der me google aapke phone track kar laga or uska name shhow hoga.
  3. Phone model number check karne ke bad Lock option par click kare.

Android Device Manager

Step 3:

Ab ek pop up forum open hoga. Jisme aapko new password, alert message or apne mobile number add karne hai.

  1. New password add kare.
  2. Alert message add akre. (Ye message phone ki screen open karne par show hoga.
  3. Apna mobile number add kare jis par user aapko call karke inform kar sake.
  4. Finally Lock par click kare.

New lock screen

Done, Ab aapka khoya hua ya churaya gaya phone lock ho chuka hai. Ab koi bhi uska gaalt istemal nahi kar sakta. Wo sirf uske liye ek dabba ban kar rah jayenga. Ha ho sakta hai ki wo aapko call karke phone ke bare me bta de. Lost device me is tarah ka alert warning message show hoga.

mobile lock alert message

Is tarah se aap apne lost android mobile me lock laga kar use block kar sakte ho or usme phone number add kar sakte ho. Google ki is android device manager ki service se aap kisi bhi lost device ka pata laga sakte hai.

Agar aap kahi par apna smartphone bhool gaye hai to aap uski location bhi apta kar sakte hai. Iske liye aap humari Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare post ke step follow kare. Is post me maine mobile ki location pata karne ke bare me step by step details me jankari di huyi hai.

Agar aapko khoye huye phone ko lock karne me ya mobile number add karne me koi bhi problem ho to hume comment me bta sakte hai.

Reader Interactions

Comments (73)

  1. Sir agar chor ne reset maar diya to kya track ho sakta hai

    • Sir maine Apne mobile ko lock kiya h find my device se. Lkn usne mobile switch off rakha h. Aur location ni bata Raha h. Can’t reach your device bata Raja h. Vo jb on Krega Tb automatic lock ho jyga na Sir. Please reply me. I m your fan. But Kripa hogi Sir plz tell me

  2. सर मै राजाराम हूँ
    मेरा mikromex कैनवास xprs2 आज ही चोरी हो गया है http://www.google.com/android/devicemanager इस साइड के कोई उपाय कम नही आ रहे है
    और फोन बंद आ रहा है
    क्रप्या मदद करे सर

    • Aap keval phone ko tabhi trace kar sakte ho jab usme internet data connection enable ho.

  3. Sir me saurabh loth hu. Mera fone redmi 3s prime 7 july 2017 ko chori hogya tha. Or mene uski police complain bi ki h. Or ab usko 1 month hone wala h. bt uska abi tk kuch pta ni chla. Or uska na to net on h or nahi location on h. Plz sir aap btaye ki ab or kese pta laga skte h uska

    • Itne time bad kuch nahi kar sakte.

  4. sir mera ek mobile jo samsung ka simple headset hai to kya uska location ko trace kr sakte hai ki nhi

    • Nahi.

  5. sir maine original iemi change kar rakha hai root changer se apane mobile me or agle din wo chori ho gaya hai or purane wale iemi pr FIR kiya hai jab track hoga to original iemi dekhega ya jo maine change kiya hai wo dekhega or kya wo track ho sakta hai…..

    • Samsung Galaxy C7 Pro

  6. Sir mere husband ka micromax juice 2 ka kal train mn chadte waqt kissi ne mb nikal liya hai ussmn unka kafi Sara data hai jo important hai bt mujhe ye nh samjha ki ye jo password apne dalne ko bole wo kaise dalna plz reply me

    • Aapne mobile me jis gmail id se log in kiya hua hai uske password use karne hai.

  7. sir kese pata chalega ki jo mobile khoya hai wo lock ho gaya hai ya nahi

  8. Sir Koun yesa apps he jiske madhyam se ham apna chori hua mobile lock kar sakte he ple Sir boliye .

  9. Mera lyf wind 7 Chori ho Gaya hai
    Maine aapki post padhke android device manager Ki help se apne email I’d se login kiya tha bt wo kuch nahin ho raha hai bas unavailable bta raha hai mera us phone me bahut Sara data hai please kuch uppay bataiye. Mere email par msg kar dijiyega

    • Aapke phone me internet activate nahi hai Apa use lock kar sakte ho.

  10. Bhai ji mere android set kahi gir gya he kisko mila he wo sim with mobile set off kar diya he aur dar is bat ka he kuch officel peper and doucement he kahi lik na ho jay aur mujhe uske jankari kese milega ya mere hend set kese milega thoda jankari de to m aapke sukrrgujar rahunga….

    • Phone se sim nikalne ke bad uski location pata karna mushkil hai apa use lock kare iske step post me btaye hai.

  11. Ye android device manager kaha pe hota h…detail me bataye

    • 1. Open your device’s Settings app.
      2. Under “Personal,” tap Google.
      3. Under “Services,” tap Security.
      4. Under “Android Device Manager”

  12. sir mera mo..chori ho chuka hai aur umsme btry puri dad thi to kya mjhe mil sakta aur uski imei number bhi nahi hai…and usme gps aur net bhi band tha

    • Nahi IMEI number hote to aap mobile ki report kar sakte the.

  13. mujhe ap se ye pochna he k ager chori kia howa mobile par mene lock laga diya ab jab mjhe wo mobile wapis mil jata he to main wo phon lock remove kese kre ge plz batayi ga

    • yes phone settings me ja kar remove kar sakte ho kyuki uske password sirf aapko pata hote hai.

  14. Sir mera phone chori nahi hua hai ho sakta hai ki future mein chori ho jaye …to…???

    • uske liye aap mobile ke google app ko up to date rakho or apni email id se log in rakho.

  15. Sir,Mera phone Redmi3s 2GB Ram,30 December(20:35) ko guma ho gaya hai.koe lock nhi tha,after some time mobile phone on & call not received.Android Device Manager
    Redmi 3S
    Location unavailable
    Last online December 31, 2016,to kya phone ko luck kiya ja sakta hai.

    Please tell me…..

    • Location track nahi ho rahi to pata nahi kar sakte.

  16. janab mera phone vivo v1 13 december ko guma hai 05.30 baje or karib 9 baje maine coll kiya toh phone per coll gaya per usne pick nhi kiya or jabse band hai usper petern lock dala hua hai toh kya phone ko lock kiya ja sakta hai please tell me.. or maine fir bhi kr di hai

    • Yes kar sakte ho ab tak aap try karke kar chuke hote.

  17. Hamara phone samsung j5 7 december ko kho gya hai aur jisne bhi paya hai wo switch off karke rakkha hai
    Hamare phone me pattarn laga hai
    To jab ham phone lock karenge to pattarn remove ho jayega ya nhi
    Aur phone off hai to bhi ring bajegi ya nhi

    • Off phone me ring nahi bajegi but aap usme lock laga sakte ho jab user use open karega to usme lock laga hoga or aapka number show hoga.

  18. Janab ye sab krne ke liye net use krna padega kiya? Sada mobile pr ham apne phone ki location or mobile ka kaise pata lagayenge

    • Bina internet connection ke nahi kar sakte.

  19. sir sitemap submit nahi ho raha hai. general http 404 error bata raha hai. mujhe kya karna chahiye.

    • sahi step follow karke generate karo.

  20. Achhi jaankari…..

    • Sir mob chori hone ke kitne din ke andr lock dal skte h sayd 3 month ho gya ab kuchh ho skta h

      • Ab tak aapka sara data public ho chuka honga so ab kuch karne ki jarurat nahi.