Aapki site ki kitni post, page, category, tags or images search engine me index ho rahi hai. iska pata karne ke liye mai aapko ek simple tips bta raha hu. jisse aap apni site ka content check kar sakte ho ki aapki site ka kya kya googe search engines me index ho raha hai or kya kya nahi.
Google Search Engine Aapki Site Ke Kitne URL Index Hai
Google search engine aapki website y ablog ki un post ko index nahi karta hai. jinme copyright content hota hai. maine apni pichli post me copyright content check karne ki 1o tools ke bare me btaya hai. un sab par aap apni site ka content check kar sakte ho ki aapki site kisi or se match to nahi ho rahi but is post me mai aapko aysi trick bta raha hu. jisse aap 1 minute me ye pata kar sakte ho ki aapki konsi post copyright hai or kise google search engine index nahi kar raha hai.
Google.com par jayiye or search bar me apni site ke link se pahle site: laga kar search karo.
Example: site:yoursiteurl.com
Ab search engine me jo result show honga usme aapki site ke total url jo search engine index kar raha hai honge. sath hi ye bhi check kare ki aapki site ke total url ko search engine kitne time me show kar raha hai. agar aapko lagta hai ki aapki site ki kisi post ko search engine index nahi kar raha hai. to aap yaha par sabhi result ko check kar ke pata kar sakte hai ki aapki konsi post search engine index nahi kar raha hai.
- Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
I hope ye post short jarur hai but aapki is se bahut badi help milegi. aapko pata chalega ki aapki site par kya copyright hai or kya nahi. by the way pata chalne ke bad apni site ki copyright post ko update karke usme se copyright content ko remove jarur kare.
karan jethwa
meri website open karta hu toh pehle ads display hone lagte hai aur fir site open hoti hai.aise kyu hota hai?kya karu? pls helpm me
Jumedeen Khan
aapki site open nahi ho rahi. jise dekh kar mai aapki help kar saku.
karan jethwa
open nai ho rahi hai matlab me kuch samjha nahi hai check kariye aur aap mobile se open kar rahe hai kya ?
Jumedeen Khan
aapki site ki jagah godaddy ki site open ho rahi hai.
karan jethwa
sir plz mujhe kuch samajh nai aa raha aisa kyu ho raha hai ? kuch solution bataye
Jumedeen Khan
aap godaddy ke customer care me call karo. or unhe bolo ki meri site ki jagah godaddy ki site open kyu ho rahi hai.
dev
bhayi me normal apne post ko index hone du ya fetch karke jaldi kara du dono me se konsa systm thik rhega plz bhayi apne hisaab se batana me aap hi ke bharose kaam karta hu ..
Jumedeen Khan
aapko bar bar fetch karne ki koi jarurat nahi hai. aap ye monthly ya yearly kar sakte ho.
rohit
maine jese koi post likhi ki top 10 bollywood video aur usme YouTube ke video laga diye toh copyright mana jayega
Jumedeen Khan
Nahi manajayega. laga sakte ho.
Mohammed
Salam Bhai ,ager hamara domain name bahut hi long ( Lamba ) Hai To Kya Isse Seo Par Koi Fark Padta Hai.
Jumedeen Khan
Padta hai. Agar aapki site ka url jyada lamba honga to search engine me ranking bad hogi or visitors ko aapki site ko open karne me prolem hogi.
sandeep kumar
Good morning
WordPress me Alexa kaise add karu
Details me bataye thank you.
Jumedeen Khan
ye post padho Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare
aapka blog WordPress par hai isliye blog ke appearance par jao or widget me se text select karke usme alexa code paste karo.
Sahil kumar
maine karke dekha लगभग 170 परिणाम (0.27 सेकंड) aa rahe hain.
dev
Bhayi apke daily page views kitne hote h me isse kuch andaza lagana chahtu hu plz batana.
Jumedeen Khan
online traffic checker site par check kar lo.
ALOK
maine apne blog pr ek template lagaya tha us tamplate me kuch errors thi mera blog ek hi post ko do bhago me dikha raha hai kya karu maine tamlate change karke bhi dekh liya hai kuch nahi hota hai
Jumedeen Khan
aap koi dusro blogger template use karo.
ALOK
sir mere blog pr AdSense ko sign up karne ke liye de raha hai pr mai do blog chalata hu ek hi id se dusra vala blog 1 mahine pahle hi chalana suru kiya hai par useme bhi sign up ka option aa raha kya karu
Jumedeen Khan
Ab sabke blog me earning AdSense ka option available hai.
ami singh
About 873 results (0.49 seconds)
Search Results
JankaariNetKi
A blog about website design,internet income without investment,social networking,extra income,YouTube income,internet ki pur jankaari.
About Us – JankaariNetKi
ye mere site ki ranking
Jumedeen Khan
wao aapki site par to mujhse bhi jyada url google me submit hai.
raj
brother mujhe apki ye post bahut help full rahi he thanku
Jumedeen Khan
Ha post choti hai but hai bade kaam ki.
Virendra Singh
bhai mere pass Nokia xl mobile he par usme play store company se hi nhi he kya me kisi pc laptop se dalwa sakta hu
Jumedeen Khan
Play store android mobile me hi karega. aap internet se play store download kar ke try karo. ya fir kisi or ke mobile me se play store app ka back up le kar try karo. aapke mobile me kaam karega ya nahi.
sandeep kumar
Mai kaise Jan sakta hu mere website ke kitne subscriber hai
Jumedeen Khan
blog ke site stats option par jao. usme subscription ka option hota hai. waha check kar sakte ho.
sandeep kumar
Mere blog par 99% comments English me aate hai me unka reply bhi karta hu.
Ek bat mughe wonderful lag raha hai par day ab 100 se 150 comments aate hai. Jabki apke website par par 50tak ya usse jayada aate hai .
Please bataye koi problem to nahi .
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai.
surendra
hello bro sabkuch mamla garbad hai . ek toh maine tamplate change kar diya jiski wajha se AdSense ke ads code home page par post me read more se phele dikh rahe hai aor dusra sabhi post me ek – ek karke ads lagane par blog ki page load time 6.0 second par pahuch gaya hai jo ki 4.0 se niche hona chahiye .
aor maine aapki pichli post ( copyright contact wali ) usme kam traffic wala factor aapne bataya waisa mere sath ho raha hai kyu ki mere blog par 57 post hai jinme se 50 post esi hai jinko goole me search karne par 1 st page 3-4-5 no par apna result show karti hai fir bhi traffic 400-500 pageview par day kyu hai ??
answer me plz ??
Jumedeen Khan
Simple hai aap koi fast loading template use karo. aapki 50 post search engine me show rahi hai. isme problem nahi problem hai 7 posts me jo search engine me show nahi ho rahi. un par se copyright content remove karo. search engine se result milne lag jayega.
sandeep kumar
2 Method me batye ki code ko kaha add karna hai
Jumedeen Khan
yoast SEO plugin use karo usme iska option hota hai.
sandeep kumar
I am website owner . mene hosting purchase kar liya hai
Website me Alexa kaise submit Kate Maine apka post read kiya . Maine usko fallow kiya lekin problem has.
Method 1 kaise karu please details me bataye
Jumedeen Khan
Mere bhai maine bhi hostgator se hosting li hai but mai to ek WordPress blogger hu. fir aap website owner kaise ban gaye. aapko post me second method follow karne ko kaha gaya hai to usme kya prolem hai. or comment ko repeat mat karo.
Harshad Bataviya
mere blog ki post google me index nahi kar rahi hai… mane sitemap bhi banakar google me submit kiya huva hai lakin fir bhi google meri post index nahi kar raha hai.. pls sir aap check karke bataye ke kya problem hai…
Jumedeen Khan
aapki site ko search engine index kar raha hai aap apni site ke samne www laga kar search karo ayse site:www.yoursiteurl.com
sandeep kumar
Website me Alexa kaise submit Kate Maine apka post read kiya . Maine usko fallow kiya lekin problem has.
Method 1 kaise karu please details me bataye
Jumedeen Khan
aap ek blogger ho website owner nahi isliye 1 method se site verify nahi kar sakte. wese aapko meta tags se verify karne me bhi problem nahi hai.
rohit
YouTube me Jo movies ya video hote hai. Unhe ham apni site par laga skte hai. Plz answer
Jumedeen Khan
Ha laga sakte ho. but tabhi jab unki jarurat ho.