Amazon Se Kharida Hua Samaan Wapis Kaise Kare? Amazon Se Purchase Kiye Saman Wapas Kaise Kare? Amazon Se Buy Kiya Huye Product Ko Return Kaise Kare? Amazon Items Replace Process Kya Hai? Aaj hum inhi ke bare me bat karenge. Agar aapko amazon se Online Shopping karte time sahi product nahi milta hai ya damage item milta hai, ya fir koi or karan bhi hai to aap use wapis kar sakte ho. Wese to amazon apni good services ke liye famous hai par kabhi aapko aesi problem hoti hai to ye jankari aapke kaam aa sakti hai. Amazon Product Ko Return or Replace Kaise Kare
Amazon india me online shopping E-commerce comapny me sabse badi company hai. Yaha amazon par sabse jyada believe kiya jata hai or damage ya bekar saman ki problem isme kam se kam hoti hai fir bhi aapko kabhi aesi problem ho jaye to apa yaha btayi information se us product ko replace ya return kar sakte ho.
- Online Shopping Ki Fake Websites Se Kaise Bache 5 Tarike
- Online Shopping Karte Time In 10 Bato Ka Hamesha Dhyan Rakhe
Amazon top level E-commerce website me se ek hai jo product sell karne ke sath product return karne or replace karne ki suvidha bhi deti hai. Aapko agar prodcut pasand nahi aata hai ya fir koi bhi or pareshani hai to aap us product ko replace kar dusra product le sakte ho ya use return kar refund wapas le sakte ho.
So chaliye ab jante hai ki Amazon Product Ko Return and Replace Kaise Kare?
Amazon Product Return and Replace Kaise Kare
Amazon return policy ke anusar aapko 2 service milti hai. Ek aap buy kiye huye product ko return kar payment wapis le sakte ho dusre aap product ko repalce kar dusra product le sakte ho. Aapko jo bhi behtar lage aa pwo option choose kar sakte ho.
Amazon Product Return or Replace Kaise Kare
- Sabse pahle aap Amazon.in website par jaye or Amazon Orders Page par visit kare. Yaha aapke dwara amazon se buy kiye gaye sabih products ki list hogi aapko jise return karna hai us par click kare.
- Ab jo options show ho unme se Return or Replace optin par click kare.
- Reason for return option par click kare.
- Yaha aapko refund and replacement ke 2 option milenge. Agar aapko paise wapis lene hai to Refund or agar aapko dusra product lena hai to Replacement option par click kare.
- Pick-up and Self-Return me se ek option choose kar Submit par click kare.
In simple steps ko follow kar aap apmazon se purchase kiye huye items ko replace and return kar sakte ho. Agar aapko in steps ko samajhne me problem ho rahi hai to aap ye Infographic dekh sakte hai.
How to Return Products Purchased on Amazon:
Ab aapke refund karne ki process complete ho chuki hai, Ab aapke samne product refund, replace hone ki full information show hogi. Jaise:-
- Aapke us product ko delivery karne me kitna kharcha aaya tha or ab aapkuska kitna percent refund kiya jayega.
- Aapka product wapis lene ke liye courier company se delivery boy kab tak apake home address par aayega.
- Aapko kitne time ya dino bad refund kiya jayega or aapko paisa wapis milega.
Is tarah se aap in simple 5 steps ko follow karke amazon se kharida hua saman wapis lauta sakte ho. Aapke refund process complete karne ke bad 5-10 business day me aapko refund mil jayega or agar aapne item replace kiya hai to new brand product mil jayega. Koi bhi problem ho to aap amazon site par Contact Us ka istemal kare.
- Online Shopping Ki Site Real Hai Ya Fake Kaise Pata Kare
- Online Shopping Kaise Kare Ghar Baithe Puri Jankari Hindi Me
Amazon par product ke anusar refund milne me time lagta hai. Amazon refund policy ke anusar aapko lagbhag5 to 10 business day me refund mil jata hai magar location ke different se isme kam jyada time lag sakta hai. Ise aap in points se clearly samajh sakte ho.
- 10 Day Refund & Replace: Books, Mobile Accessories, Television, Furniture Items, Home Kitchen Items, Sports, Baby Items, Toys, Fitness Items, Bag, Handbag, Cloths, Watch etc.
- 10 Day Only Replace: Mobile, Tablet, Laptop, Desktop Computer, Office Stationary, Printer, Processor, Pen Drive, Hard Drive, Memory Card, Computer Accessories, Headset, Camera ,Speaker, Air Cooler etc.
- 10 Day Only Refund: AC, Washing Machine, Refrigerator etc.
- No Refundable & Replaceable: Beauty, Grocery and Gourmet etc.
Yaha maine aapko amazon return policy ki only basic knowledge btayi hai. Iski adhik jankari ke liye aap Amazon policy read kare. Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Trilok
Worrnty mobile wapas kese bhejna he
Mandanil
Agar mara return hogya toh uske bad return may koye problem nahi hota hay toh kaya likha rahata hay ? Plz answer me…
sohel hafezi
Hello sir! Mene Amazon par se ek smartwatch mangwai thi magar damage nikli thi is lie mene return kardi or selfreturn karni thi to post office se bhej di 13 din hogaye nahi product ki informetion mili nahi paise wapas aaye he to ab kya karu. Please reply..
Nargish
Maine
Ek drees ka order diya tha but m ab use nhi lena chahti m dusri dress lena chahti hoo ab mekya kroo usme replace ka option nhi aa rha h
brajendra
sir mene aaj mobile cancel kiya he mera rupye kav tak aa jayega aacount me
Jumedeen khan
Aapke amazon account me iski date btayi hogi.
Vishal barnwal
Agar maine return item ke liye order kar diya , mujhe date aur time bhi mil gaya lekin koi time par lene nahi aaya to kya karenge kya mujhe refund milega.
Saim
Sir maine amzon par ak mobile book kiya tha fir cancal kr diya do din ho gye par abhi tak mera paisa vapas nhi aaya kya kru ?
Iswar Singh Bairwa
Ab aa gye kya aapke paise,
Meri bhi same condition h mera bhi aaj 3 day ho gye par amount wapas nhi aaya Bank me……..
Manisha Kumari
Hello sir Maine Amazon se ek product khareeda tha wo Damage aa gaya toh maine fir se replace kar diya uske baad jo aaya wo sahi nahi tha toh maine return kar diya lekin 1 mahina ho gaya paise wapis nahi aaye jabki maine payment Debit card se kiya tha . Please koi solution bataye . Amazon se baat kaise kare
Jumedeen Khan
Aap fir se request send karo.
Neetu soni
Maine mobail cover khharida tha lekin vo bada hone ke karad vapas karna pada deliver boy cover le gaya hi per paisa vapas nahi aaya 1 mahina ho gaya hi please vatay kab tak paisa vapas aayega .
Jumedeen Khan
Aapko without refund product return nahi karna tha.
chirag machhi
nice information jumedin bhaijan….
Raju Prajapati
sir mera site hai mai apne domain ko renewal karna bhul gya thaa phir usko 6 din baad renewal kiya hu but mera websites khul nahi raha hai kya problem hai sir plz bataye
Jumedeen Khan
Contact to godaddy customer care.
Dilip Poddar
please sir help me webmaster tool mai 28000 url crawl error. itna sare crawl error kaise fix karung
please ap screenshort ek bar dekh lo.
apke answer ke liye mai waiting kar rahe hu
Jumedeen Khan
Good ab aap ye steps follow karo.
1. Crawl errors ki list ko check karo or dekho ki URL kis wajah se block huye hai. Agar robots.txt code ki wajah se huye hai to us code ko robots.txt file se remove karo.
2. Agar ye error 404 error hai to aapko sabhi ko manually fix karna hoga ya fir aap ek tarika follow kar sakte hai. Abhi aapki site without www ke open hoti hai. Agar aap apni site ko www. se set kar lo to aap search console me site ko www. ke sath submit karo Isse aapko koi crawl error show nahi honge.
Anjali
Sir return k lie adress chng ka koi option nhi h kya coz lete tym adress ballabgarh tha bt ab m sahibabad aa gyi dress mere pass sahibabad m h use yhn s return kese kru
जुमेदीन खान
Jab product aapko delivery hoga to aap wapis kar sakte hai.
विक्रम
very nice post bro
Mukesh Gupta
Wow sir bahut hi labhdayak post ki hai aapne
Harpreet Kumar
Nice post bro