Aapko ye to pata hi hoga ki ab mobile number ko aadhar card se link karna jaruri hai. Agar aap aesa nahi karte hai to aapki mobile sim band ho jayegi. Isiliye agar aapne abhi tak apne mobile number se aadhar cnumber ko link nahi kiya hai to ye post padh kar abhi kar lijiye. Is post me phone sim ko aadhar se link karne ki puri jankari hai.
Government ne ab bahut se kaamo ke liye aadhar card require kar diya hai. PAN CARD, BANK ACCOUNT, MOBILE NUMBER etc. me aadhar card juda hona jaruri hai. Har work ke liye aadhar card jaruri hai. Aap Identity card se le kar other kai tarah ke proof ke liye iska istemal kar sakte ho.
Agar aapko nahi pata ki aapka aadhar card mobile number se link hai ya nahi to pahle aap humari Mobile Number Aadhar Card Se Link Hai Ya Nahi, Kaise Pata Kare post read kar iske bare me pata kar le. Agar aapka mobile number pahle se aadhar se link hai to aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi or agar nahi hai to ye process follow kare.
Mobile Number Se Aadhar Card Ko Link Kaise Kare
6 February 2024 se pahle aapko apni sim ko aadhar card se link karna hoga warna aapki sim band ho jayegi. Is process se aap online aadhar card ko mobile number se link kar sakte hai.
Step 1:
Sabse pahle aap aadhar card ki official website UIDAI.GOV.IN par jaye or Verify Email/Mobile Number option choose kare.
- Verify Email/Mobile Number option par click kare.
Step 2:
Ab jo page khulega usme aapko aadhar card number, mobile number enter karne hai.
- Aadhar Number: Apna 12 digit ka aadhar number add kare.
- Mobile: Apna mobile number add kare.
- Security Code: Security code enter kare.
- Get One Time Password: Ab Get One Time Password OTP Button par click kare.
Step 3:
Ab aapke mobile number par ek OTP (One Time Password) aayega wo aapko yaha verify karna hai.
- OTP password enter kare.
- Verify OTP par click kare.
Congratulations! ab aapka mobile number aadhar card se link ho chuka hai. Agar aapke phone par OTP message nahi aaye to iska matlab aapka mobile number link nahi hua hai. Aese me aap niche btayi method follow kare.
Is tarah se aap aadhar card ko mobile number se connect kar sakte ho.
Note:- Agar is process se aap aadhar card ko mobile number se link nahi kar pate hai to aapko nimn tariko se aadhar cnumber ko mobile number se link karna hoga.
- Aap apne nearest aadhar card enrollment center ja kar mobile number link karwaye.
- Ya fir aap online aadhar card correction form download kare or apni details fill karke nearest aadhar card enrollment center ja kar submit kare.
Agar aapke paas-pas koi aadhar card enrollment center nahi hai to aap form bhar kar use is address par send kar sakte hai.
UIDAI post box no. 99 Banjara Hills, Hyderabad 500034 India
I hope aapko ye jankari pasand aayegi. Agar haa to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.
thakur aman singh
sir aapka blog bahut he kaam ka hai mujhe hamesha aapke blog par apne kaam ke post mil jati hai sir aaapke blog ko subscribe kaise karege mujhe karna hai.
Jumedeen khan
Open this link https://www.supportmeindia.com/subscribe
Anjali
mera purana wala mobile number kho gaya hai jiske sath adhar card mera link tha, ab naye mobile number se adhar card kaise link karu ?
altaf
banking par bhi post likhi mobile number ko adhar se link kaise kare bohut hi badiya jankari di hai apne thanks
saurav
sir kya hum ek aadhar card se do mobile number link kar sakte h ?
Jumedeen Khan
Nahi.
Ashish
Bahut he acchi jankari bhai. Shukriya 🙂