Blog Post Me Meta Descriptions Add Karne Ki 10 Best Tips? Ye bahut hi important question hai or har content writer ko iske bare me information honi chahiye ki kis type se meta description istemal karne se aapko google search engine se jyada clicks milenge. Aaj hum isi ke bare me bat karne wale hai. I hope aapki site SEO optimized, fast loading, image fast loaded, awesome designed and search engine friendly content ready hogi so chaliye ab time hai meta description ko SEO friendly banane ka taki aapko bhi google se adhik clicks mil sake.
Search Engine Optimized Content likhne ke sath aapke article ki meta description ka SEO friednly hona bhi jaruri hai. Aapki post google search me top par aati hai but users meta descrptions dekh kar hi aapki post par visit karta hai. Meta description me hum maximum 155 to 160 characters istemal kar sakte hai or hume isi short paragraph me post awesome summary likh kar description ko attractive banana hota hai.
Agar aapki site ki post search engines me top par aati hai or aapko traffic kam milta hai to iska sabse bada reason hai aapki post ki meta description ka affective and eye catching nahi hona. Agar aap site meta descriptions par care karoge or better meta description use karoge to aapki site ki search badhegi or aapko More Organic Traffic milega.
- Blogger Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare
- Blogspot Blog Me Meta Tag Code Kaise Add Kare SEO Ke Liye
Sabse pahle main aapko bta du ki aap meta title me maximum 60 to 65 characters and meta description me 155 to 160 characters istemal kar sakte hai. Halanki google letter ke anusar meta data length count nahi and search width ke anusar lenghth count hoti hai. So ise aap ek idea man sakte hai ki aapko metadata me isse jyada letter use nahi karne hai.
Generally, jab hum in rules ko follow kar metadata set karenge to page description and post description ka tiny bit show hoga jiska look kuch is tarah se hoga. Aap google me apne results ke sath competitors ke pages ki bhi deccription check kar ke dekh sakte hai ki unki post aapki post se top par kyu hai.
Search engines already chahate hai ki aapki site ki search ranking boost ho or site search results me top par rank kare but isme aapko uski help karni hogi or apne content ko or adhik search engine optimized banana hoga or site ki search ranking improve karne me page’s meta description major role play karti hai. So agar aapko google se lakho me traffic chahiye to aapko ye karna hi hoga.
Jaruri nahi hai ki post ke search me top page par aane par hi user us par click karega. Post ki meta descriptions badhiya hai to users 2, 3, 4, 5 number taki bhi post par click karenge. Chaliye ab shuru karte hai ki kaise blog post meta description ko SEO friendly banaye or google search me site ko top page par la kar organic traffic kaise increase kare.
Blog Ki Post Me Meta Description Kaise Use Kare
Best 10 tips to use better meta description full guide in hindi: Jis tarah aap facebook viral post, status and twitter par awesome tweet share karte ho same usi tarah aapko viral post meta descriptions istemal karni hai. Aapki post ki meta description jitni Succint, Eye Catching, Catchy, Clear, Relevant, Attractive, Effective, Contain Keywords and Audience already talking about wali hogi user use jyada like karenge or aapko search se utne hi jyada clicks milenge.
1. Bina Meta Description Ke Post Publish Na Kare:
Kisi bhi post ko without meta description ke publish na kare ye post ki search rank badhane ka sabse achha mauka hota hai. Jab aap 2000 words and isse bhi jyada length wala content likh sakte ho to aap only 155 characters ki metadata write kyu nahi kar sakte. Kyuki meta descriptions aapke 1000 words ke barabar hai.
Jaha aapko post ko top par lane ke liye 1000 unique words wala content likhne ki jarurat hoti hai wohi aap short post par strong description add kar post ko top par la sakte ho. So apne blog home page, page and posts ke liye best se best description write kare.
2. Meta Description Me Post Content Ko Copy Paste Na Kare:
Maine kafi bloggers ko dekha hai wo direct apne web page content ke paragraph me se kuch lines copy kar meta description box me paste kar dete hai. Shayad aesa karke wo time save karte hai or unka sochna hoga ki isse time west nahi hoga.
Reality ye hai ki aap aesa karke na sirf apna time west kar rahe ho balki apna future bhi kharab kar rahe ho. Ye same wesa hi work hai jaise bath wash ke bad comb na karna. I mean nahane ke bad baal kanghi na karna. So post description ke liye thoda time nikale or unique description type kare.
Post description me content copy paste na kare to users ke liye post ki short summary write kar guide kare ki is post me kya hai or aap ne isme kiske bare me kis tarah se writing ki hai. Like, Step by step full guide, Complete guide in hindi, 5 steps with screenshots etc.
Kuch log meta description me post title and heading ko copy kar paste kar dete hai wo bhi galat hai. Meta description me post title, heading, suheading and content copy paste nahi karna hai. Post ke liye description alag se type karo.
2. Meta Description Me Jaruri Keywords Add Kare:
Jab hum kisi bhi topic par post likhte hai to hume use kisi main keyword par target karna hota hai. Agar aap post me targeting keyword istemal nahi karoge to aapki post search me top position par aayegi kahna mushkil hoga.
Site keywording SEO efforts ke liye jaruri hai or meta description me keyword ka istemal karna bahut hi jaruri hai. Kei bar writer post summary likhte time description me keywording use nahi karta jo bahut badi mistakes hai take now care and post description me keyword jarur use kare.
User jab mostly keyword ka istemal kar hi search engine me searching karte hai or google search results me us keywords ko bold kar highlight karta hai. Is matter se aapko description me keyword use karna chahiye but jarurat se jyada nahi or mostly target keyword hi add kare.
4. Post Title Ke Sath Meta Description Bhi Show Kare:
Mostly websites par ye option nahi milega but agar aap meta description ko post title ke sath display kare to user ise jyada pasand karte hai. I sure isse aapki post ko sabse jyada readers milenge or jab google aapke page ko crawl karega to use bhi post ke bare me samajhne me aasani hogi or google aapki post ko jaldi index karega.
Maine aese kafi website and blog dekhe hai jo post description ko top par show karte hai or unki search rank bahut jyada hai. So kyu nahi hum bhi is method ko try karke dekh sakte hai.
High bounce rate ko kam karne ke liye kamyab tricks hai or agar possible hai to aap aesa kar sakte ho halanki main iske liye aapko suggest nahi karunga but ye ek awesome features hai and I like it or want to enable it in the future time.
5. Visitor Ko Attract Karne Wale Words Use Kare:
USP ka matlab hota hai Unique Selling Proposition yani aapka products ko sell karne ke liye parshtav rakhna ka tarika kaisa hai or aap customer ka kitna attract kar pate ho. I hope you are the expert to aap same wese hi apne content ke liye description write karte time apna USP istemal kar sakte ho or jyada users ko attract kar sakte ho.
Readers ko btaye ki aapke Search Engine Result Page (SERP) par unhe kyu click karna chahiye or aesa karne se unhe other search pages se alag kya benefit milne wala hai.
I know iske liye aapke pas only 155 characters hai but aapko ye karna hi hoga. Yes, aap ye kar sakte ho bhale hi isme thodi problem hogi but aapko success bana degi.
6. Meta Description Limit Words Me Likhe:
Google humesha limit description wale pages ko top me show karta hai or jo meta description me jarurat se jyada words use karte hai unki search position 2, 3, 5 ya usse bhi niche hoti hai. Long meta description use karne se users ko careless feel hota hai.
Example, aap ye screenshot dekh sakte ho.
Yaha par aap clear dek hsakte ho ki post title and description short hone par bhi post top par rank kar rahi hai jabki baki post me title and description jyada hai or post second and third position par show ho rahi hai. Iski main wajah long description use karna hai.
7. Reader Ke Liye Meta Description Add Kare SEO Ke Liye Nahi:
Ek time tha jab google chahata tha ki hum uske liye content likhe or isi ke liye usne apni blogspot.com wali blogging service shuru ki thi iska main karan tha google ke pas content ki kami or wo chahata tha ki apne customers ke har question ka answer de.
But ab time puri tarah badal gaya hai ab internet par millions websites and blogs hai or google ko kisi ko hire karne ki jarurat nahi. Google ab nahi chahata ki hum uske liye likhe balki google bhi yahi chahata hai ki hum apne audience ke liye content likhe.
Aapke content ko jitne jyada users like karenge google bhi use top par show karega. Actually, google ke old rules the wo users ke har sawal ka jawab de but ab to google ke pas ek sawal ke lakho jawab hai so google un lakho contents me se users ko sabse top and best content provide karna chahata hai.
Google ab internet par mojud sabhi sites ke content me se top site ke content ko first ranking display karta hai baki content ko avoid karta hai. So ab aapko google ke liye na likh kar apne readers ke liye likhna hoga. Ab aapko ye sochna hai ki kis tarah ke content ko visitors like karenge.
8. Other Post Ke Keywords Check Kare:
Kei bar badhiya content write karne ke bad bhi google aapki post ko index nahi karta hai. Aese me aapko confusing hoti hogi ki mera content unique hone par bhi google me show kyu nahi ho raha hai. Actually, iski wajah bad page description hoti hai.
Iske liye aap apne post ke title ko google me search kare or us keywords se jo post first me show hoti hai unke highlight keywords check kare or apni post ki description ko edit kar un keywords ka istemal kare. I mean aapki post google me show na hone par aap uski meta description change kare aapki post google me show hone lag jayegi.
9. Social Media Ke Liye Alag Se Meta Description Use Kare:
Jab aap social media par post share karte hai to aapki post ke URL ke sath me post description show hoti hai. Aapko ise or effective banana hai kyuki social media par share ki gayi post ko google jaldi index karta hai or good rank bhi deta hai.
Aap humesha post ke title se post share kare without text post share karna bekar hai. Title ke sath 2-3 lines me post ke bare me bhi write kare. Ye social users and SEO dono ke liye better way hai.
Is porcess se aap Facebook, Google plus, Twitter, Pinterest, Linkedin, Instagram and other social media networking sites par post share karte time metadata ka istemal kar post search rank ko double kar sakte ho.
10. Advertising Services Ka Istemal Kare:
If possible, agar aap pay kar sakte hai to aap apne content and product ko top par lane ke liye google adwords service use kar sakte ho. Iske liye aapko more description use karne ki jarurat nahi hai. Example, aapne google me searching karte time top par google ad dekhe honge jinka look kuch is type ka hota hai.
By the way, agar aap paid service use nahi karna chahate hai to aap paid product ka look dekh sakte hai ki advertisers kis tarah ke ad create karte hai or kin kin keywords ka istemal karte hai. Usse idea le kar aapko unique meta description write karne me help milegi.
Post me Meta description istemal karne ke liye aap kei method use karte hai but sabse best tarika hai Yoast SEO Plugin use karna jo aapko better meta title, slug, meta description and targeting keywords add karne ke metadata fileds provide karta hai or sath hi aapki post ki keywords density check kar aapki post SEO mistakes ko solve karne me help karta hai.
Is plugin se aap apni site ki search rank settings good tarike se kar sakte ho. Main already iske bare me WordPress Yoast SEO Plugin Setup Kaise Kare Complete Guide with Screenshot post me full details share kar chuka hu so agar aapka blog WordPress par hai to aap is guide ko follow kar blog ki right SEO settings kar sakte ho.
Post Conclusion,
In methods ko follow kar aap easily completely unique meta description write kar sakte ho or apne content ki search ranking increase kar sakte ho.
Optimizing ka matlab ye nahi hai ki aap ek bar site ko optimize kar us par care karna chord do balki aap time to time apni site ko more optimize karne par focus karna chahiye or humesha site ko behtar banane ki koshish karni chahiye.
In tariko ko follow karoge to aapki 500 words wali short post bhi google me top par show hogi or 100% aapki site ki search ranking better hogi. Main is bare me future me or bhi article write karunga taki aap or behtar kar sako so aap kuch time bad humari recent posts jarur check kare.
- Kyu Log Aapke Blog Ko Read Nahi Karte, Iski Wajah Kya Hai
- Blog Par Search Engine Optimized Top Articles Kaise Likhte Hai
I hope aapko is post me useful and helpful information mili hogi or ab aap wright meta description use kar sakoge so please is post ko other bloggers ke sath share jarur kare.
Ashish kumar
Very informative knowledge for new bloggers thanks sir ji
Rakesh verma
Apki ye post mujh jaise new bloggers ke liye kafi helpful hai. Really is post se mujhe kafi kuch sikhne ko mila hai.
Arif Ansari
Bahut he badhiya artical hai
Er. Mahtab Ansari
Thank you JDK Shahab. Itni andruni or achhi baate share karne ke liye. jo new or old sabhi bloggers ke liye jaanana bahut hi jaruri tha jisse ki or sudhar kar achha kare. But ek question hai itna kuchh karne ke baad bhi post ko pahla page ke do char post ke baad or dusra tisra page me aa raha hai. isse related kuchh bataiyega kya kare achha rank karne ke liye. waise jaankari to aapne bahut achha diya hai.
Jumedeen Khan
Yoast SEO plugin use karo or blog ki SEO setting complete karo.
Kamlesh Sharma
Meri Site Ke Khuch Links Publish Karne ke baad search result main aate hai lekin khuch di. baad wo google par khi bhi nhi milte aisa kyo…
Jumedeen Khan
Aapka blog proper work nahi kar raha hai DNS error hai ise solvek aro google apake pages index kar lega.
Abbas ali
Sir mai jab mera blog google me search karta hu to .com ke sath karta hu tabhi mera blog show hota hai. Agar mai .com nahi lagata to mera nlog show nahi hota iska kya karan hai plz..
Jumedeen Khan
Jin topics par aap post likh rahe ho un par already bahut si post hai kisi unique topic par post likho.
राकेश
सर आपके हर पोस्ट में एक बेहतरीन जानकरी दिया है
थैंक्स फॉर शेयर वैल्युएबल जानकारी
Ritika Yadav
Helle Sir,
1. sir ye Phantom Update kya hota or seo mein kya advantage or disadvantage hai esha update ke…
2. mobile friendly website create karne ke liye hum ko seo point of you se kya kya dhyan rakha na chahiye…
3. sir 1.5 years ho gaye hai mere kuch keywords hai 1 page pe nahi aa raha hai or 2 page pe hi rahte hai… 1 page pe lane ke liye kya karu mein SEO mein…
Jumedeen Khan
1. Ye google ki updates ka hi ek hissa hai google ki bahut sari update hai jinhe google alag alag category me bant’ta hai. Jaise algorithms update. Phantom Update me mobile updates aati hai.
2. Iske bare me main post kar chuka hu Google Mobile-first Index Ki 10 Jaruri Bate Aapko Pata Honi Chahiye
3. SEO ko sahi se samajho or badhiya content likho.
Akash Chaudhary
Thank you for sharing this helpful article hope you will achieve more success
Kamlesh Sharma
Bro Site Ke Homepage Ke Liye Focus Keyword Kaise Set Kre…
Jumedeen Khan
Iske bare me aapne kaha padh liya. Iski jarurat nahi hai apa bas homepage ko SEO friendly banao.
ali
Mari home page ki main discription mai hindi show hoti but mai nay description mai english lika howa to plz guide kariya ga is mai kia issue ho sktah
Jumedeen Khan
cache issue.
ajay saini
Hindi blog me keywords add kese hote h m new blogger hu plzz help me
Jumedeen Khan
Aap humari SEO wali post padho.
Jasimuddin
Ek article publish karne ke bad 1st page par aya lekin 2 din bad google search se hide ho gaya. iska kya karan hai ? solve kaise hoga ?
Jumedeen Khan
Main aapko iska reason kei bar bta chuka hu.
varna
Thanks For sharing. It contains a lot of information
Motisuthar
Sir me hinglish me post karta hu blog par ab me Hindi me krunga to koi bed effect padega kya ?
Jumedeen Khan
Yes search rank down hogi.
Jasimuddin
blog post me permalink ke bare me pahele mera jankari nehi tha isliye custom permalink nehi kiya aur post content bhi kam word ki hai. mera sawal hai bina permalink change karke post ka title change aur content add karu to post seo friendly hoga kya ?
Jumedeen Khan
Yes hoga.
Shabi kazmi
As-salam alekum…aap ka kaam intehai acha hai is nek kaam ke liye bahot bahot shukriya.
Sir mai mobile information se related website bana chahta hoon as-gsmerena,smartpix jaisi.mera phla sawal hai ki aisi website ki post me words kam hote hai aur words repeat bhi hote hai.
To kya mujhe seo ka poora benefit nahi milega ?
Doosra sawal hai aisi website aam website ki tarah banti hai jaise aap ki website?
Jumedeen Khan
W/a
Kazmi SEO ko full follow karna jaruri nahi hai apne readers ki pasand ke anusar likho.
Yes, mere hisab se aap WordPress par blog bana lo.
shabi kazmi
Sir mere kuch sawal hai..
1-teen mahine pahle blogspot per Godaddy ka domain add kiya hai. kya ab ham uske liye hosting khareed ker use hostgator se add ker sakte hai.
2-koi ek domain jo hostgator se add ho uski hosting change kerke godaddy se le sakte hai.
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
le sakte ho aap usi domain se hosting le kar bhi kar sakte ho.
vicky
sir meri word press theme image par ye likha aa raha hai
“this image you are requesting is no longer available imgur.com” sir ese kaise thik karu or esa kyu hota hai…
Jumedeen Khan
Iska matlab ye image aapki site par available nahi hai.
vicky
sir me koi bhi image upload karta hu to har bar yahi likha araha hai.sir koi solution dijiye theme bhi change karke dekhli sare ke sare photo delete karke or naye upload kake dekh liya tab bhi yahi aaraha hai.
Jumedeen Khan
Aapka photos ka path galat hai. Ek bar aap cpanel par ja kar dekho ki uploads ka folders public_html me hi hai ya nahi and next time blog ka link btana taki main check kar saku.
vicky
thank and thanks again sir
sir wo problem solve ho gayi mene hi galti se kuch kar diya hoga shayad.sir ab blog 60% complete hai.mujhe host provider se jyada support to aapki taraf se mila hai.sir me kal tak to yahi soch raha tha ki kitni problems aarahi hai mene faltu hi apna blog bana liya but aapki wajah se me bhot free feel kar raha hu.thanx sir mere kuch sawal or hai.
1- sir mere pas abhi kuch plugins hai mujhe inme se konse rakhne chahiye or konse delete karu kuch WordPress ke sath hi aaye the.
1akismet, 2contactform7, 3contactwidget, 4google analytics dash board for WP, 5hello dolly, 6jetpack, 7ninja forms, 8wp super cache, 9yoast seo.
2- sir ye jo contact widget plugin godaddy ne mujhe diya hai social buttons ke liye to sir ye to mere social media bottons jb mujhe koi like or follow karega but sir jb kisi ko meri post uske apne social media pr share karna ho to wo kese karega koi plugin hai kya uske liye.
3-sir mene tools or yoast dono me meta tags submit kardiye hai or wo save changes ke bad bhi dikhte hai to iska mtlb me ye man lu na ki mene sahi se submit kar diye ha
bus sir ye mere teen sawal hai or sir aapko thoda pareshan karne ke liya maafi chahta hu.or sir agar aaoko meri comment badi lag rahi hai to bhale hi aap aproved mat karna bs answer de dijiyega.
Jumedeen Khan
Wklm vicky,
1. Wp super cache and Yoast do hi use karo bak isabko avoid karo.
2. Aap social warfare plugin use karo.
3. yes.
Main har comment ko approve karta hu. Aap to wese bhi kaam ke sawal puch rahe ho plugin jyada use mat karo site speed slow hoti hai.
vicky
sir aap mera blog dekh lijiye kesa bana hai.
bus abhi mene koi post nhi ki hai.
Gyansensor.com or sir kya kami hai kya karna or nahi karna hai please bataiye…
thanks.
Jumedeen Khan
Achha blog hai design or achha banao.
vicky
sir 2-3 question or hai.
1. sir jo hamari comment or privacy policy hai unme jo social warefare ke sharing buttons hai unhe kaise disable karu ( mene jo last me social media ka option hai use bhi untick kar diya fir bhi aaraha hai.)
2.sir mujhe 2 page views china se bhi mile hai to wo hackers ho sakte hai kya?? or apni site ki security kaise badhau.
3.sir wese to mera content (articles) hindi(english font) me hi rahega par sir me poem or thoughts ke liye hindi fonts use karu to koi problem hogi kya.(kyuki poems kam or articles jyada rahenge)
sir aapko pata hai hamare idhar papper me aapke blog ke bare me aaya tha uske bad hi to mene blog banane ka socha or aapki guidance bhi isliye aapko do bar sukuriya.
Jumedeen Khan
1. Aap social warfare ki settings me ja kar pages par se social button remove karo.
2. Ho bih sakte hai or nahi bhi. Aap SSL certificate use kar oor strong passowrd banao maine is bare me already post bhi ki hai wo padh lena.
3. No problem.
Nahi mujhe nahi pata. Kya aap us paper ka name bta sakte ho.
vicky
Bhaijan,
Finaly i got it.mil gayi link .agar sahi hai to rply karna jarur.http://epaper.patrika.com/1046901/Indore-Patrika/24-12-2016#page/27/1
Jumedeen Khan
Thank you vicky
vicky
hello sir
mera sawal ye hai ki ye jo aapki website me right hand pr jo menu dikh raha hai categories wala use kya bolte hai mai use apne wordress blog me kaise add or coustomze karu.
Jumedeen Khan
Ye drop down menu hai.
yash
Hello sir ,mera AdSense YouTube ke through approved hai..me apni site ko AdSense me add karna chahta hu..kaise karu..help!
Jumedeen Khan
Bahut simple hai AdSense settings me jao or my sites ke option me apni site ka URL add karo uske bad aapka AdSense account fully approved ho jayega.
Amit Jain 'maulik'
Bahut hi upyogi post. Thanks Jume Deen ji. I m your subscriber. Realy you are wonderful blog scientist. Keep it up
rohit kumar
january ki meri YouTube earning AdSense me nahi update hui. aisa kyo h
me AdSense ko blog aur YouTube dono me use krta hu
Jumedeen Khan
Wait karo ho jayegi.
Amit Singh
Very Useful Information
Thanks for Sharing
ANOOP VAISH
hello sir
mere search console me ye error aa raha hai
Your site has no hreflang tags.
Google uses hreflang tags to match the user’s language preference to the right variation of your pages.
please sir mujhe
india ko target kiya hai aur mera blog hindi me hai
isliye mujhe hindi ke hreflang tags bata dijiye jo mai apni website me add kar saku
Jumedeen Khan
Aapka blog hindi me nahi hai aap hindi and english mix likhte ho Full hindi write karoge to ye error nahi aayega.
Amaan Alam
bhai mujhe apki ek help chaiye me blogs use krta hu maine usme copyb past code to add kr diya hai ab kuch copy nahi hota me ab chata hu ki jese me post me kuch keyword copy ho jaye to wo kaise hoga kya add kru usme jese ki apki post main he hai code copy karne ka sa box kaise add karu
Jumedeen Khan
Aap only jaruri content par hi copy paste disalbe karo like p, a, div, li, ul etc.
Amaan Alam
Kaise karu yahi to puch raha hu ek sentence ka example dekhar samjha sakte ho bhai plz
Jumedeen Khan
Maine jo code post me btaya hai use body me nahi upar comment me btaye codes par hi use karo. Like
p, dive, a, li, ul{paste copay paste code here}
Sonu Rajput
Bro .. Kya Aap *Ad Balance* Ko Use Karto Ho Agar Karte Ho To Kitna ℅ Karte ho
Jumedeen Khan
80%
Jitendra vaishnav
सर मैं जब भी कोई नई पोस्ट डालता हूं तो वो पोस्ट गूगल पर 3 से 4 दिन बाद शो होती है और जब में गूगल सर्च कंसोल में fatch as google करता हूं तो वहां भी रीडायरेक्ट बताता है मैंने बहुत ट्राई कर ली लेकिन रीडायरेक्ट का कोई सलूशन नहीं निकला मैंने shoutmeloud के ask फॉर्म में भी पूछा था लेकिन जवाब सही मत निकला मेने other ब्लॉगर से भी पूछा जैसे रोहित मेवाड़ा, सुरेंद्र सिंह और गुरमीत सिंह से लेकिन सब एक ही बात करते हैं कि आप फिर से ट्राई करो मैं थक चुका हूं ट्राई कर करके लेकिन fatch as google मेरे हमेशा रीडायरेक्ट ही रहता है सर प्लीज आप मेरी सहायता क्योकि मेरी स्पोर्ट्स साइट है और अगर उसकी पोस्ट डालते ही गूगल में नहीं आये तो फिर पोस्ट का क्या मतलब है में अब आपके पास आया हु मदद के लिये सर plz मेरी हेल्प कर दीजिए अगर आप भी ऐसा ही कहोगे की ट्राई करो
Jumedeen Khan
Jitendra aap mujhe fetch ki huyi post ka sreenshot dikhao. Don’t worry solution mil jayega.
Sonu Rajput
BRO.. Mai Aapne Sites KO Blogger Se Operate Karta Hai Or Usmai Pahle *Search Discreption* Option Show Hota Tha But Ab Wo Show Hona Band Ho Gaya , Plz Mujhe Kuch Tips Batiye
Jumedeen Khan
Abhi bhi hota hai achhe se check karo.
rohit sharma
सर जब हम आपकी यह वेबसाईट ओपन करते है तो हमे एक Add ब्लाक का मेसेज शो होता है. यह क़िस्त तरह किया जाता है मतलब WordPress में ऐसे कोन सा Plug in है जिसका इस्तेमाल करके हम भी इस तरह का मेसेज शो कर सकते है
Jumedeen Khan
ye plugin se nahi coding se bana hai.
Rohit Sharma
ok सर तो आप इस coding की जानकारी हमे जरुर दे ताकि हम भी ऐसा अपनी WordPress वेबसाइट पर कर सके
Shubhra Dey
Bhai WordPress me code kaha pe add karna hai… Analystic ka
Jumedeen Khan
header.php me head ya body ke bad karo.
Rohan Mehra
Bhai post image ka size aap kya set karte ho ? Thumbnail, medium, or large size ?
Jumedeen Khan
Meri post ki width 770 hai or main maximum 700px ki image use karta hu.
Tanveer Hussain
Jume deen bro i love your blog and love your passion also isliye keh raha hu apki pehle wali fonts hi best of the best thi. In dino ap jo bhi font use kar rahe hai ye utni reader friendly nahi hai . Read karne me thodi bahot problem aati hai.
Jumedeen Khan
Welcome and thank you tanveer but abhi main roboto font use kar raha hu jo bahut hi simple hai. Ho sakta hai aap site ka old verion dekh rahe ho. So please mujhe uska screenshot mail par send karo.
Shubhra Dey
Bhai mene blogger se WordPress par shift kia par analystic account me koi report nehi dikha raha, me kya karu…
Mujhe apne site ka status nhi pata chal raha kaise thik karu
Jumedeen Khan
Analytics ko active hone me time lagega aap verify code blog par add karo.
Dipak chaudhari
Hello sir..!! me dipak mene WordPress me ek site banai he to sir mene us site ko google me kholne Ko try kiya but sir usme error vala page aajata he to please sir me meri site google per show kare aesi trick batayye. Or kya sir hame site ko own banana padta he ??agar own nahi he to AdSense ke sath connect nahi ho sakti?? please sir give your intelligent mind’s comment.
Jumedeen Khan
Apni site ka link btao taki main use check kar skau.
dipak chaudhari
Sir muze is site ko me google per search karu to unke page show kare aesa banana he like apki site Ki tarah .. Please muje vistar se bataye.
Jumedeen Khan
Wishtar se janne ke liye is bare me post padho.
imran khan
Bhai Jab Se Mene Tumhara Blog ke Bare M Jana Tab Se M Daily Apka Blog Visit Krta Hu Or Sabse Achchi Bat Y Hai ki Mujhe Apne Sare Sawalo Ka Jawab Mil Jata Hai Ab Lagta Hai Ki humari Help M liye Bhi Koi Hai,
Thanks , JDK
Jumedeen Khan
Welcom imran.
Rajpal Singh
meta description ka ranking me to koi role nhi hai lekin isse CTR me effect padta hai. agar aap ka meta description optimized hai to search engine results me aapko click jyada milne langenge.
Jumedeen Khan
Dear rajpal agar aapki site ka CTR increase hoga to ranking bhi increase hogi. Optimized metadata is important for good search ranking.
Indrajeet raj
Sir me abhi blogger par hu ..mera blog hau HindiTechHunt.info.
Mughe WordPress par blog banana hai. New domain+new hosting+new email in sab ke liye kitna paisa lagega.
Aur mere HindiTechHunt ka post ko WordPress par shift bhi karna hai. Kya WordPress par shift hone par AdSense approved ho jayega.
Kya WordPress par post shift karne par dono blog me post aa jayega wo copyright nahi mana jayega.
Indrajeet raj
Sir kya WordPress par post jaldi index aur top par jaldi aata hai.
Jumedeen Khan
Nahi post kitni jaldi aayegi wo aapk content ki quality and SEO settings par depend karta hai jo aap blogger par bhi kar sakte ho but WordPress par aap settings achhe se kar sakte ho youast plugin use karke.
Jumedeen Khan
Minimum 1000+ charge lagega, WordPress se AdSense ka koi lena dena nahi hai. Aap sirf ek blog par content use kar sakte ho WordPress par shift hone ke bad blogger blog ko delete karna hoga.
deepak gulati
Good Morning Sir मुझे अपने Google Adsense में यह मेसज शो हो रहा है In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites you don’t own. To avoid lost revenue, make sure to add these sites to your verified sites list in Site Management. सर क्या आप बता सकते है मैं इस मेसेज को केसे दूर करू
Jumedeen Khan
Aap ye post padho or is problem ko solve kar lo Kisi Site Me Aapke Adsense Ad Code Use Hone Par Kya Kare
Akash Chaudhary
Hii jume deen just want to let you know your contact page is not loading. fix it.
also i want to know aapne apna blog sucure kaise kiya plss msg
Jumedeen Khan
I have not contact page check carefully and maine ssl cerificate buy ki hai.
radhe gour
sir mere pehle uc news account me kuch galti hone ki bajah se me naya account bana raha hu kya main usi pan card number ko dowara use kar sakta hu
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
sudarshna panda
sir mera ek problem hai jo app salf karsakte ho
problem ye hai ki meri site jo hai
http://www.example.com ko google main
bina www lagaye yani example.com
search karta hoon to site ati hai
par apki site supportmeIndia.com hai to google mein sirf support me India search karte hi aa jate hai
par mera site bina .com se search karta hoon to nahi atta hai
pls help me…
Jumedeen Khan
Aap apni site ki SEO settings complete karo aapki bhi site search me aayegi.
puja
good and awosome article
Ashvin Chaudhary
great post again Mr Jume Deen Khan,
Me post me sahi trah se Meta description write karta hu,par sometime search engine me write kiya huva post meta description nahi show hota.or sometime show hota hai.
thanks
Jumedeen Khan
Jab google ko apaki post ki description me keywords nahi milte to wo post content se results show karta hai.
rahul
1
Sir domain change karne ke sath uska media storage or bandwidth storage bhi change hojata hai or kya agar hum blogger.com ko hatake goddady se domain leke ESA karte hain to usse uska storage change hoga Ki nahi
2
Wapsite per YouTube video links share karne ka space unlimited hota hai ya WO hame alag se kharidna hota hai ..???reply.please
Jumedeen Khan
1. Nahi kuch bhi change nahi hoga aap aesa kar sakte ho.
2. website par video link share karne ke liye aapko kuch bhi kharidne ki jarurat nahi direct paste karo.
ANOOP VAISH
sir
kya jyada post ho jane ke bad yadi index nahi hoti hai to
dubara sitemp summit karna hoga
Jumedeen Khan
Nahi aapki sabhi post ek hi sitemap se index ho jayegi.
Raju
Blog post ko fetch as google karne ke liye permalink ke sath HTML dena hoga kya ?
Jumedeen Khan
Nahi.
shaksumana
thanks for sharing this post.
Monu
bahut he achhi jankari share kari hai sukriya
faltubazaar
kyu bhai mere sawal ka jawab nahi de paye isi liye meri comment delete kardi.
ohhh sory… approve hi nahi ki…………..
Jumedeen Khan
Very bad first aap name se to comment karna sikh lo dusro ki galti bad me nikalo pahle khud ko sudharo.
Sonu Rajput
Bro mujhe ye bataiye Ki Kya Hum 2 Jaga Par Match Contant Ads Laga Sacte Hai Agar Lagate hai To Koi Violation hoga ya nahi
Jumedeen Khan
Yes laga sakte ho no violation google khud kahta hai ki aap post ke pahle ya bad me or sidebar me ads lagao.
aju
bro mene kal hi PayPal I’d banyi mere bank se link krna chahta hu lekin mere pass pancard/debitcredit card use nhi karta hu to me PayPal bank se link kar verify kese karu
Jumedeen Khan
Without pan card nahi kar sakte.
Kamlesh parihar
Sir issue phake meri post kuch hi minutes me search me aa jaati thi aur 1 din me indax bhi ho jaati thi.
Jumedeen Khan
Don’t worry ab bhi aayegi aap or achha content likho.
INDERJEET SINGH
hello Bro I am Inder Maine business Plan Hosting Liya Hai Aur Ish Me w3 total Chahe Ka Kujh Normel Setting Kiya Hai But Meri Site Ki speed Bohut Kam hai Ager Aap Kujh Ishke Baare Me Bata De Solution To Mai Jaldi Improve Kar Lu So Pls Jaldi Batana Bro
Jumedeen Khan
Aapko website theme, database, script, CSS, HTML et.c ko customize karna hoga uske bad site fast load hogi.
INDERJEET SINGH
Kaise Kare Bro Koi Tips Hai Aapke Pass Ishke Liye Mai Wp Pe New Hoon
Jumedeen Khan
Iske liye aapko is sabki jankari hona jaruri hai ya fir aap kisi developer and WordPress expert se kara sakte ho.
Raju
Mera blog me new article published kar raha hu to google search engine me nehi araha hai lekin yahoo me araha hai. search console me sitemap aur sab setting bhi thik kiya fer bhi ye kyu ho raha hai. 3 week se ho raha hai. new post search me 1 bhi nehi araha hai.
Jumedeen Khan
Jo post index na ho use GWT me fetch as google karo.
kamlesh parihar
sir meri post endex hone me 5-7 din lag jaate hai . aur search me aane me bhi aisa kyun.
Jumedeen Khan
Jitni bahdiya post likhoge utni jaldi search me aayegi.
Motisuthar
Sir kya me Meri site par 2 matched contact ads lga saktu or kya me ese blog post ke ending me bhi use kar sakta hu kya?
Jumedeen Khan
Yes laga sakte ho.
Shailesh chaudhary
mai bahut dino se aise hi post ke bare me Search kar raha tha.. Thanks Sir ji
Itane acche aur Useful article likhane ke liye
pranab
Sir, mai apka har tips follow karta hu like social share , long article par mera SEO acha nhi horha hai.
Jumedeen Khan
English blog likhte ho competition bahut jyada hai apne competitor se best kar oto traffic milega.
vakil
mai aise hi post ke talash kar raha tha thanks a lot jummedin bhai..
menu ke niche ads use karnese koi problem to nahi hogi na
Jumedeen Khan
Drop down menu nahi hai to no problem.
Rusheek
Bahut achi jankari he bro
Amit Rajpurohit
JumeDeen Bhai aapki December ki earning report Kyu nahi aai?
Jumedeen Khan
Jab karunga to aapko pata chal jayega.
Atul maurya
प्लीज भाई आप हमारा टेंपलेट एडिट करके कब आप हमारे gmail पर भेज रहे हैं प्लीज भाई बहुत वेट कर रहा हूं रोज तीन से चार बार gmail चेक कर रहा हूं प्लीज भाई बता दो कभी टूट कर के भेज रहे हो धन्यवाद
Jumedeen Khan
Atul aap mujhe mail par contact kare please.
Rahul singh
bahut badiya post sir very help full post hai but ek bat nhi samjha ki meta title aur slug kya hai thoda ditail me btana sir plz
Jumedeen Khan
Meta title post ka title or slug post ka link.
Reny John
Jumedeen sir, namaskar
apke dwara diye gaye sabhi tips ko mai use karta hu aur sabhi perfect hai.. apki khoj bahuto ke kam aa rahai hai sukriya… yoste seo plugins wakai bahut achha hai sabhi blogger ko ye use karna cahiye …
Sir ek problam aa gai hai mere WordPress me appearance > editor wali line gayab ho gayi hai kaise wapas lau samajh nahi aa raha.. pls help
Jumedeen Khan
WordPress theme change karo or sabhi plugins ko disable karo editor ka option aa jayega.
Reny John
theme change kar du to puri setting change ho jayegi kya .?aur sare plugins ki jo setting hai wo waisi hi rahegi ?
Jumedeen Khan
Yes aap sirf theme and plugins ko deactive karo delete mat karo uske bad ek ek plugins install karo or jisse problem ho usi ko delete karna hai.
ANOOP VAISH
सर आपने जो पोस्ट suggest की है
वो ब्लॉगर के lables के बारे में है जो शायद
WordPress में category की तरह होती है
लेकिन सर मै WordPress में tags के बारे में पुंछ रहा हूं
क्या WordPress में केटेगरी और tags दोनों same होते है.
Jumedeen Khan
Oh bad, Nahi tags aap post me jyada use kar sakte ho or category limited. Like ek post me aap ek do category and 2, 5+ tags use kar sakte ho. yes same bhi use kar sakte ho.
ketan
man lijiye ki mane apni site ko AdSense ke liye apply kiya hai. par google usko reject karta hai.
to kya me durara vahi site ke liye fir se apply kar sakta hu.
Jumedeen Khan
First aap full name se comment karo. Yes fir se apply kar sakte ho.
mohsin shaikh
mera blog job-ms.blogspot.in hai. ume maine third party domain add kiya hai. ab mere blog ka url hai http://www.govtcareerindia.in but problem yah hai ki domain setup karne ke bad blog me AdSense ke ads blank aa rahe hai. jaise hi domain ko remove kar job-ms.blogspot.in lagata hu to AdSense ads dikhte hai. domain setup karne ke bad nahi dikhte.
aapse mene yah sawal aage bhi puchha tha or aapne kaha tha ki AdSense account me site add karne ko kaha tha but me co bhi kar chuka hu to bhi ads nahi dekha rahe hai.
Jumedeen Khan
Site management me site URL add karne ke bad wait karo google aapki site ka review karega review complete hone ke bad ad show hone lag jayenge.
ANOOP VAISH
sir mujhe ye bataiye ki
blog me tags kaise use kiya jata hai kyonki
yadi ham YouTube ki tarah tags use karenge to ye bahut jyada ho jange
aur maximum kitane hone chahiye aur minimum kitane hone chahiye
Jumedeen Khan
Aap maximum 20 to 30 tags hi use kare isse jayda use karne se confusing hogi. Ye post padho Blogger Me Label Kaise Use Kare Post Categories Ke Liye
Sohan singh
Hello sir blog pe free template konsa use karna chahiye
Jumedeen Khan
Bahut sare hai aap apni pasand ka template choose kar use apne hisab se customize karo.
Vicky Kumar
एक ब्लॉगर दोस्त ने मुझसे फेसबुक पर पूछा की यार ये जुम्मे दिन इतने कम दिनों में Blogging में सक्सेस कैसे हो गया..?
मैने उससे कहा कि सक्सेस अकेले चलकर और अहम के साथ नही पायी जाती बल्कि लोगो को साथ लेकर उनकी मदद कर के पायी जाती है..!
हमेशा की तरह एक लाजवाब पोस्ट 🙂 लगे रहिये भाई! वो दिन दूर नही जब आप हिंदी भाषा के क्षेत्र में टॉप पर होंगे!
Jumedeen Khan
धन्यवाद कुमार.
Abhinav Ranjan Jha
hello sir,
maine ek image ka link diya hai wo dekhiye and ye btaiye ki
aapne aisa sitelinks kaise use kia?? I mean aisa sitelink hmaare blog pe kaise aa skta hai.
Jumedeen Khan
Aapka btaya link open nahi ho raha hai aap link fir se add karo main uska reply isi comment par kar dunga.
Jumedeen Khan
Ye sitelinks hai jab aapki site par google se acha traffic hoga to apne aap show hone lag jayenge.
sudesh kumar
bhai kya post title or search description same honi chahiye ya nahi.
Jumedeen Khan
Same nahi honi chahiye.
Deepak Vaishnav
Sir mene aaj matched content ke ads lagaye hai kya unki bhi cpc achhi aati hai
Jumedeen Khan
Deepak is bare me main post likh chuka hu or usme is sabke bare me btaya hua hai.
Kabir
दिपक मुझे नहीं लगता की मैच्ड कंटेंट के ads पर अच्छी सीपीसी मिलता हैं… सिर्फ एक बार ही मुझे अच्छा रेट मिला था… लेकिन मैंने यह देखा की Matched Content Ads पर Normal Ads के मुकाबले कम ही रेट मिला… इसलिए मैंने इसे अपने ब्लॉग से रिमूव कर दिया…