Facebook Account Hack Hone Par Uska Misuse Kaise Hota Hai

Misuse of Hacked Facebook Account in Hindi: Facebook social media online world me friends, family and relative se connect hone ka sabse bst tarika hai. Lekin jara socho ki agar aapka facebook account hack ho jaye to kya hoga? Is post me main aapko yahi btane wala hu ki aapke facebook account ke hack hone ke bad uska kya kya galat istemal ho sakta hai.

Misuse of Hacked Facebook Account

Abhi kuch din pahle lagbhag 50 lakh facebook users ka account hack kar liya gaya tha. Nashedi logo ke liye kuch bhi nahi tha lekin samajhdar log apne facebook account ke hack hone ke dar se tension me the.

Facebook account hack hone ke bad har user ko chinta rahti hai ki hackers uske fb account ka kya-kya misuse karenge aur use kya kya nuksan hoga. Means hack hone ke bad facebook account ka kya missue hota hai?

Chaliye hum thoda details se jante hai ki hacker aapke facebook acocunt ko hack karne ke bad kya kya misuse kar sakte hai.

Hacked Facebook Account Ka Kya-Kya Misuse Hota Hai?

Hacked facebook account par depend karta hai ki uska kya kya nuksan hoga. Aapne facebook khate par jitni bhi personal details add ki hogi wo leak ho jayegi.

Hacked facebook account ka misuse kaise hota hai?

1. Profile Change

Aapke facebook account ke hack hote hi hacker sabse pahle to uski profile picture and details ko change kar dega.

Sth hi apni man-marzi ke mutabik aapke fb account se terrorist links connect kar dega. Wo aapki imagination se pare kuch bhi kar sakta hai.

2. Publish Your Photos

Agar aapke account me koi personal photos honge jo publicly nahi karne chahiye, unhe publish kar dega aur bahut hi important data hai to use publish karne ke bad apne pas backup bana lega.

Boys ke liye itna danger nahi hai lekin girls ki personal picture public hone par use bahut badi problem ho sakti hai.

3. Post, Status Unlike You

Aapke account se jude log (friends, family, relative) ke sath aesi information share karega jo aap soch bhi nahi sakte ya fir aesa kuch kar sakta hai jisse aapki iamge kharab ho jaye.

Recently, aesa kai users ke sath hua hai, unke account hack karke unki personal picture public kar di gayi. Wo aapke contact wale users ko wrong message bhi kar sakte hai.

4. Forced Share Posts

Hacker aapki facebook profile se aapke friends ko tag kar koi aesi post share kar sakta hai jisme malware, virus, trojans website links ho.

Aur post ka title attractive bana kar aapke friends ko links open karne ke liye kah sakta hai. Aur wastav me aapke dost link open kar sakte hai aur malware ke shikar ban sakte hai.

5. Information Theft

Agar aapka account hack ho jata hai to simple hai hacker aapki personal information ko chori kar lega aur uske bad wo uska kuvh bhi misuse kar sakta hai.

Hacked facebook aocount ka ye sabse bada misuse hai, wo aapke mobile number, email address, bank details, credit card details, pin, password, images etc. sabkuch theft kar lenge.

6. Ransom Demands

Agar unhe aapke facebook account me aesa koi data milta hai jo bahut important hai to wo uske liye aapse phirotee ki mang kar sakte hai.

7. Sell Your Data

Agar aap ransom dene me unable hote hai ya fir wo iske liye puche bina hi aapke personal data ko kisi company ko sell kar sakte hai, uske bad uska kya hoga, kuch nahi kah sakte.

In sab me sabse badi problem hai personal data theft, jo kisi bhi user ke liye khatarnak ho sakta hai. Agar aapke liye data bahut jaruri hai to aap use lost kar sakte hai.

Facebook Account Hack Hone Se Kaise Bachaye?

Facebook account hai hi na aesa to kaisa hoga? chaliye main aapko facebook account ko secure karne ka tarika btata hu.

1. Strong Password Use Kare

Apne facebook account aur baki online accounts ke liye same password use na kare. Facebook ke liye alag se strong password use kare ya fir all account ke liye different and unique password set kare.

2. Avoid Phishing Emails

You all know, aaj email spamming kitna badh gaya hai jo aapko apna personal data share and upload karne ke liye kahta hai. Isse bachne ka simple way hai, mail links par achhe se confirm ho kar hi click kare.

3. Check Download Sources

Internet par sabkuch safe nahi hai. Aap net se jo bhi file download kare, download karne se pahle check kar le ki kahi aap software, app ke chakkar me koi malware to download nahi kar rahe hai.

4. Anti-Virus Use Kare

Mobile phone ho ya laptop-computer aapko apne device me ek achhi quality ka antivirus install karke rakhna chahiye taki aap galti se kisi malware link par click kar do to virus aapke system me enter na ho paye.

Agar aapko is post me share ki gayi guide achhi lage to ise social media par mostly facebook par friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (4)

  1. Avatar for Nitish sharmaNitish sharma

    Nice Information sir
    Thanks for sharing

  2. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    Great article, pata nahin ye article kaise mujhse chuk gaya tha. SMI par aise aur bhi articles ki jarurat hai.

  3. Avatar for SeemaSeema

    Sir kaise pata Kare ki Facebook account hack ho gya hai btaye

  4. Avatar for prakash bhaiprakash bhai

    bahut hi achha jankari share kiye ho bhai

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...