Kisi Bhi Mobile Phone Ka IMEI Number Pata Kaise Kare? IMEI number Kya hota hai or kya aap iske bare me jante hai. IMEI yani International Mobile Station Equipment Identity ek unique number hai ye har us handset device ko diya jata hai jise legal tarike se becha jata hai. Jab aap apne phone ko register karoge ya phone ko internet par sell karna chahoge to aapko IMEI number ki jarurat padegi. Chaliye ab jante hai ki IMEI number kya hai or android phone me IMEI number kaise pata kare ke?
Jab hum apne android device ko register kar rahe ho ya hum apne mobile phone ko online internet par sell karna chahate hai to humko IMEI number ki jarurat hoti hai, iske alawa oe bhi kai kaamo me iski jarurat padti hai. Agar aapke pass iske bare me normally jankari hai ya fir nahi bhi hai to no problem aaj ki is post me aap iske bare me details se jan jayenge.
- Mobile Se Call Karte Time Phone Number Hide Kaise Kare
- Mobile Number Location Trace Karne Ke 10 Best Android Apps
Aapka android mobile kho gaya hai ya aapka mobile phone chori ho gaya hai or aap police me FIR report darj karna chahte ho to aapko IMEI number ki jarurat padti hai. Kyoki IMEI number ko block karke hum apne mobile phone se call karne ya internet use karne se rok sakte hai.
IMEI Number Kya Hota Hai?
IMEI ki full from International Mobile Station Equipment Identity hai. Jo hamare android device ke security number jaisa hota hai. Ye number har android device or hanset ko diya jata hai. Is number ki hume apne mobile ki location track karne or kai kamo me jarurat padti hai.
Agar aapka mobile chori ho gaya hai to hum apne android mobile phone ke IMEI number se police me complete kar sakte hai. Galat logo ke mobile hath lagne par aapke mobile ka galat use h sakta hai. Aap IMEI number block kar ke galat use hone se bacha sakte hai. To ab aapko pata chal gaya hoga ki ya hamare liye kitna important hai.
Aese time me hume apne mobile phone ke IMEI number pata hone chahiye. Magar bahut se new android users ko iska pata nahi hota hai. Lekin is post me main aapko ab yahi bata raha hu ki apne android device ke IMEI number kaise pata karte hai? Mobile Ka IMEI Number Pata Karne Ke 5 Tarike.
Kisi Bhi Mobile Phone Ka IMEI Number Pata Karne Ka Tarika
IMEI number har us android device and other device ka hota hai jis device me SIM hoti hai. Agar aapke tablet me SIM lagta hai to aapke tablet ka IMEI number bhi hoga. All sim support devices me ye number hota hai.
IMEI number pata karna bahut aasan hai aapko bas niche bataye 2 se 3 steps follow karne honge or aap bhi apne android device ke number jan jaoge to chaliye ab start kare.
1. Mobile Bill Ya Box:
Jab aap new mobile handset buy karte ho to aapko mobile ke sath guarantee bill or mobile box (mobile rakhne ke liye) milta hai. Ya fir aap koi old mobile lete ho to mobile wala aapko mobile ke sath bill deta hai.
Mobile bill or box ki jarurat aapko jab hoti hai aapka mobile chori ho gaya hai ya aapka mobile kho gaya ho matlab aapke pass mobile nahi hai. Kyuki mobile box or bill dono me mobile IMEI number hote hai.
Jab hum new mobile kharidte hai to hume uska payment bill and box diya jata hai. IMEI number bill ya box par bhi hota hai. Agar aapke pass apne mobile ka bill ya box hai to aap apne mobile ke IMEI number dekh sakte hai.
2. Android Device IMEI Number:
Upar btaye tarike jaise agar aapke pass apne device ka payment bill ya box hai to aap apna mobile device number pata kar sakte ho or agar aapke pass apne mobile ka bill or box nahi hai to koi bat nahi aap ye steps follow karke bhi mobile IMEI numbet ka pata laga sakte ho.
- Android mobile phone me use ki gayi google ID ke throw apne google dashboard me log in kijiye.
- Log in karne ke bad ab green robot ke next Android par click kare.
- Android par click karne ke bad aap un device ki files dekh sakte ho jo aapki google ID ke sath registered honge or unke sath hi aap apne android device ka IMEI number bhi dekh sakte ho.
3. Settings Se IMEI Number Pata Kare:
Agar aapka mobile chori ya khoya nahi hai to aap apne android mobile phone ki settings me jakar 2 steps follow karke apne device ka IMEI number pata kar sakte ho. Iske liye aapke pas mobile hona chahiye jiska aapko number pata karna hai.
- Go to setting option.
- Click to about.
- Ab IMEI status par taip kare.
- Scroll down kare, yaha aap IMEI number jankari dekh sakte ho.
Yaha aap IMEI ke bare me achhe se jan sakte ho or apne android device ke IMEI dekh sakte ho. For security aap apne mobile ke is number ko likh kar rakh sakte ho taki emergency me kaam aa sake.
Agar aapke mobile ki battery removable hai to aap mobile par bhi ye number dekh sakte hai. Mobile me battery lagane ki jagah par aap dekh sakte ho ek sticker hoga us par IMEI number print honge jo sticker aapke mobile ke andar chipka huya hoga.
4. USSD Code Se IMEI Number Pata Kare:
Apne android mobile phone ke IMEI number pata lagane ka ye sabse achha tarika hai. Sabse achhi bat ye universal hota hai. Ye kisi bhi device mobile phone sabhi etc feature par kaam karta hai.
- Apne android feature par *#06# dial kijiye.
- Dial karne ke bad aapki mobile screen par IMEI number display hone lagega. Aap chahe to ise add kar sakte ho ya screenshot le sakte ho.
USSD code ki jyada jankari ke liye aap ye post bhi padh sakte ho Airtel All USSD Codes Balance, Offer, Plan Check Karne Ke Liye.
5. Phone Par IMEI Number Dekhe:
Agar aap iphone 5 user hai ya aapke pass iphone ka latest version hai to aap apne device ke back panel par IMEI number dekh sakte ho.
Ise aap kahi likhkar rakh sakte ho or agar aapka device iphone 4s or isse bhi old hai to aapke device par IMEI SIM tray par print hoga aap dekh sakte hai.
To dosto is tarah se aap apne kisi bhi mobile number SIM related tablet or old device ka IMEI number pata kar sakte ho or sath me aap ye bhi achhi tarah se jan gaye honge ki IMEI number kya hai or ye kya kaam aata hai. Agar aapke pas iske liye koi or tarika hai to wo aap niche comment me bta sakte hai.
- Mobile Phone Me Personal Details Ko Safe Rakhne Ki 5 Best Tips
- Mobile Phone Ki Network Problem Solve Karne Ki Top 10 Tips
Is post ki jankari ko social media par share jarur kare taki koi or bhi apne mobile ka IMEI number pata kar sake
Bhuwam
Jumedeen sir AdSense uprroved hogaya magar ads show nahi horahe kitna wakta lagega unko show hone me …or unko jaldi show kaise kiya jaye
Jumedeen Khan
Normally 203 day me ho jata hai but isme 1-2 week bhi lag sakte hai.
Santosh kumar
Maja aa gaya achhi post hai.
Aryan
Jumedeen ji ek bat bataiye mai ek new english blog banane ki soch raha hu aur uske liye mujhe thoda confision hai
1). Mere pas ek adsense account hai jisme hindi blog connect hai aur mai usi me english blog ko bhi connect kar deta hu to koi dikkat to ni hogi
2). Agar man lo mere english blog par hacking ke article hai aur us wajah se adsense mujhe ban kar de to ye bata dijiye mera adsense account sirf english blog ke liye ban hoga ya pura ka pura account disable ho jayega jisse dono blog par adsense hat sakta hai
Jumedeen Khan
1. no problem kar sakte ho.
2. Isse aapka adsnese block hoga to dono site se ads remove ho jayenge or google aapki site ko block karta hai to ek site se adsense remove ho jayega. Its dangers. Aesa na karo to hi achha hai.
chandni rani
Hello sir mujhe apna blog first page apke first page ki tarah karna hai ‘I WANT TO LEARN’ wala portion hai jaise catogary define karni hai front page par vo kaise hoga iske liye koi plugin ka istemal karna hoga ya theme hai ye koi
Jumedeen Khan
Iske liye aapko thodi coding sikhni hogi.
Neeraj Parmar
very good and useful information ~ thank you for share
Aashish
bahut achi jaankari share ki ,, ek post mai aap sab kuch bta dete ho bahi Jo other blogger 2 ya 3 post ka use kar batate hai .. yuhi nahi Aap Hindi blogging mai number one ho.. Thnks..
Kunal
shukriya itni achi jankari btane ke liye. Mai aise jankari bhot dino se dhundh raha tha
Deepak Vaishnav
Sorry Question Topic Related Nahi Hai But me ye puchna chahta hu ki agar me koi theme buy nahi krta hu or site ko develop karavata hu to kya mera blog website ban jayega ya nahi plz ans
Jumedeen Khan
Blog kabhi bhi website nahi ban sakta haa aap use website ki tarah design kar sakte ho.
Dhan Mohan
Bahot Hi Acchi Jankari Di HAi Thank You Sir
Rohit Kumar
maine ek videos upload ki thi self create krke lekin fir bhi copyright aa gyi lekin maine video publish nhi ki thi draft me thi, toh kya mere aur bhi videos ki monetization off ho jayegi ya fir adsense suspend ho jayega
Jumedeen Khan
Aap us video ko delete kar do dusri videos kar koi bad effect nahi padega.
nitesh
Hello bro mera ek imp qustion hai please Ans
1.Me 2 blog chalata hun
Hind and english
Agar me english post ko translate karke mere hindi blog me rakhta hu to wo copyright hoga?
2.Mene jub blog start kiya tha to mene 2-3 post copy karke mere blog me dali thi” kyuki tab mere pass blogging ka koi knowldge nhi tha
Ab me us copyright post ko delete kru ya mere hisab se update kru?
Jumedeen Khan
1. Yes copyright hoga.
Altaf Hussain
Maine Ek English Blogg Banya Hai Butt Mai Kitni Bhi Koshish Karu Kitna Bhi Beter Seo Kyu hi Na Karu Hindi Me To 1 posdtion pe aajati thi but english jitnabhi seo karo oh aata hi nhi why jaise sml blogg ko mai piche nhi kar paya aisa kya kare kaya mai kabhi inhe piche nhi karsakta pls kuch tips batye
Jumedeen Khan
Husain english me competition jyada hai. Top position me aane ke liye aapko dusro se behtar likhna hoga.
rohaan
Kamaal ki jankari hai !
Ashutosh Choudhary
Nice Post Mr. JDK Mera ek sawal hai, aapne ye kaise lagaya hai detail me bataye ” oh you love this post very Good Enter Your mail address Signup
Jumedeen Khan
HTML coding se.
Shahid Afridee
Jdk bhai kya aap hame bata sakte hai.
1. Hum apne blog ke liye 5 line wala link ads kaise bana sakte hai.
2. Hamare blog open karne ke baad home page ke sabse upar home,advertise,etc.. in sab ko kaise remove kare.
3. Aap ek baar hamare blog ko check karke bataye ki is template or blog me koi problem bhi hai.
Jumedeen Khan
1. Ye link ad nahi display ad hi hota hai. Google display ads me links ad bhi show karta hai.
2. Aapne blog ke layout me ja kar.
3. No problem.
Deep
Bhai bilkul sahi add kiya hai.
Deepak
सर मेरा सवाल एडसेंस से है मै ने एक ब्लॉग बनाया है 15 20 दिन हुआ क्या मै एडसेंस बना सकता है सर आप ने शायद एक पोस्ट की है इस टॉपिक पे लेकीन मिल नहीं रहा:)
Jumedeen Khan
Nahi first aap traffic badhao.
Deepkaksiya
Main ek unique problem face kar raha hu. Main jab bhi dusre post ki link ko interlink karta hu to vo link add nahi hoti hai.
Jumedeen Khan
Sahi link add karo.
Ramanand MEhta
धन्यववाद sir मुझे तो आज तक एक ही तरीका मालूम था लेकिन आपने तो 5 तरीके बता दिए | really आप किसी भी पोस्ट को,किसी भी जानकारी को यूनिक बनाके बताते हैं |
Chakradhari Kumar
Thanks New Jankari share karne ke liye….
Sir mera problem ye hai ki post ko google search se open karne par (( Error 404 Not Found
Oops! We couldn’t Found this Page. )) aa rha hai aur sath me link ke sath Date aur HTML aa rha hai jabki blog wordpress par hai aur waha post bilkul sahi open ho rha hai lekin problem Google search se karne par aa rha hai… to iske liye kya kare …?????
Jumedeen Khan
Wait kuch time bad google aapke wordpress URL ko index kar lega fir ye error nahi aayega.