Kya Pop-up or Pop-Under Pages Me Adsense Ads Laga Sakte Hai

Aapne bahut se google publisher ki websites or blogs par dekha hoga ki wo pop-up and pop-under pages me adsense ads show karte hai. Ye sab dekh kar aapke man me ye sawal jarur aata hai ki Kya Google Adsense Pop up or Pop Under Page Me Ads Allow Karta Hai? Agar yes to ye post aapke liye hi hai kyuki main yaha aapko pop-up & po-under web page me adsense use karne na karne ke bare me details se bta raha hu taki aapko sahi se samajh aa sake. To chaliye ab hum jante hai ki google adsense ads ko popups and pop-under pages me laga sakte hai ya nahi.

Google adsense not allow ads on pop-up and pop-under pages

Google adsense humesha se yahi chahata hai ki uske ads ki wajah se humari site ke visitors ko koi problem nahi ho or shayad har ek website owner bhi yahi chahata hai but jyada earning ke lalach me aa kar kuch adsense publisher error 404, contact, about page etc. par bhi ads laga lete hai jo ki google adsense bilkul allow nahi karta.

Theek wese hi aaj kal bahut se adsense publisher website ya blog ke pop-up ya fir pop-under pages me adsense ads display karne lage hai jo ki simply adsense policy ka violation hai or iaesa karne se adsense account deactivate ya suspend bhi ho sakta hai.

Kya Pop-up or Pop-Under Page Me Adsense Ads Use Kar Sakte Hai

Hal hi main google team ne apne official adsnese blog par Clarification Around Pop-Unders page me isko clear kiya hai or saaf tor par btaya hai ki pop-up ya po-under page me adsense ads istemal karna adsense policy ke against hai or isse bilkul aapka adsense account band ho sakta hai.

Google users ko utni hi value deta hai jitni ki advertiser ot publisher ki di jati hai or wo chahata hai ki uske advertisement se users ko koi pareshani nahi honi chahiye. Users ki pasand ke hisab se hi google adsense ki policy banti hai taki visitors adsense ads ko like kare or aap or jyada kama sako.

Yaha main aapk obtana chahunga ki pop-up and pop-under page me ads kaise use add karte hai. Agar aapko aesi glati kar rahe hai to use abhi theek kar le.

  • Pop-up Ads: Adsense ads ko pop-up size ki screen me show karna jaise ki hum email subscrive widgets use karte hai.
  • Pop-Unders: Website par pop-ups pages bana kar unme adsense ads istemal karna taki user ka dhyan ad ki or jyada jaye or wo ad par click kare. Isme page me kuch content likh kar ad laga diya jata hai.

But kuch adsense publisher front page par pop-ups me adsense ads add karke user ko attract karne ki koshish karte hai taki wo jyada kama sake or ek dusre ko dekh kar baki kuch log bhi aesa hi karte hai. So un logo ko meri salah hai ki wo aesa karna band kar de warna unka adsense account band ho jayega.

Google adsense aesi websites ko adsense ads show karne ki permission bilkul nahi dega jo pop-unders pages me ad show karti ho. Agar koi aesa karta hai to uski site par se ads show hona band ho jayenge ya fir uska adsense account disable ya suspend kar diya jayega.

Agar aap kisi big adsense publisher ki site par is type ke ads dekhe to use ignore kar de kyuki google badi sites par ekdam se action nahi leta hai first use warning di jati hai or uske bad agar wo issue ko solve nahi karta hai to adsense service band kar di jati hai.

Is jankari ko apne sabhi adsense publisher friends ke sath share kare taki unko bih iska pata chal sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (50)

  1. Avatar for devdev

    jummedin sir phle har baat ka jawab dete the lekin aaj ek jawab ke liye kayi din lag jaate hain or ans nhi dete ho acchi policy hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      right agar aap unrelated post par comment karoge to comment approve nahi hogi ye policy me clear likha hai. Aap mobile category ki post par blog ki comment karoge to usse mujhe loss hota hai.

  2. Avatar for akash guptaakash gupta

    Sir mere blog ko pura 1 maheena ho gya hai aur aap mere blog ko ek baar check karlijiye ki isme maine ad sahi place kiye hain ki nhi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Good blog

  3. Avatar for Tahir abbasTahir abbas

    Sir mera ek blog hai jo 6 month purana hai. Aur maine ise adsense ke liye apply kiya hai to is tarike ma message show hota hai.

    We’re working on setting you up
    This usually takes less than a day, but in some cases it can take a bit longer. We’ll notify you when everything’s ready. Then start earning money by placing ads.

    Please muje ab kya karna hai ye bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ek do din bad try kare, other device me ho jayega.

    • Avatar for Ankit lakheraAnkit lakhera

      इसके लिए आप थोड़ा वेट कर लीजिए उसने बताया है कि आपने जो ऐड सेंड के लिए अप्लाई किया था उस में कुछ समय लग रहा है अगर कुछ ज्यादा समय लगता है अगर सब कुछ ठीक रहा तो वह अब तो बोल दे देगा उसके बाद आप अपने एडवर्टाइजमेंट लगा सकते हैं तो थोड़ा वेट कर लीजिए वरना आप Google फॉर्म में जाकर अपनी सहायता पूछ सकते हैं

  4. Avatar for shailesh chaudharyshailesh chaudhary

    Bhai Mere kuch Post par Page Level Violation aaya hai Adsense ki taraf se, Mujhe Un Post ko Delete karna hai. But Mai chahta hu ki Post Delete Karne ke bad 404 ERROR Naa aaye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Post URL ko blog homepage par redirect kar do.

  5. Avatar for Kanhaiya lalKanhaiya lal

    Hlo sir ji adsense me kha se pata lagaye ki ads par click janbujhkar kiye gaye h aur sir aap cooment ka jawab dete ho to mere email par nhi aata ki jawab de diya gya h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aesi koi trick nahi hai. Maine comment notification disable ki huyi hai.

  6. Avatar for Sadhan DanSadhan Dan

    Sir Google HTML code review ke liye diya hua code ko blogger template ke niche paste kar rahe hai to error aa raha hain pasring error.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap ad code ko blog widget me add kar sakte ho. Sidebar and header widget me karna.

    • Avatar for Sadhan DanSadhan Dan

      Sir mera Adsense activate ho gya hai but kam Jaankari ke Reason Se me ye nahi samajh paa rha hu kis jagah kis tarah ke add ka istemaal karu. Please aap mere blog ko check karke dekhe. Or ek baat ye hi ki mene Google Adsense Kam tarrafic me hi approved kara diya, isse Aage mera Adsense account disable to nahi hoga

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Main is sabke bare me already bta chuka hu aap humari adsense category ki posts read kare.

  7. Avatar for pavan choudharypavan choudhary

    hi bro apko blog se mujhe kafi help mili hai , aap ads placement kaise karte ho , konsa plugin aur kaha kaha konsa size code lagaye ho plz batao

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Main ad injection plugin use karta hu. Aap khud ad dekh sakte ho.

  8. Avatar for Juhi RaniJuhi Rani

    Sir mera ek question hai. Adsense me blog verify hone ke liye. Kam se kam blog ka 6 months purana hona chahiye. To kya 6 months tak kisi or advertisement website se earning kar sakte hain ? Jaise – chitika, bidvertise, infolincs.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes kar sakte ho but 6 month ka wait karne ki jarurat nahi hai aap custom domain use karo or kabhi bhi adsense ke liye apply karo.

      • Avatar for Akshay DhimanAkshay Dhiman

        1 day me bhi ho jata hai Custom domain ke sath….maine SMI ko follow kiya mera hua hai

  9. Avatar for om parkashom parkash

    bro adsense me 100$ month k liye hr roj kitne page views hone chahiye plz btao bhai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Read our adsense related articles.

    • Avatar for Akshay DhimanAkshay Dhiman

      Depends upon Clicks & Ads Rate, Your visitors and Smart Ads Placement

  10. Avatar for shahzaibshahzaib

    A.O.A sir kal me ne chitika ke ads ka code apne blog me lagaya tha sir ab me jab bhi blog me dekhta ho to ads widget wali space blank nazar aati hai but jab blogger ke dashboard me theme wale option me jaha edit html ka option hota hai us ke upar template ke view me ad dikhta hai sir muje bataye ke is ki kya reason hai aur muje kya karna chahiye
    aur han sir aap ke blog ka new design buhat acha hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapki site par abh iad show ho rahe hai aap browser ki history delete karke try karo.

  11. Avatar for anirudh chaudhrianirudh chaudhri

    great post jumedin bhai…….chalo i had a confusion… but yaha aapne solve kar diya…

  12. Avatar for IMRANKHANIMRANKHAN

    Bhai Main Apni Website pe cloudflare Ka rocket Luncher User kar Rha Hu Isse Adsense pe to koi Frak Nhi Padega? ek baar meri site check kar ke bata do ki ads sahi lage hai na. adsense ke against to nhi hai na

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense user ke liye rocket danger hai kyuki isse adsense ads code me rocket add ho jata hai jo ki adsense ki code ko edit na karne ki policy ka violation hai.

  13. Avatar for IMRANKHANIMRANKHAN

    Bhai Hall Hi m Mera Adsense Approve hua Main Adsesne ads ke Sath Adskeepers Ki ads use Kar Rha hu Apni Website Pe Kiya Isse koi Problem to nhi hogi Adsense Account Main,?

    Or Mere Adsense Account Main Match Content Ki ads Show Nhi Ho rhi hai. Jisse Main ads Laga Saku Apni Website par.?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adskeepers ke ads sahi nahi hote jinse adsense ko problem ho sakti hai. So aap y use mat karo.
      Wait jab aapki site par thoda jyada traffic ho jayega to ye option enalbe oh jayega.

  14. Avatar for sidsid

    useful post guru

  15. Avatar for SHAHID AFRIDEESHAHID AFRIDEE

    Bhai mai apne blog ke home page par 3 ads laga rakha hu,aur mai apne har ek post me 3 link ads or2-3 display ads use karta hu aur maine privacy policy,about us,contact us jaise page me bhi ads laga rakha hai to kya ye adsense policy ke khilaf hai.Aap ek baar mere blog ko badiya se check karke batao ki mee blog me adsense policy ke khilaf kahi par ads bhi use ho raha hai.plz….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sab theek hai bas privacy policy, about us, contact us page me ad use mat karo. Mostly contact us me to nahi karna hai.

  16. Avatar for Nripendra kumar singhNripendra kumar singh

    Sir ye jo aapka header {supportmeindia} navigation aur search box ke beech me header likha hai waise hum bhi karna chahte hai iske liye kya kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      WordPress me aap php coding se kahi bhi widgets add kar sakte ho ya fir plugin ki help se kar sakte ho.

  17. Avatar for Deepak kumarDeepak kumar

    Sir blog home page per kitne ads lagane chahiye
    page ko user friendly banane ke liye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1-2 ads lagana better hai taki site fast load ho.

  18. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    categories me aapne kitne post likhe hai wo show hota hai.. so mai apne website me ye kaise show kar sakta hu? plz css code ho to mujhe de dijiye.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi ye CSS code se nahi hota hai wordpress me already option hota hai aap widgets add akrte time show category count par tick kare.

  19. Avatar for vasudevvasudev

    Sir, mene 1 blog bnaya h.
    kafi time ho gya h but still no traffic.
    post nd blog bhi kafi hd tk seo friendly h.
    nd meri site bhi only one topic pr h.
    nd posts bhi aisi h jo google par search hui h but us se pahle us topic pr koi articles likhe gye nhi h.
    fir bhi No traffic.
    check krke thoda describe me reson btao please.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Quality content ke sath content ka promotion bhi jaruri hai. Aap apne articles ko sahi se promote kiya karo.

  20. Avatar for kashifkashif

    sir mere website ka ye page check karke bataiye http://www.hindi-samachar.com/onion-benefits-in-hindi.html/amp kya ye adsense ke hisab se sahi hai kyunki mere page view to 10 hazar ho jate hai daily but earning 4 ya 5 dollar hi ho pati hai me ye amp page facebook par share karta hau aur wahi se user aate hai ya ads galat place huye hai aap check kijiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapne page me 5-7 ad unit laga rakhe hai aap sirf 3-4 ad unit use karo or sarch engine se traffic kamao facebook user ad me kam interest lete hai.

  21. Avatar for PariharParihar

    Jumedeen bro plz mera blog check karke kuch suggestion dijiye. Aur template thik hai. Plz

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dear koi ek niche topic par content likho taki jyada support mile.

  22. Avatar for Sarik AnsariSarik Ansari

    Sir mera aap se yah question hai ki jadatar internet apps jaise opera, uc pr ad blocker automatic on hota hai ya visitors apne suvidha ke on krte hai. to blogger ko kaise earning hogi kyuki jadatar browsering enhi apps se hota hai na…kuch solution bataye?

      • Avatar for Sarik AnsariSarik Ansari

        jankari dene ke liye shukriya. Maine kuch question aapko email kiya tha pr answer nhi diye.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Jaldi hi aapko answer mil jayega.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...