Website ka responsive hona google search results me top ranking ka main factor hai. Same wese hi google adsense se good earning karne ke liye responsive ad units istemal karna sabse behtar hai. Google responsive adsense ad units ke liye publisher ko recommend bhi karta hai kyuki ye jyada clear hote hai or isse device screen ke size ke anusar ads show hota hai.. But responsive ads fully responsive nahi hote or mobile and desktop dono me hi proper work nahi karte. So aaj main aapko responsive ad unit ko or jyada responsive banane or adsense revenue badhane ki kuch tips bta raha hu. In tips se aap apni adsense earning increase kar pahle se jyada paise kama sakte ho.
yes it’s true, main sach kah raha hu yaha btayi gayi tips se aap responsive ad unit ko or bhi jyada responsive and visible bana sakte ho. Actually, problem ye hai ki adsense ka jo responsive ad unit hota hai wo computer, mobile, smartphone, tablets and other devices me proper work nahi kar pata or adsense publisher ko kafi loss uthana padta hai.
So aaj main aapko responsive ad units ko or adhik Workable, Visible, Clear and Perfectly load hone ke layak banane ki tips bta raha hu. Agar aap direct adsense responsive ads use karte hai to ye post aapke bahut kaam aayegi.
- Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye
- Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tips
Google adsense ad units ko edit karna allow nahi karta but google ye bhi kahta hai ki agar aapki site par responsive ad units sahi se kaam nahi kar raha hai to aap ad code ko modify kar sakte ho. Aap CSS coding se ad code ko edit kar or jyada responsive bana sakte ho so don’t worry is trick se adsense Policy Violation nahi hota.. So chaliye ab main topic par aata hai. Ye work thoda danger hai so aap carefully follow kare.
AdSense Responsive Ad Units Se Jyada Paise Kaise Kamaye
Mostly, aapne dekha hoga ki responsive ads 768*90 and 468*60 Horizontal banner ke size me jyada show hota hai. Mobile screen me bhi ye size 320*100 and 320*50 size ka banner show hota hai jo ki desktop and mobile device kisi bhi user ke liye effective nahi hota.
India ke top blogger Amit Agarwal ka kahna hai ki Rectangle ads sabse better hote hai. Main is bat se 100% agree hu. Automatically responsive ad units se rectangle ad units jyada achha hai.
Second problem, agar aap custom ads use karte ho to user ke ad blocker sue karne par ad place ki jagah white space show hoga or isse site ka design unprofessional lagta hai. Show hume kisi trick se responsive ad unit ko rectangle ad unit me modify karna hai or all device screens me fit ad show karna hai. Let’s Start,
Earn More Using Responsive Adsense Ad Units:
1. Make Horizontal, Vertical and Rectangle Responsive Ad Unit:
Ye formula sabse best hai or sabse jyada adsense user ise use karte hai. Is formula se responsive ad ko 336*280, 300*250 rectangle ad me show kar sakte ho. Iske liye aapko bas ad code me data-ad-format=”auto” me “auto” ki jagah “rectangle” likhna hoga.
- Normal adsense default responsive ad code is type ka hota hai.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
<!-- Ad title -->
<ins class="adsbygoogle"
style="display:block"
data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxx"
data-ad-slot="xxxxxxxxxx"
data-ad-format="auto"></ins>
<script>
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
</script>
- Ab isme aap
data-ad-format="auto"
tag value ki jagahdata-ad-format="horizontal"
, data-ad-format=”vertical” ordata-ad-format="rectangle"
value set kar sakte ho.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
<!-- Ad title -->
<ins class="adsbygoogle"
style="display:block"
data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxx"
data-ad-slot="xxxxxxxxxx"
data-ad-format="rectangle"></ins>
<script>
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
</script>
But sawal ye hai ki konse ad format me kis size ke ad show honge or aapko kons ad unit kaha kis place par use karna chahiye. Iske bare me aap in points se samajh sakte ho.
- Horizontal: Horizontal data-ad-format choose karne par responsive ad screen ke anusar 970*250, 970*90, 728*90, 468*60, 320*100, 234*60 size ka ad show hoga. Agar aapko horizonal banner ad lagane ahi to ye formula try kar sakte ho. Iska istemal mostly above, middle and below post content par hota hai.
- Vertical: Vertical ad mostly sidebar ke liye best hota hai. Is ad format me 300*600, 300*1050, 160*600, 120*240 size ke ad show honge. Show ad unit ke anusar ye ad sidebar ke liye better hai.
- Rectangle: Rectangular ad in teeno me sabse best format hai. Is format me 336*280, 300*250, 250*250, 200*200, 180*50 and 125*125 size ke ad show hote hai. Ye ad format post content me ad karne kel iye sabse best hai.
Ye responsive ad units ko or jyada responsive and effective banane ki sabse best trick hai. But abhi bhi aapko ek problem hogi jo ki har type ke responsive ad unit me hoti hai. WO hoti hai minimum size ke mobile device me responsive ad unit ka proper show nahi hona. Main iske bare me bhi aapko bta raha hu.
2. Make More Visible Responsive Ad Units with CSS:
Jaisa ki main upar bta chuka hu ki google CSS code se responsive ad unit ko modify karna allow karta hai to aap ad code ke CSS code me minimum and maximum width set kar sakte hai. Aapko style="display:block"
ki jagah CSS code se minum and maximum wdith set karni hai. Iske liye aap ye format follow kare.
<style> .smi_responsive_ads { width: 320px; height: 100px; } @media(min-width: 500px) { .smi_responsive_ads { width: 468px; height: 60px; } } @media(min-width: 800px) { .smi_responsive_ads { width: 728px; height: 90px; } } </style> <script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script> <!-- smi_responsive_ads --> <ins class="adsbygoogle smi_responsive_ads" style="display:inline-block" data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxx" data-ad-slot="xxxxxxxxxx"></ins> <script> (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); </script>
Is example ki tarah aap responsive ad unit ko desktop, mobile and tablet screen ke liye modify kar sakte ho. Iske liye aap adsense par jao or new responsive ad unit create publisher ID and Uinit ID ko copy kar is code me paste kare uske bad is code ko copy par apne blog me use kar sakte ho.
data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxx"
isme apni publisher ID add kare.data-ad-slot="xxxxxxxxxx"
ki me apne ad unit ki ID add kare.<!-- smi_responsive_ads -->
yaha apne ad unit ka name ad kare.
Yaha btayi gayi width ko aap apni requirement ke anusar change kar sakte ho. Code ko modify karne me bad ek bar chec kar le uske bad siteppage ke HTML source me yaha aap jaha bhi ad unit use karte ho waha add kar de. Aap chahe to alag se CSS coding add kar bhi ad width control kar sakte. Iske liye aap ye formula follow kare.
<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
<!-- Ad title -->
<ins class="adsbygoogle"
style="display:inline-block;min-width:400px;max-width:970px;width:100%;height:90px"
data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxxxxx"
data-ad-slot="xxxxxxxxxx"
data-ad-format="auto"></ins>
<script>
(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
</script>
Is tarah se aap responsive ad units ko edit kar or jyada responsive bana sakte ho. Ad unit modify kar aap upar btaye steps ke ausar place par ad code paste kare. I sure aapki site par pahle se better ad performance milega or ad pahle se jyada clear display honge.
- Google Adsense Me Ad Balance Feature Ka Istemal Kaise Kare
- Online Blogging Kar Ke Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye
Is trick se aapki site par har device me ad unit clear show honge or aapko pahle se jyada clicks milenge. Agar aap ek se jyada ad unit ko edit karna chahate ho to aap same process ko follow kar sakte ho. Iske bare me adhik jankari ke liye aap adsense help forum ke How to Modify Your Responsive Ad Code page par visit kar sakte ho.
Himanshu
aap itni sari information kaha se le ate ho rlly to good
yash chouhan
hello bhai, mene wordpress par whatsapp status ki site banai hai..sir me aisa kya karu ki status par whatsapp share button bhi add kar saku…is tarha ka.
Jumedeen Khan
Yash aap plugin use karo ya koi aesi theme use karo jo whatsapp status ke liye bani ho.
yash chouhan
sir mene plugin us kiya likin usse to post link share ho rahi hai…mujhe status share karne wala plugin chahiye….kya aap mujhe plugin ka link denge…
sir ye ek site hai muje aisa share button chahiye–
mobile par open karne par whatsapp share ata hai…
Jumedeen Khan
Ye share button direct social site se liye gaye hai. Aap bhi bana sakte like facebook button ke liye ye script use karo
developers.facebook.com/docs/plugins/like-button
fawad chaudhry
sir “google ke bari main 8 tips ” post hain meri sath aap ko send karta hu publish karo gi…!!!guest post
Jumedeen Khan
Ok kar dunga.
sudesh kumar
bhai me blogger ribbon theam use kar raha hu . ye theam bahut se log use kar rahe hai . maine isko kafi change karne ki kosis ki hai . plz ap bataye ki kya me isme koch or edit kar sakta hu ya mene ise ache se edit kar leya hai. or kua ye kuch% bhi ribbon se alag hai ya nahi.
Jumedeen Khan
Aap blog me header, logo, footer, footer widgets add karo or font-family bhi change karo.
kamlesh Parihar
Sir maine blog ke liye analytics account banaye 1 mahina ho gaya. kaafi changes kiya phir bhi page views show nahi ho rahe hai aur na meri all post bing search me aa rahi hai. google me bhi mein post search me aane me 10 -15 days lag jaate hai. kya aap meri log in id check kar ke bata sakte hai ki mere blog me kya problem hai. plz sir
Jumedeen Khan
Aap analytics property ko rmeove kar fir se new account create kar blog submit karo or bing webmaster tool me apna blog and sitemap dono submit karo.
kamlesh Parihar
sir jee 2 baar property delete kar ke dekh li. aur bing me sitemap submit kiye 15 days se jyada ho chuke hai. aur post bhi indexed ho chuki hai.
Jumedeen Khan
Iska matlab aap analytics code ko blog me add nahi kar pa rahe ho. Analytics script and code do method deta hai aap dono se try karo. Bing se
vitthalani yashdeep
hamare 1964+ subscribers hai hum aapke blog ko apne channel main dikhaye to aap vo video apne blog main dalenge hum aapki tarif hi karenge video main
Jumedeen Khan
Dear yashdeep agar aapko lagta hai ki main aapki help karta hu or aapko mere bare me video banani chahiye to aap dil se banao. Second aapki video mere cotnent se related hogi to main wese hi aapki video ko mention kar dunga uske badle aapko mere liye video banane ke liye nahi kahunga.
Hussam Ansari
blogger se wordpress par import karne par blog me ye code show horaha hai.
Warning: Class __PHP_Incomplete_Class has no unserializer in /home/content/n3pnexwpnas02_data02/94/3814494/html/wp-content/object-cache.php on line 894
Jumedeen Khan
Blog me se cache plugin ko remove karo or cpanel me ja kar wp.config.php me jao or chache file ki coding ko delete kar fir se plugin install karo.
kavya
hy sir mere blog ka traffic 10 dino seh 5,000 , 6,000 kam hogya hai kya aap bta skty hai kya karan hai ples sir help kro.
Sir ples mera blog check krky btao kya problem hai sir mera blog ye hai customertollfreehelplinenumber.in
Jumedeen Khan
Aapke blog me problem nahi hai. 7 february 2017 ko google algorithm update huyi hai so sabka traffic kam hua hai. Aapke blog me koi pop up box ho to hata dena.
kavya
sir ye problem kab tak solve hogi and mai kaise check kar sakti hu ki meri site pe pop up hai ya nahi
Jumedeen Khan
No idea google ne is bare me abhi tak btaya nahi hai. Aapki site par popup nahi hai no problem.
kavya
sir customercaresupportinfo.in bhi mera blog hai ispe popup hai ya nahi plz bata do and hamara traffic wapas aaja yega na sir ya nahi
Jumedeen Khan
Nahi is par bhi popup nahi hai.
kavya
sir ji maine dekha ki aap super cache use karte ho and main apne blog pe w3 total cache use karta hu and mere dono blogs pe load jada hai aap meri help kar sakte hai usko optimize karne me
Jumedeen Khan
Iske bare me maine mozedia.com par post likhi hai use check kar lena.
Rijwan
Awesome Post
ketan danidhariya
hello bhai me bhi Uc news me post Karta hu pehle mere sab post Approve ho jate the, par abhi kuch dino se mere post accept nahi ho rahe hai to kya koi problem hogi ya sirf mere post hi approve nahi ho rahe hai, pehle to ekdam achha chal raha tha.
abhi mene kul milakar 60 dollor kamaye hai, total 8 lakh se bhi uper view hai aur karib 10,000 followers hai to bhi kya problem ho sakti hai plz muje jarur bataye.
Jumedeen Khan
Aap ek bar uc news ki terms padh le sab samajh aa jayega. Do smart work + Hard work.
sudesh kumar
bhai kya post title ke niche ads honi chahiye ya nahi .
me post title ke niche responsive ads lagata hu to bo proper show nahi hoti means bo text ke upaer show hoti hai or custom size bali thik se show hoti hai.
Jumedeen Khan
Laga sakte ho but proper show hona chahiye. Ye problem aapko theme coding se solve karni hogi. Aap ye code use kare
sudesh kumar
hum 1 ads code se kitni ad lga sakte hai
Jumedeen Khan
Jitni aapko jarurat ho.
Nishaant
Great write-up really.
but ek question hai ki apne blog ke lite HTML sitemap kaise banao. koi post batayein jisse mujhe help mile.
Jumedeen Khan
First aapke pas xml sitemal hai to aapko html sitemap ki jarurat nahi. Secon aap html sitemap generator tool se bana sakte ho.
Ramkisha
Aapke Duaara bataye gaye ads unit ko use karne pr adsense me koi effect toh nahi padega mtlb block na ho jaye
Jumedeen Khan
Already post me bta chuka hu ki carefully code edit karo or source code bhi de chuka hu, aap dek hsakte ho ki google kya kahta hai.
naval
Jumedeen Khan bhai
Kya aap mughe blogg ki all setting kar ke de sakte h pura setup
Suru se goole sarch me lane tak
Help me sar
Rajsthani
Jumedeen Khan
Iske bare me main article likh chuka hu aap follow kar sakte ho. Aaj main kar dunga but google ki terms humesha update hoti hai 1 year me 500 to 600 bar so kab tak dusro se karwaoge khud sikh lo taki future me kaam aa sake.
Hussam Ansari
jumme deen bro mera ek sawal hai mai blogger se wordpress par blog import kiya to blog me uper side ek code show horaha hai post me wo kyu horaha hai
Jumedeen Khan
Less question kya code show hota hai uska screenshot ya text kuch btaoge to hi solution btaunga.
rakesh
bhai koi tarika batao ye category,blog title rrmove karne kanremove nhi ho rha h leyout de bhi nhi html se bhi nhi ho rha hai. please sir ye mat eehna template change karo ye aaccha tempalte bhut mushkil me mila hai sir koi aur tarika batiye plese.. jo last me blog title name a rha hai aur ‘category’ ye dono aur blog ‘search your blog’ ka search baar bhi a rha hai ye kaise remove kRe.
Jumedeen Khan
Rakesh, final answer main designing nahi blogging karta hu. So please coding se related main aapki limit hi help kar sakta hu. Iske bare me main aapko already kah chuka hu.
Nitin
Man lijiye mujhe apne blog me dost ke youtube video use karane hai to kya mai apne dost ka youtube video ko blog me use kar sakta hu.?
Ise blog adsense par jo koi fark nahi padega na?
Jumedeen Khan
yes kar sakte ho no problem.
keshav
sir, kya adsense ads side by side use kr skte h? text link ads
kuch website side by side ads lgate hai
Jumedeen Khan
Main janna chahunga ki aapa side by side se yaha kya matlab hai kyuki ho sakta hai aapko matlab kuch or ho main jawab kuch or du. So explain please.
Satyam Patel
Hello sir mera ek saval hai plz mujhe javab jarur dena
Blog me header logo kaise add karte hai kya hum ese kahi se buy karke lagana padta hai ya khud esko banana padta hai mai jo bhi logo apply kar rha hoon vo clear nhi aa rhi hai plz help me sir
Jumedeen Khan
Iski jarurat nahi hai aap khud photo editor se bana kar laga sakte ho.
Satyam Patel
Sorry sir jab mai photo editor se photo banata hoon aur jab mai use use apply karta hoon to photo perfect nhi aata plz mujhe ye bataye ki uske liye photo ka size kya rahega?
Jumedeen Khan
Blog par logo set karo uske bad check karo ki aapke blog par kis size ka logo fit hoga fir usi size ka banao.