Internet aaj online paise kamane ka (make money online) blogging sabse bada way ban gaya hai. Blogging se aap 24 hours money earn kar sakte ho. Iske liye aapko ek Micro Niche site banani padegi jiski search engine me high ranking hogi or jis par per month 200k pageviews traffic hoga. Micro niche website banane ke liye aapko kuch important tricks pata honi chahiye tabhi aap online money earn kar sakte ho. In this post, aaj main aapko isi ke bare me btane wala hu.
Is post me mai aapko aeysi bate bta raha hu jinhe follow kar ke aap apni new website banane ke 10-20 day bad se hi earning karle lag jaoge. So agar aap really google AdSense se ya kisi or advertisement program se apne blog par paise kamana chahate ho to is post ko dhyan se padhiye.
Is me mai aapko aeysi site banane ke bare me jankari de raha hu jisse aap monthly $1000 earn kar sakte ho. In my case maine allready supportmeindia se ek month me $1000+ earn kiye hai iski janakri ke liye aap SupportMeIndia Income & Traffic Report January 2024 – 50,000 INR post padh sakte ho. Now main blogging se hi achhi earning kar raha hu.
Table of Contents
Micro-Niche Website Kyo Banaye?
Micro-niche se yaha mera matlab ek badhiya high traffic rank wali website se hai. Micro niche site banane ki sabse achi bat ye hai ki ek niche site ki search engine me High Ranking hoti hai. Agar aap ek high quality website banate ho ek hi niche par content write karte ho to fir chahe wo kisi bhi topic par ho search engine me uski high ranking ke 80% chance hote hai.
Ek bar aap niche site bana le fir chahe isme kitna bhi time lage uske bad uski search rank other sabhi site se jyada betrer hogi. Aapko din rat hard work karna padega aapke niche site banne ke bad money aapka wait karegi or aapko bas money accept karni hai. I mean aapki site se itni income hogi ki aap soch bhi nahi sakte ho.
- Website Blog Copyright Content Check Karne Ki Top 10 Free Tools
- Top 15 Websites To Download Free Stocks Images For Your Blog
How to Create Micro Niche Site For Earn 1,00000 Per Month in Hindi
Micro Niche site banane ke liye aapko niche btayi gayi tips follow karne hai. Mai aapko suggest karunga ki ek achi site baane se pahle aap jis platform (WordPress is always better) par site banane ja rahe ho uske bare me puri jankari hasil kar le uske bad hi apni new site create kare. Jisse aap se site creating me koi mistake na ho.
1. Choose Niche Domain
Micro niche site banane ke liye sabse important hota hai site ka domain Domain jitna short or simple hoga aapko utna hi jyada traffic milega. Isliye ye decide kar le ki aapki site ka domain aysa na ho jise yad karne me aapke reader ko problem ho.
Agar aap google AdSense se earning karna chahate hai to AdSense se jyada paise kamane ke liye aapki site par share kiya gaya content USA and U.K ko target kiya gaya ho. jisse aapko High CPC paying result mil sake. USA and U.K me AdSense ek click ke $2 to $10 hya isse bhi jyada pay karta hai.
In my case, maine supportmeindia domain kyu select kiya kyuki mai hindi blog banana chahata tha or mera target bhi india tha. Aeyse me supportmeindia mere liye sabse better sabit hua or 6 month se bhi kam time me mujhe achha traffic milne lag gaya. Iski wajah hai visitors is domain ko aasani se yaad kar sakte hai.
Agar aap search engine me apni new website ki high ranking dekhna chahate hai to aapka domain kisi or ke domain se match nahi hona chahiye. aapka domain jitna sabse alag hoga search engine ko use index karne me utni hi aasani hogi. Agar aapko keywords search karne hai to aap Semrush par kar sakte hai. Mai already semrush par hi keyword search karta hu.
“Yaad rahe agar aap kisi ka domain ya content copy kar rahe ho to aap kabhi bhi blogging me success nahi ho sakte. Sirf apna waqt barbad kar sakte ho.”
2. Setting Up Micro Niche Site
Website banane ke bad use sahi se set up karna sabse jyada important hota hai. Bina setting ki gayi site bilkul wesi hi hoti hai jaise aapka bina safai kiya gaya room jisme ye samajh nahi aata ki kounsi cheez kaha hai or kya kaha milega.
So apni site ki puri settings complete kar le jisse aapke visitor ko koi problem na ho or wo aapki site ko ache se easily samajh sake. Agar aapko WordPress par blog banana hai to aap Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare post padhe or agar blogger par free banana hai to Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padhiye.
But WordPress blogspot se jyada better hai. Agar aapko WordPress ki puri jankari chahiye to aap humari WordPress se related post padh sakte hai. Aapko is site par bhi WordPress ke bare me kuch important jankari mil jayegi jiske liye aapko kahi or information pata karne ki jarurat nahi padegi.
3. Keyword research and content planning
Ek badhiya blog (Complete setting ki huyi site) banane ke bad first kaam hota hai apni site par high quality content share karne ka. Maine Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye post me high quality content ke bare me details se btaya hai.
Search engine se jyada traffic pane ke liye aapko kuch important rules follow karke article likhne hai. Mai iske bare me bhi already Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips post me high ranking post likhne ke bare me bta chuka hu.
But fir bhi yaha mai aapko kuch topics bta raha hu jinhe follow karke post likhoge to search engine me aapki post first ranking me hogi.
- Post ka title me aeyse keyword use kare jinki search engine me jyada demand ho.
- Aeyse topic par post kare jise reader long time tak padhna pasand kare.
- Apni site ka best design kare kyuki visitor post content ke jitna hi site ke design ko like karte hai.
- Site fast loading ho search engine fast loading site ko jyada like karta hai.
- Post me minimum 1000 words use kare or long content likhe.
- Post content me special words ko bold & highlight kare.
- Post ke end me post ke bare me 4 lines likhe.
- Extra images use na kare, sirf jaruri photos hi post me add kare.
- Latest and newest content likhe jo pahle se internet par ho.
- Post me ek keywords ko 2.5% se jyada repeat na kare.
Inke alawa bhi or bahut se tips aapko follow karne hai. iske bare me adhik jankari ke liye supportmeindia ki SEO se related post padhiye.
Micro-Niche site banane ke liye apni site ke liye facebook, google+, twitter, pinterest, linkedin social networking sites par account create kare. Search engine me high ranking ke liye ye step follow karna jaruri hai or agar aap ise ignore karte ho to aap nahi chahate ho ki aapki site par adhik traffic aaye.
Apni har latest post ko site par publish karne ke bad most popular social media sites par share karne se search engines aapki post ko bahut jaldi index karta hai. Iske bare me mai already kei post bhi likh chuka hu ki social promotion site ke liye kitna jaruri hai.
Social media micro niche site build karne me 40% help karta hai or in par site ko connect karne se aapko social referrals traffic milta hai. Jisse aapki site ki value improve hoti hai or aapki site ki search ranking increase hoti hai.
world me high ranking wali sites ko hi audience sabse jyada pasand karte hai jis site ki ranking high hogi reader us par utna jyada visit karna chahaenge kyuki visitor sochta hai ki is site ki ranking itnibetter hai to is par jarur kuch na kuch achi jankari (Good Information) jarur milegi. Isliye apni site ke liye sabhi popular social sites par page banaye or traffic increase kare.
5. Deside Fix Time to Your Site
Micro Niche site banane ke bad aap apni site ko focus karna nahi chod sakte. Website ko high ranking me banaye rakhne ke liye aapko site par fix time me regularly work karna hoga tabhi aapki site ki ranking increase hogi.
Bahut se log backlinks pane ke liye apna sara time dusre blog ya websites par comment karne me west kar dete hai. I love commenting but iska matlab ye nahi hai ki aap apna 60% time commenting me west kar do. Backlinks pane ke liye other website par 20% time dena kafi hai. Mai chahata hu ki aap apna 80% working time apni site ko do or uske liye kuch better karo jisse log aapko pasand kare or aapki site ki ranking better ho sake.
In my case, mujhe supportmeindia par jitna bhi traffic mila hai usme se 70% search engine se mila hai or ye 70% visitors apni marzi se supportmeindia par aaye hai. Mai only apne kaam bar focus karta hu or regularly is blog par update karta hu. Maine apne blog ka promotion bahut hi kam kiya hai.
Agar hum sache dil se mehanat se hard work kare to uska fal hume jarur milta hai. Mai ye bat 100% manta hu kyuki meri life me aysa bahut bar hua hai. Ye aapke sath bhi ho sakta hai bas jarurat hai hard work karne ki. I mean hard work karoge to safalta khud aa kar aapke kadam choomegi or agar aap success ke piche bhagte rahe to kabhi us tak nahi pahuch paoge.
So don’t west more time and focus your site to make a Micro-Niche site as like 200k pageviews per month.
- Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
I hope aap is article se hard work karne ke bare me jarur sochoge or apni site ko Micro-Niche site banane me puri mehanat karoge. By the way agar aapki is post ke bare me koi sawal puchna hai to aap comment me puch sakte ho.
Agar aapko lagta hai ki ye post aapke liye helpful and useful hai to is post ko google, facebook, twitter par share jarur kare.
Ashish kumar
Sir aapne bhut bdiya jankari di hai Thanks SupportMeIndia
Himanshu
Bro, बहुत बढ़िया post लिखी है आपने. आपके अनुसार micro niche site में money making की काफी संभावनाएं है. ऐसे में मेरे कुछ question है जो में आपसे पूछना चाहता हु.
First, क्या अगर हम किसी एक niche पर blog बनाकर बाद में उस blog ने micro niche blogging साथ मे start कर सकते है? जैसे में अपने blog में blogging guide और tech से related posts publish करता हु.
या इसके लिए हमे अलग से दूसरा blog बनाना चाहिए?
Second, क्या हम एक ही adsence account से 2 या 3 blog जोड़ सकते है? अगर हम ऐसा करते है तो इससे adsence, cpc में कोई changes करेगा?
Jumedeen khan
Yes, kar sakte ho lekin separate better hai. Yes kar sakte ho.
Pravesh
Can I create a micro blog on celebrity niche name like . anilkapoor.online, sanjay dutt.xyz kya inke naam se domain register kar sakta hu .
Jumedeen khan
Yea, but aap top level domain use karo is type ke domain par users kam believe karte hai.
Manas Singh
Sir, micro niche Blogging blogger ya blogspot se start karna sahi hoga ya nni.
Jumedeen khan
Kahi se bhi kar sakte ho.
Parmod
Sir Mene bloger.com par apne site banai ha aur ek post publish ki ha ab kya karu new bloger hu kuch batayo
Jumedeen khan
Content likhne par dhyan do.
Mahi siyag
New bloggers ke liye aap jo kaam kr rhe ho sir, kabiletarif hai. M aapka ek regular visitor hu.
Ramniwas kirdoliya
Sir ji mene bi 2mahine pahele blog bnaya hai lekin traffic bahut km aa rhi hai
Jumedeen khan
Is blog par traffic badhane ke bare me kai sare articles mil jayenge.
manjeet singh
Sir maine new website banai hai aap apne experience ke hisaab se meri site dekh kar batayenge ki muze kya improve karne ki zaroorat hai?
This is a request from your regular reader….
Jumedeen khan
Bahut achha blog hai lekin aap jo theme use kar rahe hai wo old hai aur kafi time se update nahi huyi hai aap koi dusri aur SEO friendly theme use kare.
manjeet singh
Ok sir thanku for replying mai genesis framwork theme use karunga jab mera budget ho jayega.
Ek question or hai aapse maine seo ke bare me almost sikh liya hai but mai do-follow links nahi bana pa raha hu.
Guest posting ke alawa kya aap kuch solution bata sakte hai do-follow links create karne ka.
Jumedeen khan
Commenting and membership.
Suresh Bukeliya
Bahot hi badiya bhai aapka article hai.
Bhai aap sabki sabki halp karte ho meri bhi kardo na bhai.
Mera blog 1 – 2 months ho gaya hai par mere me views nahi aarahe ak bhi.
Bhai aap google par search karna
Mera url
Hinditechnicalsp
Bhai aap check karke batavna kya kami rah gay hai mere se.
me aapke reply ka wait karunga
Jumedeen khan
Aap bahut short content likh rahe hai. Jitni jarurat ho utna to likho.
bapi Mondal
bhai mai bengaly lenguge mai job websites statrt karna sahi hoga? mai west bengal se hoon
जुमेदीन खान
कर सकते हो लेकिन इसमें आपको ट्रैफिक बहुत कम ही मिलेगा
Sanjeev
Nice dear….
Good information
Azhar
Sir mai ne micro niche site ko dhyan me rakkhte huwe ek site banayi hai.
mai isme bohot short post likh raha hu. Lakin mujhe USA ka traffic mil raha hai. Traffic bohot kam aaraha hai lakin phir bhe thik thak hai aage mehnat se traffic increase hosakti hai. Lakin mujhe google adsense ka approval nahi mil raha hai. Aur mai adsense approval ke liye pareshan hu.mai ne wo sabkuch karliya jo adsense approval ke liye chahiye hota hai lakin phir bhe nakamiyab horaha hu. Kya aap meri adsense approval ke liye madad karenge?
Aap please meri site ko dekhiye aur zaruri har point correction kaise karu wo bataiye. Ya phir aap khud approval dila dijiye. Mai aapki fees dedunga.
Jumedeen Khan
Aapko google se jo mail mila hai wo mujhe dikhao.
RAHUL OJHA
Hello big brother,
Maine bhi WordPress pe ek blog banaya h
ab ise mai promote kaise karu.
is me kamiya kahan?
please help me.
and is site me mai kaisi jankari post karu.
Jumedeen Khan
First apako wordpress.com par nahi wordpress.org par blog banana chahiye tha. WordPress.com par apako har feature ke liye pay karna hoga but wordpress.org par nahi so pahle aap wordpress.org par blog banao custom domain ke sath.
Lucky Ahmed
Nice Article Bro.
Madhu amla
sir maine health niche site banayi hai hindi me. kya mai isase paise kama sakta hun.
Jumedeen Khan
Yes kama sakte ho.
Riyansh
Haa bilkul kma skte ho Bhai……bus mahant krte jao
vicky
hello sir
aapka blog bhot acha h simple and very usefull.
hello sir me ye puchna chahta hu ki mujhe ek WordPress blog banana h jo general knowledge based hoga to mene ek domain chuna h to aap kya mujhe bata sakte h ki isme kya mistake h ye mujhe pata h ki domain me nmbr use nhi karte fir bhi or ye brand domain kya h jisse koi ham par case kar sakta kyuki world to itna bada h to kisi k pass koi bhi idea aa sakta h to un chizo se kaise bache.
sir aapka blog bhot acha h.aage bhi aap
Jumedeen Khan
As your wish, Aap kisi ka content copy mat karo koi aapki report nahi karega.
radhe
most of the people are showing interest on blogging, micro niche site are very simple to main compare with normal blogging but choosing the right best seller product is important along with proper s.e.o am thinking to start a new simple micro blog on apple products your post will really helpful to me and thanks for sharing a useful post mate.. !
harry
thanx sir thank you so much for this kind of info. i’m regular reader of this blog very helpful thanx sir. sir pls. check my site if any error pls. tell me sir pls.
Jumedeen Khan
Good blog. Abhi koi error nahi hai.
kuldeep gupta
bro , me blogging me naya hu .kya mera blog visit karke bata sakte ho ki kya changes karne chahiye
Jumedeen Khan
Blog achha hai bas aap uski template change akro or sidebar widget, header, footer widgets add karo.
ketul
hello ham hindi language me blog likhe to traffic ki koi samasya hogi???
Jumedeen Khan
Nahi bahut sare log hindi me likhte hai or unke blog par lakho me traffic hai.
Manish sharma
Sir mujhe ye jaankari acchi lagi main ise follow karunga
Uzma
Asslamoalaykum Jume deen Khan manay new blog ,blog spot say creat kiya hai. aur AdSense account bnaya hai but abhi tak mera AdSense account activate Nahi huwa hai. Apnay ek post Mai btaya tha ki AdSense nay blog spot pay lga ban hta Liya hai.mai domain buy Nahi kerna chahti hu. Aap meri halp kray ki Mai AdSense Kay ads new rules say Kase activate ho. or ads Kass display Hogay ki puri detail Mai btaiye or reply kray
Jumedeen Khan
Uzma abhi aapka blog AdSense ke liye ready nahi hai aap ye post check karo or step follow karne ke bad AdSense ke liye apply karo Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
SantLal
Bro mai abi new hu or jo kuch kiya h wo apki posts read krke.so plz aap ek baar meri site pr visit krke btaye ki aage kya krna hai or kese.
Jumedeen Khan
Aap blog ki template change karo or ko iachhi template istemal karo.
Dipak Vasava
Maine kahi baar aapki or other post me 40k, 50k, 200k etc likha hua dekha hai, kya me jaan sakta hu ye kya hai..K ka MATLAB kya hota hai?
Jumedeen Khan
1k yani 1000 or 10k yani 10,000 hote hai.
Mohammad Azahar
bhi mere ko apne blog m amezon k add lagana hi kuch idea dijiye
Jumedeen Khan
Amazon ka affilaite market join karo wo aapko ads code denge use apne blog me add karo.
Joseph Chikeleze
Nice guide bro – thanks for this awesome information.
I will create my niche site
aadesh umate
Hi sir, me aapka blog kafi dinose padh rahahu me bhi ek apna blog bana chahta hu taki meri internate Ki pasnd aur apna roji roti ka intjam kar saku par ek problem he Ki me konse topic pe blog likhu kiss se me maximum traffic pa saku please mujhe help kijiye
Jumedeen Khan
jo topic aapko pasand ho us par post likho.
Shfaat Khan
Bhai mene abhi abhi ek site bnaayi hai jis pr me work kr rha hu uska domain uniqe nahi hai meri site hai elearnxpress.com aur is naam se milti julti other site bhi hai jo online cource krwaati hai. Toh kya is site se mujhe fayada hoga ya fir me is pr work kru ya nahi ??
Jumedeen Khan
Nahi isse aapka nuksan hoga us site ki wajah se aapki site google me top par nahi aa sakegi.
satyam k
bhai maine apne site ka link send kiya hai lekin pata nhi kaise vah remove ho jata hai aap dekh lo ek baar google par jaakar type kar ke dekh lo GAJAB KI DUNIYA hai .
dusari baat yah hai ki meri site ke naam ke hisab se mujhe jo post likhani hai vah duniya ke bare me hai ab duniya ke bare me detail to mujhe internet se hi leni padegi to kya yah copyright hogi kya . mujhe is prakar ke content ke liye wikipedia se lekar kiya jaaye to kya yah bhi copy right hogi
Jumedeen Khan
Aap sidhe kisi ki janakri copy mat karo use padho or uske alawa kisi or pager par bhi wo jankari padho uske bad apne talent se likho.
satyam kumar
भाई मै आपसे एक बात पूछना चाहता हूँ की मैंने बिना किसी की कॉपी करने पोस्ट लिखी है परन्तु जब मै जब उसको चेक कर रहा हूँ तो वह कॉपी आ रही है करीब 65% इसके लिए क्या करू ! बिना दुसरे की पोस्ट को देख लिखने पर भी ऐसा क्यों हो रहा है ! मेरे ब्लॉग की सबसे बढ़ी परेशानी हो रही है यह क्या उपाय है इसका विस्तार से बताना भाई ! मेरे इस सवाल का जब जरुर दे और हो सके तो बिना कॉपी राईट पोस्ट कैसे लिखे इस टॉपिक पर आप भी कोई पोस्ट लिख कर बताये , लेकिन अभी तो मुझे क्या सलाह है वह बताये
Jumedeen khan
आप अपनी साईट का लिंक बताओ मैं आपकी साईट चेक करके ही बता सकता हूँ
lalit
Sir
Blog ke liye web hosting sites such as weebly.com, web.com, wix, yola etc. Inmese ek hosting site bhi thik rahegi ya WordPress/ blogger hi thik rahega. Plese suggest me.
Jumedeen khan
WordPress blogger sabse badhiya hai.
Devendra Thakur
Sir Maine ek blog banaya hai mujhe shamj nahi raha ki mujhe mere blog she income kaise hoga plz help me
Jumedeen khan
Aap first blog par post likho uske bad aapko blog ko AdSense account se connect karke blog par AdSense ke ads lagane hai.
ROSHAN
sir mene ek domain name ragister kiya tha ab us se milta (75%) name kisi or ne ragister kr liya ha to me koi naya domain name ragiter kru kya?
Jumedeen khan
Nahi isse use problem hogi aapko nahi.
Kavya
Sir aapse ek choti see help chaiye pless mna mt krna aap kafi badyy aur successful blogger hai ples sir aap mere be thodi help ki jiye sir mujhe apny new blog key liye assa Facebook page banana hai jesa aapny banaya hai ples sirr aap mujhe bta dijiye ye kesyy bnaga
Jumedeen khan
Bahut simple hai is post ke step follow karke bana sakti ho. Facebook Par Apna Page Kaise Banaye
SACHIN
sar kya googal webmaster pe blog ko submit karne ke bad hame blog ki har post ke link ko bhi submit karni padti hea
Prakash Raj
Bahut hi umda jankari pesh ki hai aapne. Is behatrin post ke liye aapka bahut bahut dhnybad.
sajid
sir meri site hai fresherer.com and is site me rojana 1000++ views aate hai but ek problem mera google AdSense account ban ho gya hai or aap mujhe bataye ki me apeal form kaise bharu jisse mujhe mera account dubara mil sake
or iske alava aap mujhe bataye ki google AdSense ke alava or konsi site se me meri site ko monotize kar sakta hu.
mujhe aapki site bahut pasnad hai
Jumedeen khan
Aap mujhe AdSense ka banned message dikhao. Ha bahut hai aap bidvertiser ya chitikia ke ads use kar sakte ho.
Chiranjeev
sir mujhe aapki website bahut hi acchi lagi hai, aap bahut accha likhte ho, bahut acche se har baat explain karte ho, but main itna long likh hi nahi pata … kuch tips do taaki meri bhi writing acchi ho jaye
Jumedeen khan
Thank you chiranjeev bro, Main content likhne ke bare me kei post likh chuka hu aap humari SEO se related post check karo.
Ravi kumar
hello bhaiya mere sath Facebook ne Bura kiya, mere blog Ka url ko block kar diya, Jisse mere traffic par Bahut hi jayada bad effect padega, So please Aap hame sahi solution ka sujhau de.
Jumedeen khan
Aap facebook ko iske bare me feedback send kar sakte ho.
shubham
sir mujhe website banana nhi ata hai to kripya mujhe web site banana sikhye
Jumedeen khan
e post padho Website Blog Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
Abhishek
jaise hamse galti se khud k ads par click ho gya ho to AdSense kitne click tak maaf kar sakti hai
Jumedeen khan
Iske bare me google ne kuch nahi kaha hai. Google to hume ek bhi click karna allow nahi karta hai. So iske bare me kuch nahi kah sakte bas aap next time galti se bhi ad apr click mat karna.
Dilip
bro jab me apne blog k dashboard me jakar view blog par click karke apne blog ko dekh raha tha tabhi galti se ad par click ho gya kya isase koi problems to nhi I mean AdSense account ban to nhi hoga
Jumedeen khan
Aap aesi glati kei bar kar chuke ho. Next time aesa mat karna warna AdSense ban ho jayega.
himanshu
Sir aapka no mil sakta h mera whatsapp no h x*xx*x*x pr aap plz rk apne naam se msg kar dena mjhe net se paise kamane k tareeke jaanne h plz help me mjhe paiso ki bhot jarurat h
Jumedeen khan
Himanshu,
Mai is sab ke bare me article likh chuka ho wo padh lo.
Irfan khan
Mere blog me kam se kam 500 visiters daily visits kar rahe hai par fir bhi usme koi clivk nahi aa raha hai plz guide me Ap ek bar khud dekh li jiye ad placement sahi hai ya nahi.
Jumedeen khan
Aapne post me ek bhi ad nahi lagaya hai post me ad lagao.
Shani Gaykawad
Meri Site Ko Check Karke Bataye Ki Isme Koi Effect To Nahi Nahi.Agar Koi Effect Nahi Hai To Kya Main Domain Le Sakta Hu Ya Nahi.
Mere Site Url Hai Shanigayakwad.blogspot.in
2. Ya Fir Main Blog Ko WordPress Par Shift Kar Domain Lu. Please sir reply with fast me.
Jumedeen khan
Aap abhi domain le kar lbog me add kar lo to behtar hai.
ravindra
Bhai Maine indian bankme a/c open karwaya he or debit card 15days bad milegato me PayPal pe a/c add kar du koi issue to nahi hoga or debit konsa support karta PayPal Indian bank master card ho jayega
Jumedeen khan
Aap first check kar lo ki indian bank paypal support karit hai ya nahi. ye post check karo Paypal Account Kaise Banaye and Verify Kaise Kare Hindi Jankari
shashank
Maine computer ki screen record karne ka software download kiya h, mai dekstop use karta hu, jab mai screen recorder se video banata hu to usme audio record nahi hota. Mai headphone use karta hu jisme microphone laga hai, magar avaj record nahi ho rahi. kya audio ke liye koi alag se software chahiye hota hai ?
Jumedeen khan
Aap camtasia studio use karo.
Manoj yadav
Your comment is awaiting moderation.
Blog me kaise lagaye.
Agar koi mere blog pe comment karta hai to mujhe kaise pata chalega
Jumedeen khan
Aap blog ki comment setting mme ja kar moderation enable karo. Wmail notification enable karo aapko har comment ka mail mil jayega.
Raj kumar Tawri
sir maine ap jaisa bole the waisa bilkul hi same web site bana liya hai par aage ka km bilkul bhi samj n aa rah hai …aage ky karna hai thoda adwaise dete sir plzzzz
Jumedeen khan
Ab aapko sirf badiya post likhni hai or un par traffic badhana hai.
Nadeem
Sir Muje aap ka likna bhut achcha lagta hai. ar har baat aap bhut hi asani se samja samja kar likhte ho. thank.
Sirji muje bhi hindi article likhne ka bhut shuk hai ar mai online article lik kar logi ki madat karna chahata ho. muje bhi ek unique site bana hai.
Please muje kohi aisa bande ka contact ar address de jo muje WordPress pe Micro Niche Site bana kar de.
Jumedeen khan
Nadeem micro niche site aapko khud banani hogi. Aap first ek bar iske bare me achhe se samajh lo or fir khud ki site khud banao. Taki future me kisi ki jarurat na pade.
Md Saban
Hello Nadeem bro. Mai apna WordPress blog sell kar rha hu. HelpMeMore.com Blog ki rank aur design dono hi badhiya hai.Aap check kar sakte hain. aur earning bhi hoti h. Agar aap intrested hain to mujhse contact kare.
Irfaq hasnain
Bro Maine Godaddy se 1 domain le chuka hu aur 1 new domain le raha hu cjc99com cupon code apply kar ke to sab kuch thik h Rs 137 ka hai but payment time msg aata h this payment method not available..
1) bro kya is cupon ke lie mujhe godady par new acont banana hoga kyu ki ye used debit card se payment nahi le raha h
Jumedeen khan
Aap iske bare me ek bar godaddy care me bat karo.
Sazid
Jumedeen Bhai Aap se ek request thi ke aap apne is blog par genesis ki kon si child theme use kar rahe hai. Agar ye custom theme hai to iski kya pricing hai or agar ye direct kharidi ja sakti hai studio press se to ye bhi bataye.
Agar aap publically pricing wagerah disclose nahi kar sakte to please personal par hi bata de please. Mene aapko kuch time pehle bhi isi ke regarding comment kiya tha but aapki taraf se koi response nahi aaya. Me ummeed karta hua ki is baar aap jaroor response denge. Aapka bahot bahot sukriya.
Jumedeen Khan
Maine aapki pahle wali comment ka bhi relpy kiya tha. big man main genesis framework ke sath jo theme use karta hu wo magazine pro theme hai but maine ise 90% customize kar liya hai. simply uski help se own child theme bana li hai.
Hussam Ansari
ye jankari new blogger ke liye bahot helpful hai mai khud ek new blogger hu is post se mujhe bahot jankari mili shukriya
Vikash Kumar
meri hosting hostgator se hain. Aur mere pas site ki backup zip file me hai jo ki maine updraft plugin se banya tha. maine aaj shared hosting se vps hosting me transfor kiya hai. Lekin aaj cpanel install nahi ho rha hain. Customer care ne kaha hai ki kal subah try karne. cpanel me WordPress install karne ke baad backup ko restore kaise karenge.
Jumedeen khan
Vikash aap direct old hosting cpanel me ja kar back le sakte ho. Iske liye maine ek post bih likhi hai. Or aap cpanel par blog install kyo nahi kar paa rahe ho uska reason btao to main aapko solution bta sakta hu. follow this guide WordPress Blog Ko Another Hosting Server Par Migrate Kaise Kare
Alok Pandey
Jumedeen Ji maine Semrush se india ki $26 ka keyword search kar liya h semrush me us keyword ka competition 0.62 bata raha hai to kya ye mere liye sahi hai, aur isme search result me site to ayegi na
Jumedeen khan
Yes, aayegi or aapko earning bhi achhi hogi.
junaid siddiqui
Bro Agar me Facebook Page Sell karna Chahu to ye ho sakta hai 10000 likes Hone per mujhe uske kitne pese mil sakte hai
Jumedeen khan
ye aapke page ki actiities par depend karta hai. Jaise aapke new post dalne par us par kitne like or comment aate hai. I mean aapke page par support kitna hai. Agar support nahi hai to 10000 to kya 50,000 likes wale page ko koi bhi nahi kharidenga.
Ashish Pandey
niche ka matlab kya hai sir or kaise domain le sakte hai eske liye
Jumedeen khan
Ek badhiya site jisme koi kami na ho or jisme ek topic par clear content sharte kiye jate ho. Uske liye niche site word use kiya jata hai.
vakil
By 29 September 2016, the Search Box gadget on this blog will only present search results from this blog. Search results from pages linked in your posts, from the web or from the Blog List and Link List gadgets will no longer be presented.
maine jab blogger open kiya to aisa masssge show ho raha hai or mere site ke sabhi url post index nahi ho pa rahe hai only submit hai please suggestion jumedeen bhai ek month ho gaya hai index nahi ho rahe hai pehle 30 the abhi 5 hi hai
mobileparthelp.blogspot.com
Jumedeen khan
Ye google ka new feature hai uski notification hai. Isse koi problem nahi hai.
arif
Niche matlab kya hota hai
Jumedeen khan
Ek aesi site jisme kisi bhi tarah ki koi kami na ho uske liye niche word ka istemal kiya jata hai.
Harsha bhurani
Nice article. ..thanks jumedeen sir
shashank
Maine 4 video YouTube pe upload kiye h, mai apne YouTube video Facebook group me share karta hu, lekin koi video dekhta hi nahi hai, ek din me 1 ya 2 views hi milte hai. Ese to AdSense ke liye 4 video me 500 views pane me to mahino lag jayenge.
Maine facebook par kuch logo se pucha ki video kyu nahi dekh rahe kya kami h, to vo kahte hai ki YouTube video se internet ka Data jyada kharch hota hai.
Mai kya karu ?
Jumedeen khan
Shashank badiya video banoge to hi log aapki video dekhnege. Traffic badhana hai to achha kaam karo.
Pawan Verma
Sir Mera questions ye hai ki mere pas ek blog hai aur mai usse AdSense apply kiya tha per wo disproved ho gya kyoki blog me kmi thi.
To ab mai usi Gmail account se mere pas YouTube channel hai lekin dikt ye hai ki jab mai aapne Gmail se YouTube ko AdSense se jor ta hu to phle wala blog jo ki disapprove ho gya hai uska link aa jata hai aur likhta hai ki aap phle se AdSense ke up you krta hai aur aapka AdSense disapprove ho gya hai. to mai apne YouTube channel se AdSense ko resubmit kaise kru btaye plz .
Jumedeen khan
Aap kuch day bad blog se hi AdSense account ke liye apply karo.
Raju Prajapati
Sir ek help kar do mera site gyankhoj ko jab google me search kar raha hu to jo bhi article hai google+ me show ho raha hai plz help mujhe esa nahi chahiye
Jumedeen khan
Don’t worry blog par traffic badhao or achhi post likho. Second blog ko search console me sahi se submit karo or blog ki SEO setting sahi se karo. apak isite ki post first me aa jayegi.
namdev
Sr kya mai is trah post likh skta hu.
मेरा नाम नामदेव है और मै हरियाणा से हूं,मै एक ब्लोग्गर हूं
my name is namdev and i’m from haryana. i’m a blogger
kya mai aise ek pehra hindi me or bilkul same english me likh skta hu taki hindi or english dono readers pad ske
sr kuki agr mai english ka alg se bnata hu to copyright hoga isliye ek post me hi hindi or english use kr skta hu kya jaisa eg. Abhi diya maine plzzz tell me sr
Jumedeen Khan
a ek hi post me kar sakte ho.
birm gehlot
sir google account block ho ga
vapsa activited krene ke
kese hogi
Jumedeen Khan
Block hone ka time hota hai. Ya fir permanantly delete ho gaya.
Rajesh Jat
hello , mera question ye hai ki roman hindi me blog likhna jyada better ya pure hindi me seo ke hisab se
Jumedeen Khan
Jo bhi aapki marzi kisi me bhi likh sakte ho.
SHAHADATSHERANI
Wah kya khoob likhte ho barhe sundar dikhte ho very nice & very important information my dear ……sir plz mujhe kuchh ziyada nahi data h magar fir bhi nakam koshis ki he so pls 1 baar mere blog ko bhi dekhlen barhi meharrbani hogi.
Jumedeen Khan
Aap ye post padho or isme btaye step follow karke apne blog ko website me badlo. Blog Ko Acha Design Karne Ki 20 Important Tips Janiye Hindi Me
Manish Sharma
Sir Ye Post Mujhe bahut achhi Lagi isse Mujhe bahut kuch sikhne ko mila hai thank you sir
Ravi Kumar
bhaiya mere site alexa rank me no data bata raha hai, aakhir kuchh vi velu to hogi na site w/o to show karna chahiye
Jumedeen Khan
aapki site par jab traffic aayega tabhi alexa rank show hogi. ye post padho Alexa Website Ki Ranking No Data Show Kyu Karta Hai
Sonu Rajput
Sir meri .com ki website hai
To mai Chahta hu ki using domain name ki website ke pichey mai .in. .net
Leta hu to inke visitors mai apne .com ki website partransfer kar sacta hu ya nahi
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho. aap jis website par se domain lo. uski site par ja kar apni profile open karke domain setting par jana. waha jo forword ka option hai. uspe click karke. apni main site ka url add kar dena.
surendra
bhai ek baat toh kahunga ki blogging me successful hone ke liye mehnat karne ki jarurat hoti hai . lekin mujhe ek baat ka badha afsos hai ki aapke paas 3 site ( https://www.supportmeindia.com , sphindi , spworld ) inko kaise manage karte ho Aor inke liye kitni mehnat ki jarurat hai
Jumedeen Khan
Agar duniya ko kuch karke dikhana hai to ye sab karna padta hai.
Jai singh
Sir meri website mene pahle banai thi but .in domain liya tha but ek cheater ne baad mei meri website ke name se .com lekar website bana li sir plz aap kuchh solution bataiye. Ye ek badi problem hai plz
Jumedeen Khan
aapke pas .in hai or uske pas .com aapko .com pahle hi lena tha. ab kuch nahi kar sakte. ha uske khilap report kar sakte ho but uske liye aapki site ki value high honi chahiye. I mean aapki site top sites me se ek hogi tabhi google aapki report par action lega.
abdul khan
website men ye jo sysmbol hai copy right ka ye kiya plz detail men batayen..isko kahi register karna padta hai kiya,ya direct hum iska use kar sakte hain apne site pe..Copyright © 2016.
Jumedeen Khan
Iska matlab hai ki humari site par jo jankari share ki jati hai wo copyright ho sakti hai or ye site 2016 ya fir jo bhi date hai ko banayi gayi hai. kahi register karne ki jarurat nahi hai. bas add karna padta hai.
Nitesh Nayak
Bahut aachi jankari hai sir….
Ravi Kumar
200 k pageview iska matlab mai nahi samjha hindi me bataye ,mere site ka pageview roj 400-500 hoti hai, site banaya 1 month hua, domain avi nahi liye, kya mai isse Paise kama sakta hu,
Jumedeen Khan
200k means 2,00,000 hota hai. ha kama sakte ho.