Schema Markup Kya Hai or Ye SEO Ke Liye Kyo Jaruri Hai? Is post me hum schema structure data (schema.org) schema markup ke bare me bat karenge or sath hi ye bhi janenge ki schema markup website or blog ke search engine optimization ke liye kyu important hai or iske kya fayde hai. Schema Markup Beginner Guide in Hindi.
Google and other search engines me apni website ya apni blog ki click through rate increase karne ke liye schema markup HTML tags ka site me add karna jaruri hai. Isse aap search engines me post or page search results me extra features display kar sakte ho.
- Google Search Engine Me Top Rank Pane Ki 3 SEO Tips
- SEO Ke Bare Me 10 Jhuthi Bate Jinhe Hum Sach Mante Hai
Beginner blogger or websites owners ko is bare me bahut kam knowledge hoti hai. Ho sakta hai aapne schema.org site visit karke dekhi hogi par aapko schema ke bare me sahi information nahi mili hogi. So aaj is post me main aapko What is Schema Markup and Why It is Important for SEO in Hindi explain kar raha hu.
Schema Markup Kya Hai
Schema (schema.org) ek structure data vocabulary hai jo internet (webpages, email etc.) par entities, actions, and relationships ko paribhashit (define) karta hai.
Google, Yandex, Microsoft, Yahoo etc. kai search engines ne mil kar ise banaya hai. Isiliye ise aap SEO project bhi kah sakte hai. Hume Schema markup ko HTML tags ke roop me apni site me add karna hota hai.
Isse google and other search engine ko humari site structure data ko sahi se samajhne me aasani hoti hai or badle me search engines internet users ke liye better user experience results show karta hai.
Schema markup ka istemal kar aap apni site ko adhik Search Engine Friendly bana sakte hai. Schema ready site hone par search results me us site ke content par jyada clicks hone ke changes badh jate hai.
For example, aap schema markup se search results me apni site ke page me review, rating, votes, date, author etc. dikha sakte hai. Iske liye aap ye screenshot dekh sakte hai.
Apni website ke pages par search engine me ye sab dikhane ke liye aap google search console ke Search Appearance >> Data Highlighter feature ko use kar sakte ho.
Agar aap janna chahate hai ki aapki site schema optimized hai ya nahi to aap Structure Data Testing Tool par ja kar apni site ke pages check kar sakte hai.
Agar aap wordpress user hai to aap apni plugins ka istemal kar site ko schema ready bana sakte ho or agar aap paid theme use karte ho to aapki theme already schema ready hogi. Is bare me main next post me btaunga.
Facebook ka bhi isi tarah ka similar markup hai jiska name Open Graph hai. Jab aap Open graph ko apni site me add karoge to social media sites ko aapke pages ke title, image, description etc. ka pata chalega. Agar aap wordpress user hai or Yoast SEO plugin use karte hai to SEO >> Social feature me facebook ka Open Graph Meta Data or twitter ka Summary with large image option mil jayega.
SEO Markup SEO Ke liye Kyo Important Hai
Ab aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki schema kya hai sath hi thoda ye bhi samajh aa gaya hoga ki schema markup ki SEO me kya importance hai. Agar nahi to koi bat nahi main iske bare me bhi details se bta raha hu.
Normally, google and other search engines me humari site ke pages ke title, URL and description hi show hote hai. jabki schema markup use karne se site pages ke title, URL and description ke alawa rating, votes, date, author name, review etc. kai extra feature show hote hai.
Main yaha dono ke screenshot dikha raha hu. jise dekh kar aap decide kar sakte hai ki user kis result par jyada click karenge.
Yaha aap clear dekh sakte ho ki konsa search result more attractive hai or ek new visitor kis par click karna pasand karega. Simply, hum kah sakte hai ki schema markup use karne se organic click through rate increase hogi.
Schema markup ke istemal se site ki search enginne ranking increase hoti hai is bare me main kuch nahi kah sakta but ye search engine se jyada traffic pane ke liye better or important hai.
Schema me ye sab use hota hai.
- Business
- Organizations
- Person
- Place
- Votes
- Rating
- Review
- Events
- People
- Products
- Recipes
- Videos
Iske alawa bhi bahut se features use hote hai jinhe aap google search console ke Search Appearance >> Structure Data feature par ja kar dekh sakte hai.
Is sabse clear ho jata hai ki Schema markup search results me aapki site ke pages ka look better kar click through rate increase karta hai or aapki site ki search engine se adhik traffic generate karne me help karta hai. Ab mujhe ye kahne ki jarurat nahi hai ki schema markup use karne se aapki website or blog ko kya fayda hoga.
Final Words
Ye thi schema markup ki beginner guide jisme aapne schema kya hai or SEO ke liye kyo jaruri hai ke bare me jana aane wale time me main aapko website or blog me schema markup kaise add kare ke bare me btaunga. Agar aapko is post me kuch samajh na aaye ya fir aapko is bare me kuch kahna ho to aap comment me apni bat rakh sakte hai.
Ye bhi padhe,
- Google Me Achi Ranking Pane Ke Top 15 SEO Factors 2024
- Google Me Top Rank Pane Ki Top 10 SEO Tips and Tricks 2024
Note:- Schema markup HTML tags blog me add karna thoda risky hai so iske bare me puri jankari hone ke bad hi iska istemal kare taki aapki site ki search rank ko koi problem na ho.
Agar aapko ye conten pasand aaye to ise social media par dusre blogger or website owners ke sath share jarur kare.
Priya Nag
Hello sir mere wordpress blog par “Breadcrumbs” >> “data-vocabulary.org schema deprecated” me bahut si Warning hai. post google me index nahi ho rahe hai. url inspection me chek kar rahi hu to “URL is on Google, but has issues” ye error aa raha hai. plz bataye isko kaise solve karu? bahut traffic kam ho gai.
Nishu vishvakarma
sir vase to aapne bhut badhiya knowledge di hai par ak baaat hame samajhme nhi aai ki jaisa ki aapne kaha hai ki ye thoda riski hai.
iski puri terms and conditions or iske rules ko janna chahata hu ki main apne blog ke liye schema markup ka use kar sakta hun ya nhi koi problems to nhi hogi or agar ho sakti hai to kon si,
reply sir………
Jumedeen khan
Yes, pahle ise achhe se samajh lo uske bad apply karna.
Kuldeep singh
Bro meri site me error and warning dono 0 show kar raha hai testing tool
VISHAL
bhai structured data 226 items with error show ho rahe hai
missing updates
author name hai
ise kaise solve kare’
kya isse blog par traffice khatm ho jata hai
Jumedeen Khan
SEO friendly theme use karo ya theme me schema markup HTML tags use karo.
SUMIT KUMAR GUPTA
Thank you sir for sharing great information. How can i add schema markup in our blogger blog?
Sanjay
Hi Bro!
Kya Web Master Tools Structured Data error se bhi Search par koi bad effect padta hai?
Jumedeen Khan
Yes padta hai, isiliye schema ready theme use karo.
Sanjay
Bro only Author Missing error hai kya isse bhi koi SEO par farak padega! Ye error maine sabhi themes me dekha hai!!!
Jumedeen Khan
yes padega but itna hi, nahi sabhi theme me nahi. pahle mere sath bhi aesa hi tha but genesis framework use karne ke bad 0 error hai.
Hajari prasad
Bhai blogger blog me isko kaise add kare ye btana please.
Jumedeen Khan
Jaldi hi iske bare me post karunga.
Prakash kumar
Dhanyawaad jume deen bhai, bhut acha likhte hai aap, aapke wjh se bht help hui h meri.
Keep up the good work
Asween
Schema markup ke vishay me maine pehle bhi padha tha lekin us vqt iski sahi se jaankari nahi prpat hui thi lekin aaj is post ko padhne ke baad iski satik or sahi jaankari prapt ho gai.
Gautam Koli
Sir aapne bhut achi post share ki hai. Aap se request hai hai ki thoda google news ke baare me bhi btaye. Ki website submit kaise kare and kya kya website me impliment kare ki website google news me show ho jaaye
Harsh Kumar
Hello Jdk bro
Wordpress ke liye sabse best schema ready theme konsi hai.
Jumedeen Khan
Wese to mostly paid theme schema ready hoti hai but Genesis framework sabse best hai.