Internet aaj online paise kamane ka (make money online) blogging sabse bada way ban gaya hai. Blogging se aap 24 hours money earn kar sakte ho. Iske liye aapko ek Micro Niche site banani padegi jiski search engine me high ranking hogi or jis par per month 200k pageviews traffic hoga. Micro niche website banane ke liye aapko kuch important tricks pata honi chahiye tabhi aap online money earn kar sakte ho. In this post, aaj main aapko isi ke bare me btane wala hu.
Is post me mai aapko aeysi bate bta raha hu jinhe follow kar ke aap apni new website banane ke 10-20 day bad se hi earning karle lag jaoge. So agar aap really google AdSense se ya kisi or advertisement program se apne blog par paise kamana chahate ho to is post ko dhyan se padhiye.
Is me mai aapko aeysi site banane ke bare me jankari de raha hu jisse aap monthly $1000 earn kar sakte ho. In my case maine allready supportmeindia se ek month me $1000+ earn kiye hai iski janakri ke liye aap SupportMeIndia Income & Traffic Report January 2025 – 50,000 INR post padh sakte ho. Now main blogging se hi achhi earning kar raha hu.
Micro-Niche Website Kyo Banaye?
Micro-niche se yaha mera matlab ek badhiya high traffic rank wali website se hai. Micro niche site banane ki sabse achi bat ye hai ki ek niche site ki search engine me High Ranking hoti hai. Agar aap ek high quality website banate ho ek hi niche par content write karte ho to fir chahe wo kisi bhi topic par ho search engine me uski high ranking ke 80% chance hote hai.
Ek bar aap niche site bana le fir chahe isme kitna bhi time lage uske bad uski search rank other sabhi site se jyada betrer hogi. Aapko din rat hard work karna padega aapke niche site banne ke bad money aapka wait karegi or aapko bas money accept karni hai. I mean aapki site se itni income hogi ki aap soch bhi nahi sakte ho.
- Website Blog Copyright Content Check Karne Ki Top 10 Free Tools
- Top 15 Websites To Download Free Stocks Images For Your Blog
How to Create Micro Niche Site For Earn 1,00000 Per Month in Hindi
Micro Niche site banane ke liye aapko niche btayi gayi tips follow karne hai. Mai aapko suggest karunga ki ek achi site baane se pahle aap jis platform (WordPress is always better) par site banane ja rahe ho uske bare me puri jankari hasil kar le uske bad hi apni new site create kare. Jisse aap se site creating me koi mistake na ho.
1. Choose Niche Domain
Micro niche site banane ke liye sabse important hota hai site ka domain Domain jitna short or simple hoga aapko utna hi jyada traffic milega. Isliye ye decide kar le ki aapki site ka domain aysa na ho jise yad karne me aapke reader ko problem ho.
Agar aap google AdSense se earning karna chahate hai to AdSense se jyada paise kamane ke liye aapki site par share kiya gaya content USA and U.K ko target kiya gaya ho. jisse aapko High CPC paying result mil sake. USA and U.K me AdSense ek click ke $2 to $10 hya isse bhi jyada pay karta hai.
In my case, maine supportmeindia domain kyu select kiya kyuki mai hindi blog banana chahata tha or mera target bhi india tha. Aeyse me supportmeindia mere liye sabse better sabit hua or 6 month se bhi kam time me mujhe achha traffic milne lag gaya. Iski wajah hai visitors is domain ko aasani se yaad kar sakte hai.
Agar aap search engine me apni new website ki high ranking dekhna chahate hai to aapka domain kisi or ke domain se match nahi hona chahiye. aapka domain jitna sabse alag hoga search engine ko use index karne me utni hi aasani hogi. Agar aapko keywords search karne hai to aap Semrush par kar sakte hai. Mai already semrush par hi keyword search karta hu.
“Yaad rahe agar aap kisi ka domain ya content copy kar rahe ho to aap kabhi bhi blogging me success nahi ho sakte. Sirf apna waqt barbad kar sakte ho.”
2. Setting Up Micro Niche Site
Website banane ke bad use sahi se set up karna sabse jyada important hota hai. Bina setting ki gayi site bilkul wesi hi hoti hai jaise aapka bina safai kiya gaya room jisme ye samajh nahi aata ki kounsi cheez kaha hai or kya kaha milega.
So apni site ki puri settings complete kar le jisse aapke visitor ko koi problem na ho or wo aapki site ko ache se easily samajh sake. Agar aapko WordPress par blog banana hai to aap Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare post padhe or agar blogger par free banana hai to Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post padhiye.
But WordPress blogspot se jyada better hai. Agar aapko WordPress ki puri jankari chahiye to aap humari WordPress se related post padh sakte hai. Aapko is site par bhi WordPress ke bare me kuch important jankari mil jayegi jiske liye aapko kahi or information pata karne ki jarurat nahi padegi.
3. Keyword research and content planning
Ek badhiya blog (Complete setting ki huyi site) banane ke bad first kaam hota hai apni site par high quality content share karne ka. Maine Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye post me high quality content ke bare me details se btaya hai.
Search engine se jyada traffic pane ke liye aapko kuch important rules follow karke article likhne hai. Mai iske bare me bhi already Blogger Post Ko SEO Friendly Banane ki 10 Killer Tips post me high ranking post likhne ke bare me bta chuka hu.
But fir bhi yaha mai aapko kuch topics bta raha hu jinhe follow karke post likhoge to search engine me aapki post first ranking me hogi.
- Post ka title me aeyse keyword use kare jinki search engine me jyada demand ho.
- Aeyse topic par post kare jise reader long time tak padhna pasand kare.
- Apni site ka best design kare kyuki visitor post content ke jitna hi site ke design ko like karte hai.
- Site fast loading ho search engine fast loading site ko jyada like karta hai.
- Post me minimum 1000 words use kare or long content likhe.
- Post content me special words ko bold & highlight kare.
- Post ke end me post ke bare me 4 lines likhe.
- Extra images use na kare, sirf jaruri photos hi post me add kare.
- Latest and newest content likhe jo pahle se internet par ho.
- Post me ek keywords ko 2.5% se jyada repeat na kare.
Inke alawa bhi or bahut se tips aapko follow karne hai. iske bare me adhik jankari ke liye supportmeindia ki SEO se related post padhiye.
4. Create Social Media Account & Page For Your Site
Micro-Niche site banane ke liye apni site ke liye facebook, google+, twitter, pinterest, linkedin social networking sites par account create kare. Search engine me high ranking ke liye ye step follow karna jaruri hai or agar aap ise ignore karte ho to aap nahi chahate ho ki aapki site par adhik traffic aaye.
Apni har latest post ko site par publish karne ke bad most popular social media sites par share karne se search engines aapki post ko bahut jaldi index karta hai. Iske bare me mai already kei post bhi likh chuka hu ki social promotion site ke liye kitna jaruri hai.
Social media micro niche site build karne me 40% help karta hai or in par site ko connect karne se aapko social referrals traffic milta hai. Jisse aapki site ki value improve hoti hai or aapki site ki search ranking increase hoti hai.
world me high ranking wali sites ko hi audience sabse jyada pasand karte hai jis site ki ranking high hogi reader us par utna jyada visit karna chahaenge kyuki visitor sochta hai ki is site ki ranking itnibetter hai to is par jarur kuch na kuch achi jankari (Good Information) jarur milegi. Isliye apni site ke liye sabhi popular social sites par page banaye or traffic increase kare.
5. Deside Fix Time to Your Site
Micro Niche site banane ke bad aap apni site ko focus karna nahi chod sakte. Website ko high ranking me banaye rakhne ke liye aapko site par fix time me regularly work karna hoga tabhi aapki site ki ranking increase hogi.
Bahut se log backlinks pane ke liye apna sara time dusre blog ya websites par comment karne me west kar dete hai. I love commenting but iska matlab ye nahi hai ki aap apna 60% time commenting me west kar do. Backlinks pane ke liye other website par 20% time dena kafi hai. Mai chahata hu ki aap apna 80% working time apni site ko do or uske liye kuch better karo jisse log aapko pasand kare or aapki site ki ranking better ho sake.
In my case, mujhe supportmeindia par jitna bhi traffic mila hai usme se 70% search engine se mila hai or ye 70% visitors apni marzi se supportmeindia par aaye hai. Mai only apne kaam bar focus karta hu or regularly is blog par update karta hu. Maine apne blog ka promotion bahut hi kam kiya hai.
Agar hum sache dil se mehanat se hard work kare to uska fal hume jarur milta hai. Mai ye bat 100% manta hu kyuki meri life me aysa bahut bar hua hai. Ye aapke sath bhi ho sakta hai bas jarurat hai hard work karne ki. I mean hard work karoge to safalta khud aa kar aapke kadam choomegi or agar aap success ke piche bhagte rahe to kabhi us tak nahi pahuch paoge.
So don’t west more time and focus your site to make a Micro-Niche site as like 200k pageviews per month.
- Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
I hope aap is article se hard work karne ke bare me jarur sochoge or apni site ko Micro-Niche site banane me puri mehanat karoge. By the way agar aapki is post ke bare me koi sawal puchna hai to aap comment me puch sakte ho.
Agar aapko lagta hai ki ye post aapke liye helpful and useful hai to is post ko google, facebook, twitter par share jarur kare.
junaid siddiqui
Bro Agar me Facebook Page Sell karna Chahu to ye ho sakta hai 10000 likes Hone per mujhe uske kitne pese mil sakte hai
Jumedeen khan
ye aapke page ki actiities par depend karta hai. Jaise aapke new post dalne par us par kitne like or comment aate hai. I mean aapke page par support kitna hai. Agar support nahi hai to 10000 to kya 50,000 likes wale page ko koi bhi nahi kharidenga.
Ashish Pandey
niche ka matlab kya hai sir or kaise domain le sakte hai eske liye
Jumedeen khan
Ek badhiya site jisme koi kami na ho or jisme ek topic par clear content sharte kiye jate ho. Uske liye niche site word use kiya jata hai.
vakil
By 29 September 2016, the Search Box gadget on this blog will only present search results from this blog. Search results from pages linked in your posts, from the web or from the Blog List and Link List gadgets will no longer be presented.
maine jab blogger open kiya to aisa masssge show ho raha hai or mere site ke sabhi url post index nahi ho pa rahe hai only submit hai please suggestion jumedeen bhai ek month ho gaya hai index nahi ho rahe hai pehle 30 the abhi 5 hi hai
mobileparthelp.blogspot.com
Jumedeen khan
Ye google ka new feature hai uski notification hai. Isse koi problem nahi hai.
arif
Niche matlab kya hota hai
Jumedeen khan
Ek aesi site jisme kisi bhi tarah ki koi kami na ho uske liye niche word ka istemal kiya jata hai.
Harsha bhurani
Nice article. ..thanks jumedeen sir
shashank
Maine 4 video YouTube pe upload kiye h, mai apne YouTube video Facebook group me share karta hu, lekin koi video dekhta hi nahi hai, ek din me 1 ya 2 views hi milte hai. Ese to AdSense ke liye 4 video me 500 views pane me to mahino lag jayenge.
Maine facebook par kuch logo se pucha ki video kyu nahi dekh rahe kya kami h, to vo kahte hai ki YouTube video se internet ka Data jyada kharch hota hai.
Mai kya karu ?
Jumedeen khan
Shashank badiya video banoge to hi log aapki video dekhnege. Traffic badhana hai to achha kaam karo.
Pawan Verma
Sir Mera questions ye hai ki mere pas ek blog hai aur mai usse AdSense apply kiya tha per wo disproved ho gya kyoki blog me kmi thi.
To ab mai usi Gmail account se mere pas YouTube channel hai lekin dikt ye hai ki jab mai aapne Gmail se YouTube ko AdSense se jor ta hu to phle wala blog jo ki disapprove ho gya hai uska link aa jata hai aur likhta hai ki aap phle se AdSense ke up you krta hai aur aapka AdSense disapprove ho gya hai. to mai apne YouTube channel se AdSense ko resubmit kaise kru btaye plz .
Jumedeen khan
Aap kuch day bad blog se hi AdSense account ke liye apply karo.
Raju Prajapati
Sir ek help kar do mera site gyankhoj ko jab google me search kar raha hu to jo bhi article hai google+ me show ho raha hai plz help mujhe esa nahi chahiye
Jumedeen khan
Don’t worry blog par traffic badhao or achhi post likho. Second blog ko search console me sahi se submit karo or blog ki SEO setting sahi se karo. apak isite ki post first me aa jayegi.
namdev
Sr kya mai is trah post likh skta hu.
मेरा नाम नामदेव है और मै हरियाणा से हूं,मै एक ब्लोग्गर हूं
my name is namdev and i’m from haryana. i’m a blogger
kya mai aise ek pehra hindi me or bilkul same english me likh skta hu taki hindi or english dono readers pad ske
sr kuki agr mai english ka alg se bnata hu to copyright hoga isliye ek post me hi hindi or english use kr skta hu kya jaisa eg. Abhi diya maine plzzz tell me sr
Jumedeen Khan
a ek hi post me kar sakte ho.
birm gehlot
sir google account block ho ga
vapsa activited krene ke
kese hogi
Jumedeen Khan
Block hone ka time hota hai. Ya fir permanantly delete ho gaya.
Rajesh Jat
hello , mera question ye hai ki roman hindi me blog likhna jyada better ya pure hindi me seo ke hisab se
Jumedeen Khan
Jo bhi aapki marzi kisi me bhi likh sakte ho.
SHAHADATSHERANI
Wah kya khoob likhte ho barhe sundar dikhte ho very nice & very important information my dear ……sir plz mujhe kuchh ziyada nahi data h magar fir bhi nakam koshis ki he so pls 1 baar mere blog ko bhi dekhlen barhi meharrbani hogi.
Jumedeen Khan
Aap ye post padho or isme btaye step follow karke apne blog ko website me badlo. Blog Ko Acha Design Karne Ki 20 Important Tips Janiye Hindi Me
Manish Sharma
Sir Ye Post Mujhe bahut achhi Lagi isse Mujhe bahut kuch sikhne ko mila hai thank you sir
Ravi Kumar
bhaiya mere site alexa rank me no data bata raha hai, aakhir kuchh vi velu to hogi na site w/o to show karna chahiye
Jumedeen Khan
aapki site par jab traffic aayega tabhi alexa rank show hogi. ye post padho Alexa Website Ki Ranking No Data Show Kyu Karta Hai
Sonu Rajput
Sir meri .com ki website hai
To mai Chahta hu ki using domain name ki website ke pichey mai .in. .net
Leta hu to inke visitors mai apne .com ki website partransfer kar sacta hu ya nahi
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho. aap jis website par se domain lo. uski site par ja kar apni profile open karke domain setting par jana. waha jo forword ka option hai. uspe click karke. apni main site ka url add kar dena.
surendra
bhai ek baat toh kahunga ki blogging me successful hone ke liye mehnat karne ki jarurat hoti hai . lekin mujhe ek baat ka badha afsos hai ki aapke paas 3 site ( https://www.supportmeindia.com , sphindi , spworld ) inko kaise manage karte ho Aor inke liye kitni mehnat ki jarurat hai
Jumedeen Khan
Agar duniya ko kuch karke dikhana hai to ye sab karna padta hai.
Jai singh
Sir meri website mene pahle banai thi but .in domain liya tha but ek cheater ne baad mei meri website ke name se .com lekar website bana li sir plz aap kuchh solution bataiye. Ye ek badi problem hai plz
Jumedeen Khan
aapke pas .in hai or uske pas .com aapko .com pahle hi lena tha. ab kuch nahi kar sakte. ha uske khilap report kar sakte ho but uske liye aapki site ki value high honi chahiye. I mean aapki site top sites me se ek hogi tabhi google aapki report par action lega.
abdul khan
website men ye jo sysmbol hai copy right ka ye kiya plz detail men batayen..isko kahi register karna padta hai kiya,ya direct hum iska use kar sakte hain apne site pe..Copyright © 2016.
Jumedeen Khan
Iska matlab hai ki humari site par jo jankari share ki jati hai wo copyright ho sakti hai or ye site 2016 ya fir jo bhi date hai ko banayi gayi hai. kahi register karne ki jarurat nahi hai. bas add karna padta hai.
Nitesh Nayak
Bahut aachi jankari hai sir….
Ravi Kumar
200 k pageview iska matlab mai nahi samjha hindi me bataye ,mere site ka pageview roj 400-500 hoti hai, site banaya 1 month hua, domain avi nahi liye, kya mai isse Paise kama sakta hu,
Jumedeen Khan
200k means 2,00,000 hota hai. ha kama sakte ho.