Mobile Phone Ka Jaruri Data Delete Hone Par Recover Kaise Kare

Smartphone ki memoery badhane ke liye hum phone memory me se jab extra files delete karte hai to galti se kuch jaruri file bhi delete ho jati hai. Jab humare sath aysa hota hai to hum pachtane ke siwa kuch nahi kar sakte or sochte hai ki ab to ye file humesha ke liye remove ho gayi hai. But hum galat hote hai kyuki aaj ke is technical jamane me har bat ka tod hai or har problem ka solution hai. Technology ki help se hum apne android phone ka data delete hone par wapis pa sakte hai.

Mobile Ka Data Delete Hone Par Kaise Recover Kare

Is post me mai aapko bta raha hu ki smartphone me se delete huye data ko hum wapis kaise pa sakte hai. Iske liye bas aapko mobile ki basic jankari honi chahiye or aap kuch simple step follow kar ke apne mobile ki remove ki gayi memory wapis recover kar sakte ho.

Bahut bar humse mobile me se humare kaam ki files delete ho jati hai or hum unke liye pachtane ke siwa kuch nahi kar sakte. Don’t worry ab hum mobile ka data bhi recover kar sakte hai. Bilkul wese hi jaise computer hard disk ka data recover karte hai.

Post me btaye gaye step ache se follow kare kyuki data recovery me jara si galati se aapka data humesha ke liye delete ho sakta hai and or bhi koi problem ho sakti hai. So pahle puri processing ko ache se samjhe le. Uske bad hi data recover kare.

Android Phone Ka Jaruri Data Delete Hone Par Recover Kaise Kare [ Teck Tips ]

Agar aapko Apne smartphone ka data wapis lana hai to sabse pahle aapko computer me mobile data recover karne wale kuch apps install karne padenge. Inki help se aap aasani se apne android mobile ka data recover kar sakte hai. Mai aapko yaha step by step processing bta raha hu. Aap follow kar sakte ho.

  1. Sabse pahle aap EaseUS MobiSaver data recovery software download kar apne computer me install kare. Ye apps $40 ka hai. But aapko iska free version mil jayega.
  2. Data recovery apps ko PC me install karne ke bad apne mobile ko computer se connect kare. Aap USB cable se android phone ka computer se jod sakte ho.
  3. Ab aapko computer me apne mobile ka Full Axes dena hai.
  4. Uske bad smart phone ki setting me ja kar About  phone par click kare.
  5. Yaha aapko ek bild number ka option milega. Is par aapko tab tak click karna hai jab tak ki “Developers on” ka option show na ho.
  6. Iske bad setting option par jaye jaha aapko developer ka option milega. Is developers option me ja kar phone me dibging ko on kare.
  7. Ab jaise hi mobile connect hoga to data recovery apps aapko axes se related kuch message show karega. Is message par ok par click kare.
  8. Iske bad jaise hi aapka mobile data recovery apps se connect hoga to aapko mobile ka sabhi data dikha kar pucha jaega ki aap kon konse documents ko recover karna chahate hai. Yaha aapko jo data recover karni hai un par select kare.
  9. Aap jaise hi documents par select kar ke click karenge. Data recovery apps aapka data recover karna shuru kar dega.
  10. Agar data recovery processing start ho gayi to samjhiye aapka data recover ho raha hai. Isme kitna time lagega ye aapke data size par depend karta hai. Jitni jyada MB ka data recover karoge utna hi time lagega.

Is tarah se aap apne mobile ka khoya hua data recover kar sakte hai. But kei bar data recover nahi ho pata hai. Isliye is bat ki koi guaranty nahi hai ki aapka data 100% recover ho jayega. Kuch virus ki wajah se aapke mobile ka delete hua data recover nahi bhi ho sakta hai.

Agar aapko ye post pasand aaye to is post ko social media par share jarur kare. Or hume bhi social media par follow kare. Finaly mai aap se ek bar fir kahna chahunga ki apna jaruri data recover karne se pahle data recovery processing ko ache se samajh le uske bad hi mobile ka data recover kare.

Reader Interactions

Comments (75)

  1. मोबाइल root करना जरूरी है क्या ?

  2. Sir
    Reset Marne se kya Pura application Aur contect number Pura delete ho jaega, aur photos bhi Woh sab bhi delete ho jaega kya sir
    Please explaining sir

  3. Sir mera mobail 1 mahine pahale factory reset ho gaya tha ab recover ho sakta hai kya

  4. Sir mere se Mera phone reset ho gaya hai Mere contacts gallery WhatsApp Facebook sab delete ho gaya hai main Se Wapas Kaise Pau please tell me

  5. Sir mera mobile reset ho gya by mistake kuch important files thi vo kaise recover karu please sir help me bhut important thi vo pics

  6. dear sir mai apna mobil restor kiya to coll loge ke sare number delete hogay jesme se hme dial number chahiye pleas help me

  7. sir mera i phone 5c hai wo format ho gaya ,uske contacts ,messages, photos wapas aa sakte hai kya,plz koi applications hai to bataiye

  8. Sir m apne photo ya video nat par hamisha k liy save kase kr skta hu

    • Yes kar sakte ho. Google drive me.

      • Google drive m data hamesha k liye save kar sakte hn isme koi risk to ni h or kitne gb tk data save kar sakte hain,, mere alawa kisi or ko ni dikhega ye data koi protection h

        • 15 GB Aapke aap jaise chahe privacy set kar sakte ho.

  9. hallo sar, mera blog aur wesaite pahle se hai but 2 month se koe post nahi ki hai lekin ab mai mai bloging krna chahta hu kya karu help plz….

    • Jaise pahle blogging karte the wese hi kar sakte ho.

  10. Sir mera windows. Phone h mera phone restore Ho Gaya to mere kuch jaruri pic.delete Ho gayi kya wo wapas as skti h

  11. Dear Sir
    muje apki help chahiye. mera fon reset ho geya tha. isme se mene voice record nikalna hai. kya yeh mil sakta hai? image or video to mil rahe hai par muje voice record chahiye jinki ginti 14 hai. plz sir help meri life or meri maa ki life ka swal hai. plz help sir. me iski keemt bhi de sakta hu.
    grib pe mehr karna. muje apke bare me kisi ne batatea tha.
    plz sir yeh mera whatsapp number hai.
    reply Dena sir

  12. Sir mera phon mai ne reset kar diya hai. bhul gya ki is me bahut sare pic hai.. mai ap luck me rakha tha wo sab Dilite ho gya.. wapas kya sabhi photo aur video askta hai kya.. plz sir help karo…

  13. sir muze prblm ye ho rhi hai k mai jab net use krta hu to mera bhut data khatam ho jata hai,ek page open kiya k 3-4 mb gayab hota hai. phir bhi mai 3g,4g ka balnce bhi ho to 2g pe (gsm) pe hi chalata hu kya 3g bal 2g pe chalaye to kya 3g ka hi data ktega. mai simple walpaper hi use krta hu.background data all restricted bhi hai, whatsap,fb use nhi krta phir bhi, kya kru kuch hlp kro

  14. Mere mobile ke sare app ht gye hai to all app to kya bo bapis aa skte hai play store bhi sb ht gye hai kuch hi bache hai

    • Nahi, mobile ko reset karo or apps fir se install karo.

      • jb ma google ko on krti hoon to mjhe cloudy images aati hai, plz help me

        • Aap browser setting me ja karo search results ko filter kar sakte ho.

  15. Sir,mere simple samsung duos mobile Ka Sara contect numbers delete ho Gya hai
    Koi trika btaye taki hum apna important numbers pa sake.

    • Is post me isi ke bare me btaya hua hai.

  16. salam sir meri mobile gum hogye he us me screen pattern or applock bhi laga hua he.ab us me sd card bhi he us me hamari data pari he hm is baat pe preshan he ke mobile ki sari data kese delete kare plz help me ap koi solution bta de i am waiting your reply.or us me gmail account bhi khula hua he.