Data saving tips: Kya aap mobile me internet istemal karte hai or jyada internet data kharch hone se pareshan hai or aap koi aesa tarika janna chahate hai jisse aapke mobile par net pack kam se kam kharch ho or aap minimum data par adhik time tak internet chala kar data save kar sako. Agar ha to ye post aapke liye hi hai aaj main aapko android phone, smartphone me internet data save karne ke 10 best tips bta raha hu.
Mostly smartphone user ko mobile phone me interne data pack jaldi khatm hone ki problem hoti hai. Iska solution pane ke liye mobile users kei type ke nuskhe istemal karte hai but sabhi success nahi hote or user ki data save problem fir bhi bani rahti hai. Bahut se log iske liye kuch android apps istemal karne ki salah dete hai.
- Mobile Phone Me High Internet Speed Nahi Milne Ki 10 Wajah
- Mobile Phone Se Bina Antivirus Ke Virus Delete / Remove Kaise Kare
But main aapko kisi data save application software ke bare me nahi 10 aese tarike bta raha hu jinhe maine khud bhi try kiya hai or mujhe in sabhi se positive results mile hai. So main aapse bhi kah sakta hu ki aap bhi inhe try kijiye yakinan aapko bhi inse fayda hoga or aap apne mobile ka internet bill kam kar sakte hai. Aap in tips ko 2G, 3G, 4G sabhi network par follow kar sakte ho. Sabhi par achha result milega.
Table of Contents
- Android Mobile Me Internet Bill Kam Karne Ke 10 Effective Tarike – Top Data Save Tips in Hindi
- 1. Off Auto Updates Apps:
- 2. Off Whatsapp Auto Download Media Feature:
- 3. Set up Manual Mail Sync:
- 4. Off Facebook & Twitter Auto Play Feature:
- 5. Use Offline Google Map:
- 6. Use Opera Browser or Opera Max App:
- 7. Enable Mobile Saving Feature and Set Limit:
- 8. Turn off Wi-Fi Assist Feature:
- 9. Active Data Compression Feature:
- 10. Use Greenify and Android Marashmallow:
Android Mobile Me Internet Bill Kam Karne Ke 10 Effective Tarike – Top Data Save Tips in Hindi
Sabse achhi bat ye hai ki in tips ko follow karne se na sirf aapke mobile par internet data kam kharch hoga balki aapke phone ki battery life bhi badhegi or aap data ke sath mobile bhi jyada time tak use kar sakoge. Battery problem hai to aap ye tips follow kare Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Battery Saver Android Apps.
Follow below tips to save your mobile internet data:
1. Off Auto Updates Apps:
Android me agar aapne gmail ID se log in kiya hua hai to aapke internet enable hone par android apps automatically update hotne shru ho jate hai. Isse na sirf aapka internet data kharch hota hai balki internet speed down ho jati hai or browsing slow hone lagti hai. Sath hi ek bar me sabhi apps ka update enable hone se phone garm hone lagta hai or isse mobiel battery bhi kharam ho sakti hai.
Iske liye aap mobiel setting me jaye ya fir google play store ko open karke setting me jaye or auto upate apps option par click karke “Do not ato-update apps” ya Auto-update apps over Wi-Fi only” select kare.
2. Off Whatsapp Auto Download Media Feature:
Whatsapp me auto download media feature hota hai. Jisse aapke mobile me photos, images, videos file automatically download hoti rahti hai. Aaj ke time me har ek smart phone user whatsapp ka istemal karta hai so agar aapke whatsapp app me auto download media feature active ha to is deactivate kare.
Iske liye aap whatsapp >> settings >> data usage option par jaye yaha aapko network usage, media auto-download ka feature mil jayega. Aap yaha par Photos, Audio, Videos, Documents ko apni jarruat ke anusar select kar sakte hai.
Aap yaha par when using mobile data, when conncted on WI FI and when roaming ke anusar data saving feature istemal kar sakte ho.
3. Set up Manual Mail Sync:
Mobile me gmail account se sign in karne ke bad bahut si service enable ho jati hai. Google drive, Gmail, Google Contact, Google file data, Google play books, app data, Calendar, Google play magazine, Google+, Google photos jaise bahtu sari services automatically sync hoti rahti hai. Inme se aap jinka istemal kam karte ho ya nahi karte ho un par sync off kar de.
Iske liye aap mobile settings >> accounts me jaye or email account par click kare. Ab sabhi features aapke samne honge. Jinki aapko jarurat nahi hai un sabhi par sync off kare. Mostly aapko gmail band karna hai kyuki gmail par unused mail aate rahte hai.
4. Off Facebook & Twitter Auto Play Feature:
Disable twitter and facebook videos auto play feature: Agar aapke mobile me koi bhi social media website ka app install hai to uski setting me kar auto paly ko band kare. Example, aapne dekha hoga ki jab hum mobile me facebook, twitter and other social site ka open karte hai hai to usme videos automatically play ho jate hai.
Isse aapka data usage kam hota hai. Aap app ki setting me ja kar ise disable kar sakte ho.
5. Use Offline Google Map:
Main aapko btana chahunga ki ab aap google map ko offline bhi istemal kar sakte ho. Google map par ab aap 130,000 sq km area ka area-map save kar sakte ho or mujhe lagta hai ki isse lagbhag sabhi ki jarurate puri ho sakti hai. Sath hi aapko responsive navigation menu bhi milta hai kiski help se aap aasani se map istemal kar skate ho.
Abhi google ki ye service har location par available nahi hai but kuch time bad aap sabhi iska istemal kar sakoge. Isse aap internet data ke sath sath battery backup bhi bacha sakte ho.
6. Use Opera Browser or Opera Max App:
Simple hai aap internet use karte ho to kisi na kisi browser ka istemal to karte hi ho or generally internet user google chrome browser ka hi istemal karte hai. But main aapko suggest karunga ki aap opera browser ya opera max app ka istemal kare. Inme data saving ka feature hota hai jiseenable kar aap mobile data khatm hone se bacha sakte ho.
ye app or browser android, iOS, iPad, Windows,iPhone sabhi type ke smartphone ke liye available hai or sabhi me good work karta hai.
7. Enable Mobile Saving Feature and Set Limit:
Lagbhag har smartphone android phone me data saving feature hot hai. Jiski help se aap data limit set kar sakte ho. Aap apne phone ki settings >> more option me ja kar dekhe mobile usage ke option me ye feature mil jayega. Aap yaha monthly, weekly ya daily mobile internet data limit set kar sakte ho.
8. Turn off Wi-Fi Assist Feature:
iOS 9 me WIFI Assist feature hota hai jo already activate rahta hai. Isme jab aap wifi se mobile me koi downloading karte ho to wi-fi signal low, loose wifi connectivity situation hone par ye automatically active ho jata hai or mobile cellular data ko enable kar deta hai. Aap ise disable karke bhi cellular data save kar sakte ho.
Is feature ko disable karne ke liye aapko phone ki settings >> cellular option me ja kar Wi-Fi assist option band karna hoga.
9. Active Data Compression Feature:
Bahut se browser or apps me data compression feature hota hai. Inme aap image and video compression kam karke bhi data save kar sakte hai. Example ke liye UC browser me data compression ka feature hota hai. Ise main check kar chuak hu. Aap UC browser ki setting me ja kar image quality set kar sate hai.
Aapko isme 3 option milenge Low, Medium and High aap medium ya low option enable karke 50% data save kar sate hai.
10. Use Greenify and Android Marashmallow:
Latest android operating system standby app ke sath aata hai. Ye un apps ko data istemal karne se rokta hai jinka istemal aap kabhi kabhi ya nahi karte ho. Sath hi ye aapko application ke data use karne par aapko push notification bhi dikhata hai. Ye setting android M device me pahle se active rahti hai.
Agar aapke pas old handset hai or aapke mobile me ye feature nahi hai to aap Greenify App ka istemal kar sakte ho. Iski help se aap extra apps ko sleep mode par set kar sakte ho.
Inke alawa bhi aap facebook intant articels, RSS feed readers, Ad blocker, jaise kei tarike istemal karke mobile internet sata save akr sakte ho. Bahut se apps aapko offline content padhne ki service dete hai. Aap unka bhi istemal kar sakte ho.
- Jio 4G Sim Se Computer Laptop Me Free Internet Chalane Ki Best Tips
- Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Kya Aap Ne Try Kiya Hai
I hope aapko yaha btayi gaye mobiel data saving tips pasand aayegi. Agar aapke pas inke alawa koi or tips hai jise mobile internet data save karke internet connection bill kam kiya ja sakta hai to aap comment me uske bare me bta kar humare readers ki help kar sakte hai.
Thanks for reading this post.
mera mobile internet automatic off ho jata …solution please
Mujhe Yeh Bahut Helpful Laga Ab To Twitter Lite Bhi Aa Gya
So Lite Apps Ka Use Karna Chahiye
Bhai ek aur Question
Bhai mere touch scream mobile main scream capture facility hai jiski madad se main aapke post ko screanshot ya scream capture ki madad se Us text ka photo kich kar baad main jab time milta hai tab padhta hoon
Lekin main screenshot karke pareshaan ho gaya hoon is me bahut time lagta hai.
Kya aapke post ko download karne ki facility hai ya nahi yadi hai to kaise.
Please batayiye bhai.
Sorry pankaj mere blog par is type ki service nahi hai.
Bhai main aap se YouTube main offine download kiye huwe video ko apne memory card main ya Xender se kisi dusre mobile main download kaise kar Sakta hoon.
Bhai mujhe offine video aur Jo offine nahi hai dono prakaar ka YouTube video download karne aata hai.
Jo offine nahi hai use ‘SS’ likh kar download ho jaata hai. Aur wah video memory main direct save ho jaata hai.
Par offine video niche download par click karne par save ho jaata hai aur use save as main jaakar download kiya huwa video bhi dekh leta hoon.
Main apse yah puchhna chaahta hun ki offine video ko Jo YouTube main download ho gaya hai kya us video ko apne memory main ya kisi dusre mobile main share as or xender ki sahaayta se transfer ho Sakta hai ya nahi ye problem hai. Please help me
Pankaj Kumar your liker.
Nahi offline video ko aap sirf YouTube par hi dekh sakte ho.
Bhai mera Gmail account 3 device par connect he jisme SE mujhe uoon device SE Gmail ko logout karna he par vo device mere pass nahi he mujhe aap bata dakte he ki me dusre mobile SE apne Gmail account ko kese logout karna sakta hun
Gmail ki setting me jao or other all device se log out kar do.
hello bhai,
mere blog me mobile view me koi side bar vidget ya related post nahi show ho raha hai jab ki pc view me hai . isme kya setting karna hai.
Ye aapko template ki coding me se iska show karna hoga. behtar hoga aap koi or image use kare.
me apni sitemap ko apni blog pe kaise add karu
footer me add karo maine iske bare me post ki hai wo padho.
Nice article Jume deen Bhai…
Mai apane blog par ek post me hindi,hinglish, English bloggers ka categories bana karke blog ki link add karana chahata hu aur usake sath thoda bahut description aur log apane blog ka link add karne ka request comment kar ke bata skate hai
Kya aisa karane se koi problem ho sakata hai ?
Yes ek site me ek se jyada language me content likhna SEO ke liye sahi nahi hota.
Sir mere kahane ka matlb tha ki mai ek post likhana chahata hu jisame aur sab bloggers ke blog ka link add karu mtlb ek directories ki tarah jaha par sab blogger ka categories wise link add karunga.
To aisa karana sahi rahega ya koi problem ho sakti hai
Kisi or related blog ka link add karna SEO ke liye best hai.
Gjab post lagi
sir mere blogger ke stats me daily 700 page view show hota h but google analytic me daily only 100 pageviews dikhta h …..kon sa sahi h bro….aur aisa q hota h
google analytics. Aap ye confirm kar lo ki analytics me aapka blog add hai or sahi se work kar raha hai.
bhai…need your help
1) blog ke footer me kon sa sitemap jyada better hota hai..html wala ya xml wala.
2) search console me xml wala sitemap jo diye hai wahi wala blog ke footer me use kar sakte hai..isse koi dikkat to nahi hogi na
1. xml ya html koi bhi add karo.
2. yes jo apane search console me submit kia hai wohi footer me add karo.
mobile data ko save krne ke bahut hi badhiya tips diye…. halanki data saver bahut faydemand hai aur kyi baar 90% tk page ta size compress kar dete hai, lekin agar kisi ko lgta ho ki uska kaam kaafi useful hai aur chori nahi hone dena chahiya to is feature ko off hi rkhna chahiye. Otherwise all tips are very usefull.
sir appmujhe ye bataiye ki google se visitor kab ayenge mere site pe
Jab aap badhiya post likhoge.
very nice पोस्ट,
आपने पोस्ट इन्टरनेट डाटा को बचाने कि share कि है लेकिन इन्हीं tips को follow करके हम अपनी बैटरी life को बढ़ा सकते हैं.
sir hame itna sab karne ki jarurat hi nahi hai bs background data off kar lo sari problem hi door ho jayegi kuch bhi background me run nahi hoga aap Jo browser use karoge wahi data use karega baki sab off rahenge
Facebook notifications, WhatsApp messages, app auto update etc sab off ho jayenge bs sirf background data restricted karne se aap ise feature ko bbi apni list me add kar sakte ho
Aapne comment me bta kar bahut achha kiya thanks.