Search Engines Me Aapki Website Ke Kitne URL Index Hai

Aapki site ki kitni post,  page,  category,  tags or images search engine me index ho rahi hai. iska pata karne ke liye mai aapko ek simple tips bta raha hu. jisse aap apni site ka content check kar sakte ho ki aapki site ka kya kya googe search engines me index ho raha hai or kya kya nahi.

Google Search Engine Aapki Site Ke Kitne URL Index Hai

Google search engine aapki website y ablog ki un post ko index nahi karta hai. jinme copyright content hota hai. maine apni pichli post me copyright content check karne ki 1o tools ke bare me btaya hai. un sab par aap apni site ka content check kar sakte ho ki aapki site kisi or se match to nahi ho rahi but is post me mai aapko aysi trick bta raha hu. jisse aap 1 minute me ye pata kar sakte ho ki aapki konsi post copyright hai or kise google search engine index nahi kar raha hai.

Which URL of Your Website Search Engine Index

Google.com par jayiye or search bar me apni site ke link se pahle site: laga kar search karo.

Example: site:yoursiteurl.com

Ab search engine me jo result show honga usme aapki site ke total url jo search engine index kar raha hai honge. sath hi ye bhi check kare ki aapki site ke total url ko search engine kitne time me show kar raha hai. agar aapko lagta hai ki aapki site ki kisi post ko search engine index nahi kar raha hai. to aap yaha par sabhi result ko check kar ke pata kar sakte hai ki aapki konsi post search engine index nahi kar raha hai.

I hope ye post short jarur hai but aapki is se bahut badi help milegi. aapko pata chalega ki aapki site par kya copyright hai or kya nahi. by the way pata chalne ke bad apni site ki copyright post ko update karke usme se copyright content ko remove jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (81)

  1. Avatar for Vivek SMVivek SM

    thanks Mr. KHAN

    Apke dwara is post me di gayi jaruri jankari kaphi faydemand he aur is trick ki madat se hi mai bhi ye jaan paya hu ke mere konse post google me index ho rahe he aur konse post index nahi ho rahe he,sath hi mere kuch aise post bhi google me index ho rahe the jo post mai blog se delete kar chuka tha par apke dwara batayi gayi is trick ki madat se mai aise post ke bare me jan paya hu aur aise post ko mai redirect bhi kar chuka hu aur google search se delete ki request bhi kar di he,
    I hope ke supportmeindia blog ke sath jude rahne se mujhe isi taraha behetarin jankariya hamesha milti rahne wali he,

  2. Avatar for PhaguniPhaguni

    sir mera bhi post index nahi ho raha hai,

    Mera blog pe 50 post hai lekin usme se 19 hi index huwa hai? To Kya Kare ki sari index ho jaye

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Jo page ya post index nahi ho raha hai use fetch karke index kara lo.

  3. Avatar for veerendraveerendra

    aha simple aur sort article. isse hame seedhe pta chalega ki kya index ho rha hai kya nhi

  4. Avatar for Akash YadavAkash Yadav

    Bhai mere me bs 2 hi result show kar rha h sare post kaise show karwau

  5. Avatar for Sabiha khanSabiha khan

    Bahut badhiya post hai,, mai bahut Dino se search kar rhi thi kaise pta lagaye ki index ho rhi hai ya nhi aur aapkii website se answer mil gya thanks for this post. But ek question hai. .In aur .Com se alag alag result show hota hai esa kyu?

      • Avatar for sabiha khansabiha khan

        thank you sir,, maine code lagakar redirection ko band kar diya,,sir maine check kiya meri sabhi post index ho rhi hain to iska yahi matlab koi bhi copyright content nhi hai? please reply ,, and thank you so much aapne meri bahut help ki

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Nah iiska matlab y nahi hai google copyright post ko bhi index kar leta hai. Koi post copyright hai ya nahi ye site owner sabse behtar janta hai.

  6. Avatar for Love KaushikLove Kaushik

    Mere site me 38 post hai but sitemap me 21 hi index ho raha hai…. Sitemap me pura site kaise submit hoga.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Quality content likho.

  7. Avatar for Ravi parwaniRavi parwani

    bhai meri ek bhi post index nahin ho rahi hai? kya problem hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapke blog ke 109 link google me index hai. aap site:example.com se check karo.

  8. Avatar for yasir khan saqlainiyasir khan saqlaini

    thanks to share mai yahi dekhna chahta tha ki meri site ki kitni post submit hui hain par tarika nahi pata tha. share karne ke liye shukriya. mera ek sawal aur hai ki post kitne din me index ho jati hai publish karne ke baad. aur dusra sawal jab ham post likhte hain to kya sare seo and readability green hona zaruri hai ya ek do red hain tab bhi thk h

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aapki post kitne time me index hogi ye post quality par depend karta hai. Jitni achji post hogi utni hi jaldi google use index karega. SEO friendly post likhni hai to jaruri hai.

  9. Avatar for satyam kumarsatyam kumar

    maine jab apni post ka url daal kar check kiya hai to isame dusari koi aur ki post show nhi hui hai to iska kya matlab hai dusri baat yah hai ki mujhe aapse kuch baat karni hai kyoki mai aapko aadrsh maankar hi blog banaya hai to chahat hun ki is blog ko puri tarah se achchhi rank dilau to mujhe aapki help chahiye jo ki baat kar ke hi ho sakti hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iska matlab hai ki aapki post ko kisi ne copy nahi kiya hai. jo ki achhi bat hai. Aap mujhe contact form me contact kar sakte ho.

  10. Avatar for RajeshRajesh

    Sir,maine mere phone se ek friend ko ek sms send kiya tha.lekin maine kabhi jaldi me kuch sms ke sath use delete kar diya.kya mere sim company ke customer care par phone karonga toh kya wo mere delete kiye huye sms ko mujhe wapas send kar sakte hain?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi nahi kar sakte.

  11. Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

    Apne Post ko google me jaldi index karne ke liye kya karna chahiye…

  12. Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

    Sir Saturday ko mane ek news related post likhi kar mere blog pe mene post ki thi aur facebook, google+ aur twitter par bhi share ki thi . … bad me meri post ko copy karke dusre ek blogger ne apne blog par vo post kar di…. ab dikkat yai hai ki vo post mene likhi hai fir bhi google me us post ko search karvata hu to jis blogger ne mere blog se coy kar ke likha hai us ki post google search me dikhati hai lekin meri post nahi search ho rahi hai pls help me….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Fist to aap use samajhao ki aapne jo meri post copy ki hai use delete kar do warna mai aapke khilap google se report sakta hu or aapki site delete ho jayegi. aap use ye post Copied Content Ko Google Search Se Remove Kaise Karwaye ke bare me btao. Ummid karta hu wo is post ko padhne ke bad man jayega. or agar na mane to aap is post ko follow karke uski report kar sakte ho.

      • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

        Sir vo to thik hai lekin muje ye jankari chahiye ke mere bad usene post ki thi fir bhi meri post google me index nahi huvi hai aur uski post mere se pahele google me kaise index ho gai… meri har post google me bahot der se index hoti hai…. iska koi solustion ho to batayega….

        jo meri post copy huvi hai uska title mene niche diya hai aap ek bar search karke batayega ke kya porblem hai…..

        News : नर्सरीमां दोढ वर्षे प्रवेश – नवा नियमो आवे छे.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Kei bar search engine copyright post ko originol samajh leta hai. isliye aysa hota hai.

  13. Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

    mere blog ki total 670 me se 635 he url index hai to jo 35 index nahi hai use me kaise pata kar sakta hu….

  14. Avatar for vinay singhvinay singh

    खांन साहब थोडा मेरा साइड देख कर बताये इसमे क्या गलती है और अगर कुछ गल्ती है तो मुझे थोडाी सहायता दे वैसे मै आपके ब्लॉग पर सभी ब्लाग सम्बन्धी सहायता के द्वाराअपनी ब्लाग को बनाया है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      2 important problem hai. ek aapki site ki home page ki post new window me khulti hai jo ki nahi usi windows me khulni chahiye dusri aapki site ki post ke title bahout chote hai. post ka title 50-70 words ka homa chahiye.

    • Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

      blog total 670 post hai to ek ek karke title check karna padega? aur meri sabhi post ke title ek satha kahase mil sakte hai…..

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Upar post me jo tricks btayi hai. unme aapki sari posts showw hogi. aapko ek ek kar ke hi search karni padegi.

  15. Avatar for Md Arshad NoorMd Arshad Noor

    Thanks Bhai…
    jab mene aisa kiya to Sirf mera hi site aa raha tha ..
    mene 2 -3 Page try kiya…

  16. Avatar for devdev

    bhayi mughe ye bataiye ki agar koi viitor hamare post par comment karta he to sabse phle me use dekhu agar me chahu to hi use approved karu bina mere wo post show nhi honi chahiye kisi ko b yani approved

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blogger dashboard>>settings>>post and comments par jao or comment moderation ke samne always par tick karo.

  17. Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

    YouTube hame view ke paise dete hai ya phir ppc ke paise dete hai.YouTube ke video ke bich me ad kaise lagate hai

  18. Avatar for Zakriya usmanZakriya usman

    longtail keyword kya huta ha coment me hi dataik se batau

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jis keyboard ko visitors sabse jyada pasand karte hai use longtail keyboard kahte hai.

  19. Avatar for karan jethwakaran jethwa

    meri website open karta hu toh pehle ads display hone lagte hai aur fir site open hoti hai.aise kyu hota hai?kya karu? pls helpm me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapki site open nahi ho rahi. jise dekh kar mai aapki help kar saku.

      • Avatar for karan jethwakaran jethwa

        open nai ho rahi hai matlab me kuch samjha nahi hai check kariye aur aap mobile se open kar rahe hai kya ?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          aapki site ki jagah godaddy ki site open ho rahi hai.

          • Avatar for karan jethwakaran jethwa

            sir plz mujhe kuch samajh nai aa raha aisa kyu ho raha hai ? kuch solution bataye

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            aap godaddy ke customer care me call karo. or unhe bolo ki meri site ki jagah godaddy ki site open kyu ho rahi hai.

  20. Avatar for devdev

    bhayi me normal apne post ko index hone du ya fetch karke jaldi kara du dono me se konsa systm thik rhega plz bhayi apne hisaab se batana me aap hi ke bharose kaam karta hu ..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapko bar bar fetch karne ki koi jarurat nahi hai. aap ye monthly ya yearly kar sakte ho.

  21. Avatar for rohitrohit

    maine jese koi post likhi ki top 10 bollywood video aur usme YouTube ke video laga diye toh copyright mana jayega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi manajayega. laga sakte ho.

  22. Avatar for MohammedMohammed

    Salam Bhai ,ager hamara domain name bahut hi long ( Lamba ) Hai To Kya Isse Seo Par Koi Fark Padta Hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Padta hai. Agar aapki site ka url jyada lamba honga to search engine me ranking bad hogi or visitors ko aapki site ko open karne me prolem hogi.

  23. Avatar for sandeep kumarsandeep kumar

    Good morning

    WordPress me Alexa kaise add karu
    Details me bataye thank you.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ye post padho Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare
      aapka blog WordPress par hai isliye blog ke appearance par jao or widget me se text select karke usme alexa code paste karo.

  24. Avatar for Sahil kumarSahil kumar

    maine karke dekha लगभग 170 परिणाम (0.27 सेकंड) aa rahe hain.

  25. Avatar for devdev

    Bhayi apke daily page views kitne hote h me isse kuch andaza lagana chahtu hu plz batana.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      online traffic checker site par check kar lo.

  26. Avatar for ALOKALOK

    maine apne blog pr ek template lagaya tha us tamplate me kuch errors thi mera blog ek hi post ko do bhago me dikha raha hai kya karu maine tamlate change karke bhi dekh liya hai kuch nahi hota hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap koi dusro blogger template use karo.

  27. Avatar for ALOKALOK

    sir mere blog pr AdSense ko sign up karne ke liye de raha hai pr mai do blog chalata hu ek hi id se dusra vala blog 1 mahine pahle hi chalana suru kiya hai par useme bhi sign up ka option aa raha kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ab sabke blog me earning AdSense ka option available hai.

  28. Avatar for ami singhami singh

    About 873 results (0.49 seconds)
    Search Results
    JankaariNetKi
    A blog about website design,internet income without investment,social networking,extra income,YouTube income,internet ki pur jankaari.
    About Us – JankaariNetKi

    ye mere site ki ranking

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      wao aapki site par to mujhse bhi jyada url google me submit hai.

  29. Avatar for rajraj

    brother mujhe apki ye post bahut help full rahi he thanku

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha post choti hai but hai bade kaam ki.

  30. Avatar for Virendra SinghVirendra Singh

    bhai mere pass Nokia xl mobile he par usme play store company se hi nhi he kya me kisi pc laptop se dalwa sakta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Play store android mobile me hi karega. aap internet se play store download kar ke try karo. ya fir kisi or ke mobile me se play store app ka back up le kar try karo. aapke mobile me kaam karega ya nahi.

  31. Avatar for sandeep kumarsandeep kumar

    Mai kaise Jan sakta hu mere website ke kitne subscriber hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      blog ke site stats option par jao. usme subscription ka option hota hai. waha check kar sakte ho.

  32. Avatar for sandeep kumarsandeep kumar

    Mere blog par 99% comments English me aate hai me unka reply bhi karta hu.
    Ek bat mughe wonderful lag raha hai par day ab 100 se 150 comments aate hai. Jabki apke website par par 50tak ya usse jayada aate hai .
    Please bataye koi problem to nahi .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi koi problem nahi hai.

  33. Avatar for surendrasurendra

    hello bro sabkuch mamla garbad hai . ek toh maine tamplate change kar diya jiski wajha se AdSense ke ads code home page par post me read more se phele dikh rahe hai aor dusra sabhi post me ek – ek karke ads lagane par blog ki page load time 6.0 second par pahuch gaya hai jo ki 4.0 se niche hona chahiye .

    aor maine aapki pichli post ( copyright contact wali ) usme kam traffic wala factor aapne bataya waisa mere sath ho raha hai kyu ki mere blog par 57 post hai jinme se 50 post esi hai jinko goole me search karne par 1 st page 3-4-5 no par apna result show karti hai fir bhi traffic 400-500 pageview par day kyu hai ??

    answer me plz ??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Simple hai aap koi fast loading template use karo. aapki 50 post search engine me show rahi hai. isme problem nahi problem hai 7 posts me jo search engine me show nahi ho rahi. un par se copyright content remove karo. search engine se result milne lag jayega.

  34. Avatar for sandeep kumarsandeep kumar

    2 Method me batye ki code ko kaha add karna hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      yoast SEO plugin use karo usme iska option hota hai.

  35. Avatar for sandeep kumarsandeep kumar

    I am website owner . mene hosting purchase kar liya hai
    Website me Alexa kaise submit Kate Maine apka post read kiya . Maine usko fallow kiya lekin problem has.
    Method 1 kaise karu please details me bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mere bhai maine bhi hostgator se hosting li hai but mai to ek WordPress blogger hu. fir aap website owner kaise ban gaye. aapko post me second method follow karne ko kaha gaya hai to usme kya prolem hai. or comment ko repeat mat karo.

  36. Avatar for Harshad BataviyaHarshad Bataviya

    mere blog ki post google me index nahi kar rahi hai… mane sitemap bhi banakar google me submit kiya huva hai lakin fir bhi google meri post index nahi kar raha hai.. pls sir aap check karke bataye ke kya problem hai…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapki site ko search engine index kar raha hai aap apni site ke samne www laga kar search karo ayse site:www.yoursiteurl.com

  37. Avatar for sandeep kumarsandeep kumar

    Website me Alexa kaise submit Kate Maine apka post read kiya . Maine usko fallow kiya lekin problem has.

    Method 1 kaise karu please details me bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap ek blogger ho website owner nahi isliye 1 method se site verify nahi kar sakte. wese aapko meta tags se verify karne me bhi problem nahi hai.

  38. Avatar for rohitrohit

    YouTube me Jo movies ya video hote hai. Unhe ham apni site par laga skte hai. Plz answer

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha laga sakte ho. but tabhi jab unki jarurat ho.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...