Maine bahut se new blogger ko dekha hai ki jab wo apne blogspot platform par bane blog me custom domain add karte hai galti se ya ya fir kisi or reason se blogger ke DNS cNAME record code apne domain ki setting me se delete kar dete hai. Iske bad unhe fir se wo code domain site par add karne ki jarurat hoti hai but blogger se aap ek hi bar DNS cNAME record code receive kar sakte ho. But aaj aapko hum aesa tarika bta rahe hai jisse aap blogger ka DNS nameserver record fir se recover kar sakte hai.
Sabhi log janna chahenge ki blog ke domain ka DNS cNAME record remove / delete ho jaye to use ham kese recover kar sakte hai par us se pehle hame ek top class ke domain ki jarurat padegi to me aap sabhi ko suggest karunga ki aap koi bhi best domain company se domain le. For example:-
- GoDaddy
- Easy DNS
- 1 And 1
- Bigrock
- ix web hosting
- and other
Man lijiye hamne godaddy se domain kharida hai or domain blog me add karte time galti se aapke blog ka cname record delete ya remove ho gaya hai or aapke pas uska koi backup nahi hai.
Aese time me aapko blogger se fir se DNS cname code nahi milega or aap blog me custom domain add nahi kar paoge.
- Blogger Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare
- Success Blogger Banne Ke Liye Ye 5 Tips Follow Kare
Maine bahut se logo ke sath aesa hota hua dekha hai. Isiliye aaj is post me main aapko aesa tarika bta raha hu. Jisse aap aasani se apne blog ke losted DNS cNAME record code pata laga sakte ho.
Ek new blogger ke liye ye guide bahut important hai kyuki bahut se blogger ke sath ye mistake ho jati hai. Wo jab apne blog me custom domain add karte hai DNS record change karne ki wajah se domain ko proper work karne me thoda time lagta hai.
Is bich wo jaldbazi kar blogger par se DNS name server cNAME record remove kar dete hai.
Table of Contents
DNS CNAME Record Kiya Hai ?
Agar aap blogger user hai ya fir kabhi aapne blogger par blogging ki hai to aapko iske bare me already pata hoga. Kabhi bhi DNS CNAME Records dhoke se delete ho jaye to iska pata kese laga yaha ye metter bahut muskil ho jata hai kyoki blog me yadi ek bar domain add karke use verify kar de to use delete hone ke baad wapas lana bahut muskil kaam hai.
Jab bhi blogger blog me custom domain ko add karte hai to blog se se ek CNAME code milta hai jisko domain account ke DNS Zone File ke NAMEs (Alias) me add karna hota hai. Upar di gayi image me btaya gaya hai ki CNAME kis tarha ka hota hai.
Blogger Domain Ka DNS cNAME Record Remove / Delete Ho Jaye To Kaise Recover Kare
Aaj jab ham aap ko ye btayenge ki kese aap verify domain ka DNS address recover kar sakhte hai to ye aap ko bahut hi aasan kaam lagega kyoki ye bilkool bhi kathin nahi hai.
Mera bhi domain delete ho gaya tha mujh se or me bhi is problem me fash gaya tha par mujhe use recover karne me 4 days lage but ab aap ke saat aesa nhi hoga kyoki ham aapke saat hai.
Step 1:
Sabse pahle aap webmaster central page par jaye. Yaha par aapke sabhi domain ki verification list hogi. Yaha aapko jis domain ka cNAMEs record code pata karna hai uske samne verification details par click kare.
Step 2:
Ab jo page open hoga usme aapko domain ko unverify karna hai. Iske liye aap sabse niche email address ke samne unverify par click kare.
Step 3:
Ab apne blogger dashboard par jaye or apna blog select karke blogger settings me jaye or blog address ke samne + Setup a 3rd party URL for your blog option par click karke apna custom domain name add kare. Ab aapka DNS cNAME record aapko fir se mil jayega.
Is tarah se aa paasani se apne blogger blog me custom domain ka cNAMEs reocrd delete and remove hone par use fir se recover kar sakte ho.
Agar aapko iske bare me puri jankari chahiye to aap humari Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain kaise Use Karte Hai post padhe.
- Blogger Post Ko Google+ Profile Par Automatically Share Kaise Kare
- Blogspot.com Domain Par Jaldi Alexa Rank Show Kyu Nahi Hoti Hai
Finally ab aapko kabhi bhi blogger me custom domain add karne par DNS nameserver ki problem nahi hogi. Aapko humari ye jankari kaisi lagi iske bare me comment karke jarur btaye.
Share this post on social media with other blogger.
ghamesh
maine google se hi domain kharida hai vo ab add nhi ho rha hai kya karna padega
Dhaval
Hello, maine blogger pe blogspott.com ko hataa ke .tk domain add kiya tha lekin 5-7 days me freenom ki taraf se message mila ki aapka domain sahi tarike se work nahi kar raha hai or wo domain Google Search me bhi nahi aa raha hai to mujhe wo .tk domain delete karke phir se blogspott.com domain lagana hai puri proccess bataye
जुमेदीन खान
नहीं, आप खुद ब्राउज़र में चेक पर कि आप लोग ओपन या नहीं, कुछ समय पश्चात गूगल भी उसे इंडेक्स कर लेगा
yudhveer singh
sir mene blogger par ek custom domain name add kiya to pahle sahi traffic aata tha lekin poora traffic ek dam se gir gaya hai sabhi kuchh naye sire se karna pad raha hai aap hi bataye hame kya karna chahiye .
gaurav
bhout he acchi jankari aaje is post ne mera blog bcha liya muje la abe ye thik nhi hoga lakin apki madad se maine kar liya thnx for share this article
dhani bhatt
Bro meri website ka kal mene dns add kiya tha Aur Aur mera domain server Aur hosting alag alag tha Ab meri website me error show ho rha hai kiya reason ho Santa hai brother.
The requested URL /2017/05/aa-gya-free-google-music-le-le-ye-offe.html was not found on this server.
Additionally, a 404 Not Found error was encountered while trying to use an ErrorDocument to handle the request
Ye error Aa rha hai
Jumedeen Khan
Aapke domain par koi blog install nahi hai. Domain ko blog me sahi se add karo.
sabiha khan
sir maine aaj custom domain add kar liya but meri site open nhi ho rhi hai. meri site kabtak open hogi ?
Jumedeen Khan
Domain add karne ke bad 24 to 48 hours me proper work karta hai.
Dharmendra Yadav
Sir मेरा एक question है freenom से मैं एक domain name webgenisys.tk one year के लिए फ्री लिया था और यदि आप वही domain name दूसरे वर्ष उसे उपयोग करते है तो उसका payment करना पड़ता है तो मैंने एक महीने पहले domain expire होने से पहले domain name cancel कर फिर उसके बाद तुरंत मैंने domain name को फ्री subscribe कर लिया लेकिन एक problem है मेरा पहले का DNS record लोस हो गया तो मैंने दुसरे ब्लॉगर ब्लॉग का dns record use कर लिया लेकिन domain provider कंपनी कह रही है की आपने मेरे domain name को हाईजैक किया कृप्या इसको रिलीज़ करे तो मै क्या करू sir कृप्या आप हमें उचित सलाह दीजिए, और क्या मै अपना पहले वाला ब्लॉगर का dns record पा सकता हू.
Jumedeen khan
Is post ke steps follow karo DNS record fir se mil jayega.
Vishal Jaiswal
Thanks for this post. This is very important for me.
sandip
1)blog me se domen kise rimov kau? apki ye post padhi our aj 12 daje maine ye seting karhat
to usme cname bhi dikha tha uor jab mai DNS seting karha that to galti se point 2 me www. ke niche ghs.google.com ad karna bhul gaya tho mine firse adit kiya uor ye dal our blog me bhi save kar diya
to sacsecful ho gay magr ab jab websait kholta hu to ye likha aarha hai thes domen no langar godady kay mujhe dusara blog banaka usme ye dome use karna chahiye plij halp me
Jumedeen Khan
Ab thoda wait karo DNS record ko update hone me time lagta hai 24 hours tak aapka blog open hone lag jayega.
sandip
jumedin bhai mine ek mhine pehale
blog me domen naem add kiya tha our sacses ful ho gaya tha magar ek
hapte pahile websait me probalam aa
rhatha to maine firse DNS seting ki ab jab mai websait kholta hu to ye errar arha hauServer Error in ‘/park’ Application.
No such host is known
Description: An unhandled exception occurred during the execution of the current web request. Please review the stack trace for more information about the error and where it originated in the code.
Exception Details: System.Net.Sockets.SocketException: No such host is known.is domen no lengar godady
Jumedeen Khan
Aapki site work nah ikar rahi hai. Aap blog me se domain remove kar fir se set karo.
Abhishek kumar
Thank you jume deen bhai mujhe laga tha ab mai DNS Records recover nahi kar pauga magar aapki post se mujhe DNS Records mil gaye.
deep
Bhai maine apne blog ka c name record recover kiya hai to ab mujhe gwt me fir se verify karna padega kya
Jumedeen Khan
nahiiski jarurat nahi hai.
Vishal Rathour
sir mere blog per AdSense apprvd nahi ho raha haimaine domain bhi buy kiya hai please aap bataye ki hamare blog me kya kya kami hai hindistock.in please help
Jumedeen Khan
Pahle apne blog par traffic badhao bad me AdSense account ke liye apply karo.
Jahid Anowar
Thank u sir Bohat achha Post!!
Rajat
apne mujhe suggest Kia tha camtasia studio Maine download Kia 249 Mb ka hai…
lekin install nahi ho raha h mere laptop me khta h Microsoft .net frame 4.0 chahiye but ye to pehle se install h mere laptop me …nahi ho pa raha install bhai kya karu
Jumedeen Khan
Aap pas ke kisi computer shop par ja kar ye software install karwa lo.
vakil
bahut badiya jankari thanks jumedeen bhai.
Rishikesh Mishra
Sir mera site merihindijankari.in ke sath bhi aisa hua jisse mujhe bahut hi loss hua is post se mujhe achha marg dikhaya hai
naresh detruja
Bro bhot hi important jankari diya hai aapne domain vaps lane ki sr bhot bar yesa galti ho jata hai blogging nice aarticle
Daya shankar maurya
Nice information jumedeen bhai mujhse bhi bahut se logo ne is bare me question kiye hai lekin filhaal to mujhe iska solution nahi pata tha isliye mai manualy dusare tarike se code ko find karta tha lekin ab jisko bhi problem hogi to apki is post ka link de dunga
ramesh prajapati
Maine aaj hi template change kiya usme Sab setting kiya meta tag menu sabhi add kiya . lekin search console open kar dekha to 61 post hi index hai iske pahle 68 post index the ye indexing kyo kam ho rahi hai. reason bataye.. web. bejinor.blogspot.com
Jumedeen Khan
Content index hone me time lagta hai. 1-2 day bad check karna.
vaibhav
sir AAPKI website kafi useful hai.mujhe bhi apni blog banani hai ,aap mujhe bataye aapki website google blogger per hai ya WordPress.com per,kyunki aapki website kafi smoothly work karti hai,aur mujhe website per kitna invest karna hoga ,hosting ke bina chal jayega ya nahi,ye bhi bataye,total expense bataye …thank you
Jumedeen Khan
Meri site WordPress par hai. Aap first blogger par free site banao or jab aapko iske bare me achhi information ho jaye tab apni site WordPress par move kar lena.
vivek choudhary
Jumedeen ji, please dekh kar bataiye ki kya ye profile aapki hai. facebook.com/jumedeen.khan.3
Nahi hai to please bataiye, aur isse sabhi old and new bloggers ko friend requests aa rahi hai.
Jumedeen Khan
Nahi ye meri id nahi hai. Koi mere name se fake account chala raha hai. Mai jald iski report kar ise delete karwa dunga.
Daya shankar maurya
Hmm vivek apne sahi kaha mujhe bhi is Id se ak friend request aayi thi maine socha sayad jumedeen bhai ne koi new Id bana li ho to maine accept kar liya tha lekin mujhe sak tha ki kahi ye Fake to nahi hai
dilip singh
Mere blog ki india me cpc bahut low hai yani ki 0.01$ isko kaise badhaye aap mere blog par ads ka placement dekh k bataye kahi iske karan to cpc low hai ya nahi
Jumedeen Khan
Maine aapka blog check kiya hai. Aap ad placement sahi se use nahi kar rahe ho. Maine AdSense optimization wali kuch post ki hai wo read karo.
dilip singh
Mene aapki post padi to kya jo post ke niche ads lage hai unko hata de or sidebaar me sirf ek hi ad lagaye 300×250 ka
Jumedeen Khan
Dilip post padhne ke ad sawal puchne ki jarurat nahi hogi.
roshani singh
hello sir ji bayaiye ki aapne side bar ke top me jo social buttons add kiya hai wo kaise kiya hai ho mai jetpack se try kari rahi hu lekin nahi ho pa raha hai so please jaldi
Jumedeen Khan
Ye coding se banaye social follow button hai. Aapko ye meri site ke alawa kahi nahi milenge.
roshani singh
shoutmeloud.com pe hai aur aapne waha se saari jankari prapt ki hai mujhe pata hai its tru i know saari cheeje same to same
tell me na
aur aapke images pe mouse hover karne pe image ka alt saath me frame kaise ban raha hai tell me please
Jumedeen Khan
I like shoutmeloud. So mera blog usse match hota hai. But maine sabkuch khud kiya hai. Image hover ke liye aapko CSS coding me editing karni hogi. Iske liye aap ye code use kare
opacity: 0.3;
roshani singh
aap code bata nahi sakte , itna bhi bhaav na khiye
Sehat ke liye hanikark hota hai!!
bata do please
Jumedeen Khan
Sorry roshni ji main aapko sidebar subscribe widget ka code nahi bta sakta. Aap mujhse blogging ke bare me puch sakti ho jo mai provide karta hu. Please understand.
Jahid Anowar
Ap is Pluging ka use karsakte
Arqam – Retina Social Counter Plugin
shashank
1.- Apki ye post open nahi ho rahi hai —“” Hostgator Hosting Par Domain DNS Record Kaise Manage Kare.” page not found show ho raha hai
2.- my theme shop ki ‘Socialy virul’ Free Theme kaisi hai AdSense approve hone me koi problem to nahi hogi.
3.- Free theme ke baad paid theme lagane se seo ki satting bigad to nahi jati, Kya theme change karne ke bad Seo ki sari satting fir se karni padti hai.
4.- Youtube se AdSense account approve hone ke bad verification ki PIN milne me samay lagta hai, PIN milne ke pahle hi kya is beech site ko AdSense account se joda ja sakta hai, mera matlab h Kya jodna sahi hoga ?.
5.- Maine suna hai ki 3 bar me bhi PIN varify nahi kar pane par apni id address proof upload karke account varify kiya ja sakta hai. LEKIN agar mai PIN ka wait nahi karu or kuch din baad hi id uplod kar du to.
Jumedeen Khan
1. open this link https://www.supportmeindia.com/how-to-add-addon-domain-on-hostgator-hosting/
2. mythemeshop ki sabhi themes better hai.
3. nahi baki setting to aapko karni padegi.
4. pin aapko tabhi milega jab aapki earning $10 ho jayegi or earning ke liye aapko site ko AdSense s connect karna hoga.
5. Aesa nahi kar sakte. Aapko first 3 pin step follow karne honge.