Nofollow Noreferrer Noopener Tag Ki Puri Jankari Hindi Me

Nofollow Noreferrer Noopener Kya Hai or Iska Istemal Kyo Kare? Is post me main aapko blog content me external links add karne mar attribute tag Nofollow Noreferrer Noopener ke bare me jankari dunga. Ye kya hai or inko kaise or kyu use kare. Kis tag ko kab use kare or kis tag se kya fayda hota hai. In new security features tags se SEO par kya effect padta hai, Referrer policy, Referrer data. External value in sab ki jankari is post me mil jayegi. Outbound links me hone wale meta tags “Nofollow Noreferrer Noopener” ki puri jankari hindi me.

Nofollow Noreferrer Noopener ki Jankari

Aapne WordPress blog content me outbound external links add karte time target=”_blank” use karne ya Open link a new tab choose karne par link me rel=”noopener noreferrer” attribute tag dekha hoga or aapko is referrer data se confusing huyi hogi ki ye kya hai or isko istemal karne se kyta fayde hai? Ye SEO ke liye sahi hai ya nahi. Aaj hum is post me Nofollow, Noreferrer, Noopener meta tag ke bare me details se janenge.

Ye security update November 2024 me aayi thi. WordPress me 4.7.4 version me rel=”Noreferrer Noopener” add ki gayi. Jo sirf external links par add hoti hai. Ye referrer part ko remove karne ke liye hai. Agar aapko iske bare me pata nahi hai to apne blog ki old posts ke external links check kar le usme aapko ye attribute mil jayega.

Nofollow Noreferrer Noopener Kya Hai Iska Istemal Kyu Kare

Is tags ko dekhne ke bad apake dimag me ye sawla jarur aayega ki ye sab kya hai or main inka istemal kyu karu mujhe inse SEO me kya fayda hoga. Main yaha aapko isi ke bare me btane wala hu.

1. Nofollow:

Iske bare me to sabih jante hai shayad aap bhi. Rel=”nofollow” tag ka istemal un links me kiya jata hai. Jinko hum google search engine se hide karna chahate hai. Nofollow tag add karne par google bots us links ko check nahi karte hai. For example, affiliate links and other sites ke external links.

Iski adhik jankari ke liye aap ye post read kare Nofollow Or Dofollow Tags Ki Puri Jankari Hindi Me.

2. Noreferrer:

Referrer ka matlab HTTP request se hota hai. Jab koi user page A se page B par visit karta hai to hume pata chal jata hai ki ye user page A se aaya hai. Iske theek ulta agar aap nahi chahate ki page A se page B par jane par pata na chale ki user page A se aaya hai to aap rel=”noreferrer” tag ka istemal karte hai.

Ye attribute search engine ke liye nahi browser ke liye hai. Web page A se web page B par jane par browser HTTPS referrer header send nahi karega. Iska SEO par koi impact nahi padta. Ye sirf web browser ke liye hai.

3. Noopener:

Ye attribute security ke liye hai jo aapki information ko hide karta hai. Kai bar hackers aapki site ke external links ko Javascript ya kisi or method ki help se kisi or page par redirect kar dete hai or user ke us link par click karne par wo sahi page B ki jagah page C par pahuch jata hai. Is phishing attack se bachne ke liye rel”noopener” tag ka istemal karte hai.

Is tag ka istemal karne se browser referrer information share nahi karta. Ye “window.opener” ko khatm karne ke liye hai.

Ab aapk oachhe se samajh aa gaya hoga ki Nofollow Noreferrer Noopener Tag kya hai or inka istemal kyu or kis iliye karte hai. Yaha main aapki ek or confusing door kar deta hu. Kyuki bahut se logo ko nofollow or noreferrer me fark karne me problem ho rahi hai.

4. Noreferrer Policy:

  • No-follow: Google se link hide karne ke liye.
  • No-referrer: Browser information send na karne ke liye.
  • No-opener: URL ko phishing traffic se bachane or secure karne ke liye.

Nofollow or Noreferrer Me Kya Difference Hai

Nofollow and Noreferrer Me Kya Fark Hai? Shayad aapne bhi is bare me socha hoga ya fir abhi soch rahe ho. Isko main is tarah samajha raha hu.

  1. Nofollow: Iska istemal gogole search engines ko URL check na karne ke liye kiya jata hai.
  2. Noreferrer: Iska istemal browser security ke liye kiya jata hai. Taki aapke site ke traffic me external links count na ho.

Isko aap point 4 se se or achhe se samajh sakte ho. Maine waha short me bta chuka hu.

Nofollow Noreferrer Noopener Ka Istemal Kaise Kare

Aapko jis link me Nofollow Noreferrer Noopener tags istema lkarni hai. Uske HTML code me aap rel=”nofollow”, rel=”noreferrer” and rel=”nopener” tag add kar sakte ho. Iske bare me to shayad aapko pata bhi hoga.

Magar bahut kam logo ko pata hota hai ki in sabhi ko ek sath kaise use kare. Agar aap 3no tags ko ek sath istemal karna chahate ho to is tarah se akr sakte ho.

<a href=”” rel=”nofollow noreferrer noopener” target=”_blank”></a>

Is tag se na to browser aapke information send karega or na hi aapko phishing traffic ki problem hogi or na hi google aapke link ko check karega. Iska istemal un links ke liye karna chahiye jinko aap kisi hi tarah se apni site se connect nahi rakhna chahate. Jaise:- Affiliate links, Unknown sites.

Actually, mostyle bloggers and website owners affiliate links use karte hai so ye security update affiliate marketing ke liye bahut hi achhi aayi hai. Balki yu kaho ki ye iske liye hi hai.

Note:- Agar aap WordPress user hai to aapko ye sab karne ki jarurat nahi hai. Aapke link me “Open link a new tab” option select karne par automatic ye tag add ho jayega.

Ye thi Nofollow Noreferrer Noopener ki jaruri jankari jo har blogger and website owner ko pata honi chahiye. I hope iske bare me jankar aapko bhi achha laga hoga or next time aapko apne content me Nofollow Noreferrer Noopener tag istemal karne me problem nahi hogi.

Kuch logo ka kahna hai ki rel=”Noreferrer Noopener” tag use karne se SEO par bad effect padta hai. Actually, Isse SEO par koi fark nahi padega. Ye sirf kuch people ka vahem tha. Aesi sabhi bate jhoothi hai. Aap bina kisi pareshani ke iska istemal kar sakte ho. For proof, you can check this article Rel=”noreferrer noopener”: SEO issues.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par other bloggers ke sath share jarur kare taki unko bhi iske bare me pata chal sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (30)

  1. Avatar for sagarsagar

    sir plz solve my query mai ek forum website se backlink le raha tha to rel=”noopener noreferrer” aa raha hai kya mujhe dofollow backlink milega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes

  2. Avatar for Javid sumaraJavid sumara

    Aslamu alekum

    Bhai meri blog website hai usme noopener tag aa raha hai. Uska matlam me ye samjh ke vo nofollow link hai… Me GP primium theme use kar rahu hu. Noopener ki jaga pe me Dofollow karta hu to bhi vo noopener ho jata hai… Pl help… Mene aapka article YouTube se

  3. Avatar for Tinku SharmaTinku Sharma

    Jumedeen bhai.. Maine ek website ke liye guest post likha tha.. To backlink check karne ke liye maine inspect element kiya to usme no-opener tag use kiya gaya hai.. To kya mujhe do-follow backlink Mila ya Nahi?

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      es milega, ye sirf phishing traffic e bachane ke liye hai.

  4. Avatar for Rakesh KumarRakesh Kumar

    bhai jab hum kisi big brand par post likhte hai jaise amazon, netflix, samsung, youtube etc. to hme apni post me en brand ko dofollow link dena chahiye na nofollow ya fir sirf text me likhna chahiye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      external links ke liye nofollow better hai.

  5. Avatar for sultan singhsultan singh

    bahut kaamal ka post hai bhy…..bahut hi asaan tarike se samjaya hai link tags ke bare me

  6. Avatar for NehaNeha

    sir in 2 tag ka use kya hota hai or jab hum koi article submit karte hai to 1 article mein kitne link publish karne chahiye hum ko 1 ya 2 link…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jitne links ki jarurat ho utne hi add karo ba unrelated links add nahi karne hai.

  7. Avatar for RitikaRitika

    hello sir, mujhe aap ke blog bahut ache lagte hai…Aap ne abhi tak se AMP ki koi post nahi dali hai…AMP kya hota hai, AMP ke Advance and disadvantage kya hai or seo mein kya help hoti hai AMP ki please ye post jaldi se jaldi karo sir…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thank for suggestion jarur karunga.

  8. Avatar for SunilSunil

    Vary nice post..

  9. Avatar for kumarkumar

    Bahut badhiya information di h bro. Me ek saval h
    Kya a; wordpress me genesis theme ko modify karne par article ahi likh sakte h kya abhi tak genesis par adhuri jankari ya paid article hi mil rhe h or jyada log genesis theme ko apna rahe h aise me genesis theme k upar article,ikhna smi ko nai pahchan de sakta h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thank you kumar jarur likhunga.

  10. Avatar for UmeshUmesh

    Very Well Explained.

  11. Avatar for sarfraazsarfraaz

    sir mere wordpress blog me header image yani ki mera logo bahut badi size me dikhti hai ise main kaise chota karu. sir coding ke jariye
    aur sir mere blog ke menu underline me aata hai jab mai apna mouse uspar lekar jaata hun tab ise kaise roku help…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First aap kam size ka logo use karo or uski width or height set karo like img src="" width="100px" height="100px"/>

  12. Avatar for Qasim ButtQasim Butt

    Bro Boht achi post he,
    bhai agar mere website ke custom domain ke adsense approve hojaye or fr domain expire hojaye or kia fr .blogspot.com ke domain pe bhi baad me ads dhika sakte he ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Uske liye apake pas blogger se approve adsense hona chahiye.

  13. Avatar for Kuldeep VishnoiKuldeep Vishnoi

    Aap mera blog check karke btaiye .. main keywords bhi sahi deta hu seo bhi pura karta hu phir bhi google ke top result me mera blog nhi aa raha h iska kya reson ho sakta hai plz btaiye…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aabhi aapki starting hai backlinks banao or apne content ka sahi se promotion karo. Sirf SEO karne se post top me nahi aa jayegi.

  14. Avatar for ArvindArvind

    Hello Sir abhi aap kaun si hosting use karte ho?
    Maan agar mere blog par daily 20-25k visitors daily ate ho to mujhe kaun si hosting kharidni chahiye jissey site down na ho.
    Thanks in Advance 🙂

  15. Avatar for Shahadat KhanShahadat Khan

    Very good information dear thanks for good post sharing

    1) Aapne kai baar bataya hai ki default kabhi nahi rakhna chahiye tOK jahan par hum tage kare to 1 post mein kitne kar sakte hai 2’4!6′ dofollow no follow

    2) Link jo hum dete hain hamari yeh post padhe inko 1 dam beech mein kaise show karae jaise aapki links dikhte hain
    But mere links aap dekhen beech mein nahi hote left ya right hote hai

    3) Image ko kahan par lagana better hoga up down ya medium

    Ab mere blog ko 1 baar sarsari nazar se dekh kar bataiye plz ki ab kya kya sudhar karna hai
    Likhne ka style ya font ka stayle ya thems kya change karen mein chhoti post nahi likhta jo bhi likhta hun yahi ummed rakhta hun ki puri jankari dun kya yeh sahin hai ya post ko 2 part mein likhna chahiy

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Jitne chaho kar sakte ho iski koi limit nahi hai.
      2. Iske liye aap post editer me center text format choose kiya karo.
      3. Top me.
      4. Sab theek hai no problem.

  16. Avatar for Altaf HussainAltaf Hussain

    Good Info Bro Is Post Se Hame Achi Jaankari Mili Hai Akhir Apne Batayi Diya Ki Smi Alag Hi Hai Sabse. Aise Hi Hamare help karte rahe

  17. Avatar for Mohsin AnsariMohsin Ansari

    Sir Main Apna Domain Name Change Karna Chahta Hun. Kya Isse Traffic Ya Rank Down Hoga.??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes aapka traffic or search rank 0 ho jayegi.

  18. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Good Bro ,Aapne Isse Achhe Se Samjhaye Aur Logo Ka Bharm Dur Kiya Isse Seo par Fark Nahi Padta Hai,

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...