Mobile Phone की Network Problem Solve करने की 10 Best Tips

Mobile phone user ko “Weak Signals”, “Network Error” and “Network Not Available” jaisi problem sabse jyada hoti hai. Mostly ye error tab aata hai jab aap internet se online call karte ho. Actually, aap kuch simple tricks ko follow kar is network problem ko kuch hi seconds me solve kar sakte ho. In this post, main aapko btane ja raha hu Smartphone mobile phone ki network problem solve karne ki 10 effective tips and tricks ke bare me. I’m sure ye tricks lost mobile signal ki problem me aapki help karengi or aapko mobile networks problem se chutkara pa sakoge.

Solve Mobile phone network problem

Mobile kitna bhi best ho but usme jab network problem face hoti hai or 2G ki jagah 3G and 4G hone par bhi net nahi chalta to use fekne ka man karta hai. Kei bar jaruri kaam or time kam hone par network error aata hai to sabhi ke sath yahi hota hai. Ye tricks iOS, iPad, iPhone, Windows phone, Apple and Android mobile users sabhi ke liye work karegi or koi bhi mobile user in tips ka istemal kar sakta hai.

Mobile me network problem ke kei reasons hote hai jaise aap out of area ho to network problem aati hai. But jab aap in the network area me hote ho or fir bhi “Mobile Network Error” ki problem hoti hai to ye bad matter hai so aese me aap is network problem ko solve karne ke liye niche btayi tricks istemal kar sakte hai. So chaliye jante hai Mobile Networks Problem Solve Kaise Kare?

Android Mobile Network Problem Ko Solve Karne Ki 10 Best Tips

Agar aapko bhi isi tarah ki network problem hoti hai to aap is post me btaye tarike follow kar apne mobile ki network problem like Network connection error, Signal not found, Slow internet connection jaisi problems ka solution kar sakte ho.

Mobile Network Problem Solution 10 Best Tips:

Trick #1. Change Network Mode:

Agar aapko apne android mobile me weak signal ki problem aa rahi hai to aap network mode ko 3G se 2G GSM only me change kar le. Isse aapko strong signal milega or 3G, 4G weak signal se jyada better net speed milegi. Maine ye trick kei bar try ki hai or ye har bar good work karti hai. Iske liye aap ye steps follow kare.

Change Network mode GSM only:

  1. Go to mobile Settings and open Wireless and Network settings.
  2. Now tab More then select Mobile Networks.
  3. Select SIM 1 and SIM 2 which you have problems.
  4. Tab Select Network Mode and choose GSM only or WCDMA/GSM (2G/3G Auto) and remove WCDMA only (3G only) mode.
Change Netowrk Mode

Trick #2. Remove Mobile Cover:

Sometime, android user apne mobile ki safety ke liye kuch jyada hi heavy and tight cover use karte hai. Heavy or jyada tight cover se network problem hoti hai. Network area me rahte huye to ye problem feel nahi hoti but jaise hi user weak network area me jata hai to use network problem hoti hai.

Kuch users to double extra cover use karte hai. Like mobile ki screen and back cover dono par cover hota hai. Mera matlab ye nahi hai ki aap is tarah ke extra cover use nahi kar sakte. Kar sakte ho but cover mobile par jyada tight na ho or agar aesa hai bhi to network problem hone par aap ise remove kar sakte ho.

Agar aap bhi apne mobile par heavy ya tight cover use karte hai to jab bhi aapko network problem ho aap cover remove kar try kare. Yakinan aapki network problem door ho jayegi. Ye bhi weak signal ko improve karne ki kargar trick hai.

Remove Mobile Cover

Trick #3. Turn On Data Roaming:

Agar aap android phone me internet connect nahi kar pa rahe ho or weak mobile signals, network not available, internet connection error aa raha hai to aap mobile ki network settings me Data Roaming Option ko enable kare network problem theek ho jayegi.

Mostly ye option tab kaam karta hai jab aap journey par ho ya kahi par travelling kar rahe ho. Travelling ke time aap jaise hi apne area se aage nikalogoe to roaming area shuru ho jata hai or roaming area me network problem hoti hai jiske liye Data Roaming feature on karna hota hai.

Ye trick aapki roaming area me hone par possible network find karne me help karegi.

Enable Data Roaming Option:

  1. Go to Settings and open Wireless and Network.
  2. Tab on Mobile Network and select Data Roaming.
  3. Now, Press OK and enable Data Roaming option.
Turn On Data Roaming

Trick #4. Reinsert Phone Battery and SIM Card:

Mobile me poor network and weak signals problem ko aap phone ki battery and SIM card ko remove kar reinsert kar ke bhi solve kar sakte ho. I sure ye kamyab trick hai or har mobile par work karti hai. Agar aap sochte hai ki battery and sim card remove karne se bhala network problem kaise solve hoti hai to aapko uska bhi reason bta deta hu.

Actually, kei bar mobile me technical issue aa jata hai or uski wajah se mobile users ko network problem hoti hai. Aese me aapke phone battery and SIM Card reinsert karne par ye problem automatically solve ho jati hai or user ko pata bhi nahi hota ki kis method se mere phone ki problem solve huyi hai.

Follow Below Steps:

  1. Switch off your android mobile.
  2. Remove the Battery.
  3. Remove all Sim Card.
  4. Wait for 2 minutes.
  5. Reinsert the sim card and phone battery.
  6. Wait again 2 to 5 minutes.
  7. Switch on the Smartphone.

Mostly ye problem root mobiles me hoti hai. Iske alawa aap mobile ko reboot karke bhi is problem ko solve kar sakte ho. Yaad rahe switch off karne ke turant bad phone switch on karne se problem solve nahi hogi. Aap 2 to 5 minute wait karoge to hi problem ka solution hoga.

Agar aapke mobile me internet connection error aa raha hai or mobile se battery remove nahi kar sakte to aap 1 to 2 minute ke liye mobile ko switch off kar le uske bad fir se mobile on kare network problem door ho jayegi. Ye trick unke liye hai jinke smartphone me mobile battery ka phone se alag karne ka feature nahi hota.

Trick #5. Automatically Choose Preferred Network:

Manually select preferred network mode enable karne se network problems aati hai. Actually, jab hum weak 3G and 4G network ki range me hote hai or mobile me manually preferred network option active hota hai to android device only 3G, 4G network hi search karta hai or network na milne par ye search chalti rahti hai or network problem hoti hai..

Agar aap “Automatically Choose Preferred Network” feature ko enable kar doge to device 2G network hone par 2G and 3G network hone par 3G search karega or network problem nahi hogi. I suggest you aap humesha automatic wala option hi select rakhe ise na sirf phone ki network problem solve hoti hai balki mobile ki battery bhi jyada time tak chalti hai kyuki isse device system ko bar bar network search nahi karna padta.

Automatically option network settings ka default option hota hai jo automatic strongest network ko connect karta hai or aapko behtar internet speed mil pati hai.

Set Automatically Choose Preferred Network:

  1. Go to Wireless and Network settings.
  2. Click on Mobile Networks.
  3. Select Network Operators.
  4. Select Choose Automatically.
  5. It’s Done.
Automatically Choose Preferred Network

Trick #6. Install Phone Signal Booster:

Agar aapka home aese place par hai jaha weak signal problem hai or aapke home me rahne par signal bahut kam aata hai ya bilkul bhi nahi aata or aapko jyadatar no signal found ki problem hoti hai to aap Cell Phone Signal Booster istemal kar sakte hai. Ye device poor network coverage me outdoor ke signal ko bhi easily search kar leta hai.

Signal booster ko aap home, card, office kahi bhi use kar sakte ho. Ye aapke mobile ke sath aapke Desktop Computer, Laptop, Cell Phone etc. sabke liye signal boost kar sakta hai. Ye third party gadget hai or ise repeater bhi kaha kata hai.

Signal Booster

Trick #7. Make Phone Call Using WiFi:

Agar aapko mobile me network problem ho rahi hai or kisi kaam se aapko urgent call karni hai to aap Wi-Fi ke help se call kar sakte hai. Aap ke ghar me Wi Fi router connected hai or aap broadband connection use karte hai to aap WiFi router feature ko turn on kar WiFi se mobile ko connect kar ke easily call kar sakte ho.

WiFi router se aap call karne ke sath message, SMS bhi send kar sakte ho. Iske liye aapko mobile signal ki jarurat nahi padegi. Iske liye bas aapko router ka wifi on kar phone ko isse connect karna hai.

Call Using WiFi Signals

Trick #8. Find Nearest Tower:

Agar aapke mobile me ek bhi signal nahi aa raha hai or baki sab tricks aap follow kar chuke hai to ho sakta hai aap jis place par hai waha mobile network available hi na ho kyuki waha aaspas kisi bhi company ka tower nahi hoga. Aese me aapko nearest tower ka pata kar uski or jana hoga.

But problem ye hai ki aapko aese time me nearest tower ka pata kaise chalega. So iske liye aap Signal Finder, Finding Cell Towers, Tower Location, Opensignal etc. android apps use kar sakte ho. In me se sabse best app Opensignal hai. Ye mobile application aapki pas ke sabhi tower ka pata lagane ke help karenge or aapke liye helpful sabit honge. Aap easily nearest tower ki location pata kar sakte ho.

Find Nearest Tower

Trick #9. Test Mobile Network System Work or Not:

Mobile me signal na milne, internet connection problem hone ki wajah ye bhi ho sakti hai hai aapke mobile ka network system proper work nahi kar raha ho. Iske liye aap Android USSD Code se easily mobile network system ki performance report check kar sakte ho or ye pata laga sakte hai ki network problem kis karan se ho rahi hai.

I hope agar aapke phone me network system issue hoga to is trick se uski problem solve ho jayegi. Pleas do carefully.

Iske liye aap “*#*#4636#*#*” USSD code use kar sakte ho. Agar aapke radio signal me koi problem hogi to is trick se pata chal jayega.

  1. Dial *#*#4636#*#* in the Dialer.
  2. Ab ek testing menu open hoga usme Phone Information option par click kare.
  3. Ab Run Ping Test par click kare or report check kare.
  4. Drop down me GSM Auto select kare.
  5. Scroll down kare or Trnn Off the Radio par click kare.
  6. Ab apne smartphone ko band kar Restart kare.
Test Network

Trick #10. Try Factory Reset Your Mobile Phone:

Agar upar btayi gayi koi bhi trick aapke liye kaam nahi kar rahi hai or kisi bhi method se aapke phone ki network problem door nahi ho rahi hai to iska matlab hai ki aapke mobile me koi technical issue hai ya koi software application proper work nahi kar raha hai.

Aese me aapko mobile repairing shop par dikhana hoga but usse pahle aap ye trick try kar sakte hai. Kei bar mobile me technical issue aane par agar mobile ko factory reset kar liya jaye to problem solve ho jati hai. Main is trick ko kei bar try kar chuka hu or mujhe humesha positive results mile hai.

So aap bhi mobile ko factory reset kar sakte hai or ho sakta hai aapki koi most problem solve ho jaye or aapko problems solution ke liye mobile repair shop jane ki jarurat hi na pade.

For Android SmartPhone Follow Below Steps:

  1. First apne jaruri Data, Personal Documents, Photos etc. ka Backup bana le.
  2. Mobile ki Settings me jaye.
  3. Factory Data Reset ya Backup and Reset option par click kare.
  4. Backup My Data and Automatic Restore option ko enable kare.
  5. Finally, Reset Phone ya Reset Device par click kare.
Factory Reset Mobile

I’m sure agar yaha btayi gayi koi bhi trick aapke liye work nahi karegi to last factory reset wali trick 99.99% work karegi. So ise try kare or main ummid karta hu ki iske bad aapke mobile me network problem, signal not found ki problem nahi hogi.

Inke alawa bhi aap, Mobile software update karke bhi phone ki network problem theek kar sakte ho. Iske liye aap Mobile Settings >> About Phone Device >> Software Update par jaye or agar available ho to software update kare. Aapke phone me software update mang raha hai or aap kafi time se latest version use nahi karte ho to aapke mobile me network problem hogi or iske liye aapko software update karna hi hoga.

That’s All, Is tarah se aap apne smartphone ki network problem ko solve kar sakte ho. I sure aapko is post me useful and helpful information milegi or yaha btayi gayi tricks me se apni problem ka solution jarur milega or agar nahi bhi milta hai to aap apni problem niche comment box me share kar sakte hai.

Agar aapko aesi hi or jankari chahiye to aap humari ye post padhe.

I hope aapko ye post pasand aayegi agar haa to is post ko social  media par apne friends ke sath share jarur kare taki aapki wajah se kisi or ki bhi help ho sake.

Reader Interactions

Comments (134)

  1. sir blog title 2 jagah a rha h ek jagah sabsr top pe aur ek bich me wo bich wala blog title remove karna hai aur search baar bhi 3 jagah a rha h main posts ke niche wala search baar chhod kar sab remove karna hai search bar bhi. layout se nhi ho rhe .. aur maine html se bhi try kiya nhi remove hue kya kare

    • Blog ki template change karo sari problem solve ho jayegi.

  2. Bhai aap jo blue heading use karte ho wo kaise apne blog me lagau

    • Coding se.

  3. Hello sir, Maine kuch din phele hi apna blog WordPress par banaya hai or sab kuch sahi ja rha tha Pr aaj achanak vo open nahi ho rha thi Na hi WordPress se mai apne blog me login ho par rha tha fir maine go daddy custmor support me contact kiya jaha se maine hosting or domain purchase kiya hai unko maine apni problem btai to unhone mujse kha ki hmare pas to apki website open ho rhi hai or sab kuch thik hai fir unhone mujse kha ki aap konse se internet provider ka use kr rahe hai maine kha ki mai jio ka use krta hu tb unhone mujse kha ki aap kisi dusre network se internet chalayie or fir apni website open kriye fir maine idea se internet chalaya to meri website open hone lgi, pr ab mera saval ye hai ki mai kai dino se apni website jio ke internet se open kr raha tha usko manage bhi jio se kr raha tha to achanak aaj kya ho gya or mai ab jio ke internet se dusri website bhi open kr raha hu vo to open ho rhi hai pr meri website open nahi ho rahi.
    Mai jab bhi apni website ko jio se open krta hu to mujhe ye error aata hai your site can not be reached, DNS server not found.
    Please mujhe iska reason batao.

    • Aapne site ko block kiya hua hai ek bar apne phone ko reset kar fir se net chalao sit open ho jayegi.

  4. Ek question hai ki Maine apne blog me 4 categories add ki hai. Smartphone, Gadget, Camera, TV toh agar main ek new post likhta hoon apple phone ke Baare me toh main usme lable deta hoon (Mobile). aur phir Kuchh dino ke baad ek aur post likhta hoon Samsung Galaxy s8 is Baare me toh us me bhi mujhe mobile label add karna hoga ya kuchh aur suggest me best guideline.

    • Mobile hi use karo.

  5. bhai mere blog ke home page ka description google se automatic change ho kar koi post se kuch line uthakr show karti hai. mai meta description ko set karta hu kuch din google me sahi description show karta hai fir ….kuch din baad ulte sidhe description show hota hai aisa kyu hota hai bro aur iska solution kya hai mera platform blogger hai

    • Google keyword ke hisab se description sohw karta hai. Aap manually ise fix nahi kar sakte.

  6. Adsense for Custom Search me lagaye gaye ads ko hum kaise analysis kare ? Uska data mujhe adsense account me nahi found ho raha !

    • Go to adsense home >> Performance reports >> Common reports >> Products and see CSE reports.

  7. sir mera adsense approve to ho gya tha lekin jab maine blog par ads laga liye uske kuch din baad insufficient conten ki vajah se account disapproved ho kya ab me ads hata du kyonki ads ki jagah par blank blocks dikhayi de rahe hai.

    • yes ad hata do or blog par achhi post likh kar traffic badhano uske bad fir se apply karo.

      • Thankyou sir
        sir mujhe aapse kuch sawaal or puchne hai
        1. agar me aapke blog me guest post share karu to aap use kitne din me publish karoge.
        2. sir jab main aapke blogpost me comment karta hu to reply aane par mujhe uski natification kyo nahi milti

        • 1. Next day ya time mil jayega to usi din kar dunga but maine guest posting band kar rakhi hai so unique post honi chahiye.
          2. kyuki main notification service use nahi karta.

  8. sir shotmeload aur support me india ke templates same hai …nah

    • Haa same hai dono genesis framework use karte hai.

  9. JDK Aap matched content add kyu hata di hai, kuch problem hai kya matched content me.

    • No problem but site ki speed slow hoti hai.

  10. Sir,, Sitemap Re-Submit Karne Se Traffic Me Koi Effect Hota Hain,, I Mean Traffic Down,,

    • Nahi.

  11. very helpfull post sir
    sir word press me seo kaise kare

  12. sir mene uc news me website ke option me apni website ka RSS url ( feeds.feedburner.com/Makehindicom ) likha tha lekin ab bhi uc news me post likhna padta hai .
    kya esa koi option hai jisse hamari website ki new post uc news me direct publish ho agar hai to ye kaha se aayega

    • Aapko post likhne ki jarurat nahi aapki post apne aap index ho jayegi.

  13. Bro blog me kitne keywords add karne chaiye jisse traffic increase ho seo …??

    • Maximum 2.5%

  14. sir please meri site ek baar check kare ki meine adsense ke adssahi lagaye hai because adsense ki mail aayi hai ki hame aapki site par privacy voilence mila hai. LARGE ADS ABOVETHE FOLD ON MOBILE. ye likha aa raha hai.

    • Aapne jo post title ke bad 300×250 size ka ads laga rakha hai uski jagah responsive ya link ads use karo.

  15. Sir main apne blog me tittle ka logo kaise lagau

    Aur dusra question ye hai ki mere kuchh subscriber unverified hain to unhe email verification ke liye remind kaise karwaun

    • Blogger layout option me ja kar kar sakte ho. Jo email unverified hai unhe mail send karo.

  16. क्या भाई कोई आप अच्छा सा टेंपलेट रखे हो क्या आप उससे हमारे पास जीमेल कर सकते हो प्लीज भाई कोई फ्री टेंपलेट रखे हो तो प्लीज हमारी gmail पर मेल कर दीजिए और नीचे जो क्रेडिट आता है किसी किसी भी वेबसाइट से हम डाउनलोड करते हैं तो उसका क्रेडिट आ जाता है तो उसे प्लीज रिमूव कर दीजिए अगर आपके पास कोई टेंपलेट हो तो प्लीज जीमेल कर दीजिए और हमें बताइए क्या आप हमें कोई जीवन मेल कर रहे हैं या नहीं

    • Mere pas aesi koi template nahi hai lekin main iske bare me post kar dunga usme 5-10 acchi template ke bare me btaunga.

  17. SIR +2254****** ESE NUMBER KESE LETE H

    • Iske bare me aap google me search kar koi post padh lo.

  18. Bhai mera AdSense account approved nahi ho raha hai baar baar copyright content likha aa raha hai jabki mene kuch copy nahi kiya bss google image k ab ap bta sakte hai me kaise thikh karu ye problem 89 post kr chuka hu me apne blogs pr kiase find karu konsi post image copyright hai plz help me bro

    • Wo message mujhe dikhao.

      • ye hai bro dekho or apna email bhi send kr dena bro.

        • Aapke blog par Copyrighted materil hai. Aap jo bhi content copy kiya hai use delete kar do.

          • Bhai ap kaise pat karu kon kon si post copyright hai 90 post me se plz tell me how to edit this post copy Right material

          • Amaan blog admin ko pata hota hai ki usne kiski post copy ki hai.

          • Bhai ager me saari post draft me daal du fir 15 20 post he approved karu fir adsense lgau laga jayega kya bhai ase drft post ko to index nahi karega na

          • Aapke aesa karne par error 404 ayega so sarifully.

  19. sir koe aisa tips jiss se hum 2-3 min main hazarooe hindi janne wali ke emaills per apni post share karsake aur is google engine aur adsense ko problem be na ho

    • Iske liye aap paide email service use karo like awevar, mail chip.

  20. Bro Jaise Computer Ke Charome Broswer Me Add To Home Se Kuchh Bhi Desktop par Kar Lete hai, Waise Hi Aisa Tarika Mozila me nahi hai, To Kuchh Upay Hai To bataye

    • Mozilla me chrome se kam feature hai. Aap btao aapkoa kya dd karna hai uska solution bta dunga.

      • Sim card show nahi ho raha band ho gaya h help me