Computer me aapse galti se kuch delete ho jaye to aap use recycle bin me ja kar restore kar sakte hai lekin agar smartphone se kuch delete ho jaye to use restore nahi kiya ja sakta. Is wajah se bahut se mobile user ka important data lost ho jata hai. Is post me main aapko aesa tarika bta raha hu jisse aap mobile me recycle bin folder bana sakte ho or mistake se kisi jaruri file, photo ke delete hone par use fir se restore kar sakte ho.
Har smartphone user ke phone me important data hota hai, ye data user ke personal photos, videos, text file etc. kuch bhi ho sakta hai. Aap kabhi nahi chahoge ki aapka jaruri data mobile se delete ho but kai bar galti se khud se, family member ya bachho se data delete ho jata hai.
Bahut kam logo ko pata hota hai ki mobile phone se delete huye data ko recover, restore kiya ja sakta hai. Agar aapke mobile ya memory card ka data delete ho gaya hai or aap use restore karna chahate ho to aap humari ye posts read kare.
- Mobile Phone Ka Jaruri Data Delete Hone Par Recover Kaise Kare
- Mobile Memory Card Ka Delete Hua Data Free Me Recover Kaise Kare
But mobile data ko restore karne ki process thodi hard hoti hai or 100% data restore hoga ye jaruri nahi hai. Aese me agar aap apne android phone me Recycle Bin folder add karke rakhe to aap aasani se delete huye data ko restore kar sakte ho.
Mobile Me Recycle Bin Folder Kaise Banaye – Restore in Hindi
Mobile me recycle bin folder banane ke liye aap android apps istemal kar sakte ho. Iske liye aap google play store me recycle bin type kar search kare. Yaha aapko bahut sare apps mil jayenge jo deleted, removed files ko restore karne ke liye ai.
But in sab me Dumpster Undelete & Restore Picture and Videos or ES File Explorer File Manager app sabse best hai. In dono ki review rating baki apps se jyada hai or Dumpster ko 10 million or ES File Explorer ko 100 millions bar download kiya ja chuka hai.
Main yaha aapko dumpster ke kaam kare or file restore karne ka tarika bta raha hu.
Mobile Me Recycle Bin Folder Kaise Add Kare
Sabse pahle aap google play store par jaye or dumpster application ko download kar install kar le.
- Dupster app ko open kare yaha aapko app ka demo dikhaya jayega.
- Ise OK karne ke bad phone me recycle bin folder automatically create ho jayegi. Isme aapse storage permission mangi jayegi use OK kar de.
- Ab jab bhi aap mobile me se koi photo, video ya koi dusri file delete karoge to wo yaha save ho jayegi. Jise aap bad me jab chahe restore kar sakte ho.
- Is app me aap time set kar sakte ho taki jyada time hone ke bad file apne aap restore or delete ho sake.
- Aap chahe to isme password bhi laga sakte ho taki delete ki huyi files ko aapke alawa koi or na dekh sake.
Is tarah se aap dumpster app ke istemal se mobile phone me recycle bin folder use kar sakte ho or apne jaruri data ko permanently delete hone se bacha sakte ho.
Iske alawa agar aapse google drive se koi data delete ho jata hai to aapko khabrane ki koi jarurat nahi hai. Main aapko ba du ki jab aap koi file ya folder google drive se delete karte ho to wo permanent delete nahi hoti hai balki trash folder me move ho jati hai. Aap waha se file restore kar sakte ho.
Ye bhi padhe,
- Facebook Account ID Block Hone Par Recover Kaise Kare
- Mobile Phone Se Better Selfie Lene Ke Liye 10 Android Apps
Agar aapko iske alawa koi or tarika pata hai to aap comment me jarur btaye or is post ko apne dosto ke sath share jarur kare.
bheshpratap sahu
best टिप्स हैं sir किसी मोबाइल में इम्पोर्टेन्ट काम करने वालों के लिए l