Mobile Traffic Ke Liye Adsense Ad Optimization Karne Ki 3 Tips

Aap google adsense publisher ho sakte hai or ho sakta hai aap pahle se adsense advertisement se achhi earning kar rahe ho. But kya aapko adsense optimization ke bare me pata hai mostly mobile ads optimization ke bare me kyuki 80% website or blog par mobile traffic jyada hota hai. Is post me main mobile device me google adsense ads ke top sizes ke bare me btaunga jinse aap jyada paise kama sakte hai.

Google Adsense Mobile Ads Optimization Tips

Agar aap last 1-2 year se google adsense se earning kar rahe hai to aapko ye btane ki jarurat nahi hai ki desktop ki tulna me mobile ads se jyada income hoti hai. Google search engine bhi ab mobile optimization par jyada focus karta hai. So agar aapko mobile user se achhi kamai karni hai to Mobile Device Me Kis Size Ke Adsense Ads Se Jyada Earning Hoti Hai ka pata hona chahiye.

Har saal mobile user or android smartphone use karne wali ki sankhya badh rahi hai. People desktop computer ki tulna me apne mobile device me internet browsing karte hai or mobile par hi websites or blogs pages ko read karte hai. Isiliye agar aap adsense se jyada earning karna chahate hai to mobile user ke liye Google Adsense Mobile Ads Optimization karna jaruri hai.

  • Google Adsense Guide in Hindi: Adsense All Tutorial List

Main yaha mobile ads optimization or un adsense ads size ke bare me btaunga jin par mobile device sabse jyada click, sabse jyada CPC milti hai or mobile user unme jyada interest lete hai.

Mobile Me Adsense Ads Optimizate Kaise Kare – 3 Best Tips

Yaha par btayi gayi adsense optimize or adsense ad placement optimization tips mobile user ke liye better experiment sabit hongi, mobile devices se better performance milegi or aap adsense mobile ads se jyada revenue earn kar sakoge.

Agar main all mobile ads optimization tips ke bare me bat karunga to uske liye ye post kafi nahi hogi or na hi aap itna padh payenge so main aapko un top 3 mobile ads optimized tips ke bare me btaunga jo sabse jyada workable or beneficially hai.

3 Tips to Optimize Mobile Web Earnings

1. Select Optimal Ad Sizes

Jab bhi adsense ads optimization ki bat aati hai to dimag me sabse first ek hi sawal aata hai ki kis screen me konsa size jyada better hota hai. Mobile me bhi ye sabse jyada important hai.

Aap adsense par aapko Recommended, Horizontal Banner, Verical Banner, Rectangular, Responsive, Custom Size and Links size ke ads milenge but ye sabhi mobile screen par proper work nahi karte.Inme se kuch ad size better performance dete hai jinme se sabse jyada better performance dene wale optimal ad size ye hai.

  1. 300*250 Medium Rectangle: Mobile device me ye ad size sabse better or no.1 performance deta hai. Is par aapko sabse jyada clicks or CPC milegi.
  2. 336*280 Large Rectangle: Android smartphone ke liye ye ad size sabse better hai.
  3. 320*100 Large Mobile Banner: Agar aap mobile me banner ad use karna chahate hai to ye ad size sabse jyada effective hai.
  4. 320*50 Mobile Banner: Small mobiles user ke liye ye Mobile Banner ad size better hai.

Select Optimal Ad Sizes

2. Try Responsive Ad Units

Main last 2 year se google adsense istemal kar raha hu is bich maine kafi adsense ads placement or size optimization karke dekhe but un sabhi me responsive ad units sabse jyada better performance dete hai.

Finally, main last kai month se responsive ad units use karta hai but jaruri nahi hai ki jo trick mere liye kaam kare wo sabke liye kaam karegi.

So main aapko all ad units ki jagah responsive ad units use karne ke liye nahi kahuna but aap un ad units ki jagah responsive size ke ad use kar sakte hai jin ads ki low performance hai or jinse aapko kam benefit mil raha hai.

Try Responsive Ad units

Responsive ad unit ke alawa aap mobile me agar full-width responsive ad unit use kare to aapko or jyada fayda hoga.

Actually, all website or blogs par content ke side me padding and margin ka space add hota hai or jab use content page ko mobile me open karte hai to content size me 5px, 10px ya 20px ka space rah jata hai.

For example, aapki site content me 10px ka space laga hai to mobile me wo left 10px + right 10px = 20px ho jayega. Ab koi user agar aapki site ko 300px width size screen wale mobile phone me open karega to usme ad ke liye 300px – 20px = 280px jagah hogi.

Ab 280px width ka adsense ads hota nahi hai so yaha 280px se kam size ka ad unit show hoga. So agar aap is space ko khatm kar full width 300px place me ad show karoge to waha 300×250 ad unit show hoga or aapko pahle se better result milega.

Full Width Responsive Ad Unit

3. Optimize Ad Placement

Adsense ad size ke alawa ad placement sabse jyada important hai. Ye sirf mobile hi nahi balki desktop, laptop, tablent and other all screen size ke devices ke liye important hai. Aap jitna better ad placement karoge utni hi achhi earning kar paoge.

Mostly, hum after title, after first paragraph, after second paragraph place par ad display karte hai but mobile me is placement me thoda care karne ki jarurat hai. Mobile me aap 3 tarike se ad placement kar sakte ho.

  1. After Title: Aap After title title ad show kar sakte ho, Ye Good adsense ad placement hai.
  2. After Content: Content ke bad ad show karna, Ye Best adsense ad placement hai.
  3. After First Paragraph: First para ke bad ad show karna, Ye Excellent adsense ad placement hai.

Ye 3 mobile ad optimization 3 100% work karti hai or aapki adsense earning ko increase karne me 100% helpful sabit hongi. Ye mera nahi google adsesne team member ka kahna hai.

Agar aap google adsense optimizing ke bare me or janna chahate hai to humari ye post padhe.

I hope ye tips aapke liye work karengi or aap apni mobile ads earning ko increase kar sakoge. Aane wale time me mobile users 50% se bhi jyada honge or aapki site par desktop ki tulna me mobile traffic bhi jyada hoga so is post ko padh kar ignore na kare or mobile ke liye adsense optimization kar le.

Agar aap adsense optimization sahi se kar lete ho to 10,000 page views se $50-$100 kama sakte ho or agar aap ads optimization sahi se nahi karte ho to aapki 10k pageviews se $20-$30 income hona bhi mushkil hai.

Ye top mobile ads optimization tips sirf maine decide nahi ki hai balki adsense team apne youtube channel par Optimization: Best practices for mobile ads video me in 3 tips ko clear kar chuke hai.

Agar aapko mera ye article achha lage to aapse request hai ise other website owners or bloggers ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (16)

  1. Avatar for Sahil GuptaSahil Gupta

    sir mera blog blogger pr hai aur maine us par google ads bhi lagye hai pr ads post ke bich me nhi dikha rha hai bas sidebar aur uper hi dikha rha hai kya kru please help me

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      aap post ke bich me ad ocde add karo.

  2. Avatar for Hajari prajapatHajari prajapat

    Jumedeen Bhai google ke new update ke baad 1 august se mera traffic 70% down ho gya hai, mujhe samjh nhi aa rha kya karu ? Please bhai help me, me kya karu ki mera traffic wapas recover ho jaye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap google update me huye changes ko read karo aur agar aapki site uske against hai to us problem ko fix karo.

  3. Avatar for Vijendra singhVijendra singh

    Hello sir
    Aap adsense ads ke liye konsi plugin use karte hai and aapne post ke last paragraph me ad kaise lagate hai sir me apni taraf se full kosis kar chuka hu par mujhse aapki tarah last paragraph me ads show nahi kar pa raha hu plz. meri help kare.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Main ad inserter use karta hu, aap before last paragraph ad laga sakte ho.

  4. Avatar for umeshumesh

    bahut achhi jankari hai.

  5. Avatar for SultanSultan

    Bhy aapke custom size ads sabhi devices me responsive rehti hai….kuch hamre liye bhi trick batao

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sabki trick bta chuka hu meri adsense category ki old post check kar lo.

  6. Avatar for IndrasinhIndrasinh

    Superb…Post…Really Helpfull …

  7. Avatar for pavan choudharypavan choudhary

    hi
    mera adsense acount dicablde ho gaya hai 2 jan ko , 1 jan ko meri finalize income $ 850 thi , mene address pin submit kiya hai , par bank account submit nahi kiya hu , yah meri pahli payment hai kya mai ise le sakta hu , koi tarika ho to batao,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko adsense se jo mail mila hai wo mujhe dikhao aap mujhe contact forum me mail kare.

  8. Avatar for Anoop bhattAnoop bhatt

    sir ham apni post seo friendly likhye hai to iske baad bhi jab seo repot check karte hai to usme koi keyword show nahi hota kyun !! Help !!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iska matlab aapne SEO friendly post nahi likhi hai. Aap SEO ko sahi se samajh lo sare jawab mil jayenge.

  9. Avatar for dakshdaksh

    sir kisi bhi themes ke content post area me width kam hoti hai agar hame full width me post show karni hai to kaun sa css edit karna chahiye without any padding issue?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap content css code me uski class ke sath ke sath ye code add kare.
      .content-class{margin:0;padding:0}

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...