2024 or 2024 ke SEO me bahut kuch different hai, 2024 me hume site ko google me top rank me lane ke liye naye tarike se content optimize karna padega taki site par jyadaorganic traffic aa sake. Is post me main 2024 ke top 15 google ranking factors ke bare me bta raha hu. Top 15 Google Ranking Factor of 2024 – Complete guide in Hindi.
Google dwara 200 se jyada ranking factors upyog kiye jate hai aur har saal google new ranking signals aur changing priorities ko change karne ke liye apne algorithm ko update karta hai.
Webmaster ko apni site ko google search me top me lane ke liye google ranking factors ke according content optimize karna padta hai.
Table of Contents
- 15 Google Ranking Factors of 2024 in Hindi
- 1. Search Intent
- 2. Content Keywords
- 3. CTR
- 4. Explained Content
- 5. Grammar
- 6. Unique Content
- 7. Well-structured HTML
- 8. Link Authority
- 9. Backlinks and Link Domains
- 10. Link Anchor Text
- 11. Page Speed
- 12. HTTPS Site (Secure Connection)
- 13. Dwell Time and Bounce Rate
- 14. Page Authority within Website
- Conclusion,
15 Google Ranking Factors of 2024 in Hindi
Google ranking factors me se mobile-first indexing sabse important ranking factor hai, aapki site mobile ke liye optimized honi chahiye. Baki ranking factor is prakar hai.
1. Search Intent
Jab google search me user kuch search karta hai to uska irada hota hai ki use sahi aur satik jankari mile. Google ki koshish bhi yahi hoti hai ki users ko better information de.
2024 me yahi hoga, jis site ka content search query se jitna jyada relevant hoga, usko search result me utni hi better position milegi.
2. Content Keywords
2024 me bhi post title me keywords ka istemal karna powerful ranking factor hoga, kyuki google ye dekhta hai ki aapke dwara likha gaya content user query ke relevant hai ya nahi.
Iske alawa img alt tag, heading, highlight words bhi useful honge lekin jo log apne post ko keyword se bhar dete hai unka content rank nahi karega.
3. CTR
CTR google ke liye sabse strongest relevance signal hai, aur isme koi doubt nahi hai ki CTR search rank me major role play karta hai. CTR jitni better hogi utni hi achhi google me rank milegi.
Aap apne search console ki performance report me CTR dekh sakte hai, iski adhik jankari ye liye ye article read kare, Organic Click Through Rate (CTR) Increase Kaise Kare 10 Best Tips.
4. Explained Content
Google ab search quality improving karne me laga hua hai, Google ab un pages ko priority de raha hai jo bahut saare keywords ki bajaye user ke dwara search ki gaye query se match hote hai.
Isiliye ab aapko blog post me only keywords ke liye content likhne ki bajaye use achhe se explain kar user ke liye likhna chahiye.
Ab google ye nahi dekhta ki aapka content kin keywords se match hota hai balki ye dekhta hai ki aapka content user ke liye kitna useful hai.
5. Grammar
Content me spelling mistakes ko user bilkul bhi pasand nahi karta,google bhi ye baat janta hai, isiliye 2024 me aesa content rank nahi karega jisme spelling or grammar mistakes jyada ho.
Yaha kahne ke liye bahut kuch nahi hai, bas post publish karne se pahle confirm kar le ki aapke content me spelling ya grammar mistake nahi hai.
6. Unique Content
2024 me google me aesi sites dikhayi nahi degi jo duplicate ya copied content provide karti ho. Google pahle se aesi sites ko penalize karta hai lekin ab is par deeply action lega.
Confirm kar le ki aapki site me koi duplication provlem nahi hai, agar aapko lagta hai ki aapki site par duplicate page ho sakte hai to aap Copyscape par check kar le.
7. Well-structured HTML
Apni site ke HTML markup ko clear way se organize karke aap search engine ko ye samajhne me help kar sakte hai ki aapka content real me kya hai. Search engines abhi bhi structure markup or semantic markup par believe karte hai.
Isiliye, agar aapke content me bad HTML markup hai to bhale hi aapka content kitna bhi achha ho, to bhi search engine spider ko lagega ki ye bad quality content hai.
Apni site ke content HTML makrup ko aur jyada clear banane ke liye schame markup ka istemal kare, Structured data markup helper or Structured data testing tool isme aapki help kar sakte hai.
Koi fark nahi padta ki aapke pas kitne backlinks hai, fark padta hai backlink quality se ki aapke pas kitne high quality backlink hai, arna backlink aapki site ko top rank dilane ki bajaye ulta rank down kar denge.
Isiliye backlink audit tool se pata kare ki aapki site par kitne spammy links hai aur unhe google disavow tool se disavow kare taki aapki site ki rank 2024 me bhi bani rahe.
9. Backlinks and Link Domains
Google backlinks numbers ki jagah hih quality backlink site ko rank deta hai, 2024 me bhi ye factor work karega, so ise banaye rakhe aur apni site ki top ranking ke liye high quality backlink banate rahe.
Google logo ka kahna hai ki backlink ab ranking factor nahi rahega, to aesa nahi hone wala hai.
10. Link Anchor Text
Halanki link anchor text ranking factor pahle jitna better kaam nahi karta lekin fir bhi link anchor text keywords google me rank karte hai.
Lekin link anchor text me dhyan rakhe ki link anchor text keyword se relevant hona chahiye warna iski wajah se aapko google penguin penalty mil sakti hai.
11. Page Speed
User experience ki baat kare to site page loading speed sabse bada ranking factor hai, google speed update me ye bahut pahle clear kar chuka hai, jisme page speed ko mobile search ranking factor banaya gaya hai.
Future me site speed top ranking factor hoga aur fast loading site ko search results me top rank milegi.
12. HTTPS Site (Secure Connection)
User ki security ki care karna google ki bahut badi concern hai, isiliye 2014 me google ne HTTPS ko search ranking signal banaya tha aur ab google chrome browser HTTP site ke liye insecure warning show karta hai.
2024 me ye bhi ranking factor hoga ki aapki site HTTPS ke sath load hoti ho. Ye aapke aur aapke customers dono ki security ke liye better hai.
13. Dwell Time and Bounce Rate
Ye 2 another ranking factors hai jo user experience se jude huye hai. Agar bounce rate ki baat kare to user aapke pages ko kitne time pak read karta hai, ye page length par depend karta hai.
Dwell time matlab user kitne time tak aapki site par rahta hai, google ko ye relevant lagta hai. Bounce rate me user 5 second me aapki site se satisfy ho kar leave kar sakta hai.
Ye search query par depend karta hai ki user kya type karke aapki site par aate hai. Aapki site par user jitna time spend karenge google use utna hi better manega.
Main external page authority ki baat nahi kar raha hu, jo google ki taraf se hai. Main yaha aapki site ke bhitar page authority ki baat kar raha hu, ki aapki site ke page kitne authorized hai.
Aap kitna better page build karte hai aur reader aapke content padhne ke liye kitne excited hote hai. Means aapke homepage par kitne link add hai aur pages ka looks kaisa hai.
Site navigation me bahut saare links add karna, post me bahut saare internal, related post links add karna bad SEO optimizing hai aur ab google aesi site ko penalize bhi kar raha hai.
So simple aur clear look ke sath user friendly site page design kare, jise user pasand kare, jise user pasand karega use search engines bhi pasand karenge.
Conclusion,
Ye wo google ranking factor hai jin par har ek webmaster ko work karne ki jarurat hai, agar aap inko ignore karte ho to samajh lena 2024 me aapki site par lot of traffic nahi hoga.
Maine isi tarah ke SEO par aur bhi article likhe hai, aap wo bhi padh sakte hai,
- Google Me Achi Ranking Pane Ke Top 15 SEO Factors 2024
- Website Ki SEO Ranking Banaye Rakhne Ke 5 Badiya Tarike
Agar aapko ye tutorial achha lage to ise other blogger ke sath share jarur kare.
Arvinder Kaur Chumber
thank, such a good infomation for blogger
kiran mishra
Hello Sir,
Hamesha ki tarah aapka ye post bhi kafi jankari dene wala post hai. Sir mera ek sawaal hai, agar guest
posting ke baad bhi hume dofollow backlink nahi mil pata hai to ise paane ke liye aur kya tarike hai. Please Reply.
Jumedeen khan
guest posting sabse better hai.
Adarsh Beck
Sir Mera ek cricket news website hai aur isme 15 post tha tabhi Google aur bing me add kar Diya bing me jab site Ka name search kar Raha Hu to 1st me aa Raha hai lekin Google me search Karne se Nahi aa Raha hai pls help
Jumedeen khan
google search console me site url fetch karo aa jayega.
Ravi Parmar
Sir Muje Ek Dofollw backlink chahiye aapki website se kaya uske liye muje guest post kar na padega aapki website par Aur hume kaha guest post submit kar na hai Aur aapki policy kaya hai guest post published.. kar ne ki.. please sir bataye Jo aapki policy hogi usko follow kar ke hi post likhun ga..
Jumedeen khan
Here…Submit guest post
Miraj Khan
Helpful post Jumedeen Sir,
phaguni mandal
Sir ek baat byate ki grammer mistake hogi to post rank nahi hogi. Magar hinglish pe koi “Q” likhta hai ya “kyu” to isme se kon sahi hogi. Q ki me “Q” hmesa use krta hu.
Jumedeen khan
“Kyun” sahi hai.