Mobile me No SIM Card Detected Error tab show hota hai jab sim card device me properly nahi lagta hai, is error ka ye most reason hai but iska koi ek reason nahi hai ki aapka phone ye error kyo dikha raha hai. Is post me android phone me no sim card error ko fix karne ke kuch method bata raha hu, jinhe follow karke aap apne smart phone se is problem ko solve kar sakte hai.
Agar aap smartphone user hai to ho sakta hai ki aapne no sim card error ka kai bar samana kiya ho. Is problem ke kai reasons hai jinke karan ye error aata hai, jinme se ek most reason ye hai ki aapka sim card kisi bhi wajah se relocated ho gaya ho.
Aese me aap sim card ko bahar nikalkar ise fir se lagane ka prays kar sakte hai but kabhi kabhi ye method is problem ko solve nahi kar pati hai, aese cases me hume ek established tarike ki jarurat hoti hai jisse hum is problem ko solve kar sakte hai.
Is post me main aapko android phone me no sim card error ko fix karne ke kuch established way bata raha hu jinme se aap kisi ek tarike se har hal me is problem ko solve kar payenge. Mobile Me No SIM Card Problem Kaise Solve Kare?
Table of Contents
- Android Phone Me No Sim Card Detected Error Fix Karne Ke 10 Tarike
- 1. Apne Mobile Ko Restart Kare
- 2. SIM Tray Par SIM Card Ko Theek Se Lagaye
- 3. SIM Card aur SIM Tray Ko Saaf Kare
- 4. Battery and SIM Card Ko Remove Kare
- 5. Airplane Mode On Off Kare
- 6. Apne SIM Card Ko Check Kare
- 7. Mobile Ko Safe Mode Me Use Kare
- 8. Network Mode Ko Auto Mode Me Change Kare
- 9. Cache Clear Kare
- 10. Apne Device ko Factory Reset Kare
- Conclusion
Android Phone Me No Sim Card Detected Error Fix Karne Ke 10 Tarike
Is article me humne kai factors ka pata lagaya hai jo is error ka most karan hai, jinse aap apne mobile me no sim card detected error ki problem ko sahi kar sakte hai. Aap in tariko ko ek ek karke aajma sakte hai. No Sim Card Detected Error Ko Fix Karne Ka Tarika.
How to Fix No SIM Card Error in Android in Hindi:
1. Apne Mobile Ko Restart Kare
Apne mobile ko restart karna no SIM card detected error ko fix karne ka sabse aasan or fast tarika hai, kyoki restarting aapke device me most application or software ko refresh karti hai jisse kisi bhi minor error ko thik kiya ja sakta hai.
Agar aapka smartphone new SIM card ko nahi manta hai or no sim card installed error show karta hai to aap apne device ko restart kar is problem ko thik kar sakte hai.
2. SIM Tray Par SIM Card Ko Theek Se Lagaye
Kabhi kabhi hum apne new SIM ka istemal karne ke liye jaldbaji me SIM card ko sim tray par sahi se nahi laga pate hai jisse hamara phone card se connection kho deta hai aur network errors show karta hai.
Isliye jab aap no sim card error ka samna karo to sim card ko sim tray par sahi se lagane ki kosish kare, agar sim tray loose hai to sim card ko theek se lagane ke liye kisi tap ya kagaj ka upyog kare.
3. SIM Card aur SIM Tray Ko Saaf Kare
Apne sim tray ko dekhe ki is par mitti ya kuch bhi kachra to nahi jama hai, agar jama hai to ise saaf kapde se saaf kare, sath hi sim card ko bhi saaf kare, ho sakta hai sim card par fingerprint ya koi gandagi ki wajah se ye problem ho.
Yadi sim card ya sim tray ko saaf karne se ye problem thik nahi hoti hai to apne device par ek alag sim card ka upyog karne ka prayas kare.
4. Battery and SIM Card Ko Remove Kare
Kisi bhi power source se apne device ko unplug kare or battery or sim card dono ko nikal de, 30 second ya 1 minute tak wait kare or uske baad fir se battery and sim card dale or dekhe problem solve ho gayi hogi.
5. Airplane Mode On Off Kare
Airplane mode android par sabhi connection band kar deta hai, agar sim problem network connection ya background me run ho rahe apps ke karan hai to airplane mode aapki no sim card error ko fix kar sakta hai.
Agar aapko lagta hai ki sim card me problem nahi hai to apne device me airplane mode ko toggle karne ka prayas kare, kyoki kai users ko airplane mode ON/OFF karne se is problem ko solve karne me madd mili hai.
Follow These Steps and Toggle Airplane Mode:
- Notification bar ko pull down kare.
- Aapko Airplane option dikhayi dega.
- Ise enable karne ke liye Tap kare.
Bas is tarah aap apne mobile me airplane mode enable kar sakte hai, 30 se 1 minute ise ON rahane de uske baad off kar de.
6. Apne SIM Card Ko Check Kare
In dino jyadatar android device nano-sim card slot ke sath aate hai, agar aap ek old device ka istemal kar rahe hai to aap shayad micro-sim card ka upyog kar rahe honge.
In many cases, users micro-sim card ko neno-sim card ke size me katte hai or ise new device par use karte hai, micro-sim card ko neno-sim card ke size me katne ke chakkar me sim card damaged ho jata hai ya ho gaya ho.
Agar aapne bhi aesi hi kosish ki thi to ho sakta hai ki aapke phone me no sim card error isi wajah ka karan ho, yadi aesa hai to aapko ek new sim card lene ke liye apne carrier se contact karne ki jarurat hai.
7. Mobile Ko Safe Mode Me Use Kare
Aapke dvara install har app achha nahi chalta hai, unme se kuch apps nuksan pahuncha sakte hai or is error ka karan ban sakte hai. Apne device ko safe mode me boot kare, isse aap is error ko thik kar sakte hai.
Kuch hours tak apne phone ko safe mode me rakhe, uske bad dekhe ki ye problem thik huyi ya nahi, agar nnhi to aapke dvara installed apps me se jo apps aapke kaam ke hai unke alawa sabhi apps ko uninstall kar de. Uske bad safe mode off kar de or check kare ki ye problem abhi hai ya nahi.
8. Network Mode Ko Auto Mode Me Change Kare
Agar network mode incorrect type par set hai to phone kuch time tak sim card ko nahi pahachan pata hai or error show karta hai, ise thik karne ke liye ye steps follow kare.
- Apne mobile me Settings app open kare.
- Connections par click kare.
- Uske bad Mobile Networks par tap kare.
- Network mode select kare.
- Dekhe ki Auto mode selected hai ya nahi.
Ye steps samsung devices ke liye hai, ek baar jab aap apne device me in steps ko follow kar le to apne device ko restart kare or dekhe ki problem solve ho gayi hai nahi.
9. Cache Clear Kare
Android device ke cache ko clear karna kisi sim card error problem ko fix karne ka bahut aasan tarika hai. Go to Settings>>Storage>>Internal storage>>Cached data par jaye.
Jab aap cached data par tap karte hai to aapko ek popup milega jo aapko batayega ki ye aapke device par sabhi apps ki cache clear karne ja raha hai, yadi aap agree hai to Delete par click kare.
10. Apne Device ko Factory Reset Kare
Last me agar koi bhi fixes work na kare to aapke device ko factory settings par reset karne se problematic software se generate hone wali device par jyadatar problems ko solve karne me help mil sakti hai.
Ek bar jab aapka device factory settings par reset ho jayega to aap sabhi type ke data ko kho denge or ye aapke device par sabhi third-party apps ko bhi remove kar dega.
Agar aap apne data ko khona nahi chahte hai to aap apne phone ko factory settings par reset karne se pahale apne data ka backup bana sakte hai.
Apne data ka backup banane ke liye aap in steps ko follow kare.
- Settings menu me jaye.
- Backup and Restore par tap kare.
- Uske bad Reset Phone option par click kare.
Ek bar jab aapka device factory settings par reset ho jata hai to ye automatically phone ko reboot kar dega, reboot over hone ke bad check kare ki aapka phone sahi se kam kar raha hai or error fix ho gaya hai.
Android mobile me no sim card error problem ko fix karne ke yaha top fixes bataye gaye hai, inhe follow karke aap aasani se apne phone me no sim card problem ko thik kar sakte hai.
Agar in sabhi fixes ko follow karne ke baad bhi ye problem solve na ho to ho sakta hai ki aapke sim card me koi problem ho, isliye koi dusra sim card apne phone me laga ke dekhe.
Agar dusra sim card aapke phone par sahi se kaam karta hai to problem aapke phone me nahi sim card me hai, to us sim card ko avoid kare or ek new sim ka istemal kare.
Conclusion
Ummid karta hu is post me bataye gaye tariko ko follow karke aap apne mobile me No SIM Card error ko fix kar payenge, agar abhi bhi problem solve nahi huyi hai to ise behatar authorized service center par le jaye or check karwaye.
Agar aapka device abhi bhi warranty ke under hai to aap ise authorized service center ya apne carrier ke throw replace kar sakte hai.
Or agar is post me bataye gaye tariko ko follow karke aapke device me no sim card problem thik ho gayi hai to bahut achhi bat hai, agar sach me aapko is post se help mili hai to comment me bataye, mujhe bahut khush hogi.
Agar aapko is post ki jankari helpful lage to ise apne dosto ke sath social media par share jarur kare.
Aditya
Very useful information
aditya
Thank you Dear Sir,
For Sharing this informative blog post.
thank you again Sir…
Ajay kumar
waah bahut achha post share liye hain sir, ye problem mere saath bhi kai baar hua hai. so aaj aapki post ko padhkar samajh md aa gaya ki yah problem aane par iske liye kya-kya chek karna chahiye.
puran mal
bahut hi badhiya jankari share ki hai aapne. bahut se logo ko no sim card detected error ki samsya aati hai
Anand Kumar
Bahut hi behtareen jankari share kiya hai aapne Jamshed bhai. Aage bhi is tarah ki jankari share karte rahein.