Pen Drive Ka Data Save Karne Ke Alawa Kya Istemal Kar Sakte Hai

Pen drive jaisi choti si cheez to aaj ke time me har kisi ke pas hoti hai. Ye portable storage device bahut kaam ki hoti hai jo log computer, laptop istemal karte hai unke pas ye jarur hoti hai. Apne desktop se mobile ya other device me koi bhi jaruri data transfer ya save karne ke liye hum Pendrive ka upyog karte hai. But hum iska data transfer karne ke alawa bhi kei or kaamo me istemal kar sakte hai. Aayiye main aapko btata hu.

Pen drive utility

Mostly, hum apne personal data ki security ke liye pen drive ka istmeal karte hai. Isse hum pana personal data apne desktop PC se move kar pen drive me save rakh sakte hai. But hum agar chahe to isi pendrive ka kuch or bhi jaruri kaamo me istemal kar sakte hai.

Agar aap security ke liye or jyada information pata karna chahate ho to humari Google Gmail Account Me 2 Step Verification Kaise Enable Kare jaisi Security se related posts read kare. Is category me humne specially security ke bare me tips btayi hai.

1. Security key:

Public place me apna laptop PC istemal karna humesha hi bahut risky hota hai. Aese me aap apni pen drive ko ek “safety key” ki tarah istemal kar sakte ho.

Iske liye aapko online predator name ka ek software download karna hoga. Iske bad pendrive ko bina computer me insert kiye or password enter kiye koi bhi aapke computer ko access nahi kar sakta.

2. Extra Apps Store:

Android and other mobile or tablet me ram and rom kam hone ki wajah se usme hum bahut sare games and other jaruri apps install nahi kar sakte. In application ko aap pen drive se run kara sakte hai iske liye aapko portable apps download karna hoga.

But pen drive me aap un sabhi apps ka data save karke phone me USB se connect karke gameplay kar sakte ho. Inke alawa aap chrome, mozila browser jaise jaruri computer software ka back up le kar pen drive me save rakh sakte ho.

3. Use as Anti Virus:

Kya aap jante hai ki aap apni pen drive ko anti virus ki tarah istemal kar sakte ho. Mera matlab aap pendrive ko anti-virus bana sakte ho.

Iske liye aapko avg.com me ja kar pen drive me anti virus install karna hoga. Iske bad aap kisi bhi device me ise anti virus ki tarah use kar sakte ho. Jisme virus ho aap us device ko isse connect kar scan kar sakte hai.

4. Save Your Personal Data:

Aap apna koi bhi personal data pendrive me save kar sakte ho or use kisi surkshit jagah par rakh sakte ho. Jaha se use koi chura na sake ya uska pata na laga sake.

Is personal data me aapki favorite movies, songs, documents copy, important files ho sakti hai. Main already iske liye extra hard disk istemal karta hu aap bhi kar sakte hai.

5. Make Pen Drive PC Ram:

Agar aapke PC me ram kam hai or kam ram ki wajah se aapka computer slow chalta hai to aap pen drive ko ram ki tarah bh iistemal kar sakte ho.

Iske liye aap sabse pahle pen drive ko apne PC me USB se connect kar format kar le. Uske bad pendrive ki properties me jaye. Iske bad aapk oready boost par aana hai. Yaha aapko use this device ka name dikhayi dega. Is par click kare or apply kar ok par click kar de.

Bas ab aapka pen drive ram ban chuka hai. Ab aap ek bar apne PC ko restart kar le. Uske bad aap dekhenge ki aapka pen drive ram  ki tarah kaam kar raha hoga. Agar aap computer ke bare me or jyada jankari chahate hai to humari Computer Kya Hai – Computer Ki Puri Jankari Hindi Me post padhe.

Is tarah se aap apne pen drive ka istemal in tariko se kar sakte ho. Inme se anti virus sabse important hai. Aap apne kei kaam is ek choti si device se kar sakte ho.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (9)

  1. Avatar for ram sharmaram sharma

    sir kya aap ne kahi pe bloging seekhi thi yaa phir ye ek lambi process ka natija hai main bhi blog likhna chahata hoon kaise shru karun batayen ,,,,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine sabkuch online hi sikha hai.

  2. Avatar for pradippradip

    windows 7 kaise update Karu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Windows aap tabhi updat kar sakte ho jab aapke pas originol windows ho. Aap windows setting me ja kar update par click karo jo updates hogi show ho rahi hogi yaha se aap update kar sakte ho.

  3. Avatar for Mahesh ChopraMahesh Chopra

    Bahut Achha article.Very helpful.Keep sharing such things.Thank you

  4. Avatar for Sahil KumarSahil Kumar

    मेरे साथ तो पेन ड्राइव के संबंध में बहुत बुरा हुआ, मैने Amazon से एक पेनड्राइव मंगवाई थी और कुछ दिन बाद ही वो ख़राब हो गई, मेरा सारा जरूरी डाटा उसमें था।

    भाई अगर पेनड्राइव को रिपेयर करने के संबंध के कोई जानकारी मिले तो जरूर शेयर करना।

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Oh bad, sahil google me search karo koi na koi rasta mil hi jayega.

  5. Avatar for RAVI PARWANIRAVI PARWANI

    Bhai, bahut kam log jante honge ki pen drive ka aur bhi itna Sara use hota hoga.
    thanks brother.
    Bhai ek suggestion hai apke liye ki aap aisi post likho jisme social popular sites like Instagram, Pinterest ,stumble upon ka use Kaise karne apne blog k liye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kuch social sites ke bare me likh chuka hu baki ke bare me bhi likh dunga.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...