Smartphone ki memoery badhane ke liye hum phone memory me se jab extra files delete karte hai to galti se kuch jaruri file bhi delete ho jati hai. Jab humare sath aysa hota hai to hum pachtane ke siwa kuch nahi kar sakte or sochte hai ki ab to ye file humesha ke liye remove ho gayi hai. But hum galat hote hai kyuki aaj ke is technical jamane me har bat ka tod hai or har problem ka solution hai. Technology ki help se hum apne android phone ka data delete hone par wapis pa sakte hai.
Is post me mai aapko bta raha hu ki smartphone me se delete huye data ko hum wapis kaise pa sakte hai. Iske liye bas aapko mobile ki basic jankari honi chahiye or aap kuch simple step follow kar ke apne mobile ki remove ki gayi memory wapis recover kar sakte ho.
- Android Mobile Ki Screen Record Karne Ke Top 7 Free Apps
- Smartphone Ki Memory Badhane Ke 5 Badhiya Tarike
Bahut bar humse mobile me se humare kaam ki files delete ho jati hai or hum unke liye pachtane ke siwa kuch nahi kar sakte. Don’t worry ab hum mobile ka data bhi recover kar sakte hai. Bilkul wese hi jaise computer hard disk ka data recover karte hai.
- Mobile Se Paise Kaise Kamaye 5 Best Android Apps
- Apne Android Phone Me 2 Whatsapp Account Kaise Use Kare Hindi Me Jane
Post me btaye gaye step ache se follow kare kyuki data recovery me jara si galati se aapka data humesha ke liye delete ho sakta hai and or bhi koi problem ho sakti hai. So pahle puri processing ko ache se samjhe le. Uske bad hi data recover kare.
Android Phone Ka Jaruri Data Delete Hone Par Recover Kaise Kare [ Teck Tips ]
Agar aapko Apne smartphone ka data wapis lana hai to sabse pahle aapko computer me mobile data recover karne wale kuch apps install karne padenge. Inki help se aap aasani se apne android mobile ka data recover kar sakte hai. Mai aapko yaha step by step processing bta raha hu. Aap follow kar sakte ho.
- Sabse pahle aap EaseUS MobiSaver data recovery software download kar apne computer me install kare. Ye apps $40 ka hai. But aapko iska free version mil jayega.
- Data recovery apps ko PC me install karne ke bad apne mobile ko computer se connect kare. Aap USB cable se android phone ka computer se jod sakte ho.
- Ab aapko computer me apne mobile ka Full Axes dena hai.
- Uske bad smart phone ki setting me ja kar About phone par click kare.
- Yaha aapko ek bild number ka option milega. Is par aapko tab tak click karna hai jab tak ki “Developers on” ka option show na ho.
- Iske bad setting option par jaye jaha aapko developer ka option milega. Is developers option me ja kar phone me dibging ko on kare.
- Ab jaise hi mobile connect hoga to data recovery apps aapko axes se related kuch message show karega. Is message par ok par click kare.
- Iske bad jaise hi aapka mobile data recovery apps se connect hoga to aapko mobile ka sabhi data dikha kar pucha jaega ki aap kon konse documents ko recover karna chahate hai. Yaha aapko jo data recover karni hai un par select kare.
- Aap jaise hi documents par select kar ke click karenge. Data recovery apps aapka data recover karna shuru kar dega.
- Agar data recovery processing start ho gayi to samjhiye aapka data recover ho raha hai. Isme kitna time lagega ye aapke data size par depend karta hai. Jitni jyada MB ka data recover karoge utna hi time lagega.
Is tarah se aap apne mobile ka khoya hua data recover kar sakte hai. But kei bar data recover nahi ho pata hai. Isliye is bat ki koi guaranty nahi hai ki aapka data 100% recover ho jayega. Kuch virus ki wajah se aapke mobile ka delete hua data recover nahi bhi ho sakta hai.
- Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Kabhi Try Kiya Hai
Agar aapko ye post pasand aaye to is post ko social media par share jarur kare. Or hume bhi social media par follow kare. Finaly mai aap se ek bar fir kahna chahunga ki apna jaruri data recover karne se pahle data recovery processing ko ache se samajh le uske bad hi mobile ka data recover kare.
Anita
Sir mere pix audio manager me save the pr phone reset k bd vo delet ho gye vo photo vopis a skti h plzzz help me…
Jumedeen Khan
Is post me btayi tirck istemal karo.
mandeep
OK sir but ek aur problem hai mere phone reset krne k baad Punjabi language show ni ho rahi isska bhi koi solution de do
Jumedeen Khan
Phone me jo language hogi wohi show hogi.
mandeep
Sir …..✋✋✋
Meri intrnal storage galti se reset ho gayi hai usme meri kuch khas pics this kya vo Sab recovre ho jaye gi
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho kisi computer shop par bat karo ya aapko jankari hai to software use karo.
aman
Maine samsung z3 phone mai factory reset kiya tha.aisa karne k bad mere device se sare picture,video files delete ho gaye.mai bahut paresan hu.kya samsung cloud option k restore k jariye wo wapas mil payega?
Jumedeen Khan
Nahi.
Adil
Bhai mera SD card toot gaya hair jiska data bahot zyada zaruri hai.Mobile se bhi data move kiya tha SD card me.
Plz solution zarur bataye.:(
Jumedeen Khan
Card tootne ke bad data recover nahi ho sakta.
Jumedeen Khan
Nahi
anjani
hello sar.. whatsapp ke photo mene app lock m daal diye,,na jaane kese app lock ke photo delate ho gye h.. kya ho recover ho skte hai…?
Jumedeen Khan
Nahi
Arijit
computer par Maine connect kiya tha kya hua sab file delete ho gyi aur bahut afsos hua ki ab main kya karoon
delete ki hui file kaise mil sakti hai? plz bataye
ram
Sir mera penta ka non calling android tablet hai.2 month pehle video,photo delet ho gaya that uske baad bhi tab ka camera se photo click ki air internet se downloading ki.kya an bhi tab ki internal memory se delet video photo ko recover kiya jaa sakta hai ya nahi?sir tab ki battery phool gai thi air tab khool gaya tha ,macaic ko bane diya that sir kya abhi bhi video air photo ki recovery ho paayegi?sir plz reply I m waiting it’s urgent.
Balraj
Sir mere ek what app number per data or image delete ho gayi h mujhe ve San kaise wapis milegi
Anjali
Sir plsss help me
Actually mera mobile sai mera applock delete ho gya aur usme bhut important photos theee plsss muje btao ke boh Sare photos vapis kesa are gai plss sir help me it is very important for me
जुमेदीन खान
Applock reinstall करो आपको फिर से आपका डाटा मिल जायेगा
Maharaj
Mere mob. Pr ek no se call aaya tha jo hmse delete ho gya hai kya hm use dubara paa sakte h
Jumedeen Khan
Yes aap iske bare me customer care me bat karo wo aapko iski trick bta denge.
Sahil
Sir phone se chip Mai move Kiya howa data bhi recovery ho sakta Hai kya?
Jumedeen khan
Ha ho sakta hai.
ashraf
Hello mere mobile internal h photos the koi Freind reset kar diya kiya wapais lasakte h photos kam ki bbhi thi
Jumedeen Khan
is post me yahi btaya hai.
Vishal
आप हर comment का response देते है । और सभी को satisfied answer मिलता है ।
ये कमेंट आपको इस नेक काम के लिए धन्यवाद कहने के लिए
धन्यवाद
Jumedeen Khan
विशाल आपकी कमेंट पढ़ कर अच लगा।
Sanchit mishra
Sir mera memory card gum ho gaya hair vo mobile me lava that kya main uska data restore kr sakta hoon
Jumedeen Khan
Nahi.
minaxi
Sir meri call recording Jo bhut jruri h aap sbki help karte ho meri call recording fon memory me save thi plz WO mereko vaps chahiye plz help me
Jumedeen Khan
is post me btayi trick se recover kar sakte ho.
वीर
सर मेने अपने प्राइवेट फोटो एक लॉकर में डाल रखे थे जो मेरी ज़िन्दगी के खास थे वो डिलेट हो गए तो सर क्या वो वापस आ सकते हे कैसे
Vishal
भाई इस तरह से क्या वो कंपनी हमारा डाटा भी आपने पास सेव कर सकती है । या वो जान सकती है की हमारी mobile में कौन कौन से documents है
Jumedeen Khan
Wo sirf aapki call recotd kar sakte hai aapke documents nahi.
chetan
hii mujhe ek baat jaan ni hai mujhe koi baar baar phone kar kar ke preshan karta hai to vo mujhe kabhi bhi phone na karsake eisa koi tarika hai
Jumedeen Khan
Aap uske number black list me dal do.
Asim
Call block karne par bhi ek ring aa hi jaati hai phone koi esa app ya setting h jisse no. Block ho jaye or dusre bande ko unreachable ya busy bataye jesa ki keypad phone m hota hai
nadeem
Jumedin s/w
bhai meraaa 200 photo phome memory se delet ho gya hai ! Kyaa Kyaa is app se.main wapas paa saktaa hu aur mere.mere liye liyewah photo bhut hi important hai agar koi 1000 rs. Le kar merre photo ko wapas karegaaa to main kar saktaa hu ppese.koi idea ho to batae
Jumedeen Khan
w/a aap kisi computer shop par ja kar memory card data restore kar sakte ho.
Madhu kumari
Mera phone reset ho gya he jisse photos,vedio, contect no.,apps ,sab delet ho gya he use Wapes kese laye plz koi upaye btaiye usme bhut important thi plz help me sir
Navdeep
Online paisa kamane ke bare me to aapne bataya per plz ye bhee bhataye ke ye paisa hame mele ga kis thara se
Jumedeen Khan
ye post padho Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
abdul khan
great information…….but kiya hum video ya images bhi recover kar sakte hain
hatim ali
sir total kitne site visit aur pageviews hone par AdSense ke liye apply karne maximum kitne visits aur kitne page views hone chahiye.
Jumedeen Khan
Minimum 100 visitors or 300= pageviews.
Dharmendra
Hi brother, apke post me powerd by google kaise likha hai, ye kaise karte hain, kya ispar bhi koi click karta hai to apki income hoti hai.
Jumedeen Khan
Ye google AdSense ki taraf se hai. Nahi is par click karne se income nahi hoti hai.
Dilip Chauhan
ap mera blog dekh k bataye ki design seo friendly hai ya nhi aor post high keywords hai ya nhi
Jumedeen Khan
Website seo friendly hai ya nahi ye sirf aapko pata hota hai or keywords use karne ke liye aapki ek post me kam se kam 1000 words hone chahiye.