Website ka responsive hona google search results me top ranking ka main factor hai. Same wese hi google adsense se good earning karne ke liye responsive ad units istemal karna sabse behtar hai. Google responsive adsense ad units ke liye publisher ko recommend bhi karta hai kyuki ye jyada clear hote hai or isse device screen ke size ke anusar ads show hota hai.. But responsive ads fully responsive nahi hote or mobile and desktop dono me hi proper work nahi karte. So aaj main aapko responsive ad unit ko or jyada responsive banane or adsense revenue badhane ki kuch tips bta raha hu. In tips se aap apni adsense earning increase kar pahle se jyada paise kama sakte ho.
yes it’s true, main sach kah raha hu yaha btayi gayi tips se aap responsive ad unit ko or bhi jyada responsive and visible bana sakte ho. Actually, problem ye hai ki adsense ka jo responsive ad unit hota hai wo computer, mobile, smartphone, tablets and other devices me proper work nahi kar pata or adsense publisher ko kafi loss uthana padta hai.
So aaj main aapko responsive ad units ko or adhik Workable, Visible, Clear and Perfectly load hone ke layak banane ki tips bta raha hu. Agar aap direct adsense responsive ads use karte hai to ye post aapke bahut kaam aayegi.
- Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye
- Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tips
Google adsense ad units ko edit karna allow nahi karta but google ye bhi kahta hai ki agar aapki site par responsive ad units sahi se kaam nahi kar raha hai to aap ad code ko modify kar sakte ho. Aap CSS coding se ad code ko edit kar or jyada responsive bana sakte ho so don’t worry is trick se adsense Policy Violation nahi hota.. So chaliye ab main topic par aata hai. Ye work thoda danger hai so aap carefully follow kare.
Table of Contents
AdSense Responsive Ad Units Se Jyada Paise Kaise Kamaye
Mostly, aapne dekha hoga ki responsive ads 768*90 and 468*60 Horizontal banner ke size me jyada show hota hai. Mobile screen me bhi ye size 320*100 and 320*50 size ka banner show hota hai jo ki desktop and mobile device kisi bhi user ke liye effective nahi hota.
India ke top blogger Amit Agarwal ka kahna hai ki Rectangle ads sabse better hote hai. Main is bat se 100% agree hu. Automatically responsive ad units se rectangle ad units jyada achha hai.
Second problem, agar aap custom ads use karte ho to user ke ad blocker sue karne par ad place ki jagah white space show hoga or isse site ka design unprofessional lagta hai. Show hume kisi trick se responsive ad unit ko rectangle ad unit me modify karna hai or all device screens me fit ad show karna hai. Let’s Start,
Earn More Using Responsive Adsense Ad Units:
1. Make Horizontal, Vertical and Rectangle Responsive Ad Unit:
Ye formula sabse best hai or sabse jyada adsense user ise use karte hai. Is formula se responsive ad ko 336*280, 300*250 rectangle ad me show kar sakte ho. Iske liye aapko bas ad code me data-ad-format=”auto” me “auto” ki jagah “rectangle” likhna hoga.
- Normal adsense default responsive ad code is type ka hota hai.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
<!-- Ad title -->
<ins class="adsbygoogle"
style="display:block"
data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxx"
data-ad-slot="xxxxxxxxxx"
data-ad-format="auto"></ins>
<script>
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
</script>
- Ab isme aap
data-ad-format="auto"
tag value ki jagahdata-ad-format="horizontal"
, data-ad-format=”vertical” ordata-ad-format="rectangle"
value set kar sakte ho.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
<!-- Ad title -->
<ins class="adsbygoogle"
style="display:block"
data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxx"
data-ad-slot="xxxxxxxxxx"
data-ad-format="rectangle"></ins>
<script>
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
</script>
But sawal ye hai ki konse ad format me kis size ke ad show honge or aapko kons ad unit kaha kis place par use karna chahiye. Iske bare me aap in points se samajh sakte ho.
- Horizontal: Horizontal data-ad-format choose karne par responsive ad screen ke anusar 970*250, 970*90, 728*90, 468*60, 320*100, 234*60 size ka ad show hoga. Agar aapko horizonal banner ad lagane ahi to ye formula try kar sakte ho. Iska istemal mostly above, middle and below post content par hota hai.
- Vertical: Vertical ad mostly sidebar ke liye best hota hai. Is ad format me 300*600, 300*1050, 160*600, 120*240 size ke ad show honge. Show ad unit ke anusar ye ad sidebar ke liye better hai.
- Rectangle: Rectangular ad in teeno me sabse best format hai. Is format me 336*280, 300*250, 250*250, 200*200, 180*50 and 125*125 size ke ad show hote hai. Ye ad format post content me ad karne kel iye sabse best hai.
Ye responsive ad units ko or jyada responsive and effective banane ki sabse best trick hai. But abhi bhi aapko ek problem hogi jo ki har type ke responsive ad unit me hoti hai. WO hoti hai minimum size ke mobile device me responsive ad unit ka proper show nahi hona. Main iske bare me bhi aapko bta raha hu.
2. Make More Visible Responsive Ad Units with CSS:
Jaisa ki main upar bta chuka hu ki google CSS code se responsive ad unit ko modify karna allow karta hai to aap ad code ke CSS code me minimum and maximum width set kar sakte hai. Aapko style="display:block"
ki jagah CSS code se minum and maximum wdith set karni hai. Iske liye aap ye format follow kare.
<style> .smi_responsive_ads { width: 320px; height: 100px; } @media(min-width: 500px) { .smi_responsive_ads { width: 468px; height: 60px; } } @media(min-width: 800px) { .smi_responsive_ads { width: 728px; height: 90px; } } </style> <script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script> <!-- smi_responsive_ads --> <ins class="adsbygoogle smi_responsive_ads" style="display:inline-block" data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxx" data-ad-slot="xxxxxxxxxx"></ins> <script> (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); </script>
Is example ki tarah aap responsive ad unit ko desktop, mobile and tablet screen ke liye modify kar sakte ho. Iske liye aap adsense par jao or new responsive ad unit create publisher ID and Uinit ID ko copy kar is code me paste kare uske bad is code ko copy par apne blog me use kar sakte ho.
data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxx"
isme apni publisher ID add kare.data-ad-slot="xxxxxxxxxx"
ki me apne ad unit ki ID add kare.<!-- smi_responsive_ads -->
yaha apne ad unit ka name ad kare.
Yaha btayi gayi width ko aap apni requirement ke anusar change kar sakte ho. Code ko modify karne me bad ek bar chec kar le uske bad siteppage ke HTML source me yaha aap jaha bhi ad unit use karte ho waha add kar de. Aap chahe to alag se CSS coding add kar bhi ad width control kar sakte. Iske liye aap ye formula follow kare.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
<!-- Ad title -->
<ins class="adsbygoogle"
style="display:inline-block;min-width:400px;max-width:970px;width:100%;height:90px"
data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxx"
data-ad-slot="xxxxxxxxxx"
data-ad-format="auto"></ins>
<script>
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
</script>
Is tarah se aap responsive ad units ko edit kar or jyada responsive bana sakte ho. Ad unit modify kar aap upar btaye steps ke ausar place par ad code paste kare. I sure aapki site par pahle se better ad performance milega or ad pahle se jyada clear display honge.
- Google Adsense Me Ad Balance Feature Ka Istemal Kaise Kare
- Online Blogging Kar Ke Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye
Is trick se aapki site par har device me ad unit clear show honge or aapko pahle se jyada clicks milenge. Agar aap ek se jyada ad unit ko edit karna chahate ho to aap same process ko follow kar sakte ho. Iske bare me adhik jankari ke liye aap adsense help forum ke How to Modify Your Responsive Ad Code page par visit kar sakte ho.
VIJENDRA SINGH
Hii sir
me aapka teesra wala code add kar raha hu to wo post se sidebar tak show ho raha hai uska size kaise kam karu
Jumedeen Khan
max-width set karo.
TARUN SHARMA
hii sir,
website se sabhi adsense code hatane ke baad bhi blog par ads show hoti hai | pls help ?
and. my adsense CPC is 0.02$ itna kam CPC kyon hai sir .. mera blog abhi approve hua hai adsense ke liye 10 days phale hi |
Please help in this Regards
Jumedeen Khan
Browser caxche clear kar check karo.
High paying keywords par content likho.
muhammad raza
aapne es post me jo bataya ki auto ko rectangle ya vertical kar sakte hai. kya ye adsense ka policy voiletion nahi hai. kyuki adsense ne aisa kahin nahi bataya hai. agar bataya hai, to please link send kare. aur sahi bat bataye. please…. kyuki mujhe aisa lagta hai ki ye adsense ke rules ke khilaf hai.
Jumedeen Khan
Dear raza, first aap puri post padhe main already bta chuka hu ki ye adsense policy ka violation hai or ye aap apni risk par kare. but agar aap adsnese ads ko more responsive banate ho to adsense aapke account ko ban nahi karega. For proof, main last 2 year se rectangle ad format use kar raha hu aap meri site patr ads ka source code check kar sakte ho.
Dipak vasava
Nice information.!!
Mera Kal hi Adsense approval hua hai abhi tak me site pe 49 content likh chuka hu or ab me all artcile me ad lagana chahta jispe mujhe acchi CPC mile, maine code to copy kar liya hai or usko me maine post>>html me save kar le update kar diya but ad show nahi ho rahi hai Adsense>>home page>>menu>>my ads me ja raha hu to jo ad Maine banayi hai uske samne ” NEW ” likha hua aa raha hai or dusri 2 ad active hai to kya new ki jagah ” ACTIVE ” hoga tab ad show hogi agar ha to kitni der me active ho jayegi or no to mere Maine aesa kya kiya jiski wajah se mujhe new or ad show nahi ho rahi hai, please help.
Jumedeen Khan
Ad code blog me add karne ke bad 10 to 20 minutes me proper work karta hai. Aap sahi se code add karo or kuch time wait karo ad show hone lag jayenge.
Abhishek Kumar
hello bhai mene google adsense ka account nahi liya to kya m adnow ke add use kar sakta hu kya ye fake to nahi h
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
Abhishek Kumar
thank you bhai reply karne ke liye
satendra
jume deen bhai 3 question he meri samaz nahi aa raha he kya karu help me.
1st kal raat ko maine mere adsense ki earning $9+ ho gayi thi or morning me dakha to $6 hi thi aisa kyon.
2nd me apni wordpress website me ribbon theme use kiya tha maine usko kuchh edit kiya tha achha work kar rahi thi but ab usme me koi widget add or css add karta hun to work karta or widget jab add karta hun to add ho jata he fir kuchh time baad default ho jata he.
3rd search console me maine ye is type ka sitemap add kiya he /sitemap_index.xml web pages to submitted aata he but index nahi ho raha he 4 din ho gaye.
plz bhai reply.
Jumedeen Khan
1. Ye sabke sath hota hai.
2. Theme ko fir se upload karo or sahi se customize karo.
3. Acha content likho jaldi index hoga.
satendra
jume deen bhai adsense se related sawal hai plz reply.
1st mera adsesne disable ho gaya tha to maine se apne bro ke name banaya he to kya me uska payment apne bank a/c me le sakta hun.
2nd invalid click activity form kitne ctr par adsense team submit karna chahiye.
3rd meri ek site par adsense ke ads the but wo adsense disable ho gaya agar us site par fir se ads laga diye to adsense disable to nahi ho jayega.
Jumedeen Khan
Nahi jiske name se adsense account hai usi ke name se account me payment milega.
No limit. apa khud click mat karo no problem.
Nahi hoga. apa kar sakte ho but jjis glati se adsense disable hua hai wo mat karna.
satendra
bhai kya aisa koi tool (plugin) jisse me apni site ko open karu to mujhe ads show nahi hone chahiye or mera previews bhi count nahi hona chaiye.
Jumedeen Khan
A blocker use karo. preview count honge.
vaibhav ugale
agar me apni website ko subdomain se connect karoo jaise ki blog.mywebsite.com to uspe adsense approove ho jayega
Jumedeen Khan
Nahi adsense aapko example.com se hi approve karna hoga uske bad subdomain site par ad laga sakte ho.
Sarvjeet singh
Sir mera nam sarvjeet hai aur mai apse puchna chata hu ki mera blog ka URL http://www.sabkuchjaniyeinhindi.blogspot.com hai Maine abhi .com nai kharida hai to kya mai AdSense me like apply kar sakta hu answer me sir plzz
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho. custom domain le loge to achha hoga.
imran
bhai JDK Kiya Hindi Text Ki Website Pe Google Adsense Ka Approval Mile Jayega Kiya ?.
or Website Kitni Old Honi Chahiya .
Jumedeen Khan
Yes mil jayega please check this psot for more information Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
Kunal bhaiya
Hello sir,
Mere website ki agar 10,000 daily page view aa rahe hai, To meri Adsense earning kitni Joni chahiye
Jumedeen Khan
Adsebse earning aapke pageviews par click user engagement or aapko milne wale ad click or CPC par depend karti hai.
Deepesh
Hello jumedeen sir meri adsense earning 0.20 se 0.50 hai jo ki 250 pageview par bhi etni Thi or ab 1000 pageview hone par bhi itni hi hai
Jumedeen Khan
Main already adsense CPC badhane ke bare me kei post likh chuka hu wo check karo.
pardeep singh
hello sir kon sa ad unit more effictive for . mtlb jis per high cpc mile
Jumedeen Khan
Responsive.
Kalpesh Damor
Sie Mere Ek Dusare blog me adsense ka ad show hota hai lekin mera blog par ad show nahi hota kiya wajah ho sakti hai, Jo mene blog delete kar diya tha aaj wo blog restore karke ad code dala toh ad show ho gaya, mere samaj me nahi aata
Jumedeen Khan
Google jis blog ka review karega us blog par ads show hone lag jayenge aapka us blog ka review complete ho gaya hoga.
anupam srivastava
Sir ek baar mera blog dekho usme “internet ki puri jankari hindi me” Asa kuch text dikha rha hai asa kou? Or sir maine adsense m apni blog ko ad krke 5-6 dn phle ad create krke lgaya tha abhi tk koi email nhi aaya kitna time lgega ya fr m step to glt follow nhi kr rha plz help sir
Jumedeen Khan
Aapki template me ye source code add hai blog ki template me jao or ye text search kar delete kar do. Wait karo google ke aapki site ka review complete karne ke bad ad show hone lag jayenge.
Zishan Ali Gulzar
Sir,,, SSL certificate ke bare post likhiye na
Jumedeen Khan
Ok jaldi hi iske bare me post karunga.
Vakil
hello jumedeen bhai mere site per 2000 pageviw hai firbhi adsense se 0.10 _20 hi earn ho rahe hai please check my site or Maine sabhi ads post ke html me lagaye hai matlab post ke andar html section me usse koi problem to nahi hogi please check jumedeen bhai
Jumedeen Khan
Main adsense earning increase karne ke bare me kafi post kar chuka hu wo follow karo. No problem.
MD SABAN
Hello jumedeen bro and bloggers, mujhe ek problem face karni pad rahi hai. 10 February Ko Maine Adsense ke liye apply Kiya tha. Aur ad Apne website ke head section me Laga diya tha. Aur Adsense me dikha Raha tha ki 3 days lagenge review karne me. Aur fir mere pas ek email Aya ki successfully verified ho gya h aur first ad create kariye. Lekin aaj 17 February hai aur jab bhi main Adsense me login krta hu tab bhi dikhata h ki 3 days lagenge review karne me. Pls koi bateyga mai kya karu
Jumedeen Khan
Saban kei bar adsense site review me jyada time lagata hai. Aap ek bar adsense par jao or my ad par click kar check karo ki aapke dwara jo ad units blog me add ki gayi ha iwo active hai ya nahi agar nahi to fir se ad unit create kar blog me add karo.
MD SABAN
Bhai… Ad units par to click hi nahi ho Raha…ads unit create nhi ho Rahi hai bro….Only home aur settings ka option h bas…Pls help
Jumedeen Khan
Ad units par click kyu nahi ho raha hai. Aap borwser cache delete kar ya kisi or browser me try karo.
Khushboo
blogger par subdomain add kar sakte hain ya nahi
Agar ha to kaise blogger par subdomain bana sakte hai
Jumedeen Khan
Ek blog par nahi aapko domain site par subdomain add kar new blogger me sub domain add karna hoga.
Abhinav Ranjan Jha
ha blogger me subdomain add kr skte hai
Jumedeen Khan
Yes but iske liye aapko kafi settings akrni hogi. Sumdomain domain settings me DNS record ki help se add karna hoga or us par new blogger blog set karna hoga.
Ritika Sharma
Really adsense bhi responsive ad format ko use karne ki advice dete hai! Please aap aage bhi adsense se related jankari bhari post karte rahiyega !
Rupesh
mera ek sawal tha maine 2 sal phehele ek domain liya tha vo 1 sal pehele expired ho gaya ab vo phirse avaliable hai to jo purane 404 errors honge vo vapas se is domain pe ayenge kya
Jumedeen Khan
Ab tak us domain ke URL delete ho chuke honge aap wo domain le sakte ho.
Aryan raj
Sir Jaise cloudfare Me Account Banane Ke Bad Usse Domain Name Server Se Replace karna padta hai,Agar Domain Me Jo Nane Server Pahle se hai, Usse hatakar Ye name server Laga Denge, to site ruk nahi jayegi, Kya Mujhe Samjh Me Nahi Rahi ,Cloud Fare ka Name server add Karunga to Site Band na Ho jaye
Jumedeen Khan
Domain settings me aapko sirf name server add karna hai baki koi DNS record add nahi karna hai. Nahi site stop nahi hogi work karegi.
yashdeep vitthalani
Aapko fir se ekbar pareshaan kar raha hu
mere website ka rank 4lakh 22 thousand ho gaya hai abhi tak site launch nahi kiya hai
to mene domain ko forward kar diya hai ek wordpress k blog main to aage koy bad effect to nahi aayega na
Jumedeen Khan
No problem.
Yashdeep Vitthalani
Thanks
domain ko with masking karu to user ko pata nahi cahlenga ki dusri jaga pe redirect ho raha hai
Lekin us ki url ban jayegi baad main problem aa sakta hai
To direct redirect karvaya hai
radhe gour
sir aapki website ke footer me kuch cheje nahi dikh rahi hai
vaise mera sbaal ye tha ki purane post ko update karke homepage me kaise la sakte kya iske liye date change karna padega
Jumedeen Khan
Check carefully sab sahi se show ho raha hai. WordPress hai to post sticky karo or blogger hai to post ki date change karni hogi.
Hussam Ansari
thanks for answering my questions bro mai blogger se wordpress par shift to kardiya lekin mere search engine aur social media k post redirect nai horahe error 404 not found bata raha hai mai code use kiya redirect karne ka lekin phr b same problem kya mai wordpress par posts ki permalink change kardu.
Jumedeen Khan
Social media ki post redirect nahi hogi.
md kamran
jume deen khan bhai Jan assalamualaikum
bhai aap ye bataiye aapne jo money mail jaisi site k baare me bataya but bhai ye to scam hai kyonki na hi koi email Mil rahe hai na koi verification code maine ek member ko add kiya apni link se uski bhi payment nahi mili
are aapko batana tha to kisi sahi site ki jaankari dete bataiye ab main kya karu aapke reply ka intezaar hai
Jumedeen Khan
Kamran wo PPC site hai pay per click par kaam karti hai. Main post me already bta chuka hu ki aap jyada jankari ke liye sites ki terms read kare.
chandan Kumar
Bhai please please ek help kardo Maine YouTube channel changes kiya tha chandan arya se Tech To Hindi lekin 7 months ho gaya search me Tech To Hindi likhne par search me kisi aur ka aata hai
Aur old name chandan arya search karne par Tech To Hindi aata hai kya kare plzz jume deen please Kaise tech to Hindi search hoga
Jumedeen Khan
Main youtube channel or video ko top me lane ke bare me post kar chuka hu aap humari youtube wali post padhe.
arif
bhai ap wordpress par kon sa plan use kar rahe free ya paid
Jumedeen Khan
VPS server paid plan.
INDERJEET SINGH
hello jumedeen bro jo aapne header me adds lagaye hai ushka size kitna hai
Jumedeen Khan
Responsive
sudesh kumar
bhai mene ads ko edit keya tab se massage aa rah hai
In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites you don’t own. To avoid lost revenue, make sure to add these sites to your verified sites list in Site Management.
ye kya hai
Jumedeen Khan
Iska solution is postm e hai Kisi Site Me Aapke Adsense Ad Code Use Hone Par Kya Kare
sudesh kumar
bhai jo is post me apne setting batai hai bo already hui hai mere adsense account me .
bese ye hua q hai or isse adsense block to nahi hoga
Jumedeen Khan
No problem.
joni
1.bhai ye batao ki youtube par vedeo kis formate me use karu(mp4,3gp ya other)
Jumedeen Khan
Mp4 720p is best format.
Kalpesh Damor
Hello Sir Ad sense account approved ho gaya Aur Code bhi active bata rahe fir bhi ad show nahi ho rahi hai, kiya muje wait karna padega ya fir koi problem ho toh bata do toh me thik kar du
Jumedeen Khan
Abhi wait karo google ke apaki site ka review complete karne ke bad ads show hone lag jayenge.
Jasimuddin
Blog me template se page views kam ya jyada show karte hai kya ? mene ek template use karke dekha jo page views ho raha hai dusri template me jyada page views ho raha hai. kaise ye hota hai ?
Jumedeen Khan
Template ke fast laoding hone par jyada traffic milta hai.
rahul
Bro hame blogger mobile version me search bar add karna hai or category to WO kaise kare ….?? Ho nahi raha
Jumedeen Khan
Apna sawla google me search karo iske bare me coding post mil jayegi.
Asween
Me Adsense ke through earning increase karna chahta hu so me aapke dwara batai gai tips ke anusar apni ad unit me jarur change karunga or unhe or bhi responsive banaunga
rakesh
sir blog me border add karme ke liye apne jo code bataya tha ussey. jab me mozilla firfox me open kar rha hu toh border a rha hai. lekin other kisi.bhi browser me border show.nhi ho.rha hai aisa kyu. wo code ye tha css wala-
.site-infobwrap,.site-infobwrap a {
color: #fff;
}
article {
border: 1px solid #bbb;
padding: 5px;
Width: 305px;
}
kya kare sir please bata dijiye.
Jumedeen Khan
Dusre browser me site ko ctrl+f5 button se refresh karo.
rakesh
sir main mobile me blogging karta hu. aur mobile me maine bahut baar blog ko refresh kar liya lekin only crome browser me hi border arha hai. koi aur tarika bataiye sir ya fir koi aur code bataiye.
Jumedeen Khan
Rakesh chrome browser me cache file delete karne ke turant bad site ka latest version show hota hai UC browser me nahi. Aapki site me chrome me border show ho raha hai to no problem. Kuch day bad cache file delete ho jayegi or sabhi browser me border show hone lag jayega.
Hussam Ansari
Jumme deen bro ek sawal hai blog ko blogger se wordpress par shift karne ke baad search engine me phr se sitemap banakar add karna padega kya.
Jumedeen Khan
Yes blog or sitemap ko for se sumbit karna hai.
sasi kumar
Hai bro, I have a big problem in google webmaster tools. My theme url https://zybermedia.net/wp-content/themes/Newspaper/ got 500 internal server and search engine visits decreases day by day. How to fix this error without any htaccess change?. Can i contact my hosting provider for resolve this error?.
Jumedeen Khan
Yes you contact oyur hosting provider. After talking it over, do not trouble then tell me.
ketan danidhariya
Hello bhai abhi mera bank account me Swift code nahi hai, to kya me koi aur bank ka Swift code use kar sakta hu, aur me ek aur baat batadu ki meri bank local hai jiski vajah se swift code fi facility avalible nahi hai, Mera bank account (Tha Varachha Co.Oprative.Ltd) me hai. to kya me najdik ki Sbi bank ka Swift code use kar sakta hu. plz muje bataye aur me UCNews se Earn kiya gya payment Apne Account me lena chahta hu.
Jumedeen Khan
yes nearest bank ka swift code use kar sakte ho.
Dev Rathore
Sir aap abhi blog par font kounsa use kar rahe hai.
Jumedeen Khan
fauna one
shubham
Bhai mera blog Jo WordPress.org me hai WO google sitemap me submit nahi ho raha hai .ye error as raha hai.
General HTTP error: 404 not found
HTTP Error: 404
Or
Your Sitemap appears to be an HTML page. Please use a supported sitemap format instead.
1
Bhai yoast seo me ye error aa raha hai.
Your homepage cannot be indexed by search engines please help me Bhai.
Jumedeen Khan
Isme ek link diya hua hai us link par click karo open hota hai ya nahi or ek bar fir se yoast se ose sitemap generate karo.
Himanshu
jumedeen bhai, mere blog par kisi ne multiple add click kar diya jisse account 30days k liye suspend kar diya gaya…30day pure ho gaye fir v add nahi aa rha he, kya karu
Jumedeen Khan
Thoda or wiat karo ho jayega fir bih na ho to google ko mail send karna.
RUSHEEK
Achi jankari he dost
Himanshu
aap itni sari information kaha se le ate ho rlly to good
yash chouhan
hello bhai, mene wordpress par whatsapp status ki site banai hai..sir me aisa kya karu ki status par whatsapp share button bhi add kar saku…is tarha ka.
Jumedeen Khan
Yash aap plugin use karo ya koi aesi theme use karo jo whatsapp status ke liye bani ho.
yash chouhan
sir mene plugin us kiya likin usse to post link share ho rahi hai…mujhe status share karne wala plugin chahiye….kya aap mujhe plugin ka link denge…
sir ye ek site hai muje aisa share button chahiye–
mobile par open karne par whatsapp share ata hai…
Jumedeen Khan
Ye share button direct social site se liye gaye hai. Aap bhi bana sakte like facebook button ke liye ye script use karo
developers.facebook.com/docs/plugins/like-button
fawad chaudhry
sir “google ke bari main 8 tips ” post hain meri sath aap ko send karta hu publish karo gi…!!!guest post
Jumedeen Khan
Ok kar dunga.
sudesh kumar
bhai me blogger ribbon theam use kar raha hu . ye theam bahut se log use kar rahe hai . maine isko kafi change karne ki kosis ki hai . plz ap bataye ki kya me isme koch or edit kar sakta hu ya mene ise ache se edit kar leya hai. or kua ye kuch% bhi ribbon se alag hai ya nahi.
Jumedeen Khan
Aap blog me header, logo, footer, footer widgets add karo or font-family bhi change karo.
kamlesh Parihar
Sir maine blog ke liye analytics account banaye 1 mahina ho gaya. kaafi changes kiya phir bhi page views show nahi ho rahe hai aur na meri all post bing search me aa rahi hai. google me bhi mein post search me aane me 10 -15 days lag jaate hai. kya aap meri log in id check kar ke bata sakte hai ki mere blog me kya problem hai. plz sir
Jumedeen Khan
Aap analytics property ko rmeove kar fir se new account create kar blog submit karo or bing webmaster tool me apna blog and sitemap dono submit karo.
kamlesh Parihar
sir jee 2 baar property delete kar ke dekh li. aur bing me sitemap submit kiye 15 days se jyada ho chuke hai. aur post bhi indexed ho chuki hai.
Jumedeen Khan
Iska matlab aap analytics code ko blog me add nahi kar pa rahe ho. Analytics script and code do method deta hai aap dono se try karo. Bing se
vitthalani yashdeep
hamare 1964+ subscribers hai hum aapke blog ko apne channel main dikhaye to aap vo video apne blog main dalenge hum aapki tarif hi karenge video main
Jumedeen Khan
Dear yashdeep agar aapko lagta hai ki main aapki help karta hu or aapko mere bare me video banani chahiye to aap dil se banao. Second aapki video mere cotnent se related hogi to main wese hi aapki video ko mention kar dunga uske badle aapko mere liye video banane ke liye nahi kahunga.
Hussam Ansari
blogger se wordpress par import karne par blog me ye code show horaha hai.
Warning: Class __PHP_Incomplete_Class has no unserializer in /home/content/n3pnexwpnas02_data02/94/3814494/html/wp-content/object-cache.php on line 894
Jumedeen Khan
Blog me se cache plugin ko remove karo or cpanel me ja kar wp.config.php me jao or chache file ki coding ko delete kar fir se plugin install karo.
kavya
hy sir mere blog ka traffic 10 dino seh 5,000 , 6,000 kam hogya hai kya aap bta skty hai kya karan hai ples sir help kro.
Sir ples mera blog check krky btao kya problem hai sir mera blog ye hai customertollfreehelplinenumber.in
Jumedeen Khan
Aapke blog me problem nahi hai. 7 february 2017 ko google algorithm update huyi hai so sabka traffic kam hua hai. Aapke blog me koi pop up box ho to hata dena.
kavya
sir ye problem kab tak solve hogi and mai kaise check kar sakti hu ki meri site pe pop up hai ya nahi
Jumedeen Khan
No idea google ne is bare me abhi tak btaya nahi hai. Aapki site par popup nahi hai no problem.
kavya
sir customercaresupportinfo.in bhi mera blog hai ispe popup hai ya nahi plz bata do and hamara traffic wapas aaja yega na sir ya nahi
Jumedeen Khan
Nahi is par bhi popup nahi hai.
kavya
sir ji maine dekha ki aap super cache use karte ho and main apne blog pe w3 total cache use karta hu and mere dono blogs pe load jada hai aap meri help kar sakte hai usko optimize karne me
Jumedeen Khan
Iske bare me maine mozedia.com par post likhi hai use check kar lena.
Rijwan
Awesome Post
ketan danidhariya
hello bhai me bhi Uc news me post Karta hu pehle mere sab post Approve ho jate the, par abhi kuch dino se mere post accept nahi ho rahe hai to kya koi problem hogi ya sirf mere post hi approve nahi ho rahe hai, pehle to ekdam achha chal raha tha.
abhi mene kul milakar 60 dollor kamaye hai, total 8 lakh se bhi uper view hai aur karib 10,000 followers hai to bhi kya problem ho sakti hai plz muje jarur bataye.
Jumedeen Khan
Aap ek bar uc news ki terms padh le sab samajh aa jayega. Do smart work + Hard work.
sudesh kumar
bhai kya post title ke niche ads honi chahiye ya nahi .
me post title ke niche responsive ads lagata hu to bo proper show nahi hoti means bo text ke upaer show hoti hai or custom size bali thik se show hoti hai.
Jumedeen Khan
Laga sakte ho but proper show hona chahiye. Ye problem aapko theme coding se solve karni hogi. Aap ye code use kare
sudesh kumar
hum 1 ads code se kitni ad lga sakte hai
Jumedeen Khan
Jitni aapko jarurat ho.
Nishaant
Great write-up really.
but ek question hai ki apne blog ke lite HTML sitemap kaise banao. koi post batayein jisse mujhe help mile.
Jumedeen Khan
First aapke pas xml sitemal hai to aapko html sitemap ki jarurat nahi. Secon aap html sitemap generator tool se bana sakte ho.
Ramkisha
Aapke Duaara bataye gaye ads unit ko use karne pr adsense me koi effect toh nahi padega mtlb block na ho jaye
Jumedeen Khan
Already post me bta chuka hu ki carefully code edit karo or source code bhi de chuka hu, aap dek hsakte ho ki google kya kahta hai.
naval
Jumedeen Khan bhai
Kya aap mughe blogg ki all setting kar ke de sakte h pura setup
Suru se goole sarch me lane tak
Help me sar
Rajsthani
Jumedeen Khan
Iske bare me main article likh chuka hu aap follow kar sakte ho. Aaj main kar dunga but google ki terms humesha update hoti hai 1 year me 500 to 600 bar so kab tak dusro se karwaoge khud sikh lo taki future me kaam aa sake.
Hussam Ansari
jumme deen bro mera ek sawal hai mai blogger se wordpress par blog import kiya to blog me uper side ek code show horaha hai post me wo kyu horaha hai
Jumedeen Khan
Less question kya code show hota hai uska screenshot ya text kuch btaoge to hi solution btaunga.
rakesh
bhai koi tarika batao ye category,blog title rrmove karne kanremove nhi ho rha h leyout de bhi nhi html se bhi nhi ho rha hai. please sir ye mat eehna template change karo ye aaccha tempalte bhut mushkil me mila hai sir koi aur tarika batiye plese.. jo last me blog title name a rha hai aur ‘category’ ye dono aur blog ‘search your blog’ ka search baar bhi a rha hai ye kaise remove kRe.
Jumedeen Khan
Rakesh, final answer main designing nahi blogging karta hu. So please coding se related main aapki limit hi help kar sakta hu. Iske bare me main aapko already kah chuka hu.
Nitin
Man lijiye mujhe apne blog me dost ke youtube video use karane hai to kya mai apne dost ka youtube video ko blog me use kar sakta hu.?
Ise blog adsense par jo koi fark nahi padega na?
Jumedeen Khan
yes kar sakte ho no problem.
keshav
sir, kya adsense ads side by side use kr skte h? text link ads
kuch website side by side ads lgate hai
Jumedeen Khan
Main janna chahunga ki aapa side by side se yaha kya matlab hai kyuki ho sakta hai aapko matlab kuch or ho main jawab kuch or du. So explain please.
Satyam Patel
Hello sir mera ek saval hai plz mujhe javab jarur dena
Blog me header logo kaise add karte hai kya hum ese kahi se buy karke lagana padta hai ya khud esko banana padta hai mai jo bhi logo apply kar rha hoon vo clear nhi aa rhi hai plz help me sir
Jumedeen Khan
Iski jarurat nahi hai aap khud photo editor se bana kar laga sakte ho.
Satyam Patel
Sorry sir jab mai photo editor se photo banata hoon aur jab mai use use apply karta hoon to photo perfect nhi aata plz mujhe ye bataye ki uske liye photo ka size kya rahega?
Jumedeen Khan
Blog par logo set karo uske bad check karo ki aapke blog par kis size ka logo fit hoga fir usi size ka banao.