4 February, 2024 ko facebook ka 12th birth day hai. is khas mouke par mai aapko facebook ke founder Mark Zuckerberg ki life ki bare me kuch khas bate bta raha hu. aakhir itne bade person ke bare me bat karne ka acha mouka mila hai.
Happy Birth Day Facebook, Sir Mark Zuckerberg aapko aapki kamyabi ki 12th anniversary mubrak ho. aap duniya ko jodne ka itna bada gift diya uske liye 1000ro bar thanks. agar aapka koi facebook account nahi hai to aap ye post padh kar 5 minute me facebook par account bana sakte ho.
Facebook par aapka bhi account hoga or aap bhi roj facebook use karte ho. to chaliye aaj bat karte hai facebook ko banane wale ke bare me I mean facebook ke birth day par mai aapko facebook ke founder mark zuckerberg ki niji life ke bare me kuch khas btane ja raha hu. jinki wajah se Mark Zuckerberg ko Kanjus Zuckerberg bhi kaha jata hai.
Facebook 12th BirthDay: Mark Zuckerberg Ki Life Ki 10 Secret Bate
Zuckerberg ko high school ke time me hi microsoft company se job (naukry) ka offer mil gaya tha. but zuckerberg ne wo sab jobs karne se mana kar diya. us waqt zuckerberg ne ek aysa program banaya tha jisme user ki music sunne ki aadato (hobbies) ka pata lagaya ja sakta tha. to chaliye Mark Zuckerberg ke bare me aysi hi or bate niche aapko bta raha hu.
1. Acche Kapde pahnne Ka Shouk Nahi
Mark Zuckerberg adhikter gray color ki T-shirt pahne huye nazar aate hai. iske bare me wo kahte hai ki unhe roj subhah subhah kapdo par waqt barbad karna bilkul acha nahi lagta.
Wo kahte hai ki mai inshan me ye nahi dekhta ki wo kya pahnta hai. balki ye dekhta hu ki wo kya work karta hai.
2. Ek Ty Pahli Ek Year
Aaapko ye jan kar hairani hogi ki itna bada aadmi ek ty ek sal tak kaise pahan sakta hai. magar ye sach hai. zuckerberg ne 2009 me puri sal ek hi ty pahani hai. ye karnama unhone jab kiya jab unke pas paiso ki koi kami nahi thi. isse unka matlab ye tha ki wo facebook ki tarkki karne ke maamle me bahut serius hai.
- Facebook Mobile Apps Se Ab Photo Sync Nahi Kar Payenge
3. SHakahari Khana Pasand Hai
Aapko yejan kar bhi hairani hogi ki zuckerberg ko none-vage khana pasand nahi hai. wo sirf shakahhari khana pasand karte hai. unhone abhi tak kabhi none-vage nahi khaya hai. is par unki comment hai ki wo sirf tabhi none-vage khana pasand karenge jab wo kisi janwar ko khud mar kar pakaye or aysa karne ki himmat unme nahi hai.
4. Year Se 1 Bhi Tweet Nahi
Mark Zuckerberg ne 2003 me twitter par account banaya tha. or january 2024 tak unke 3,90,000 follower bhi hai. but hairani ki bat ye hai ki zuckerberg ne 2012 ke bad ek bhi tweet nahi kiya hai. yani unhe pure 3 sal ho gaye hai twitter par tweet kiye. ab is se jyada kanjus or koun ho sakta hai.
5. Facebook Par Bani Film Pasandd Nahi
2010 me jab facebook par ek movie bani thi jiska name tha “The Social Network“. Zuckerberg is movie ko dekh kar jara bhi khush nahi huye, ulte unhone iske khilap apni narazgi jatayi. unka kahna tha ki film me unki chavi ko is tarah dikhya gaya hai ki jaise unhone facebook ko social stats ke liye banaya ho. ye bat bilkul galat hai.
6. Dog Ke Bhi Hai Fan
Mark Zuckerberg ke pasd ek hangrian sheepdog hai. uska name beest hai.uske name se bhi facebook par ek page hai. january 2024 tak uske page par 22,00,000 se jyada followers bhi mil chuke hai.
7. Red & Green Color Nahi Dekh Sakte
Aapko ye jan kar bhi hairani hogi ki Mark Zucherberg ko Red and Green color clear dikhayi nahi deta. unka kahna hai ki unhe blue color sabse achha dikhayi deta hai. isi wajah se facebook site par sabse jyada options blue color me banaye gaye hai.
8. Bathroom Ke Bahar Shuru Huyi Thi Love Story
Mark zuckerberg ki wife ka name princila chan hai. mark ka kahna hai ki unki love story 2003 me bathroom ki line me intjar karte huye huyi thi. us waqt wo ek party me gaye huye the.
9. Microsoft Job Ko Kaha Tha Na
Jaisa ki maine aapko post me sabse pahle btaya tha ki unhe high school ke time me hi microsoft company ne job ka offer diya tha. but zuckerberg ko job karna nahi khud ka bussiness karna pasand tha.
Isliye unhone us job ko thukra diya. Mark ko self work me sabse jyada inrerest tha or unhone kabhi himmat nahi hari jiska natija ye raha ki aaj wo duniya ki social site me sabse badi site facebook ke malik hai.
10. Simple Life Pasand Hai
Aapne kabhi Mark Zuckerberg ko fashion karte huye. party enjoy karte huye ya fir other kisi function me nahi dekha hoga. aaj unke pas paiso ki koi kami nahi hai. but fir bhi mark usi hisab se apni company ke liye kaam karte hai jaise wo pahle karte the.
- Successful Banna Hai To Ye 10 Bate Humesha Dhyan Rakhe
- Kamyab Banne Ka Sabse Aasan Tarika – Life Kaise Banaye
Mark Zuckerberg ki secret life ke bare me janne ke bad ek bat to clear ho jati hai ki inshan agar sache dil se mehanat kare to use ek din saflta jarur milti hai. or ek din wo puri duniya me jane jate hai.
Becoz sachchi mehanat ka fal jarur milta hai. bhale hi use milne me thoda time jarur lag sakta hai.
yadwinder singh
bahut hi acchi post hai.bahut kaam me aani wali post hai.thanks for this post
Junaid Siddiqu
Bhai mujhe ye apka article Pasaand Aya BHot zada
Or apka Supportmeindia Ki site bhi Allah apko bhi Inse Zada Bada Admi banae Jese Aap logo ki Mazzat karrahe hai allah apko bhi inki tarah kamiyab insan banae
I love Your All Articles
Jumedeen Khan
Thanks and welcome bro
aman gupta
Facebook se paisa kamaya ja sakta hai kya
Jumedeen Khan
Yes kama sakte hai.
mangaldeep
jume deen bro mujhe ek help chahiye AdSense ko lekar, mene aaj subha apne blog ke dashboard pe dekha ki 90+ page view he ajj ka but jab AdSense me dekha to usme 53 page view dikha raha hai aisa kyu hai plz aap batayenge ???
Jumedeen Khan
Mangal aap jante ho ki user sabse jyada mobile me site use karte hai or 90% user uc browser use akrte hai or uc browser me ads show nahi hote hai. AdSense me wohi pageviews dikhata hai jo ads views hote hai. isliye aapki site or AdSense ke views barabar nahi hote hai.
ajay
hello ytub pe 1000views pe 100$ milte hai muje ye jaana hai ki laakho caroro kamane ke liye total overall kitne views hone chahiye ytub vdo pe .
2) mere ko ye bhi bataye ki me gaming aur tv serial upld krunga to uske ads ka income high hoga yaa low plz reply my two que.
Jumedeen Khan
croro kamae ke liye croro views hone chahiye.
nahi aap tv serial or gaming ko YouTube par upload karke paisa nahi kama sakte.
Ajay aap supportmeindia par new ho or YouTube ke bare me aapko jyada jankari nahi hai. isliye aap supportmeindia ke YouTube wale form Youtube Ki Puri Jankari Hindi Me – Youtube Full Guide in Hindi par jaye or YouTube ke bare me puri jankari pata kare.
shakti
sir apke site pe ads kis jagah show hote hai me ek baar dekhna chahta hu me mobile se apki site open karta hu par ads apke site pe nazar nahi aate.
Jumedeen Khan
aap mobile me chrome browser me site ko open karo. uc browser me ads show nahi hote hai.
Sahil kumar
सदी बदल देने वाले इंसान। एक बात और कि मार्क फेसबुक से शुरूआती सालों में 16-16 घंटे तक काम करते थे और अपने employs के प्रति थोड़े सख्त भी थे। एक बार गुस्से में उन्होंने लैपटोप तोड़ दिया था।
swapnil jambhale
Jumedeen Khan ji mera google AdSense Hosted hai may use non-hosted karana chahta esliye jaise aapneho setting bataee vaise kar raha hu magar Access And Authorisation “Show ads on other websites”
ye option nahi dik rha yesa q kya aap bata sakte hai.
Jumedeen Khan
ye option AdSense full approved hone par show hoga. aap AdSense par ja kar log in karo or setting gear icon>>settings par click karo. ab left sidebar me site management par click karo. ab apni site ka url add karo. or settings save karo. adhik jankari jankari ke liye ye post padho Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
swapnil jambhale
yaha par url add karne ke bad “Show ads on other websites” ye option dekhega kya?
Jumedeen Khan
Ha jab aapka AdSense account completed approved ho jayega tab ye option show hoga. ye mai aapko allready bta chuka hu.
dev
Bhayi apne mughe smghaya uske liye thanks me apki baat par focus karuga or ha bhayi apne meri kaha par check karli mene Android ke liye mere blog par koi categories nahi plz bhayi ek baar meri site visit aisa to nahi h ki kisi or ki site redirect ho raha ho plz 1 baar check karlo plz aap check kar lijiye ki site meri Hi khul rahi h ya kisi or ki Plz bro plz agar me kuch galat time barbad karta to plz mughe bol diya karo bhayi me apko apna adarsh manta ye me tarif nahi kar raha sach bol raha hu
Jumedeen Khan
Nahi koi redirecation nahi hai. mere pas aapki hi site khul rahi hai.
Ravi Kumar
thanks Mark ke personal life ke bare me aapne bataya,
dev
ho nhi rhi thi me khud dekha par apne aap phir se hone lagi or ha thanks jo aap meri help karte wo b fast ye mughe bahut pasand aata mene itne blogger dekhe likin aap jesa koi blogger nhi mila jo itna fast jawab deta ho shayad yahi karan he apki 1 din apki site sabi blogger se ange hogi ye mera viswas keh rha he koi blogger fit nhi hoga apke samne aap bhale hi abi piche ho.
Jumedeen Khan
Dev maine aapki site check kar ke hi aapko reply diya hai. ye koi problem nahi hai. agar aapki site par android category ki ek hi post hai to usse related post show nahi hogi. aapne jis label par sabse jyada post ki hai. uski koi bhi post open karke check karo. related post show ho rahi hai. sirf dusro ki badhai karne or unki site par comment karne se aapko success nahi milegi. comments ke liye per day 1-2 hours bahut hai. blogging par focus karo warna comment karte hi rah jaoge. ye bat mai aapki dusre blog par ki gayi comments padh kar kah raha hu. aap shayad commenting me jyada hi focus kar rahe ho. mujhe blogging me 6 month huye hai or mujhse pahle se yaha bahut sare blogger hai. dusri site par comment mai bhi karta hu but tabhi jab mujhe jarurat padti hai. agar mai bhi aapki tarah sara din dusre blog par comment karta rahu to shayad supportmeindia yaha nahi hoti. plz mere bat ko achhe se samajho mai aapke future ke liye ye sab kah raha hu. finaly jitne word comment me type kar sakte ho. agar aap utne word blog post me type karo to wo word aapkw humesha kaam aayega.
Chakradhari Kumar
bhaiya mare blog par Page number navigation Computer me Acche se show ho raha hai lekin mobile me 5 ke baad show ho hi nhi rha hai Next karke par next hota hi nhi hai, kewal Last page show hota hai aisa kyu…. Aisa kyu..?
Jumedeen Khan
aap jo template use kar rahe ho wo full mobile friendly nahi hai. mobile friendly template use karo.
Chakradhari Kumar
bhaiya mai to Minima Colored 3 Template use karta hu.
Jumedeen Khan
Minima color 3 template me menu ayse hi show hota hai.
Vijay Singh
Bhai kya hum Facebook ki comment blogger par nii laga sakte ki wo sirf WordPress par hi upladh he
Jumedeen Khan
blogger par bhi laga sakte ho.
dev
mene apni koi post open ki site se to niche related post ati he par ab sirf name lidkhar aa rha he related post par post nhi aa rhi he plz bahyi jaldi meri help karo plz plz plz plz plz post layout ka option b nhi mil rha he plz plz plz jaldi batao
Jumedeen Khan
aapki site par related post shwo ho rahi hai. jis site se related post hai hi nahi to wo show kaha se hongi. ye koi problem nahi hai. aapki glatfahmi hai. blogger me itna waqt ho gay hai. aapko itni jankari to honi hi chahiye.
Vijay Singh
thanx for sharing…Hame bahut kuch jan ne ki mila mark zukerberg ke baare me..
thanks
Surendra
Bhai ,ek baat toh kahunga ki aap facebook ke baare me bilkul new jankari di hai , Aor mujhe toh yeh bhi pata nahi ki 4 feb. Ko facebook ka birthday hai but ab mujhe yaad aa gaya .
Thankx for share this post
dev
bhyi pata nhi kya ho gaya meri related post nhi aa rhi he related post likha hua he mene 4-5 themes b change kar ke dekh li par kisi me related post nhi aa rha plz byi jaldi se help karo
Jumedeen Khan
blogger dashboard>>layout par jao or post layout par edit par click karke related post enable karo. or check karo ki aapki template me related post ka options hai ya nahi.