Google Adsense Se 1 Click Par $10 To $50 Kaise Kamaye – Secret Tips

Google AdSense se sirf ek click se $10 to $50 kaise earn kare ye bat sun kar aapko ajeeb laga hoga. But ye impossible nahi hai. Aap bhi aysa kar sakte ho. Bas aapko iske liye kuch important information honi chahiye. So aayiye iske bare me bat karte hai ki aapko iske liye kya karna hoga.

How To Earn 10 To 50 Dollar per Click from Google AdSense

Aap AdSense se itni earning kaise kar lete ho kya aap iski wajah bta sakte ho” Ye sawal mujhse ek friend ne pucha tha. Mai iska simple jawab dena chahunga ki post me high CPC keywords use karoge to aapki AdSense se achi earning ho sakti hai. Or sabse badi bat aapko AdSense ke bare me complete information honi chahiye.

Duniya me 2 tarah ke log hote hai ek wo jo Hard Word karte hai or dusre wo jo Hard Work ke sath Smart Work bhi karte hai. Inme se hard work ke sath smart work karne wala humesha aage rahta hai.

Actually, Sirf kateen parisharm karne se aapko saflta n ahi milti hai. Success wohi log hote hai jo kisi bhi kaam ko apne tarike se karte hai or dusro se best work karte hai.

Ek blogger ya website owner chahata hai ki uski site ranking better position me ho. Iske liye wo rat din ek karke hard work karta hai. Iske liye wo apni site par original content share karta hai or sabse alag article likh kar visitors ko impress karne ki koshish karta hai. Yaha uska talent uske kaam aata hai ki log use kitna pasand karte hai.

Itni mehanat karne wala ka pura haq banta hai ki use uski mehanat ka sahi munafa ho. Yani use apne kaam ke pure paise mile. Ayse me agar wo blogger AdSense user ho to uske liye sabse badi problem AdSense ki Low CPC hoti hai.

Jiski wajah se kuch blogger ko bliggng tak chodni pad jati hai. Aysa jyadatar hindi bloggers ke sath hota hai. Yakinn jab mujhe ayse blogger ke bare me pata chalta hai to bahut dukh hota hai. Isiliye aaj mai ye article likh raha hu un sabhi AdSense users ke liye jo AdSense ki Low CPC se pareshan hai.

India me google AdSense per click $0.5 to $0.20 tak pay karta hai. Ye bat aapko internet par ek do nahi lakho websites or blog par mil jayegi. Par world me aysi koi problem nahi hai jiska solution nahi hai. I mean iska bhi solution hai. Mai aapko garatee deta hu ki aap india me rahte huye google AdSense se one click se $10 to $50 earn kar sakte ho. Bas iske liye aapko kuch jaruri bato ka khyal rakhna hoga. Ab ye aap par depend karta hai ki aap isme kitne paresent success hote ho.

Chaliye, Ab mai apne topic par aata hu ki aakhir kis tarah se hum only ek click se $10, $20, $30 or $50 earn kar sakte hai.

 Google Adsense Se Per Click $10 To $50 Kaise Kamaye – Earn Money From Google Adsense

Sidhi si bat kahunga har blogger janta hai ki blog ke liye organic traffic yani search engine se milne wala traffic kitna jaruri hota hai. Or shayad ye bhi jante honge ki search engine se traffic pane ke liye SEO yani search engine optimization ki jarurat padti hai.

Google AdSense se per click $10 se $50 kamane ke liye aapko main cheezo ko focus karna hoga.

  1. Long Tail Keywords
  2. Organic Traffic
  3. Google Adsense Terms (Full Guidelines)

Bas aapko in teeno me expert hona jaruri hai. Agar aapko in sabke bare me achi jankari hai or aap inhe ache se handle kar sakte ho to aap AdSense se 1 click se $50 to kya %70 bhi kama sakte ho.

1. Long Tail Keywords:

Long tail keywords AdSense se achhi earning karne me sabse important metter hai. mai ye confirm kar chuka hu ki agar aapke articles me keywords sahi tarah se use kiye gaye honge to aapki post search me high ranking me hogi or AdSense aapko usse related advertising se jyada benefet dega. Adsense CPC long tail keywords jyda better hoti hai.

Apne blog ke liye long tail keywords research karne ke liye aap online keywords research tools use kar sakte hai jaise Google adwords keywords planner, SeMrush, HitTail  and other.

Mai aapko SeMrush or HitTail tools ko use karne ki salah dunga. Kyuki ye aapko baki tools se better performance reprot show karti hai. Wese google keywords planner tool bhi kafi best hai. In sabhi par aap kisi bhi keyword ki CPC check kar sakte ho.

HitTail tools aapki ste ki analysis report ko calculate karke aapko long tail keywords suggest karti hai. Jisse aapke contet ki quality or better ho jati hai.

Agar aap meri pasand ki bat karte ho to mai aapko SEMrush tool suggest karunga.

Use SEMRush to find profitable Adsense keywords:

SeMrush keywords search karne ki ek bahut hi badiya best marketing tool hai. Is time mai iska member nahi hu. Isiliye mai aapko yaha perfectly guide nahi kar paunga. But aapse itna jarur kahunga ki aapko jo kuch chahiye wo sab aapko is tool par mil jayega. Yaha humare liye important bat ye hai ki hum SeMrush tool se google AdSense ke liye high CPC keywords kaise search kare.

Bahut simple hai aapke pas SeMrush ka premium plan hai to aapko isme aasani se keywords CPC ki information mil jayegi.

Aap semrush tools par ja log in kar keywords search karke organic search par click kare. Uske bad list of keywords, and see a list of keywords par click kare. Ab yaha driving traffic presented in the Warrior Forum me aap sabhi keywords ki CPC dekh sakte hai.

Now, Aapko yaha jo bhi high CPC keywords mile unme se aap apne jarurat wale keywords ko copy kar apne blog content me use kar sakte hai. Isi tarah se aap semrush par keywords change kar search karke high CPC long tail keywords ki list bana sakte hai.

Ya fir aap apni pasand ki kisi or tool par long tail keywords search kar sakte hai.

2. Organic Traffic:

Aap soch rahe honge ki organic traffic ka AdSense CPC se kya contact hai. Actually, Search engine se aane wale visitors newbie hote hai or jab wo aapki site par aa kar kisi ads par click karke advertisment sites par visit karte hai to wo usme full interested hote hai. Or AdSense ayse visitors ko sabse jyada pasand karta hai. Example, Mujhe AdSense se ek click se $16 tak mil chuke hai jabki mai india se hu or hindi blogger hu.

Suppose aapki site par 10,000 pageveiws per day hote hai or aapko 5,000 pageveiws search engine se milte hai. To mere hisab se aapki AdSense se $50 to $100 earning easily hogi.

Or agar aapki site par 10,000 pageveiws daily hote hai or search engine se 2,000 maximum traffic milt hai to aap mushkil se $30 – $40 earn kar sakte ho.

Organic traffic pane ke liye aapko SEO ki achi information honi chahiye. Agar aapko SEO karna aata hai to aap aasani se search engine se adhik traffic handle kar sakte ho.

3. Google Adsense Terms:

Follow Adsense Terms & conditions: Google AdSense se achhi earning karne ka ek sabse bada raj ye hai ki AdSense ki policy ka ullaghan mat karo. Uske rules ache se follow karo. Yaha mai aapko iske kuch reason bta raha hu.

Kuch new blogger AdSense approved hote hi apne blog ke ek page par 3 ad units se jyada use karte hai. Unki site par ads to show hote hai but CPC bilkul down ho jati hai. I sure unko per click $0.02 to $0.05 tak hi milta hai. Yakin mainye agar aap aysa karte ho to aapki CPC normal hone me bahut waqt lag jayega.

Mai aapse jabardasti nahi karunga but ek bar aap AdSense ki policy follow karke dekhiye. Mai garantee deta hu aapki earning me 100% changes honge.

Adsense terms ko follow karne ka matlab sirf ye nahi hai ki aap apni site par ek page pe sirf 3 ad unit use karo or bahut ho gaya. Google AdSense ke rules bahut shakt hai or khas kar ke indian blogger ke liye ye mushibat ban jata hai. So plz jitna ho sake AdSense ka har step follow karne ki koshish kare.

Google AdSense me weekly ya monthly koi na koi changes hote rahte hai. Isiliye aapka up to date rahna bahut jaruri hai. Aapko ye jankari hona bahut jaruri hai ki AdSense se jyada earning kaise kare, AdSense kaise kya kis tarah se hume pay karta hai or kis type ke ads se hum jyada earning kar sakte hai.

Finally, Ab aapko teeno steps ke bare me ache se pata chal gaya hai. Bas yahi tips mai apne blog par use karta hu. So ab aap faisla kar sakte hai ki aapko aage kya karna hai or AdSense ko kis tarah se handle karna hai. To ab comments me mujhe btayiye ki aap future me kya karne wale hai or AdSense se adhik money earn karne ke liye apni blogging me kya changes karne wale hai.

Agar aapko is post me btaye tips pasand aaye ho to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (170)

  1. This is awesome article and helpful for me. Thanks

  2. agar hme blogspot change krnta ho to domain khridna pdega kya.muze mere site ka nam anyhelpindia rakhna hai kya kre .procedure btaye.&mai mere site ko search engine pe kaise lau. jaise k apki site ka nam dalte jaldi aa jata hai. pl btaye trick.

    • Iske bare me aap humare SEO content read karo.

  3. Aapke site ka koi apps nahi hai kya
    Agar hai to kya naam hai.

    • Nahi meri site ka app nahi hai.

  4. sir apne blogger .com pe blog start krne ko bola hai .pr aap bol rhe the k domain bad me bhi le skte hai .kya blogger pe blog krte wkt apne wbsite pe domain nhi ayega .ya domain nhi liya to incme nhi ho skti

    • Blogger se aapko example.blogspot.com domain milega use aap bad me change kar sakte ho.

  5. hosting aur jo domain rahta hai woh blogger .com pe jane se phle krna pdta hai k uski proces bad mei hai. kya usme muze charge lagega,android pe mein templates,editin,link conect,photo edit,fb, twit, share pages , ,about page lagana,etc kya yeh sab posible hai. hlp

    • Blogger par sirf aapko domain ki jarurat padegi hosting ki koi jarurat nahi hai or domain aap aphle ya bad me kabhi bhi le sakte ho. Yes phone se hi sabkuch kar sakte ho.

  6. Aap mujhse facebook par bat kar sakte ho.

  7. Sir kya main ek Android mobile se blogging krke paisa kma skta hu.mere liye laptop Lena possible nhi hai.sbse phle mai kya kru iski jankari dijiye pl hlp me Sir

    • Bilkul kama sakte ho. bahut se blogger mobile se hi blogging karte ho.

    • sir nmskar. main mobile krna start krta hu lekin pahla kadam kya kru. 1st step btaye thoda detail me aur baki kon kon si step hai woh btaye

      • Sabse pahle aap blogger.com par blog banao uske bad use design karo fir usme post likho or traffic badhao.

  8. thank you very much, mujhe meri site me AdSense related content kaisa add karna hi kuch help kardo

    • maine already iske bare me post likhi hai search box me search karo.

  9. Hello sir maine apna AdSense approved karne ke liye uply kiya tha. tab 4 din baad AdSense me log in hone laga tha. tab vaha per ek code tha. vahi code website me paste karna tha. tab maine vo code blog me java script me paste kar diya tha. sir uske baad koi bhi massage nahi aaya hai. AdSense ka aur AdSense me my ads aur bhi bahut se option band hai. sirf home hi khul raha hai. aaj 12 din ho gaye hai. aur usme likha tha. ki aapko 3 days me ek massage aayega. to sir kya karu bahut pareshan hoo. please help sir 4 mahine ho gaye hai. kisi bhi prakar se AdSense approved nahi hota hai. yahi problem ho jati hai. apko maine is problem se related pahle bhi comment kiya tha. lekin aap kah raje the. ki 2 ya 3 din me massage aa jayega.
    lekin nahi aa raha hai. kya masssage aaye ga. ya nahi koi salution batao mai bahut pareshan hoo. sir please help

    • Aapko google ka jo message mila hai wo mujhe dikhao.

  10. nice sharing sir mene jitni bhe bloging shikhi aapke postos ko padh kr he shikhi hai

    • thank you and welcome gurmeet.

  11. Thanks Jumedeen bhai is badhiya article ke like.. mere cpc me 200% ka benefit hua hai.

  12. hi, aaj mera CPC 58$ aya kya yeh hamesa aa sakta hai

    • Nahi.

  13. sir ek bar मेरे ब्लॉग को चेक करे और बताए क्या कमी है

    • Blog acha hai bas aapko SEO ke bare me thoda or janne ki jarurat hai.

  14. Hi Jumedeen,

    Bahut achha kam kar rahe ho aap.
    ye trick wakai me bahut logon ke kam aayega aur achhi income ho sakti hai.
    Aap ka website to kabhi achha laga, visitors bhi bahut aate honge, kya aap bata sakte hai aap google AdSense se kitna kama lete hain.

    • Bro iske bare me aap humari earning report check kar sakte ho.

  15. Sir agar koi meri Ads par US ya Australia se click karega to mujhe kya $2 per click milegi ya $0.2 hi milega.

    • Isse aapko $1 to $30 mil sakre hai.

  16. bhai aysi koi trick YouTube ke bare me hai kya YouTube pe 1 click ka $10-$50 tak mil shakta hai

  17. hello bhai mane kal bhi ek coment kiya magar koi rapply nahi aya
    ma janna chata huki ek adsance ac bnaya ha uske add mane blok per lgaye per usper show nahi horahe kya karu
    plz help me dr
    add abhi active shoe nahi ho rah ha
    abhi newlikh kr a raha ha

    • Thoda time wait karo ads show hone lag jayenge. Isme kuch day bhi lag sakte hai.

  18. Sir app ne search box or alexa rank ko boxes me lga rakha ha ye app ne kis parkar kiya hai pls tell me

    • Simple hai maine ye widget me add kiya hai aap bhi kar sakte ho ye post padh kar Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare

  19. Sir for e.g- yadhi ham ne ajj WordPress per blog banaya hai or hamra AdSense account approve hai to kya ham phala din he AdSense ko use kar sakte ha blog per

    • Ha kar sakte ho. Aap jab chaho kar sakte ho.

  20. agar hamare website 10000 visitor hai aur 2000 search se aate hai to $10 se 20 $20 click pe milege ya sirf search se milenge

    • Adil aap plz post ko ache se padho taki aapko kuch samajh aa jaye ki ads click par jyada paise kaise milte hai.