Top 10 Blogging Mistakes Jo Har New Blogger Karta Hai

Top 10 Blogging Mistakes in Hindi. Is post me mai aapko New Blogger Se Hone Wali Top 10 Blogging Mistakes ke bare me btaunga. Bahut se naye blogger ko in galtiyo ki wajah se success nahi mil pati hai or unhe blogging chordni pad jati hai. Ye blogging mistakes kisi bhi blogger ka career khatm kar sakti hai. Agar aap bhi ye galtiya kar rahe hai to aaj hi sudhar le warna aane wale time me aapka blogging career khatm ho jayega or aapko asafalta ka muh dekhna padega. Chaliye jante hai un 10 blogging mistake ke bare me jo aapko ya kisi bhi blogger ko blogging me nahi karni chahiye.

Top 10 Blogging Mistakes

Ek time tha jab hamein blogging ke bare mein kuchh pata hi nahin tha lekin ab hum log bahut hi aage nikal chuke hain. Hamein na sirf blogging ke bare mein sahi se jankari hai balki hum mein se bahuton ke pas khud ka blog bhi hai.

Hum log apne blog par apne talent aur jankari ke anusar sabhi tarah ki jankari share karte hain jisse hamare visitors ko bhi fayda hota hai or humari bhi income hoti hai.

Lekin bahut saare bloggers aise hain jo kuchh common blogging mistakes ko kar baithte hain aur apne blogging career ka nuksan pahucha lete hai ya khatm kar baithte hain.

Unke in galtiyon ka jab unhein pata chalta hai tab tak bahut der ho chuki hoti hai. To chaliye, jante hain un blogging mistakes ke bare mein jo aapko kabhi nahi karni chahiye.

New Blogger Se Hone Wali Top 10 Blogging Mistakes

Agar aapko blogging me success hona hai to ye blogging mistakes kabhi na kare or agar aap aesa karte ho to future me aapko padega. Kyuki aesa karne se aane wale time me aapke pas traffic bilkul nahi hoga ya fir bahut kam hoga.

1. Blogging Start Karne Ke kuch Time Bad Hi Blogging Par Hi Post Likhna

Hindi bloggers ki ye ek bahut hi badi blogging mistakes hai. Waise to hamein is baare mein sabse last mein likhna chahiye tha lekin aajkal ye blogging mistakes jaise ki sabhi bloggers ka passion ban chuka hai. Isi wajah se iske baare mein sabse pahle batana pad raha hai.

Humne bahut sare bloggers ko dekha hai ki starting mein to wo apne mehnat aur apne talent se hi post likhte hain jo ki sahi work hai lekin jab wo kuchh day tak blogging karte hain to unhein iska kuchh Experience ho jaata hai isliye wo apne blog par ek aur topic badha dete hain. Aur wo topic koi aur nahin balki khud Blogging ka topic hota hai.

Ye sahi hai ki aap blogging ke bare mein thoda-bahut jan gaye ho lekin ye bhi bilkul hi sahi baat hai ki abhi aapko iske bare mein puri or sahi jankari nahin hai jitni ki professional bloggers ko hoti hai.

Aap Jumedeen Khan bhai ka example lijiye aur khud ke man mein hi sochiye ki jitna aur jo post inhone likha hua hai, kya aap apne talent se yahi post apne blog par likh sakte hain?

Ji nahin, yadi aap aisa karna chahate ho to aapko isme kafi mahine mag jayenge or ho sakta hai sall bhi lag jaye tab ja kar aap Supportmeindia ki tarah blogging kar payenge. Agar aap sochte ho ki main 2 din me hi bade bloggers kitarah blogging kar sakta hu to aap bilkul galat hai. Har kaam ko sikhne me time lagta hai

Because, hamesha se aapka field to kuchh aur raha hai. Aapka interest to kuchh aur topic par hai. Lekin jab starting mein apne blog par traffic aata nahin lagta to jhat se blogging par wahi sab post likhna start kar dete hain jo ki pahle se hi internet par bahut saare bloggers share kar rahe hain aur unhein iska poora experience bhi hai.

Aap hi sochiye ki yadi aapke visitors aapse utne high level ke sawal puchhne lagein jiska aapko na to koi anubhaw hai aur na hi uske baare mein kuchh patahai to aap kya karenge? Aap internet se wo jaankari jutakar apne visitor ko reply de sakte hain lekin ye itna easy nahin hoga.

Aapke visitor ko ye samajhne mein der nahin lagega ki aap unke saath frauding kar rahe hain. Aese mein wo aapse aur aapke blog se dur ja sakte hain aur hamesha-hamesha ke liye aapke blog par visit karna band kar sakte hain.

Isliye meri personal raay yahi hai ki aap pahle apne topic par hi sahi se apne blog par post daliye aur blogging ke baare mein jyada-se-jyada janne ki koshish kijiye.

Iske baad jab aapka blog success ho jaaye aur blogging par aapko achchha abubhaw ho jaye tab aap blogging par tips share karna start kar sakte hain.

Lekin iska matlab ye nahin hai ki aap internet par pahle se hi mojood jankari ko share karein, aap waise unique post share karein jo ki aapke visitors ke liye helpful aur unke saath hi saath internet par bhi new ho.

Mera matlab ye nahi hai ki aap pahle se internet par share ki gayi jankari ke bare me nahi likh sakte. Likh sakte ho but aapki post ko pahle se mojud information par likhne se aapko support kam milega or aapki site ki search rank par bhi fark padega.

2. Blog Bana Kar Use Design Karne or Achha Look Banane Me Hi Time West Karna

Jin logon ka blogging mein naya anubhaw hota hai aur jo new blog banate hain unhein sabse pahle chahiye ki wo apne blog ko sahi se design kare or fir apne blog par apne talent se new-new unique topic par post likhein.

Magar kuch log blog bana kar use design karne me kafi time west kar dete hai. Internet uswers sabse jyada simple design pasand karte hai. Example ke liye aap google ki websites check kar sakte hai.

Aap apna jyada time post likhne mein hi invest karein na ki apne blog ki designing mein. Because starting ke kuchh samay mein aapke dwara kiye gaye work ko Google bhi jyada value deta hai.

Yadi aap kuchh time tak regular aur ek time-table banakar usi time mein post karenge to Google aapke blog ki jyada respect karega or aapke blog ki search ranking achhi hogi.

Iske ulta, yadi aap blog create karte hi just uske designing par dhyan dene lagenge aur ek ke baad ek Template ko badalkar check karte rahenge to isse Google aapke blog ko avoid kar sakta hai.

Waise bhi bina post ya only 1-2 post ke publish hone se hi aapka blog kabhi attractive nahin dikhega.

Jab tak aapke blog mein 10-15 High Quality Articles nahin rahega tab tak aap apne blog ko kaisa bhi design kar dein, wo hamesha aapke man mein khatak hi jayega aur fir aapko us designing ko bhi badal dene ka man karne lagega. Aur saath hi ye bhi sochein ki designing aap apne visitors ke liye kar rahe hain na ki apne liye.

Yadi aapko aapka blog achchha nahin lag raha hai to aisa nahin hai ki wo aapke visitor ko bhi achchha nahin lagega. Isliye main to aapko suggest karunga ki sabse pahle aap 10-15 post likhein aur tab,

Iske baad aap apne topic se related doosre blog ko dekhein ki wahan par kaisi designing ki gayi hai jo ki visitors ko achchha lagta hai. Iske baad tab aap ispar apna kaam start kar sakte hain.

3. Apni Knowledge Se Different Topic Par Content Write Karna

Bahut sare aise Hindi bloggers hain jo ki blogging start to apne kisi khas topic ke liye karte hain lekin bad mein wo kisi high level ke topic ke chakkar mein pad jaate hain aur uspar bhi kuchh thode-bahut apne jankari ke aadhar par post karne lag jaate hain. Ye bahut badi blogging mistakes hai.

Lekin ye bilkul bhi sahi nahin hai. Mana ki aap kisi ek post ko achchhe se likh bhi lenge lekin aapke jo visitor honge wo us topic se related aapse kai tarah ke sawal poochh sakte hain jiska jawaab shayad aapko pata nahin hoga.

To aise mein aap unhein kya reply denge? Kya aap unse sidhi tarah se ye kah payenge ki maine jo bataya hai usse jyada nahin jaanta hoon?

Nahin, aap aisa kabhi nahin kah sakte, because aisa karne se aapke visitors ye samjhenge ki aap yu hi sirf apne chhote se jankari ke aadhar par hi post likh rahe hain jis wajah se unhein ye bhi lag sakta hai ki aapse jyada to wo jante hain.

  • Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi

Isiliye main aap logon ko kahna chahunga ki aap jab bhi blogging karein to sirf apne target kiye huye topic par hi karein. Example ke liye, yadi aap Technology se related post likhte hain to aap isse sambandhit post hi likhiye, na ki aap health ya other kisi topic par post likhna start kar dein.

Agar aap apne niche se hat kar lihkna shuru karoge to ek time ke bad aap us niche topic par nahi likh paoge or aapko is blogging mistakes ki wajah se majburan blogging chordni padegi.

4. Ek Sath Ek Se Jyada Multiple Blog Ko Handle Karna

Newbie aur kam anubhawi bloggers aksar aisi blogging mistakes karte hain. Jab unhein apne kisi ek Subject ke blog par traffic milta nahin lagta hai to wo apne interest ke kisi dusre topic par bhi blog bana lete hain aur ek saath donon ko hi handle karne ka asafal prayas karte hain.

Aisa karne se aapko sabse bada nuksan ye hoga ki aap ek saath donon blog ko handle karna chahenge aur donon par hi post likhna chahenge. To aise mein aapka dhyan poori tarah se donon mein se kisi blog par nahin rah payega.

Lekin wahin yadi aap pahle apne ek blog par hi dhyan dete hain aur usi par poori mehnat karte hain to aapko success hone se koi rok nahin sakta hai. Iske baad aap chahein to apne isi blog par apne doosre subject ke topic par bhi post likh sakte hain ya fir tab aap new blog bhi bana sakte hain.

Because, aisa karne se aapko aapke new blog par traffic ke liye kahin bhatakna nahin padega aur anubhawi hone ke wajah se aap apne new blog ko bhi kuchh hi dinon mein promote karne or successful banane mein success ho jayenge.

5. Post Me Jarurat se Jyada Content Add Karna

Bahut se blogger ek chote se matter ko bahut jyada long bana dete hai ya fir adhuri post likhte hai. Aesa karna bilkul galat hai or ye blogging mistakes sabhi ke liye danger ho sakti hai.

Ye na to google search engines ko pasand hai or na hi is work ko visitor like karte hai. Aesa karne ka matlab logo ko apni site par visit karne se rokne jaisa hai.

Aap jis matter par post likho sirf uske bare me jaruri jankari add kare or kisi bhi matter ke bare me aadhuri janakri mat likho. Bade matter ko chota mat karo or chote matter ko bada mat karo. Jo jaisa hai wesa hi rahne do or only required information hi share karo.

Apne post mein image ka use karna bahut hi jaruri hota hai aur ye SEO ke liye bhi jaroori hai. Ek image se aap wo sab baatein apne post mein clear kar sakte hain jo ki shayad aap 1000 words likhkar bhi clear nahin kar sakte. Lekin iska matlab ye nahin hai ki post mein bewajah hi kisi bhi image ko insert kar diya jaye.

Bina ye soche samjhe ki kya wo aapke post par fit hota bhi hai ya nahin? Yadi aap had se jyada aur bewajah ke images ko apne post mein insert karenge to wo aapke visitor ko pasand nahin aayega.

Iske saath hi is baat par bhi khas dhyan dein ki aapke image dekhne mein jyada attractive lage aur uska size bhi aisa ho jo ki aapke visitor ko jyada attract kare.

6. Post Me Hi, Hello, Friends Words Use Kar Content Ko Boring Banana

Har ek blogger ke liye ye jaroori hai ki wo apne visitors ke saath friendly relation rakhein aur unke harek sawal ka apne talent se achchha reply dein.

Aur isliye blogger apne post ke starting se lekar last tak kuchh friendly words jaise Hi, Hello, Friends, Dosto, Etc ka use karte hain jisse ki visitors ko ye feeling ho sake ki wo blogger ke liye kitne khas hain.

Aisa karna jaroori bhi hai aur isse bloggers ko fayda bhi hota hai, lekin yadi inhin words ka use had se jyada kar diya jaye to visitors isse pareshan bhi ho sakte hain aesi blogging mistakes na kare.

Aise mein unhein ye feel hone lagta hai ki aap jankari dene se jyada sirf friendly banne par hi dhyan de rahe hain. Aur is position mein wo aapse door bhi ja sakte hain.

Main kafi hindi blogger par is tarah ki post padhi hai jo aese words ko bahut jyada istemal karte hai or jab main unki posts ko padhta hu to ajeeb sa lagta hai. Mere khyal se aesa aapke sath bh ihota hoga. Hume aesa nahi karna chahiye or extra words ko bahut bar istemal karne se bachna chahiye.

7. Keyword Ke Chakkar Me Post Ki Quality Bekar Kar Dena

Har ek blogger ka sapna hota hai ki unka blog din dugni aur raat chauguni tarakki karte huye ek din Top Rank mein aa jaye aur unki earning bhi jyada-se-jyada ho.

Lekin iske liye bloggers ko bahut hi mehnat karni padti hai aur apne post mein high level ke Keywords ko insert karna hota hai.

Lekin bahut sare bloggers karte kya hain ki apne post mein bewajah hi kisi top keyword ko insert kar bahut badi blogging mistakes kar baithte hai. Ab ek keyword Insurance ko hi le lijiye. Ye sabse jyada search kiya jane waala keyword hai. Iski CPC bih sabse jyada hai.

Lekin iska matlab ye to nahin hai na ki apne post mein bewajah hi ise jahan-tahan use kar dein. Yadi aapka post isse related nahin hai to aap bewajah isko use karke apne post ke rank ko apne visitors ke najar mein na girayein.

Kyonki keyword aap bhale hi kitna bhi use kar lein lekin yadi ek baar aapke visitors ne aapke post ko ignore kar diya to phir Google bhi usey avoid kar dega. Aapka target sahi keyword ke istemaal se apne post ko ready karna hona chahiye na ki bewajah high level ke keyword ko use kar ke apne post ko bekar bana dein.

8. Free ke Chakkar Me Padkar Apne Blog Success Hone Se Roke Rakhna

Bahut se blogger free ke chakkar me padh kar apne blog par high quality content hone par bih use success hone se roke rakhte hai. For example, Free Domain, Free ki hosting, Free design, Free Services etc. ka istemal karna. Agar aapko blogging me success hona hai to aapko top level domain, achhi hosting, platform or service use karni chahiye.

Jyadatar log jab bhi internet par kisi product ke baare mein search karte hain to usmein free likhkar jaroor search karte hain. Jab bhi koi new blog start karna chahate hain to wo Free ko hi target karte hain or apne blog me free domain, free hosting, free theme / template use karne ki blogging mistakes karte hai.

Yadi aap bhi in logon ke list mein hain to main guarrantee ke saath kah sakta hoon ki aap blogging ko ek business ke roop mein na dekhkar ise sirf time pass ke roop mein hi dekh sakte hain.

Because, yadi aap blogging mein ab tak sab kuchh free hi use karte aa rahe hain to yakin maniye ki yadi aapne starting mein kuchh invest kiya hota to aaj aapka rank aapke present rank se kahin jyada better hota.

Aisa isliye kyonki Google is world ka sabse bada search engine hai aur ye sab se jyada feature bhi deta hai. Lekin ye apne free product Blogger ke rank ko dusre ki apeksha hamesha niche hi rakhta hai taaki koi ye claim na kar sake ki Google Quality ko na dekhkar sirf apne product ko High level deta hai.

Blogging ke liye WordPress sabse best platform hai agar aapko blogging me career banana hai to hosting le kar wordpress par blog banaye uski jankari yaha hai, WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari.

9. Blog Banate Hi Earning Ke Bare Me Sochna

Aise bahut sare bloggers hain jo ki blogging sirf-aur-sirf earning ke liye start karte hain. Aur blog banane ke turant baad hi Adsense ya other kisi ads ke liye apply karne lag jaate hain. Lekin aisa karna bilkul bhi sahi nahin hai, Ye sabse badi blogging mistakes hai.

Kyonki jab tak aap Google ke najar mein apne-aap ko talented prove nahin karenge tab tak wo aapko ad nahin dega aur doosri company ke rule bhi itne easy nahin jo aapko aasani se blog banate hi ad de de. Or jab aapke pas traffic hi nahi hoga to kisi bhi company ke ad lagane se kya fayda.

Lekin humne bahut saare bloggers ko dekha hai ki wo new blog banate hi turant apne Youtube wala Adsense blog par bhi laga dete hain. Aisa karna bilkul bhi sahi nahin hai.

Yadi aap aisa karenge to aapke blog mein ek bhi kami ya koi aur dosh paaye jaane par aapke adsense ko reject kar diya ja sakta hai.

Isliye meri personal salah yahi hai ki pahle apne blog mein kam-se-kam 20 post daalein aur jab daily ke 500+ visits aane lage tabhi kisi ads ke liye apply karein.

Agar aap blog banante hai hi earning ke bare me sochoge to main dave se kah sakta hu ki aapko ek din blogging chordni padegi. Kyuki aapke dimag me sirf paisa hi ghumta rahega or aap blog par acha content share nahi kar paoge.

10. Visitor Ko Time Par Reply Na Karna or Respect Na Kara

Bahut saare new bloggers aise bhi hote hain jinhein pahle se blogging ka koi anubhaw hi nahin hota hai. Unhein blog ko handle karne mein kuchh time lag jaata hai.

Lekin yadi starting se hi unka post unique aur useful ho to tabhi unka blog promote hona start ho jaata hai aur bahut saare log unhein comment bhi karte hain.

Visitor jarurat ke anusar apna sawaal bhi puchhte hain. Lekin blogger in comments par dhyan nahin dete aur ya to reply dete hi nahin ya fir bahut hi late ya galat reply dete hain. Lekin yadi aap bhi aisa karte hain to ye aapke liye sahi nahin hoga or aapko aesi blogging mistake nahi karni chahiye.

Aapke visitor aapse jo bhi sawal puchhte hain ho sakta hai ki uska jawab janna unke liye bahut hi argent ho. Tab aise mein yadi aap reply dene mein ek din bhi late kar denge to wo apna sawal kisi aur blog par puchh lenge aur fir yadi unhein wahan par turant hi reply mil gaya aur wo satisfy ho gaye to wo aapke blog par wapas nahin aayenge.

Isliye meri salah yahi hai ki blogging ko ek business ke roop mein dekhein aur yadi koi bhi person kuchh bhi comment karein to unke comment ka pata chalte hi turant unhein sahi reply kar dein jisse ki wo aapke is fast service se khush hokar aage bhi aapke blog par visit karenge.

In blogging mistakes ki wajah se kisi bhi blogger ka career bekar ho sakta hai. Agar aap inme se koi bhi blogging mistakes kar rahe ho to aapko wo blogging mistakes jald se jald sudhar leni chahiye.

Aapko hamara ye post kaisa laga yahan comment karke batana na bhoolein. Aur yadi ye aapko pasand aaye to ise apne friends ke saath social media par share jarur karein.

Avatar for Anand Kumar

About Anand Kumar

Reader Interactions

Comments (36)

  1. Avatar for Ashish kumarAshish kumar

    Thanks bhai bhut achhi post hai maine 2018 me blog bnaya aur continue nhi kiya tha aur abhi lockdown me fir se start kiya but ab me ise continue krunga thanks for the information….

  2. Avatar for Rikki SinghRikki Singh

    sir,thanx for sharing this information this is very useful for us.

  3. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    Maine aapka site ka link update kar diya hai aur mail check karke reply kar dunga.

  4. Avatar for nimranimra

    sir mene wordpress par ek blog banaya hai nimrasangam.com hum is blog me sangam alllhabad se related har chiz sangam hotel technolozy aur webdesigning ki posy update karte hai kya yeh sahi hai iske alava hum koi bhi post me khuch alag information 8 image ke threw dena chahate hai kya yeh sahi hai ki nahi.sir reply zaror kijiya ga hume aapka blog bahut pasand hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sahi hai but is blog me another topic par likhoe to match nahi lagega.

  5. Avatar for PrashantPrashant

    Blogger blog pe agar koi comment karta hai to use edit kaise kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blogger dashboard post comment settings me ja kar kar sakte ho.

      • Avatar for PrashantPrashant

        Sir mera kahne ka matlab ye tha ki, koi hamare blog par comment me bahut sari link comment karta hai to us comment ko edit kar link kaise remove kar sakte hai. pura comment delete nahi karna hai.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap har type ki comment ko blogger dashboard me ja kar edit kar sakte ho or aesi comment ko delete karna behtar hai.

  6. Avatar for KavyaKavya

    Hi sir Mujhe aapse ye poch a hai mere webmaster tools mey bhut seh crawl error dikha the hai Kya aap Mujhe kise video ya post is link bhej skty hai jis seh mey crawl error fix kr so No kyuki Mujhe bilkul be nhi pta kese fix hoga please guide kro

  7. Avatar for ankit karmaankit karma

    aapne bilkul thik kaha sir..
    mene ek blog banaya hai..please ek bar visit krke bataiye ki kesa hai.. and suggestion bhi dijiye..
    and kya is par adsense approve ho jayega ???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nice blog abhi aap blog par or traffic badhao or jab 500+ traffic ho jaye tab apply karna.

  8. Avatar for kumarkumar

    Bro mera blog http par work kar rha h ab me chahta hu ki use https par migrate kar du iske liye mujhe kya kya badlav karna padega or cloudflare kya kisi blog ki loading speed ko slow kar deta h kya mene kuch logo se suna h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Cloudflare se aapke blog ki speed fast loading, Actually, jo aesa kahte hai unse cloudflare setup nahi hua hoga or galat settings se unki site down ho gayi hogi.

  9. Avatar for MohitMohit

    Hallo jumedeen bhai meri ek problem ka solution kr do plys me ek new blogger hu or mene blogger pr ek blog banaya he or uss pr post bhi likhi he but post ka page thik se nhi khul raha he app meri site chek krke bata do ki kya problem he .
    Or ye bhi batana ki mujhe site pr or kya kya work jarna chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site ki theme ko optimize karne ki jarurat hai jiske liye coding ki jankari honi chahiye. Agar aapko nahi hai to simple tarika hai ki or theme use karo.

  10. Avatar for Sabiha khanSabiha khan

    Nice post,, sir mujhe ek baat samjh me nhi a rhi ki achanak se traffic source me ip address kyu nazar a rha,,aur page views 1000 – 2000 ho rhe hain, kahi mai kuch galat setting to nhi kar di,, please sir zarur bataiyega mujhe ye sab samjh me nhi a rha

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Koi problem nahi hai aapka blog proper work kar raha hai.

  11. Avatar for Prakash DodvadiyaPrakash Dodvadiya

    100% true he bhai ye sab me pehle karta tha ab sirf ek hi website me kam karta hu.
    Great post bro!! Thanks for sharing ☺

  12. Avatar for RAHUL KUMAR SINGHRAHUL KUMAR SINGH

    HELLO SIR,
    SIR aapke blog ki theme genesis framework ki hai but pura naam kya hai.kya theme ka naam-Parallax Pro Theme too nahi hai pls bataye sir.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes you are right.

  13. Avatar for Rahul TiwariRahul Tiwari

    Jume deen bhai, maine bhi aapko Ek guest post admin@suportmeindia.com par mail kiya hai. Usey bhi check kar ke publish jarur kijiyega.

    Mera ek sawal hai?

    Kya mai apne blog par ek hi post ko Hindi or English dono bhasha me likh sakta hu? kya isse Google me mere blog ki ranking par asar padega or Adsense par kya asar padega..ye bhi bataiyega.. Aapke reply ka intjar karunga. 🙂

    Aapke liye Ek chhota sa sujhav bhi hai:- aap Comment follow ka ek option laga dijiye. jisse jab bhi aap hamare comment ka reply karenge hame mail ke through pata chal jayega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok main check karke aapko reply kar dunga.
      Nahi aesa karne se black hat SEO ki problem hogi or google aapko sites ko avoid kar dega.
      Ok thanks for suggestion.

      • Avatar for Rahul TiwariRahul Tiwari

        Reply ke liye Thanks.

        Black Hat SEO par aapka post padha or isse mujhe kuch nai baate bhi pata chali. Mai puri kosis karunga ki mujhse SEO se related mistake kam se kam ho..( Naya blogger hu isliye ye nahi kah sakta ki “bilkul hi na ho” 🙂 )

  14. Avatar for Rahul TiwariRahul Tiwari

    Bahut badhiya Post Anand bhai.. Aapke sabhi points wakai me bahut achche hain. Sach kahu to maine bhi ye galti ki thi lekin jaldi hi mujhe iska ehsas ho gya or maine blogging par post likhna band kar diya kyuki jab mujhe khud achche se nahi pata to dusro ko kya bataunga. Aapse or Jume Deen bhai se yahi kahunga ki Aise hi post likh kar mera or sabhi users ka margdarshan karte rahiye.

  15. Avatar for Rupendra kumarRupendra kumar

    बहुत बढ़िया jumdeen भाई बहुत अछि जानकारी शेयर की है आपने ऐसे ही अच्छे पोस्ट शेयर करते रहे

  16. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    sir mere blog pe visit kariye usme jo post font hai wo mujhe accha nahi lag raha. aur mujhe css code ke bare me jyada jankari nahi hai islea mai font aur font size change nahi kar pa raha hu. so mai ye chahta hu ki aap mujhe css code de dijiye.

    mujhe open sans font use karna hai aur font size- 17px and line height 31 px rakhna hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Apne blog ki CSS coding me ye code add karo.
      font-family: 'Open Sans', sans-serif!important;
      2. Blog ke header section me ye stylesheet add karo
      <link href="https://fonts.googleapis.com/css?family=Open+Sans" rel="stylesheet">

      • Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

        font size kam ya zyada karna ho uska code ?? maine aapse font size ke code ke liye bhi kaha h sir

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Font size ke liye ye code use karo.
          body{font-size:18px;}

  17. Avatar for Shailesh ChaudharyShailesh Chaudhary

    भाई अपने बहुत अच्छे से बताया है इसके लिए धन्यवाद…मुझे DA (डोमेन अथॉरिटी ) के बारे में जानकारी चाहिए. क्या आप इसके बारे में बता सकते है विस्तार से

  18. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    Hamare post ko apne blog mein guest post ke roop mein jagah dene ke liye aapka bahut-bahut dhanyawaad khan bhai. Main aapke saath aur bhi bahut saara post share karna chahunga.

    Rajkumar aur Ramanand ji ka bhi bahut shukriya karna chahunga ki unhein hamara post pasand aaya. Main bata nahin sakta ki aaj kitna khush hoon.

  19. Avatar for Rajkumar MaliRajkumar Mali

    आनन्द ,आपका पहला ही पॉइंट बड़ा दमदार है जिसके बारे में मैंने भी काफी बार अपने ब्लॉग पर जिक्र किया है फिर भी कई ब्लॉगर केवल उन विषयों पर लिखना ज्यादा पसंद करते है जिनमे ज्यादा कमाई होती है जबकि अनेको विषय है जिस पर आज भी इन्टरनेट पर जानकारी उपलब्ध हिंदी में नही है उन पर लिखिए | ब्लॉग्गिंग से जुड़े विषयों पर लिखने का काम जुमेदीन जी को ही शोभा देता है इसलिए दुसरे अनावश्यक लिखकर पाठको को भ्रमित न करे | जिन लोगो को ब्लॉग्गिंग बड़ी आसान लगती है उनसे निवेदन है कि इस पोस्ट को बारीकी से और बार जरुर पढ़े और फिर आत्मवलोकन करे |

  20. Avatar for Ramanand mehtaRamanand mehta

    धन्यवाद् sir, आपने really ऐसे मिस्टेक्स के बारे में बाताया है जो लगभग सभी blogger करते हैं | अगर इन मिस्टेक से बचा जाये तो कभी अच्छा रैंक मिलेगा |

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...