How to Monetize Copyrighted Videos on Youtube? Kya main YouTube par copyright Video, Movies, Films, Songs, TV Serials and other type ke videos upload kar ke monetize kar sakta hu or unse kamai kar sakta hu? Ye ek aesa sawal hai jiska jawab sabhi YouTube partner janna chahate hai. So aaj main aapko YouTube copyrighted issue ke bare me details me bta raha hu ki aap kaise copyrighted videos ko monetize kar sakte ho or unse paise kaise kama sakte ho.
How to Monetize Copyrighted Videos Legally on Youtube – Full Information in Hindi: Actually, har koi chahata hai ki use khud video create na karni pade or wo dusro ki videos YouTube par upload kar earning kar sake. Youtube par aapne ek jaise bahut se videos, movies, films, songs and other category ke videos dekhe honge.
Multiple channels par ek jaise videos dekh kar aapke man me ek khyal jarur aata hoga ki “Kya main bhi YouTube par is tarah ke copyrighted videos upload kar sakta hu?” But aapko iske bare me confirm jankari nahi mil pati ki aap copyright video YouTube par publish kar sakte ho ya nahi.
In this post, Aaj main aapki is bare me sari confusing dur kar dunga or aap achhe se jan jayenge ki YouTube par copyright videos ko kis tarah monetize kiya jata hai or kis tarah unse earnings ki ja sakti hai.
Main already Youtube Par Aap Kis Tarah Ke Videos Upload Nahi Kar Sakte post me YouTube par videos upload karne ke bare me information share kar chuka hu. Aap is post me sikh sakte ho ki YouTube par kis tarah ke videos upload karne chahiye.
Youtube Par Copyrighted Videos, Movies Ko Monetize Kaise Kare
Actually, YouTube par copyright videos or movies upload karna or videos me copyright music, audio, voice add karna illegal hai or aye bat 100% sahi hai. Copyright law ke anusar aapke aesa karne par aap par copyright owner hue amout (bahut jyda paise) ka lawsuit (mukdama) wsue (chala) sakta hai.
Agar aap legally copyright videos ko YouTube par upload karna chahate hai to aapko production house jana hoga or movies producers se online right permission leni hogi.
Filmy industry me seperately ek nichshit commission par online internet par unke product ko istemal karne ki permission di jati hai. If you have money, agar aapke pas paisa hai to aapke liye ye bahut hi easy process hogi.
Aap movies director and owners ko pay karke permission licence le kar movies ko YouTube par legally upload kar sakte ho or unhe monetize karke kamayi bhi kar sakte ho.
Regarding all small channels, Agar hum kuch aese YouTube channel ke bare me bat kare jo illegal way se YouTube par movies upload kar unhe monetize kar lete hai to main aapko kahna chahunga ki inme se koi bhi copyright videos se earning nahi kar pata.
I mean illegal tarike se movies ko monetize kar YouTube se koi income nahi kar sakte. I know bahut se YouTube illegal expert aesa kar sakte hai or fraud tarike se YouTube par movies ko monetize karte hai but ek time ke bad movies owners YouTube ko iski copyright act ke taht report send kar dete hai or inki sari earning movies ke real owners ko de di jati hai.
Youtube already janta hai or publisher ki ID technology se check kar sakta hai ki is video par fingerprints kiske hai. I mean ye video xontent kiska hai or iska real owner koun hai. SO ye bilkul sahi hai ki agar koi illegally movies upload karta hai to usse generate ki gayi money videos owner ko send kar di jati hai.
Maine yaha par jo kuch btaya hai wo applicable or bilkul sahi hai. Youtube hume content ID provide karta hai or isi ID se videos ke owners ka pata lagaya ja sakta hai.
Most of the cases, Aaj ke time me content owners illegal uploading ka claim kar rahe hai or YouTube se bahut se channels ko supended ya blocked kiya ja raha hai. Aapke copyright act ka violation karne par aapka YouTube channel bhi disable ho sakta hai.
Youtube par copyrighted videos upload karna copyright act ke anusar ek crime hai or aesa karne par aapko content owner ka notice bhi mil sakta hai.
Mostly users ke aesa karne par jab content owner YouTube ko uski complaint karta hai to YouTube team uske channels ko humesha ke liye ya 30 days ke liye suspend kar deti hai.
Yaad rakho YouTube google ki hi ek service hai or google ki policy very strict bahut shakht hai. Aap YouTube par kisi or ke copyright video ko bilkul bhi upload nahi kar sakte. Google ise 1% bhi allow nahi karta.
Copyrighted content aap tabhi use kar sakte ho jab aapke pas uska licenses ho. Without licenses ke aap aesa nahi kar sakte. Youtube copyrighting issue ke bare me or jyada jankari ke liye main aapko suggest karunga ki aap YouTube copyright policy read kare.
- Also read: Youtube Videos Ko Monetize or Adsense Se Connect Kaise Kare
- Youtube Videos Ko SEO Friendly Banane Ki Top Best 20 Important Tips
Agar aapke pas content permission lene ka koi idea nahi hai or na hi aap uska pay kar sakte hai to aapke liye behtar hoga ki aap only apne hi create kiye gaye videos YouTube par upload kare.
In my experience, Agar aap apne YouTube channel ko safe rakhna chahate ho to meri aapko personal suggestion hai ki humesha YouTube par khud ki banayi huyi videos hi upload kare or kisi bhi tarah ke illegal work se bache.
I hope is post ko padhne ke bad aapko YouTube copyright issue ke bare me sabkuch samajh aa gaya hoga. So ab apna 5 second ka time nikal kar is post ko social media par share jarur kare.
Sir hamare channels par 4copyright claim aya hai to kya channels monetize ho jayega
Sir main Hindi cartoon video ko Bengali mein chhodana Chahta Hun YouTube per lekin kya karna padega ? Please help me
Sirji namaste. Aachi jankari share karne ka shukriya. Mai foreign filmo ka explaination wala hini video bana kar youtube me dena chahta hu. Jaise 15 min me poori foreing film ko hindi voice over me dekh sun lo. Iske liye kya copyright lena hoga. Kaafi aise youtube videos hai. Unka kya tarika hota hai.
Nahi, aap apne hisab se review de sakte hai.
Sir mere videos me copyright claim h not copyright strike to kya usse earning ho sakti h agar ha to kese plz reply
नहीं, इससे आपकी सारी एअर्निंग विडियो owner को चली जाएगी
Hello sair .. me yeh puchna Chahta Hu ki YouTube par news chanal ki video jese 5 mint 8 mint ki video ….me Apne chanal pr apload karta Hu to kya copyright lag Jayega plz sair btao
Mere videos par jab se copyright lga hai tb se automatically viwer kam ho rhe hai asa kyu
Me ager YouTube se movie buy kar ke mere YouTube channel par upload karu to copyright clim thodi hoga
Sir kya main kinemaster ya powerdirector se YouTube video edit kar raha hoon to agar watermark aayega to kya copyright lag jayega please reply
nahi lagega.
Sir ji namaste aap kaise hai sir kal maine 1video YouTube pe upload kiya tha lekin video upload hone ke thodi der bad YouTube ne inappropriate removed kar diya maine video me film ki comedy scene edit kiya tha kyu isliye mera video remove ho gaya please reply me
हां, आप किसी और का विडियो इस्तेमाल नहीं कर सकते
Sir maine ek video bnai hai or edit ki par usme album song ka use kaise kr skta hu bina copyright ke
इसके लिए आप song खरीदना होगा
copyright free background music, sound effect kha se download kre aur kaise use kre…
music suspance, mysterious, jaise honi chahiye…
Sir Mera Ek You Tube Channel Hai Desi Hadoti Fan Club Sir Us Channel Me Maine Bar Bar Ad Per Click Karne Se Channel Monetize Nhi Ho Pa Rha Hai To Sir Aap Mujhe Iska Solution Btawo ME Aapke Reply Ka Wait Karunga.
इसका सलूशन यही है कि आप अपने ऐड पर क्लिक मत करो
Sir mere Youtube channel per subscriber or watch nhi aa rhe or na hi view nhi aa rhe hai kuch upaye Bataye sir
अपने विडियो को शेयर किया करो
Sir mere 11000 subscribe h or mere channel par ek bhi copyright video nahi। h fir bhi mera channel monetization nahi ho Raha h please reply
क्या प्रॉब्लम होती है वह बताओ
Song par copyright Aata Hai
हां आता है
Bhai mene ik glti toh kr di h mene copyright vedios ko upload kiya aur bad me dlt kr diya bt 3 bar se jyada bar aa gya toh kya mera channel monotize nhi hoga …
Bhai bhut confusion me hu 864 subscriber ja chuke h veiws bhi bhut h kya kru channel dlt krne ka man nhi h music channel h mera
Mujhe koi idea do ba kaise apne channel ko bachahye plzz bhai help me
हां अगर 3 बार से ज्यादा copyright strike मैं तो आपका चैनल डिलीट हो जाएगा। 3 से कम है तो आप को प्राइस वीडियो को डिलीट करके अपने को जारी रख सकते हैं, कोई नहीं होगी कॉपीराइट स्ट्राइक एक्सपायर हो जाएगी।
Sir mera youtub pr comedy videos h use songs ki vjh se copyright ho gya h usko kese htaye 5 videos h. Koi solustion h kiya…. Plz solustion
copyright video ko delete kar do.
Bhai,Hamara video agar koi or use kare to hame kaise pata chalega
youtube video me pata chal jayega.
Agar khud ka video banakar upload kru to earning hogi?
Yes, khud ke banaye video se hogi.
Sir, YouTube me creative common video kya hai, kya Mai uske video KO upload Kar Kamai kar sakte hai. Pls reply.
Yes kar sakte ho lekin usse earning nahi hogi.
Production house se permission kese le
Contact him.
Kya copyright free video Wala YouTube channel monotize ho ya h Kya plz reply me
हो जायेगा
sir youtub par ager copyright aaye or us video ko delete kar de to baad mai to humara channel safe hai na.
mera matlab baad mai to hum usse money earn kar sakte hai na………..
humare channel par kitni baar copyringht aa sakta hai…
mera matlab kitni baar tak aane par safe hai…..
mujhe puri jankari do plz… sir
3 bar se jyada copyright aane par problem hoti hai.
Sir main youtube per koi cartoon videos upload karta hu to copyrites claim aa jata lekin dusro ke channel par same wahi video uploaded rahta to unko claim aata hoga main kaise videos upload karu ki claim na aye
Aap khud video bana kar upload karo kisi aur ke video ko nahi.
Mai copyright Video dalata hu
Contact I’d ka dava milta hai
Lekin mere khate ka koi effect nhi padta hai
Youtube pe mere video chalata rhta hai
Koi rok nhi aata hai
Sari kamayi copyright ke malik ko jati hai
Mujhe kya karu
Plzzz help me sir
Kya mera channel monetization hoga
Kya mai kabhi bhi bhi kamayi kar skta hu
Mai aage kya karu
Aap bataye
Aap dusre ki video ko monetize nahi kar sakte, khud bana kar video dalo tab monetize kar earning kar sakte ho.
Sir
Mene dekha he dusro ke chanel par jab vo kisi ke content use karte he to description me Attribution me kuch organization ke name dete he
Or credit me koi website ke address hote he,
Sir mera sawal he to ye youtub chanel walo ne un organization, website owner se personaly permission li hoti he ya fir bas without permission add kar dete he.
Sir plz reply I’m waiting your ans.
Ye bat video owner hi bta sakta hai. kuch log bina permission ke bhi kar dete hai.
Mujhe Aik bat bataye man le ki mera channel mysterious stories pe kam karta hai mai back me apni avaj deta hu aur dusro ke videos us aik kahani par lagata hu to copywright higa.
agr hn description me us channel ka de do jaha se hm video uthaye the kyoki mysterious videos uthane hi pdti hai is banaya nhi ja skta.
Isse video owner aapke channel ko strike de sakta hai.
Sir YouTube licence kaise buy karen…. Stranded YouTube licence kaise kharide or khana se plz reply
Standard licence buy karne ki jarurat nahi hai. Jab aap youtube par koi video upload karte ho to wo automatically standard licenece ke sath upload hota hai. Means use koi uar youtube par upload karega to copyright issue hoga.
Bahi mujhe aap se ek sawal hai
Sawal ye hai ke video manegar file se Mera phele copyright content show karta tha ke ye copyright huya ya Nahi
Lekin ab main video manegar me jata hun to direct YouTube page khul jaa raha hai iska samajh me nahi aa raha kaise kya huya hai please aap bataye
Phele copyright notice BHI dikha raha tha ab nahi dikh raha hai
Aap youtube ka new version use kar rahe ho old version use karo same feature mil jayenge.
Sir mene video khud bnai thi party me or upload kr di , uska copy right kyu dhikra hai
Video me copyright music hoga.
Bhai,Kya reaction Wale Video pe Copyright Nhi aata hai,Kya mai aise Videos Upload kar Sakta hun
Yes kar sakte ho.
Agar Main koi video edit karke upload karta hu Youtube pe or copyright owner claim kar deta hai or meri video block ho jaati hain or Usi video ko koi aur copy karke upload kar deta hai with out take copywrite owner permission or uski video abhi tak youtube hai koi claim nhi kiya uspe or usne bilkul meri video copy karke upload kardi maine usme editing ki thi usne same vaise hi upload kar di
Jiski video owner report karega usko problem hogi, aap owner ko uske bare me bta sakte ho.
Hello sir Movie Clips Use kar ke kya kya video bana saku jo earning ho plz reply
Sir kiya hum movie se 30 second take ka video cut kar YouTube par dal sakte h Maine suna h 30 second take ka video copyright nahi hota dusra sawal kiya hum satta matka par video bana kar dal sakte h koi problem to nahi hogi
Google ke hisab se nahi dal sakte. satta matka ka mujhe pata nahi.
Sir kiya ham kisi movi se 29 29 second ka video cut kar 1 video banakar YouTube par dale to copyright aayga ya nahi
Yes hoga.
Sir standard you tube licence wale video ko creative commens licence mai kaise upload kare jisse copyright strike na aaye please help me*
hello jumedeen bhai maine new song ka ek youtube channel bnaya h lekin usme new song kaise upload karu bina copyright ke
Bina copyright ke nahi kar sakte.
Sir ye jo copyright video ka notice ayega ye humare YouTube ke notification pe ayega ya jab hum is video ko share karege tab dikhayega or
sir mara ko ye janana hai ki itne sare logg YouTube par video upload karte hai or unke background music jo hota hai wo bhi tu copyright hua na tu YouTube iss jasi video ko upload kase kar data hai or agar koi or tarika hai tu plz hume bataye ki kiss tarah se hum YouTube pe background song upload kar sakte hai plz sir
Youtube par pahle ek feature tha video creator ka jisse hum kisi bhi music ko video me add kar dete the to wo copyright nahi hota tha. Lekin ab wo feature youtube se remove ho gaya hai. Better hai aap khud ka music use karo.
amit bhdana apne video me song use krta he “tu chiz lajwab tera koi na jwab”” kya ye copyright nhi h??plz tell me
Kuch songs aese hai jo youtube par available nahi hai ya creative common licence ke sath uload kiye jate hai, unhe use kar sakte ho lekin dusre ka content use karne se future me problem ho sakti hai, aur aapko strike mil sakti hai so risky kaam mat karo.
Sir kya talking tom ki video apni aawaaz me banakar daal sakte hai you tube me.. Aisa karne se koi copyright issues ho sakta hai kya sir….. Please… Reply me
Dal sakte ho but aesi video dekhega kaun.
Dear Bro.
Copyright Video me …
Video ki Speed kam karke,
Audio me pitch ko kam kar volume tez kar..
Or clip art logo lagakar..
Youtube pe uplod karte hai to kya copyright hogi…
Dear youtube team aapse bhi intelligent hai.
हेलो सर मेरा नाम अजय है सर मैं यह जानना चाहता हूं कि कॉपीराइट जो वीडियो है अगर उसके मालिक से उस से परमिशन लेनी हो तो इसके लिए क्या करना होगा सर वीडियो के जो ओनर है उस से परमिशन किस तरह ली जा सकती है इसके बारे में प्लीज जानकारी दें
Usse contact karo.
Jume deen bhai mujhe aapse ye puchhna hai ki main jo khud ke banaye hue video upload karunga vo youtube par mere naam se ya mere channel ke naam se apne aap copyright ho jayegi ya apne video ka copyright pane ke liye apply karna hoga……..mere khud ke banaye hue video ko koi use to nahi kar payega…?…..pls bhai kuchh bataye
Aap standard licence ke sath video upload karo koi copy nahi kar sakta. Karega to use warning mil jayegi.
hello Jumed bhai
nice post, bahut hi helping h un logo k liye jinke mn me youtube content creation or youtube marketing success ko lekar bahut se sawal hote h. yah ek or article h jo hamare Hindi readers ke liye youtube k bare me kaafi helpful ho sakta h
thanks again for share it.
Sir, Pehle youtube ke Create button 3 option the.
Audio liabray
Music policy
Vedio
Ab vedio ka option nahi hai. Please eske bare main batayen Kya ye hta Diya hai ya Kuch or hi reason hai
Pl help me
Yes youtube ne ye option hata diya hai, because log iska istemal galat tarike se kar rahe the.
My channel pr copyright aagi h 1 bar koi dekat to nahi bro Adsense pin aagyga bato koi parsani to nahi hogi plz help me
No problem but 3-4 aea hone par aapka channel suspend ho jayega. So ab se galti mat karna.
Bro mera pahla bar apply kiya hua pin code aa gya prantu mai 3 bar adsense ke liye apply kar chuki thi to kya use dalkar verify kar lu ho jayega koi problem nhi n hoga
Yes kar sakti ho. 3no psots me same code hota hai.
Sir ek hi youtube id pr dusra chennel creat krne ka b option hota h. Agar hum 2 chennel bnakr kam kre to sahi se chalega . Or adsense ke liye same e mail id dono me rhegi ya dusri banani pdegi?
Look here Ek Google Account Se Multiple YouTube Channel Kaise Banaye
Hello sir,
Kya hum apni videos ko mobile me video editor se edit krke us application me diye hue stickers and music tunes ko use kr skte h? Bina kisi copyright issue ke?
Like mane viva video me apni khud ki video ko edit kiya h or uske andr kuch funny voice music voice etc h wo use ki h.
Koi problem to nhi hogi?
Agar music copyright hai to problem hogi warna nahi.
Hello sir…
Subject- use of copyright images in app.
Sir agr mai app me educational copyright images ka video bne ke Meri voice k sath us topic ko explain krti hu to mere pe kis type ka copyright claim hoga??? Plz reply
हां बिलकुल image owner ऐसा कर सकता है
Bro dubara bhi apply kar diye adsense verify pin nhi mila post office me puchhe rahe hai to postman bola jada emergency hai to registeri number btao to aage pta kar sakte hai.
To aap hame ye btaye ki google ne jo post mere address par bheja hoga uska bhi to koi registration number hoga .
To o registri number kha se or kaise pta kare
Please help me
Aap postman ko google adsense pin post ki internet se image download kar dikha do ki is type ka post aayegai. Mail aane me 20 to 35 day bhi lag sakte hai.
I really appreciate your writing style, it’s really a great information, thank you for posting this post.
Hello sir
Mere channel par 10000 veiw aa gaye hai but mera channel montage nahi ho raha h baki absence account sab complete ho gaya h to me kya karu….
Aap 1-2 day bad try karna ho jayega.
Kya me amazon affilate ki link se us product ki image download karke mere youtube channel ke video ma wo image use kar sakti hu? Kya ye bhi copyright claim ho sakta hai?
Tina kisi or ka koi bhi content ho wo copyright ho sakta hai baki youtube par dekho to har channel par aese video mil jayenge. Aap bhi use kar sakti ho but mere kahne se nahi apni marzi se use karo.
Kya google se images lekar videos banai hui copyright mani jayegi? Meri video beauty product ke liye hai to me uski image google se lekar banaugi to copyright nahi ayega ?
yes copyright ho sakti hai
Bro aaj 15/06/2017 ko meri adsense me $10.46 ho gya or likh raha hai your payment are currently on hold because you have not verified your address. To abhi tak pin nhi aaya hai to verify kaise kare pin kab aayega please btaye
Aap PIN ke liye 3 bar apply kar sakte ho. Aapke apply karne ke bad pin milenge me 30 day tak lag sakte hai. Agar aap 3 bar pin verify nahi kar sako to direct documents se address verify kar sakte ho. Iski jankari yaha hai Without Pin Code Adsense Address Verify Kaise Kare
Bro 30 din ho gya pin code nhi mila dubara apply kaise kare kha se suru kare samajh me nhi aa raha hai. Please help me
Same isi tairka se karna hai jaise first kiya tha.
Arthat fir se adsense account me apna pura address details dalkar adsense approval karwana hoga
2 monetization uske bad associate an adsense account me jana hoga kaise ese hi kare n
Arthat fir se apne youtube channel को adsense account se jodne ke liye apply karna padega or address dal kar application submit karna hoga
Bro kya esa karne par monetization fir se sare video se hat jayenge to fir us bar ki tarah bahut problem hogi usbar to aap kar diye the fir wahi problem aajayega to hum kya karenge bda muskil lag raha hai please help me bro
Bro suru kha se kare dubara adsense apply karne ke liye detail se likh kar btaye. Youtube ke throw kha par jaye samajh me nhi aa raha hai. Dar lag raha hai kahi pin enter option bhag n jaye please btaye bro
This is my last request help help…. pleased………bro
No worry reshu aap jab adsense homepage par jaogi to aapko address verify ka alert dikhayi dega ya fir aap payment option me ja kar address verify kar sakte ho. Mere adsense me address verify hai or uske option show nahi hote so iska screenshot nahi dikha sakta.
Bro maine 10 din tak apni channel open nhi ki khi kam me ulajh gye the to jab mai aai to open karke videos upload kar rahi hu to video upload ho hi nhi rha hai. Upload pending likh de raha hai mai 2 din se presaan hu please help me bro meri net slow bhi nhi hai kya kare
2kya kya changing aa gai hai youtube or adsense me btaye
Aap mobile me youtube ki desktop version site open karke upload karo ho jayega.
Bro youtube app se aasan padta tha upload karna please aap mujhe app se hi load ho jane ke liye upaye btaye kya ab mobile app se upload nhi hoga video ko8 to upay hoga n ek video ko mai desktop se karke dekh rahi hu prantu aap mujhe app se upload ki upay btaye
Ye youtube ki problem hai youtube developer ise theek kar denge tab tak aap site se hi upload karo.
mene dekha hai ki…bohot log ek jaisa hi movie trailer upload karte hai.. or ye kaam bo bohot time se kar rahe hai fir bhi copyright nahi hota aisa kyo ?
Me AdSense se site ke through earning kar raha hu…to kya youtube pe bhi video dalkar earning kar sakta hu ? dono ek sath ek hi adsense ac. par ?
me thoda acha gana ga leta hu to kya kisi bollywood song ko apni awaz me gakar or apna music dekar video daal sakta hu ?
i’m waiting your replay..
Youtube ki policy change ho chuki hai agar aap kisi or ki video upload karoge to uski earning usi ko milegi aapko nahi. Yes akr sakte ho.
ek hi adsense ac. se site or youtube se kaise earning hogi bhai thoda detail me bata do aap. Me videos bhi banane bala hu..
Aap youtube or blog dono ko ek hi adsense se connect kar sakte ho.
Bro youtube se aai mail ke image or video bnakar aapki contect form gmail par bhej di hu aap meri help kare bro mai bahut mehnat ki thi kya karu mujhse kon si galti ho gai maine to koi copyright material nhi dala fir strick kase lag gya aage kya karna hoga plz help me bro.
Ok main check karke aapko reply kar dunga.
Bro btaiye kya karu. Kya video upload kar sakte hai strick ko htane ka koi to upaye btaiye
Mujhe aapka koi mail nahi mila hai.
Bro ek multiple channel bnai thi jisme kuchh braslate ke design ke photo ke slideshow video bnakar upload ki thi jis par community guidelines ke strick lag gya or channel aage khul hi nhi raha hai kewal notice likha hua hai. Bro kya karu please help me bro.
2 bro community guidelines strick se bhi adsense or channel band ho jata hai?
Bro kya karu copyright to nhi thi meri video fir kon si galti ho gai hamari help kare kya kare plz help me bro
ap wo notice mujhe mail karo main check karke bta sakta hu.
Sir mera questions copyright on youtube se related hai my daughter singing karti hai singing ke waqt video record karke with instruments like harmonium casio ke sath us par copy right claim show hota hai (karoke par nahi)self created content pls solve my problem
Aap video me creative commons license use karo problem nahi hogi.
Bhai permission kaise lenge dusre channle wale se online. Mujhe apne channel par unki video daalna hai. Lekin permission kaise lenge online. Taaki channel suspend na ho
Post ko sahi se read karo iske bare me btaya hua hai.
Bro aapki post me copyright videos upload Kar monetize Kare se Alag or aasan niyam ek dusre post me tha jisme likha tha ki YouTube standard license ke jagah creative Commons attribution me Jane par kuchh videos mile jate hai jise upload Kar income Kar sakte hai to Kya ye bat Sahi hai hum confirm hona chahti hu isse koi problem hoga? Kar sakte hai?
2 bro aapki post me likha hua hai ki software recording Karne par copyright hota hai to Jo log chamcash apps jaise bahut income ke bare me or kisi website ke bare me btaye hai to Kya ye software recording nhi Karte hai aapne bhi to YouTube par subscribe button kaise lgaye ke bare me record karke upload kiye hai to Kya ye software recording nhi hua Kya hum bhi ESA Kar sakte hai jaise ki kisi gaming app se game khel Kar recording karke upload Karne par koi problem hoga
Reshu main wohi btata hu jo google ki terms hoti hai. software record na karne se mera matlab automatically play hone wale games se hai. Aap kisi matter ko explain karne ke liye recording kar sakti ho.
Bro YouTube me ek video se monetization hota Diya or $ green se yellow hogya or message me likh Raha hai ki your video is not advertising friendly to kya Kare strike nhi lgaye hai video ko delete Kar de Kya Kare
2 YouTube ke liye affiliate bnayenge to kya WhatsApp, Facebook Twitter Gmail Id sare me wahi link add Kar income Kar sakte hai
3 bro Adsense ki tarah some bhi karna hoga. Affiliate link to description me rahega to kya hum vivideos me viewer ko us link par click karke kharidne ke liye kah sakte hai ki ESA Karne ya khud se apni lilinkpar click Kar kharidne se affiliate account band ho jayega Adsense ki tarah
4 bro jab ek Id se affiliate account bnakar dusre Id ke YouTube WhatsApp Facebook Twitter Gmail Id sabhi par lgakar income ho sakti hai to Kya usi link ko ek se Jada apne sage sabandhi ke WhatsApp Facebook par bhi lgaye sakte hai
5 bro khane ka MATLAB ki link khi or kisi ke Gmail Id se connect karo prantu income usi ko hoga jiske account me wah link Mila tha. Yesa hi bat hai?
6 bro ek hi sim se do Gmail Id purane Id ko delete Karne ke bad bhi nhi bha sakte?
1. Yes delete kar do.
2. yes.
3. Sirf affiliate wali video me kah sakte ho.
4. yes kar sakti ho.
5. Yes.
Bro cartoons maker app se video bnakar upload Kar sakte hai
2 Kya Gif Maker app se gif video bnakar upload Kar sakte hai
3 Kya Gif photo frame me koi bhi photo lgakar videos bnakar upload Kar sakte hai
4 Dailymotion par videos upload Kar income kaise hota hai?
5 Kya Jo videos YouTube par Dale hai un sabhi ko Dailymotion par bhi dal sakte hai
1. Yes.
2. yes.
3. Yes.
4. Iske bare me article read karo.
5. Yes.
Bro jarur reply de
Bro bahut sare youtuber ne btaya hai ki bina production house gaye or bina kisi se permission liye bhi Bollywood movies, songs treler ko upload legally rup se Kar sakte hai. YouTube ne esa feature Diya hai jiska upay ye hai ki Jo videos standard YouTube license par upload n karke balki creative Commons license se upload ki hai hai use upload Karke koi bhi income Kar sakta hai to kya ye Sach hai aap is feature ke bare me search Kar btaye bro kud se acchi videos nhi create ho pati hai viewer 25000 hai prantu watch time 8000minutes hi hai plz help me bro
2 Kya voice changer app se apni aawaj ko bacha ke aawaj me convert Kar upload Kar sakte hai
3 talking tom biliwali app se kuchh Kavita bolwa Kar ya parkar upload Kar sakte hai koi problem hoga
Bro jarur reply kare
Yes aesa kar sakte ho but yaad rahe google 2-3 bar copyrighting issue hone par aapka acocunt delete kar sakta hai. Or is type ke work se video copyright ho sakti hai. Is post me main iske bare me bta bhi chuka hu.
kar sakte ho but real is real.
Ye sab tarike bahut old ho chuke hai kuch naya karo.
Sir agar mai apni video bna kr usme koi choti moti video clip add krdu jo ki bhot channels par ho rakhi hai to copyright claim aayega or aayega to kyun aayega. Or Sir bhot se youtubers pics daalte hai apne YouTube channel par to un par copyright claim kyu nhi aata hai.
अगर आप किसी और का कंटेंट इस्तेमाल करोगे तो copyright आएगा ही, लेकिन कुछ seconds के विडियो youtube इगनोर कर देता है, पर ये जरुरी नहीं है
Bro meri hd video medium quality ke 360p par bhi 1 minute ke video 10 MB ke ho ja raha hai or kam karne par video karab ho ja raha hai to kya mai kisi bhi size arthat kisi bhi pixel par videos dal sakte hai jaise ki 456×156, 654×256 etc. Sare log ki videos 640x360p ke hote par meri video kharab hoja rahi or 720 rakhe par bahut jada mb ke ho ja raha hai kya kare
Camtasia software use karo.
Bro Kya ek Gmail Id se affiliate account bnakar dusre Gmail Id se bne YouTube channel ke videos par affiliate link add karke income ho sakti hai?
2 bro affiliate kai parkar ke Hoti hai jaise Flipkart affiliate Amazon affiliate etc. To Kya sabhi use Kar sakte hai ya ek Kon good hoga?
3 affiliate ki link kewal usi videos me lgega jis me product ke bare me bna hai?
4bhakti bhajan wale videos me affiliate link add Karne par koi problem hoga
5 affiliate program par account bnana kha se sure hota hai post nhi Mila
6 Kya affiliate account YouTube ke liye bnayenge to blog, WhatsApp, Facebook Twitter Gmail Id mobile app sabhi par who lgaye sakte hai ya jiiske liye bna hai kewal usi me lgega?
6 bro Kya Gmail Id ko koi hack Bina password ke bhi Kar sakta hai
7 bro Maine bahut sare Gmail Id bna rakhi hai or mobile se remove ho gya hai or mai dusra Gmail Id bna Rahi hu to nhi ban Raha hai Kya unsabko delete Kar denge to new ban sakta hai
7 pahlewala I’d se WhatsApp Facebook ,apps par sign in, website par sing in,tha to kya fir se new bna Kar ye sab suru Kar sakte hai ya koi problem hoga
1. Yes kar sakte ho.
2. yes sabhi use kar sakti ho.
3. Kisi me bhi laga sakti ho but videos se realted links add karogi to jyada benefit milega.
4. Sells nahi milengi.
5. Check carefully. main post likh chuka hu.
6. yes, password strong use karo.
7. Nahi aap unke password reset karo ya fir dusri si mse banao.
8. kar sakte ho but sab fir se karna hoga.
Bro ek hi mobile me ek hi naam se do I’d se bar bar login hone par pahlewala I’d band nhi n ho
2 aapke khane ka MATLAB ki email har jagah same Dale prantu password wahi nhi balki bar bar badal Kar Dale to koi problem nhi n hoga
3 aagar same password bhi dal denge to problem nhi n hoga
4 bro YouTube channel par likh Raha hai you are really fail to Kya Kare account band to nhi n hoga please help me
5 weone and chamcash app Sahi hai ya Fack ye paisa beti hai ya nhi
6 Kya inhe use Karne par Mobile khrab ho n Jata hai
1. Nahi.
2. Nahi extra sites ke lyie alag se email account bana lo or apne personal email ko safe rakho.
3. Isse hacking hone par aapke sare accounts hack ho sakte hai.
4. Nahi nahi hoga. Thoda care karo or views badhao.
5. In par time jyada west hota hai.
6. Nahi but time west hota hai.
Hello sir Maine kuch gante pale ek recorded video YouTube par upload ki pr wo copyright dika Raha hai ye lika hai.
“Ads might appear on your video.
Copyrighted content was found in your video.
The claimant is allowing their content to be used in your YouTube video. However, ads might appear on it” Kya Karu sir
Copyright video ko delete karo.
Kisi app ya website se kamaye ke liye Jo sign up Kiya Jata hai usme email and password likhne ko Kahta hai to Kya wah email or password Google ke Gmail account par Jo bna hota hai use hi Dena padta hai ya koi new turant koi character or digit dal sakte hai email or password ke Roop me Bina Google Gmail par bnaye?
2bro agar Bina Google par bnaye email se sign up hota hoga direct bahut good bat hai kyuki sab jaga Gmail account dene or same hone par hack hack ho sakta hai.wase Maine ek app earn money par practice ki to Bina Google Gmail account par bani email optional apne man se dali or sign up ki to ho gya or videos dekhkar earning ho Rahi hai.to Kya ye Sahi hai ya kuchh or Meri confusion dur Kare. Agar yesa Sahi hai to very good
3 PayPal par account bnaye samaye Emil or password optional apne man se dal sakte hai ya Google Gmail account par bani email ko hi Dale btaye mai chahti hu ki optional hota har jagah apna apna user ID ki tarah hota taki hack n ho or yad bhi rakhne sake
4 his tarah bank ki account number phchan Hoti hai usi tarah PayPal account ki phchan or account number Kya hota hai jise kisi website or app se connect Kar money transfer Kar sake
5 aapke post se bnane to aa Raha hai prantu verify Karne nhi aa Raha hai
6 visa MasterCard Kya hai kaise use hota hai kaise mera banega or Kya Adsense or app or website ki earning Bina kisi jhanjhat ke prapt Kar sakte hai
1. Aesi site ke liye aap extra email bana kar use karo taki koi problem na ho sake.
2. Aesi site earning dikhati hai but pamyent nahi karti ho avoid karo.
3. Koi bhi password dal sakti ho.
4. aapki log in details paypal ki pahchna hoti hai.
5. Aapko jo problem ho wo btaya karo taki main uska solution bta saku.
6. ATM card do type ka hota hai ek visa or ek mastercard.
Aapka jis bank me account hai us bank se atm card yani debit card le sakti ho. Adsnse earning ke liye atm card ki jarurat nahi direct bank m payment milega.
Bro Kya mobile apps or kisi website par account bnakar iske ads par click karke ya YouTube video dekhkar earning ho sakti hai ya fir koi game khel Kar, survey karke, kisi apps se income Hoti hai ya ye Jo log iske bare me videos bnakar btate hai ye shi hai ya kuchh or
2 Kya Gmail password change Karne par hmara jha jha account hai jaise manle ki PayPal, Paytm, ya kisi apps ya website ya YouTube channel to Kya change Karne par problem ho jayegi
3 computer par Jo Kam hota hai oh mobile ke chrome browser se ho jayega jaise PayPal account ban jayega
1. Aesi sites par income kam or time jyada west hota hai or kuch sites to payment bhi nahi karti.
2. Nahi.
3. Ho jayega but screen ki problem hogi.
Bro Kya ek hi matter par do videos bnakar YouTube par load Kar sakte hai jaise ki ” YouTube par videos upload Kase Kare” ke bare me do Alag Alag video bnakar ek me Hindi bolkar or dusre me English language for USA ke liye to Kya ESA me koi problem hoga
2mobile se many YouTube channel ek hi Adsense account me bnakar kaise jode
Yes kar sakti ho.
Bro mai per day ke earning check karti hu to 500view page par 10 click hote hai. CTR 4%tak hota hai RPM $0.13 hota hai prantu estimating earning $0.00 hi rahta hai ESA Kyu
2. Rpm Kya hai iske $ hame mileage ya Jo Mila hai usme se bhi loss hoga utna
3. Bro dashboard me earning dekhkhti hu to per day Kam hote ja Rahi hai bash nhi Raha hai Adsense me $2 chla Kya prantu ab income badh nhi balki loss ho Rahi hai ESA Kyu ho Raha hai e tab se ho Raha hai jab se balance Adsense me gya plz help me
Youtube ki earning adsense me month me ek bar ad hoti hai main aapko pahle bhi bta chuka hu. Today, yesterday ki earning check karni hai to aap youtube analytics me check kiya kare.
Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare
Apne videos me views badhao earning apne aap badh jayegi.
Bro analytics me revenue ka ya fir Kisi bhi tarah ka option aata hi nhi hai to kaise check karu
2 hame post padhi par hame aap ye btaye ki RPM me Jo $ hota hai Kya ye income ke rup me Adsense account me Jata hai ya nhi
3 bro Kya ye bat Sach hai ki kisi Kisi ka CPC $500 bhi Hoti hai jaise ” cash advance structured settlement ka $489.91″ Kya itna India me bhi milta hai. Bro is par videos kaise banega
1. Aata ha analytics par click kar thoda wait kiya karo load hone me time lagta hai.
2. Nahi.
3. Nahi adsense ki CPC itni nahi hoti.
Bro ek Android mobile me 2or3 Gmail I’d bna Kar Kam Kar sakte hai
2.bro his videos ka location USA Karenge or agar us videos par click India se hoga to earning USA ki ad jaise hoga ya nhi
3 bro sabse Jada CPC ki keyword ki Hoti hai or kitna
1. Yes kar sakte ho.
2. jaha se click hoga wesi hi earning hogi.
3. Ye post check kare 100 High CPC Keywords Jin Par Adsense Jyada Pay Karta Hai
Khan Saahab yeah youtube ki taraf se muje mail aaya hai,kya mere channel ko Koi problem nahi hogi
Dear Farooq Sheikh,
Your video “KOI JAB RAAH NA PAAYE KARAOKE BY FAROOQ SHEIKH”, may have content that is owned or licensed by Saregama Publishing, but it’s still available on YouTube! In some cases, ads may appear next to it.
If this is your performance of a third party song then you can still make money from this video. Click here to change your monetisation settings.
This claim is not penalising your account status. Visit your Copyright Notice page for more details on the policy applied to your video.
– The YouTube Team
Aapka video kis or video se match ho raha hai. Agar ye aapka video hai to iska licence submit karo ya ise delete karo warna problem hogi.
Asaalamualikum,khan saahab,maine khud gaana gaaya karaoke music pe aur software Ki madat se video banaake YouTube channel pe upload kiya,wahaa pe
draft ke neeche
[includes copyrighted content] show kar raha hai.
Khan Saahab Aapko is baare main acha knowledge hair, meharbaani karke hamaari
Madat Kare, Ki akhir aisa Kyu dikha raha hai.
Aapke jawaab ka intizaar rehega, Khuda haafiz.
W/a ye aapki video dekh kar bta sakta hu apni video ka link btao.
Bro Adsense account me likh Raha hai ki Adsense optimize Karne ke liye Google analytics account ko Adsense account se link Kare to YouTube analytics account ko Adsense account se link kaise Kare please help me
2 bro customer care se confirm hokar swift code ke jawaab kab btayenge
3 playlist bnaye tab views Kam gya Kya playlist videos ko ek jagah bandh Lete hai or koi search Karta hai to videos Na dikhe Kar kewal playlist dikhta hai tab to videos par views Kam ho hi Jaynge. To playlist feature Kyu Diya hai Meri confusion dur Kare ki playlist se Kya hota hai
4 bro Kya hum national anthem “Jan gan man ” khud se GA Kar upload Kar sakte hai. Lekin YouTube par dher Sara ye song upload hai.ye song to save liye hai to Kya hum nhi Kar sakte copyright ho jayega
5 Kya filmi song ko apni sound me gaiye Kar upload Kar sakte hai
1. Iski jarurat nahi hai mat karo.
2. Sorry reshu main nahi kar pa raha hu apa hi confirm kare.
3. Playlist se aap alag alag category ke videos ke liye alag se playlist bana sakti ho taki user ko category ke anusar videos mil sake.
4. Yes kar sakte ho. Kar sakte ho kyuki bhagwan ne sabko alag aawaz di hai aapki aawaz kisi se match nahi ho sakti.
5. Yes kar sakte ho.
Bro Kya hum Google se direct hero heroin actors ke image download karke slideshow videos bnakar upload Karenge to koi problem hoga
2 subtile close caption automatically videos me kaise lgaye Bina type kiye kewal sound ko speed ke anusar videos par likhte hue kaise dikhaye please help me
3 agar hum Google analytics ko Adsense account se link nhi Karenge to income hone me koi problem nhi hoga ? To yesa Kyu likh Raha hai use Raha se kaise htaye or hum link nhi Karenge to kaise janenge ki hmara Jada income kis videos se ho Raha hai
1. Kar sakte ho ye sawal aap pahle bhi puch chuki ho.
2. ye sab video editor se hota hai. Kei youtuber ne iske bare me video bhi banayi hai wo dekh lena.
3. No problem. Aap youtube ke analytics feature me report check kar sakti ho.
Bro YouTube ads band Karne ja Raha hai news hai to videos par ads show nhi hoga to youtuber ko ab earning kaise hoga
2bro CPC high Karne ke liye videos ka location change Kar sakte hai
3 videos location USA Kar sakte hai koi problem hoga
4 Kya USA se bhi Jada CPC Kisi country ki hota hai agar hai to btaye
5 bro ctr Jada hone par Adsense account band ho Jata hai to isse kaise bachenge
1. Nahi youtube ads band nahi kar raha.
2. Nahi high CPC ke liye aap high paying keyword use karo.
3. problem hai agar aap USA ke liye video bana rahi ho to location me USA set karo wanra aapko USA ke sath india ka traffic bhi nahi milega.
4. USA, UK, Canada etc. sabhi CPC high hoti hai.
5. Valid clicks hai to nahi hoga.
Bro videos location change karna legal hai to hum change Kar Dete hai jab USA Canada se traffic nhi milega to fir India Kar denge. Kya ESA Karne me bhi koi problem hoga
2 bro hum apne channel ki aalag aalag videos ko USA UK Canada India sabhi location ka naam dal Kar upload Kar sakte hai taki sabhi jagah se traffic prapt ho sake yese me To koi problem nhi n hoga
3 bro aagar videos ka location USA Karenge to ads USA ka hi ads show hoga or income usi ke CPC par hoga ye bat Sahi hai
4 bro videos ka location USA Karenge to traffic kewal USA ka hi hoga
1. Ok try kar lo.
2. aap try kar sakte ho.
3. Adsense user interest ke anusar ad show karta hai so agar koi aapke video ko USA me play karega to wahi ke ad show honge.
4. nahi sirf USA se jayda milega.
Thank You so much bro …. mai v apki trah online work krta hu ….aap please mere se contect kare. (Jyada earning ke Genuine Method Share karna chahta hu )
Bhai kya mast samjate ho
Or comments ka reply bi karte ho
Nice bhai
Sir mene YouTube par screen recorder ki help se ek trick android m developer option add karne ki trick ka video
Bna kr upload kiya h
Usssey b copyright bta rha h
Kyo ??
Agar aapne video khud banaya hai to no problem.
sir photo me songs laga kar youtub per dal sakta hu
Nahi copyrighting hogi.
sir mai kisi movie website se movie download kr ke apne YouTube channel pr upload krta hu to vo bhi copyright mani jaegi??
or sir main kisi movie ka trailer khud bna kr upload kr skta hu??
yes copyright mani jayegi. Yes khud bana kar kar sakte ho.
Bhai mujhe ek copyright strike ayi h kal raat ko or fir mujhe ek mail bhi aya ki agr esa 2 ya 3 baar or hua toh apka channel disabled kr dya jaega mene kisiki video ko thoda sa edit krke upload kya tha jese hi message aya mene jiska claim aya tha usse message krke maafi mangi or video delete krdi or use strike wapas lene ke lye request ki pr uska jwab ata usse pehle hi jb me subha utha toh mene dekha ki mera channel temporary disabled kr diya gya tha YouTube ki traf se channel temporary disable kr dya gya h ab me apne channel ko wapas kese pa sakta hu ye btado bhai kya appeal kru ki channel permanent disable hone se bach jaye ha mene ek galti ki thi ki video copyright owner ki permission ke bina upload ki pr mene vo video delete bhi krdi or copyright owner se maafi bhi mangi h ki age esa nhi hoga so please bhai mujhe ye btado ki channel waps sahi kese hoga abhi 1 hi strike ayi h bhaout mehnat ki thi channel ko yha tak lane me age nhi krunga copyright kisi ki help me bhai
http://www.YouTube.com/account_recovery is link ko open karo or jis email ID se aapka channel bana hai wo add karke request send karo ho sakta hai google aapka channel fir se enable kar de.
last me ye likha h ab open toh ho gya age kya appeal kru English me btado kuch badhya sa ki khul jaeनिलंबित खातों के लिए अगले चरण: यदि आपको लगता है कि इस उत्पाद पर आपकी पहुंच गलती से निलंबित कर दी गई है, तो हमसे संपर्क करें. Abhi single strike ayi thi or temporary disabled kr dya itne me bhai age kya krna h ab
Jo steps btaye jaye wo follow karo.
Bhai appeal krne ke liye kya likhu thoda sa ye btado jisse mera account enable ho jaye appeal me kya likhu mene copy ki hui video delete kr di h ab account enable krwane ke lye kya likhu ye btado eng. Me thoda sa bas
Sirf itna likho ki next time mistake nahi hogi.
सर में सांग कैसे यूट्यूब में डालू सर
जो सोफ्टवेर में सांग होता हे क्या में उसे यूट्यूब में डाल सकता हूँ या नही
Nahi copyright ho sakta hai. Youtube apni khud ki video upload karne ke liye hai na ki kisi or ki video upload karne ke liye.
आपका पोस्ट बहूत अच्छा है
ेक्या में किसी सॉफ्टवेर apps से वीडियो और song डीजाइन करके में यू ट्यूब पर वीडियो डाल सकताहूँ और क्या मै google से image downlad कर के वीडियो बनाकर मै YouTube पर डाल सकता हूँ वीडियो सॉफ्टवेर से में सांग डाल सकता ह
Aap kisi software se video bana sakte ho google se image use kar sakte ho but kisi ka song use nahi kar sakte.
bade bhai mera question ye h ki me fanmade movie trailers upload krta hu or mujhe abhi tak koi copyright claim bhi nhi aya h meri earning bhi ho rhi h toh isse YouTube ki policy ka koi ulhangan toh nhi ho rha mene terms and policy bhi padhi h pr kuch samaj nhi aa rha mere ek YouTube friend ka account terminate ho gya h pta nhi kyu islye puch rha hu vo bhi yhi krta tha pr usko copyright claim aa chuka tha 3 4 bar bhai btana jrur
kei bar copyrighit claim milne me time lag jata hai. Aap mujhe apne channel ka link btao main aaki video check karta hu.
YouTube.com/channel/UC0R7bH4pluTYM7SjHhlwSQw
Ye lo bhai or ye jrur btado ki isse mera channel terminate toh nhi hoga na
Agr copyright bhi ayega toh
Aapki videos me copyright music hai.
Bhai channel terminate hone ka khatra toh nhi h na
Or copyright ane se pehle jo income hogi vo toh meri hogi ya vo bhi malik ki
Dono ke jwab de dena bas me clear ho jaunga
Aap mujhe copyright ka message dikhao nahi channel delete nahi hoga. Bas aapki earning band ho jayegi. Agar aapka AdSense account band nahi hua hai to earning mil jayegi.
Thanks bhai you r great
Abhi koi copyright nhi h bhai me apne dosto ko recommend krunga apka blog
Thank you.
Agar Hum Koi Film clip ka Audio Change karke Youtube par Video upload karenge Toh Wo Copy right kehlega..
Kah nahi sakta but risk to hai hi.
sir bahut hee achi jankari dee hai aap ne. meri videos ki cpc kam hoti hai aap please ko post btayen apna ke me YouTube videos ki cpc high karlun yaa yahan hee tip de dain. Thanks.
Search box me apna sawla search karo post mil jayegi.
Sir ji kya hum movie ,video clip aur dowloaded video ko software se cut or kuch edit karke.-
use upload karke income kar sakte hai ?
Kya yebhi copyright hogi?
Nahi nahi kar sakte.
Kya Ap Bta Skte Hai ki Youtube Video pr Long Time Ads Chalane K Liye M kya Kru ?
Jo Skip-able na ho
Neha long time ads chalane ke 2 point ho gaye.
1. Aap long time yani bahut dino tak ads use karna chaahti hai jiske liye aap AdSense policy follow kiya karo.
2. Long time yani video me jyada time ta kada chalane ke liye aap overlay and break ads istemal karo.
sir achi earning YouTube se hoti hai ya website se is bare me thoda bataiye na mujhe YouTube se acha respons mil raha hai but mai blog ke bare me bhi soch raha ho ?
Site se kyuki YouTube par only AdSense use kar sakte hai par site par AdSense ke alawa affiliate marketing bhi use kar sakte hai.
Sir agar video site bnate he to usmemovies copyright hogi kya .or kai sari website he Jo use karan rahi he .mene godaddy se baat ki to vo bi kah the he ki website par movies copyright nhi hoti
bilkul is tarah ki site par apaka sirf time west hoga.
hello sir mera YouTube me channel hai jo kafi famous hai jis me mere 10000 se jyada subscriber hai mere problam ye hai ki jab video khatam hota hai toh skin me humare dusre video ko kaise show karai jise ki log hamare video me bane rahe
video ke end me aapke video nahi YouTube ke other related video show hote hai jise change nahi kar sakte. Aap card ka use karke or video add kar sakte ho.
Thanks For Sharing Useful Information
kya ham public me hone wale kisi bhi ghatana ka video bana kar apne YouTube chainal par use kar sakte hai ! jaise ki
dancr program
song program
kavi sammelan
agar nhi to kaise kare maine bahut se YouTube cainal me deskha hai ve use kar rahe
mujhe nhi lagta ki unhone kisi se paremation li ho
Satyam is post ko achhe se padh lo aapko YouTube ki terms samajh aa jayegi. aap video to YouTube par koi bhi upload kar sakte ho but usse paise nahi kama sakte.
dancr program
song program
kavi sammelan
in sabki video upload karoge to unka background music copyright hoga. Aapko nahi lagta but aese video dalne walo me se kisi ki bhi earning nahi hoti. isme sirf aapka time west hoga so sirf khud ki banayi video dale.
thanks bhai information dene ke liye aapki help se bahit kuchh learn kiya ham maine
maine apne blog ko bhi dhere dheere grow ho raha hai . aage bhi koi bhi problem hogi to sabse pahle aapki doorbell par dastak di jayegi ek baar aur aapka thanks
lekin agar ham apni blog par lage kisi ke bhi video se koi bhi pareshani nhi higi na us to apni earnig hogi hi kyoki ham usko blog par de rahe hai
Ek bat ko bar bar repeat mat karo.
Very usefull infornation.. But mjhe apki seo ki tips sabse zyada pasand aati hain… Keep posting about seo
kya ham kisi aur ke video ko apni post me show kar sakte hai , kya copyright to nhi hogi !
agar meri post ko check karne par mere hi blog ki post ko copy right me dekh rahe hai to kya yah copyright maani jayegi
Kar sakte ho nahi hoga kyuki aap isse uska promotion kar rahe ho. yes bilkul hoti hai hum ek jaisa content share nahi kar sakte.
Bhai maine free webhosting le kar blog ko WordPress par shift kr liya hai lekin abhi mujhe bahut se probem ho rahi hai iske liye main fir se blogspot blogger kaise shift karu or nameserver kaise pata karu
Name server domain site par domain setting me mil jayega. WordPress blog ka backup le kar blog me import kar do.
bro
YouTube ke liye high CPC video konsi hoti hai..
or..
me animals ki video upload karna chahta hu…uski CPC rate kya hai…
Check this post 100 High CPC Keywords Jin Par Adsense Jyada Payment Karta Hai
Assalam walaikum .
SIR . mera ye question hai. Agr mai flipcart affiliate . ko join karne ke liye usme pan card aur Atm card ko add karna jaruri padta hai kya,?. Aur kon sa Atm card ka jarurat padta hai.. Aur ek doubt hai. Debit card aur Atm card me kya fark hai ye ek hi hai ya alag?? Plz reply
w/a
1. yes jaruri hai.
2. atm card mostly banks ke use kar sakte ho. check flipkart affilaite terms.
3. debit card ATM card ko hi kahte hai.
sir WordPress install karne ke baad usme kuch plugin pahle se rahte hai.. jaise ki hello dolly plugin.
to isko delete kar du ya fir rahne du?
In sabko delete kar do or yoast seo, jetpack, wp super chache jaise plugin use karo.
WordPress par blog banane ke baad turant hosting lena padegi kya sir baad me nahin le sakte kya
pahle hosting leni hai uske bad WordPress install karna hai.
Agar me future me kabhi dusri email id par apna blog transfer karna chahu to ho sakta hai I mean blog ka back leke dusri email id banakar us par blog create karke or backup ko us blog par upload kar du to ho sakta hai
Haa akr sakte ho.
Thank you for sharing it… bro… it really helps a beginner like me..
Bro 1 question hai disquss comment system ko mai lagana chahta hoon apne blog par kya iske kuch nuksaan bhi hai
Laga sakte ho koi nuksan nahi hai.
Bro….india me AdSense ko chorkar kis ki ads lagana best hoga hindi blog ke liye.
chitika.
sir buhath days se me rohit ke site hindi me help ko search karta hu is me na to new post hai aur n he wo apne webiste per commnet ke replay kartha hai kya problem hai sir aap ko pta hai keh nahe kya koe problem hai ya new website create kya hoga…!
fawad i dont know you can contact rohit on mobile and email.
sir post image me hum hindi me kaise likh sakte hai? aap kaise likhte ho ?
sir maine apki post read kar ke gravatar pe image lagayi apni but comment karne pe meri image show nahi ho rahi… kya isme time lagta hai ?
1. hindi input tool se.
2. comment email feed me wohi email address add karo jo gravatar par kiya tha ha thorda time lagta hai.
Thannx sir…mai dusri email id add kar raha tha tabhi problem aa rahi thi.
1- sir gravatar me email id add karne ke liye deta hai… agar waha email id add kar du to fir kitni bhi email id se comment kar sakte hai?
Nahi sirf unhi se jo aap add karoge.
sir maine gravatat pe apni image laga di hai aur comment me bhi image show ho rahi hai but na jane kyu About Author ke section me meri image kyu show nahi ho rahi.
sir About Author ke liye image aur Biographical Info my profile se hi lagaya jata hai na?
plz sir help
blog dashboard users setting me ja kar email id check karo or wohi add karo jo gravatar par ki hai.
Sir jo aapke ads hai unpr likha hota hai Game download kare 75 rs main maine click kr aaye process karta hu to kya mere pase kat jayenge.. ya sirf click karne se nahi pase nahi katenge main kr deta hu isliye puchh raha hu jarur bataye.
pawan main advertisement ke bare me koi comment nahi kar sakta. wo AdSense ke ads hai aapko unme interest ho to hi click kiya karo.
Nice post sir kya low quality video upload karne se CPC kam ho jati hai .
yes low quality video or content publish karne se acha hai karo hi mat.
Dear sir mera matlab tha ki jo low quality ke video maine apne chennal pr upload kr diye hai unka kya karu delete kr du to CPC main sudhar ho jayega kya …
Delete mat karo next time quality video upload karna.
Nice and Bohat helpful article YouTube beginner ke liye jo soch te hain ki Youtube Facebook hain Jahape Kuch Upload karke Earning karsakte hain.
Welcome jahi i think is post ke bad bahut se logo ki galatfahmi door ho jayegi.
Sir me YouTube pe Nat geo wild ke videos upload karta ho sir videos pe views bhi ate hai copyright bhi nahi ata magar YouTube us ko community guidelines bol kar remove kar deta hai please kia karo
Aap ek bar YouTube guidelines terms read karo.