Dosto aap sab jante hai ki aaj duniya ka 90% kaam online hi hota hai. par aaj bhi bahut se log ayse hai. jinhe internet ke bare me jada kuch pata nahi hai. aaj hum bat karenge ki online shopping kaise ki jati hai. mai chahata hu ke mai sari duniya ko up to date bana du par mai akela ye kaise kar sakta hu. isliye aap mera sath de or is post ko pad kar ignore mat kare apne dosto ke sath share karke logo ki madad kare. online shopping karke hum paise ke sath sath samay ki bhi bachat kar sakte hai.
Table of Contents
Online Shopping Ke Liye Kya Kya Hona Chahiye?
internet se online shopping karne se pahle hume ye pata hona jaruri hai ki online shopping karne ke liye humare pas kya kya hona jaruri hai. yaha mai aapko iske bare me bta raha hu.,1. Computer, Tablet, Mobile. (aapke pas jo bhi ho.2. Email ID (online shopping wali site par sign up karne ke liye)3. Money/Paisa (saman kharidne ke liye)4. Credit Card/Debit Card (bhugtan karne ke liye)5. Address (saman receive karne ke liye)
- Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
- Kya Aap Jante Hai Google Chrome Ki Ye Interesting Tricks
Online Shopping Karne Karne Me Kya Fayda Hota Hai?
online shopping karne se bahut fayde hai. yaha mai aapko kuch point de raha hu. aap khud samajh jaoge.
1. Samay Ki Bachatsabse badi bat samay ki bachat hoti hai. kyuki agar aap dukan par saman lene jaoge to aapko khud dukan par jana padega jabki online shopping karne se saman khud aapke ghar par pahuchaya jayega.2. Paise Ki Bachatjab hum kisi dukan se saman kharidenge to jahir hai ko dukandar bhi us saman par humse 10-20 rupe ka munafa kamayega. online shopping karne se dukandar ka benefit kam ho jata hai. or company direct saman humare ghar bhej deti hai.3. Acha Or Sasta Samanbazar me dukandar kei bar hume nakli saman de dete hai. online shopping karne se par hume originol saman hi milega.4. 30 din tak saman wapis karne ki suvidhaonline saman karne ke bad aap agar aapko wo saman pasand na aaye to aap use 30 din se pahle wapis bhi kar sakte ho. jabki dukan pe se kharida hua saman dukandar wapis nahi karta hai.5. Payment saman ghar pahuchne ke bad hota hai.jab aap online shopping karte ho to aapko uska payment saman ghar aane ke bad me karna hota hai. isse aap apne saman ko achi taraha check karne ka mouka bhi mil jata hai.6. Pura saman ek order sebazar me hume ek ek saman ke liye kei dukano par jana padta hai. par online shopping se hum sara saman ghar baithe manga sakte hai.7. Mahnga saman hone ka dar khatmBazar me hume dar rahata hai ki kahi koi hume koi sasta saman mahnga nahi de de. par online saman kharidne par ye dar nahi rahta. kyuki humarew saman bahut si copany hoti hai. jo sabse sasta de hum use select kar sakte hai.to dosto ab aap khud samajh hi gaye honge. so aapko or kuch batane ki jarurart nahi hai. to chaliye aage jante hai ki online shopping kaha se kare.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Internet Se Paise Kaise Kamaye: Online Paise Kamane Ke 20 Tarike
Online Shopping Kaha Se Kare?
Aapke dimag me ye sawal aa hi gaya hoga. wese to bahut si sites hai. online shopping karne ke liye. jinme se kuch ke bare me mai aapko bta deta raha hu.1. Flipcart.com2. amazon.com3. OHMH.IN4. yepme.com5. snapdeal.com6. myntra.com7. jabong.com8. homeshop.com9. junglee.com10. ebay.in11. paytm.com12. ensoga.com13. aliexpress.com14. naaptol.com15. infibeam.com16. shopclues.com17. indiatimesshoping.com18. ezoneonline.com19. fashionara.com20. babyoye.comonline shopping ki or bhi bahut si site hai. par inme se popular sites Flipcart.com, amazon.com, paytm.com, snapdeal.com hai. aapko jis sites par saman sasta or acha mile aap usse online shping kar sakte hai.
- Facebook Par Fake ID Ka Kaise Pata Lagaye Puri Jankari
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
Online Shopping Karne Ke Liye Flipcart Par Account Kaise Banye?
dosto aap kisi bhi sites se online shopping karo lagbhag sabhi ki same procces hai. yaha mai aapko Flipcart.com ke bare me btaunga. kyuki mai isse hi jada shoping karta hu.
Step 1Sabse pahle aap www.flipcart.com site par jaye or Sign Up par click kare.
Step 2ab ek popup windows khulegi 1. yaha par apne mobile number bhare.
2. Ab Continue par click kare.
Step 3ab ek or popup windows khulegi 1. aapne jo mobile nuber enter kiye hai. un par ek msg aayega. agar msg na aaye to apne number yaha check kar le
2. us msg me 6 number ke code honge unhe yaha enter kare.
3. ab apne account ke liye ek password choone jo aap yaad rakh sake.
4.SIGN UP par click kare.ab aapka flipcart site par account to ban gaya hai. ab hum sikhenge ki
- Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
- Computer Me Whatsapp Kaise Use (Chalate) Karte hai
Flipcart Se Online Shopping Kaise Kare?
Ab aap fir se www.flipcart.com ke home page par jaye.
yaha par aap dekhenge ki aapke samne bahut sare products ke ads show ho rahe hai. aap ko jo chahiye aap uske puri details, rates pad kar shop now par click kare.Step 1Agar aap mobile use kar rahe ho to ek aysi popup windows khulegi.
1. yaha par diye gaye codes ko sahi sahi bhar le.2. Send Msg par click kare.ab aapke mobile number par ek msg aayega usme ek link hogi. us link par click kar ke aap flipcart ka apps download kar le.
Aap yaha par click kar ke bhi apne mobile ke liye flipcart apps download kar sakte ho.
Step 2Agar aap computer use kar rah hai to ek aysi windows khulegi.
1. BUY NOW par click kare.
Step 3
Ab jo windows khule usme sari jankari sahi sahi bhare.
1. yaha apna naam likhe.
2. isme apni city ke pin code. aapke waha jo bhi lagte ho bhare.3. apna wo address dale jaha par aapko saman recieve karna hai.4. isme apni khariddari ke hisab se kisi bhi saman ka naam likh de.5. apne mobile number likhe.6. last me SAVE & CONTINUE par click kare.Step 4ab ek or windows khulegi.
1. agar aap koi saman gift ke roop me apne kisi dost ko bhejna chahate ho to yaha par click kar ke aap apne dost ko gift kar sakte ho.2. last me CONTINUE par click kare.ab aapne flipcart se saman to kharid liya ab aapko payment karna hai.
Online Saman Kharidne Par Payment Kaise Ki Jati Hai?
payment karne ke kei tarike hai. par mai aapko sabse aasan tarika btaunga, kisi bhi bank ke ATM se payment karna yani Debit Card se. Jaisa ki aap image me dekh rahe hai. aap isi tarike se payment kar sakte hai.
1. Debit Card par select kare.2. yaha apne card ka 16 number ka ank bhare.3. apne card ki expire date select kare.4. apne card ke piche 3anko ka ek cvv number hota hai. wo yaha dale.5. Pay Now par click kare.Ab aapke number par ek msg aayega usme OTP password honge. wo aapko verify karne hai.
1. apne otp passwordd enter kare.2. Submit button par click kare.
- Youtube Se Paise Kaise Kamaye Video Upload Kar Ke Hindi Me jankari
- Apni Website (Blog) Ke Domain Ko Bina www. Ke Kaise Set Kare Aasani Se
Ab aapka payment ho chuka hai. ab 2 s3 5 din me aapke dwara order kiya hua saman aapke btaye address par pahuch jayega. agar aapko online shopping se sambandhit kuch puchna ho to comment me apni problem likhe.
Mahendra Ahirwar
Sir… Kya kuch international sites se debit card se shopping krne pr OTP nhi aata kya??? Sirf debit card details se online money deduction ho jata h kya without OTP on mobile…??? Sir… Clear this doubt… Agr Sir aesa hota h fir to online shopping hi risky h..
जुमेदीन खान
हां बिल्कुल, यह रिस्की है, ऐसी साइट के लिए आप Paypal इस्तेमाल करो
Rupon Roy
sir debit card kise kahte hai aur ise kaise banaye??please sir reply me!
Jumedeen khan
ATM card ko hi debit card kahte hai jo ki aapko bank se mil jayega.
umesh
nice share sir boht badhiya tarike se samjhaya hai aapne
ankit
Sir me hmesa online hu mgata hu Amazon or flipkart se ..Par me cash on delivery krta hu..Muje net banking krna sikhna hai to aap please meri help kijiye sir..
Agr aapka wtsaap no ho to please do
Jumedeen Khan
Aap net banking ke bare me article read kare, google me search kare aapke ahr sawal ka jawab mil jayega.
Mithu
Kya flipkart me online payment karne par delivery charges lagta hai. Jaise ki homeshop 18 pe nehi lagta. Please help me.
Nirmal
Such a perfect post bro this post cover all point to retated online shopping
Hemanta
Mai mere nokia keypad mobile se online shoping kar sakta hu kya.?
varun chauhan
Sir atm card me kitne paisa rehne pe emi me Mobile milega
Gayatri Rajpande
agar mujhe pata karna ho ki mera prodact kaha tak pahocha hai to kaise karenge
Anjali singh
ATM card se shopping kar sakte hai
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
RK Raja
bhaiya hum apne google account ko kaise google adsense se jorenge , aur jorne ke liye koi charge pay karna hota hai kya ?
aur mai apna wapka website ko kaise design karenge ?
Jumedeen Khan
No charge humari adsense wali psot padho sabki jankari mil jayegi.
Zishan khan
Cash on delivery se payment kaise kiya jata hai please detail batao
Jumedeen Khan
Cash on delivery me payment aapko product milne ke bad karna hota hai yani jab company aapko product send kare to aapke ghar par product dene wale member ko pay karna hota hai.
Rahul kumar
Sir
mere paas koi card nahi hai to kya mi online shopping nahi kr skta
Jumedeen Khan
Nahi.
POOJA
AAP CASH ON DELIVERY OPTION LE SAKTE H….
Ryan Steyn
Aap Online Grocery kharidne k liye Aaramshop.com use kar sakte hain…Best Deals and fast Delivery!!
सुरजीत कुमार
सिनेपडाइल पर सोपिंग करते समय डेबिटकारड से मोबाईल पर OTP पासबरड नही आता
Parasar
Hi bhai main village ka hoon waha par to nahi aa sakta to main bus station par apna saman order kar sakta hoon please replay
Jumedeen Khan
bilkul kar sakte ho.
nawab khan
Jume deen bhai kya YouTube ki earning se online shoping kr skte hai kya YouTube ki analytics earning q ki YouTube me mere 100 se bhi zada doller h lekin ahi tk AdSense verify option hi nhi a rha h to me toutube ki money se online shoping kr skta hun kya
Jumedeen Khan
Nahi kar sakte. YouTube ki earning direct aapke bank aaccount me aayegi.
Nawab khan
Lekin AdSense pe verify option nhi aa rha h or koi rasta h jisse bina AdSense ke yourube ki earning bank account me daal ske.paypal se ho jayega kya
Jumedeen Khan
Nahi or koi rasta nahi hai.
Ayush
Are debit card se payment karne par Sara payment online hi hota h ya fir dilivery par bhi kuchh karna padta h??
Jumedeen Khan
Sabkuch online hi hota hai.
Aman Shrivastav
Please add Aaramshop in the list of Online Grocery Shopping websites. Aaramshop.com is a new concept where the partnership is being done from local retailers and general stores for doing the delivery of products.
sunny
wow!!!!what a blog…after a long time i came to see this type of blog with very simply explained content…thanks you soo much for your information giving to us
Manish kumar banjare
sir mujhe emi me phone kharidna h uske liye kya method h emi shopping ke liye phle pura paisa lenge phir aapko product delivered hone par wapas ho jayega phir aapko emi me dena hoga esa kaha
Shubham
Bhai mujhe online karni hai shopclues se ya snapdeal se to EMI k liye Debit card use karsakte hai kya ?
Jumedeen Khan
Haa kar sakte ho.
Junaid Siddiqui
sir me apne subscribers badane ke liye subcriberz.com ka use karraha tha or subscribers bhi kafi tezi se bad rahe the lekin 1 din sare subscribe gayab hogaye hai mere 70 subscriber the or abhi 8 hi bach hai mere sath bhot bada frod hua hai
sir please aap mujhe email via reply send kare kyu ke apke WAP per reply comment show nahi horahe
Jumedeen Khan
Junaid ye fake subscribers hote hai kuch time bad automatically expire ho jate hai.
Sambhaji
Nice article thanks for sharing
Rohit singh
bro kya ik bar bank details bharne ke bad $100 hone par Adsense hamare bank account mein apne aap paise transfer karta rehta hai ya hame hi kuch karna padta hai lene me liye
Jumedeen Khan
$100 earning hone ke bad google aapki har mahine ki income ko 21 tarikh ke bad automatically send kar deta hai.
Vivek aray
आप मनचाही फोटो कैसे बना लेते हो जैसे ऊपर आपने online shoping kaise kare वाली फोटो बनाई है व अपनी सभी पोस्ट मे बनाई है क्या उसका कोई सोफ्टवेयर है तो नाम बताये
Jumedeen Khan
aap photoshop software use karo.
Ajeet singh
Hello bhai ye (wi fi) kya hota hai kya iska network sabse fast hota hai or ye ik movie lagbhag 400 mb ki movie kitni der me download kar deta hai
Jumedeen Khan
Kisi bhi computers, smartphones, or other devices ko internet se jodne wali facelity ko wi fi kahte hai. Bro ye aapke internet connection ke upar hai ki wo per second kitni speed deta hai.
SACHIN MAN
otp code kya hota hai?
har baar waihi code dalna padega kya shoping ke liye?
Jumedeen Khan
OTP code ka matlab hota hai one time password. Ha aapko har bar otp code dalna hoga.
raj
dear sir
mujhe filipcart par se emi par mobile purches karna hai but ye kon se card means visa card ya mastercard se hoga plz ye btay or emi se sambandhit jankariya shere kare thanking you
Jumedeen Khan
Visa card yani debit kard/ atm card se.
ritika
sir mai amzone se mobail li hu to uska payment kaise karungi samjh nhi aa rha hai pls help me
Jumedeen Khan
Atm se online kar sakti hai.
ranveer
accha mai sir 200rs me 32gb memory card ebay.in se buy kiya lekin payment option me cash on delivery,debit,credit card sab ka option diya tha to maine cash on delivery pe click kiya to new windows open hua phir payment option choose karne ko kah raha h jitni bar cash on delivery par click kar raha hu wahi chij de raha h reason kya h sir bata sakte h plz help
Jumedeen Khan
Aap payment option me debit card par click karke apne atm card se payment karo.
boby
sir me online shopping karna chahta hu bt kai bar mera cancel hota jata or msg aata you r already paid
.address dalne pr ye response aata hai ki vo address unavaileble hai so kon sa address dale jisse hmara saman ghar tk pahuche
Jumedeen Khan
Aap already shoping kar chuke ho or aapke bank account me balance check karo.
ranveer
aur sir mai internet me online shopping debit card ke sath bina net banking ke kar sakte hu plzz help me sir sirf aap madad kar sakte h hamara
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho jab payment ka option aaye to debit card select kiya karo.
ranveer
sir mujhe cvv no. samjh me nahi aa raha h maine debit card ke piche dekha to likha h debit shopping card aur no 4300 diya h aur uske bagal me 893 no. diya h kaun cvv no. h samjh me nahi aa raha mai abhi online payment kar raha hu jaldi help kijiye sir plzz jaldi bataiyega
Jumedeen Khan
893 hi aapko cvv number hai.
ranveer
thanx bhai aur dusre ka sab information naam dekar mai apna debit card se shopping kar skata hu plzz bataye sir
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho.
ranveer
sir maine sara kuch kiya debit card se online lekin last me likha raha h ki your mobile number not register bank but maine bank account kholwaya tha to number bhara tha form me plz help kare sir
Jumedeen Khan
Aap dusra debit kcard use kar sakte ho ya bank me ja kar pata karo aapka mobile number add ha iya nahi.
Dhaniram
sir snapdeal se mai kuch kharidna chahta hu lekin peyment karna nai aa RHA hai
Jumedeen Khan
Aap debit card se payment kar sakte ho.
Rakesh
sir flipkart par emi se saaman kaise purchase karte hai
Guddu
Hmm ne ek troli baig order kiya Jo Facebook pe add aaya tha order confirm krne PR continue 3 baig ka order hogya.jbki hmme 1 hi troli baig order krna that. Hmme kya krna chahiye .
Mithu
Aap my order option me jakar 2 order cansel kar sakte ho.
kavita dhangar
Isme to 4 no. Ke tips me likha hai saman pasand nhi aaya to 30 din ke andar vapas kr sakte ho fir saman vapas kyun nhi hoga
Jumedeen Khan
Har product wapis nahi kar sakte. sirf kuch hi company ye ervice deti hai.
vikas meena
amozan se bada podct emi duaara kese kharide kisto me
kavita dhangar
Sir mai jo kapdha order ki thi vo delivery ho gaya hai but vo kapdha mujhe pasand nhi aa rha to usko mujhe vapas bhejna hai uske liye kya krna chahiye ..
Jumedeen Khan
online product wapis nahi kar sakte.
Md Arshad Noor
Jumedeen Bhai aapko kirana dukan hai na?
kyo ki mene apka ek photo dekha Jo ki aap dukan par ho….
Jumedeen Khan
Meri nahi ek friend ki shoap hai.
kavita dhangar
Mai aaj subah hi kapdha order ki thi lekin ab mujhe vo order cancel krna hai to order cancel kaise krenge
Jumedeen Khan
Ab tak aapka order book ho gaya hai so cancel nahi kar sakte.
farzana
Farzana
Debit card nhe hae cash on delivery nhe kr skte hn
Jumedeen Khan
Kar sakte ho. agar company ye offer deti ho to.
samm
Bhai gift card voucher & promotinal code kya hota ….
sibasish sahoo
Sir me amazon pe payment method par phase jarahahnu me keise shopping karu ?
Jumedeen Khan
Aapko jo bhi product kharidna hai us par click karke ATM card se payment kar sakte ho.
sunny kumar
bhai mai amezon par redmi note 3 mobile lena wala hun mai mobile kaise lun mujhe pata nhi hai ap hme btao ki amezon par mobile kaise lete hai
Jumedeen Khan
Is post me yahi btaya gaya hai ki online shoping kaise kare or uska payment kare.
santosh kr.singh
sir mere atm me expire date nahi hai aur na hi cvv no to mai kya kru
Jumedeen Khan
Har atm par expire date or cvv number hote hai. aap kis bank ka atm use kar rahe ho.
Abhinav Chaube
bro mai computerkahelp.blogspot name se blog banaya hu mainr usme 6 post bhi daali hai par visitor nhi aa rhe ..sirf 20-25 per day hi aa rhe hain aap check krke batao mujhe kya karna chahiye jisse visitor bhi aaye aur income bhi ho….Aur ek chiz puchhna hai maine zohosites se domain register kiya hu per samajh nhi aa rha ke ise set kaise karu plzz help me …
Jumedeen Khan
Bro 6 post se starting me 20-25 visitors mil jaye to bahut hai. jab tak aapke blog par 50+ post na ho income ke bare me mat socho sirf blogging par dhyan do. ye post padho Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain kaise Use Karte Hai
Najam Javed
Online kha rid ari kaiser Karen. Mujhey hindi lipid me post Karen. Me harbinger hogi
Jumedeen Khan
hindi me post padne ke liye aap humari hindi site hindi.supportmeindia.com par jaye.
Dylan
Excellent blog here! Also your web site loads up fast! What web host are you using? Can I get your affiliate link to your host? I wish my website loaded up as fast as yours lol
Nathan
Have you ever considered about including a little bit more than just your articles? I mean, what you say is important and everything. However just imagine if you added some great visuals or video clips to give your posts more, “pop”! Your content is excellent but with pics and video clips, this website could undeniably be one of the most beneficial in its niche. Fantastic blog!
anwarkhan
Mere debit card h or jab m koi samaan salct karke pay now par jata Hu to zip postal code aa raha wo mujhe samaj nhi aa raha h
Jumedeen Khan
zip code yani aapke village ka pin code, aap iske bare me kisi teacher se puch sakte ho.